Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf cricket hee kyun??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: sirf cricket hee kyun??

    Originally posted by *pIoUs FaIrY* View Post
    :thmbup:
    sigpic

    Comment


    • #17
      Re: sirf cricket hee kyun??

      Wa Alaikum Aslam,

      Hum cricket kheltay hein aur cricket hamaray jazbaat se kheelti he waise wo din door nahi jub Pakistan ki youth Table Tennis, Badminton, Snooker aur deegar indoor games he kheel paye gi. Us ki waja yeh ho gi ke na ho ga bans aur na bajay gi bansuri, jub grounds he khatam ho jaein gi to cricket koi khak khele ga :ys:

      Kisi bhi sports ke saath kisi koom ki wabastagi aik aadh saal ki nahi hoti is ke peechay kafi factors hotay hein bulke aik puri history hoti he. Tum mujay kisi din holiday inn mein khanay pe bulana mein baki baatein tum ko wahan bata doon ga :p
      :thmbup:

      Comment


      • #18
        Re: sirf cricket hee kyun??

        Apart, mujay dekhnay ki hud tak kafi sports bohat pasand hein us ki shayad waja yeh bhi hay ke mein khud bhi kafi saari sports se attach raha hoon. Cricket, Hockey to obviously dekhta he hoon, is ke ilawa Tennis ke tournaments, Football mein English Premier League, Spenish League pe nazar hoti he. Snooker ka match kabi bhi TV pe laga ho to mein zaroor dekhta hoon. Wrestling aur Racing bhi dekhta hoon. Aur mujay in particular Cricket se bhi ziada maza football dekhne mein aata he khasoosun jub worldcup ho :p
        :thmbup:

        Comment


        • #19
          Re: sirf cricket hee kyun??

          Originally posted by AbgeenA View Post
          walekumsalam
          pata nahi kiun...mujhe to bilkul pasand nahi he
          Yeh apne apne lack of knowledge aur lack of interest ki baat hoti he :lol
          :thmbup:

          Comment


          • #20
            Re: sirf cricket hee kyun??

            Originally posted by ambreen_shaam View Post
            kuchh dosto ka point of view parha aur in dosto ka ziyada tar khayal hai kay cricket ki promotion mein government ka role hai jis se mein itefaaq nahi karti.... her country mein kisi eik game ka ziyada trend hota hai.... jese mein Sudan janay ka itefaaq hua vahan per her shaks foot ball khailtay nazar aa rahe thay.... saudi arab mein jain vahan bhi foot ball ziyada khaila jata hai...... america mein bhi kuch makhsoos games hain jahan youth ziyada shok se khailti hai phir bhi vahan aur bhi games khaili jaati hain.....
            wazahat tou aap ne khud hi kar di k Trend ki baat hai....trend hota hai....ab trend kiyon aur kesay bantay hain iss k liye aamir se history talab ki ja skti hai.
            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

            Comment


            • #21
              Re: sirf cricket hee kyun??

              Originally posted by munda_Sialkoty View Post
              Wa Alaikum Aslam,

              Hum cricket kheltay hein aur cricket hamaray jazbaat se kheelti he waise wo din door nahi jub Pakistan ki youth Table Tennis, Badminton, Snooker aur deegar indoor games he kheel paye gi. Us ki waja yeh ho gi ke na ho ga bans aur na bajay gi bansuri, jub grounds he khatam ho jaein gi to cricket koi khak khele ga :ys:

              Kisi bhi sports ke saath kisi koom ki wabastagi aik aadh saal ki nahi hoti is ke peechay kafi factors hotay hein bulke aik puri history hoti he. Tum mujay kisi din holiday inn mein khanay pe bulana mein baki baatein tum ko wahan bata doon ga :p
              aap kitnay rytham kay saath baat kartey hoi jaa rahey thay..... akhar mein jaa kay chawal zaroor maarni hoti hai..... :lol hai itefaaq ki baat kay mein aap se iss mubarak din per aap ki baat se agreed hoon....

              aap jab islamabad aein mein aap ko Marriot hotel mein khana khilaon gi..... lunch bhi karwaon gi aur dinner bhi doon gi....vo bhi boofay pay...... aur yeh mein aap ko sach kah rahi hoon...... mein apna aap ko apna orchard farm bhi dikhaon gi..... jab kay yeh farm mein hamesha apnay khaas doston ko dikhati hoon....... wese us farm mein aam aur pagal logon ka jana bhi manah hota hai......:ys:
              sigpic

              Comment


              • #22
                Re: sirf cricket hee kyun??

                Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                Apart, mujay dekhnay ki hud tak kafi sports bohat pasand hein us ki shayad waja yeh bhi hay ke mein khud bhi kafi saari sports se attach raha hoon. Cricket, Hockey to obviously dekhta he hoon, is ke ilawa Tennis ke tournaments, Football mein English Premier League, Spenish League pe nazar hoti he. Snooker ka match kabi bhi TV pe laga ho to mein zaroor dekhta hoon. Wrestling aur Racing bhi dekhta hoon. Aur mujay in particular Cricket se bhi ziada maza football dekhne mein aata he khasoosun jub worldcup ho :p
                insaan ko kabhi kabhi khud bhi khailna chahiye....... wese mein table tennis achi khail leti hoon aur swimming bhi kar leti hooon..... meri membership sports complex mein hai jahan kisi time mein jaati rahti thi.... aur air university mein eik swimming poolgirls kay liye hota tha vahan per mein itefaaq ki baat hai swimming karti thi.......
                sigpic

                Comment


                • #23
                  Re: sirf cricket hee kyun??

                  Originally posted by saraah View Post
                  wazahat tou aap ne khud hi kar di k Trend ki baat hai....trend hota hai....ab trend kiyon aur kesay bantay hain iss k liye aamir se history talab ki ja skti hai.
                  chaudhry aamir javeid ghuman sahib is durkhawast ki jaati hai kay trend kyun bana hua hai iss ki kindly history enayat farmain takay hum iss ki wajoohaat ko jannay ka moka milay...... :lol
                  sigpic

                  Comment


                  • #24
                    Re: sirf cricket hee kyun??

                    Originally posted by ambreen_shaam View Post
                    aap kitnay rytham kay saath baat kartey hoi jaa rahey thay..... akhar mein jaa kay chawal zaroor maarni hoti hai..... :lol hai itefaaq ki baat kay mein aap se iss mubarak din per aap ki baat se agreed hoon....

                    aap jab islamabad aein mein aap ko Marriot hotel mein khana khilaon gi..... lunch bhi karwaon gi aur dinner bhi doon gi....vo bhi boofay pay...... aur yeh mein aap ko sach kah rahi hoon...... mein apna aap ko apna orchard farm bhi dikhaon gi..... jab kay yeh farm mein hamesha apnay khaas doston ko dikhati hoon....... wese us farm mein aam aur pagal logon ka jana bhi manah hota hai......:ys:
                    Wo khanay ke baad hajmola jese zaroori hota he waise he aik aadh chawal ke bina reply bhi adhoora sa lagta he waise tum ne jitni offers me ko kerwa dein me ko to tum se khatra he mehsoos ho raha he. Kahin khila pilaa ke baad mein form house mein meri target killing kerwa di to me ki amma ko mere jesa aur koi lubna v nai Tum me ko apne form house ki pix mail ker dena mein dekh longa :p
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #25
                      Re: sirf cricket hee kyun??

                      Originally posted by saraah View Post
                      wazahat tou aap ne khud hi kar di k Trend ki baat hai....trend hota hai....ab trend kiyon aur kesay bantay hain iss k liye aamir se history talab ki ja skti hai.
                      Originally posted by ambreen_shaam View Post
                      insaan ko kabhi kabhi khud bhi khailna chahiye....... wese mein table tennis achi khail leti hoon aur swimming bhi kar leti hooon..... meri membership sports complex mein hai jahan kisi time mein jaati rahti thi.... aur air university mein eik swimming poolgirls kay liye hota tha vahan per mein itefaaq ki baat hai swimming karti thi.......
                      Lo trend ki history bohat purani he lekin mein us history ko aik misaal se eggs-plain kerna chahon ga :p

                      Aik scientist ne aik pinjray mein 2 bandar palay, pinjray ke darmeyan mein us ne aik seerhi lagai aur us ke ouper wo keelay lat'kata to bandar seerhi per charh ke keelay khanay ki kooshish kerte. Seerhi itni patli thi ke us pe aik waqt mein aik he bandar charh pata. Scientist ne seerhi ke ouper keelay latkanay aur bandar ne seerhi per charh ke attempt kerni. Jo bandar neechay hota scientist us per thunda pani daalta. Bandaron ne note kia ke jo bandar seerhi per pehlay charh jata he us per pani nahi dala jata aur jo neechay reh jata he us per thunda pani dala jata he. Lehaza jub bhi keelay latkaye jatay to dono bandar aapis mein lar pertay aur phir aisa hua ke keelay ko koi bhi attempt na kerta bulke dono he neechay rehtay aur thunday pani se buch jatay. Scientist ne us pinjray mein aik bandar aur daal dia jisay pani dalnay ki history ka nahi pata tha. Keelay latkanay per us naye bandar ne seerhi per charh ke keelay pakray aur phir scientist ne neechay walay 2 bandron per paani dala. Phir kia tha ke naya bandar attempt kerne lagta to usay baki 2 bandaron se maar per jati.

                      teeno bandaron ko pata lag gaya ke seerhi per charhnay se neechay walay bandaron ko saza milti he aur ager wo seerhi per charhay ga to usay neechay walay bandaron se maar bhi paray gi. Isi tarah aik aur neya bandar add kia gaya aur jub wo seerhi ke paas gaya to sub bandaron ne usay peetna shuru ker dia. Usay nahi pata tha ke usay kyoon peeta ja raha he usay itna pata lag gaya ke seerhi ke paas nahi jana :lol isi tarah aik aik kar ke kai bandar add kiye gaye aur koi bhi seerhi ke paas na gaya. Aur is tarah seerhi ke paas na janay ka trend wajood mein aaya :ys:

                      Aur baat ho rahi thi cricket ke trend ki. Us ka mujay nahi pata wo to saraah he bataye gi :ys:
                      :thmbup:

                      Comment


                      • #26
                        Re: sirf cricket hee kyun??

                        Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                        Wo khanay ke baad hajmola jese zaroori hota he waise he aik aadh chawal ke bina reply bhi adhoora sa lagta he waise tum ne jitni offers me ko kerwa dein me ko to tum se khatra he mehsoos ho raha he. Kahin khila pilaa ke baad mein form house mein meri target killing kerwa di to me ki amma ko mere jesa aur koi lubna v nai Tum me ko apne form house ki pix mail ker dena mein dekh longa :p
                        eik tu aap dartay bahut hain...... lagta hai zindgi mein jitni mein lift karwa rahi hoon itni kisi nay nahi karwai........ 372-haha

                        wese mein aap ko farm ki picuture send karon gi..... vahan hum nay wheat ki crop lagwai hoi hai aur kuchh dino baad inshallah uss ki harvesting bhi thi..... socha tha aap aein gay tu gandam ki kattai bhi aap se karwa loon gi..... iss farm per 3 baffalows bhi hum nay rakhi hain eik behns nay tu chota sa bacha bhi diya hai uss behns kay bachay ki aankhain tu such much bilkul aap per gayi hain..... uss kay elawa vegetable bhi lagi hai bara maza aata hai jab apni khaiti mein ghomti hoon.....:ys:
                        sigpic

                        Comment


                        • #27
                          Re: sirf cricket hee kyun??

                          Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                          Lo trend ki history bohat purani he lekin mein us history ko aik misaal se eggs-plain kerna chahon ga :p

                          Aik scientist ne aik pinjray mein 2 bandar palay, pinjray ke darmeyan mein us ne aik seerhi lagai aur us ke ouper wo keelay lat'kata to bandar seerhi per charh ke keelay khanay ki kooshish kerte. Seerhi itni patli thi ke us pe aik waqt mein aik he bandar charh pata. Scientist ne seerhi ke ouper keelay latkanay aur bandar ne seerhi per charh ke attempt kerni. Jo bandar neechay hota scientist us per thunda pani daalta. Bandaron ne note kia ke jo bandar seerhi per pehlay charh jata he us per pani nahi dala jata aur jo neechay reh jata he us per thunda pani dala jata he. Lehaza jub bhi keelay latkaye jatay to dono bandar aapis mein lar pertay aur phir aisa hua ke keelay ko koi bhi attempt na kerta bulke dono he neechay rehtay aur thunday pani se buch jatay. Scientist ne us pinjray mein aik bandar aur daal dia jisay pani dalnay ki history ka nahi pata tha. Keelay latkanay per us naye bandar ne seerhi per charh ke keelay pakray aur phir scientist ne neechay walay 2 bandron per paani dala. Phir kia tha ke naya bandar attempt kerne lagta to usay baki 2 bandaron se maar per jati.

                          teeno bandaron ko pata lag gaya ke seerhi per charhnay se neechay walay bandaron ko saza milti he aur ager wo seerhi per charhay ga to usay neechay walay bandaron se maar bhi paray gi. Isi tarah aik aur neya bandar add kia gaya aur jub wo seerhi ke paas gaya to sub bandaron ne usay peetna shuru ker dia. Usay nahi pata tha ke usay kyoon peeta ja raha he usay itna pata lag gaya ke seerhi ke paas nahi jana :lol isi tarah aik aik kar ke kai bandar add kiye gaye aur koi bhi seerhi ke paas na gaya. Aur is tarah seerhi ke paas na janay ka trend wajood mein aaya :ys:

                          Aur baat ho rahi thi cricket ke trend ki. Us ka mujay nahi pata wo to saraah he bataye gi :ys:
                          kahani tu bahut achi thi aur mein baray ghour se parhi aur zahan mein yeh bhi sochti aa rahi thi kay iss kahani ka cricket kay saath kese link karey ga.............. :lol

                          ab pata laga kay iss banderon ki kahani ka asal link saraah behan se tha............ :lol
                          sigpic

                          Comment


                          • #28
                            Re: sirf cricket hee kyun??

                            Originally posted by munda_Sialkoty View Post
                            Yeh apne apne lack of knowledge aur lack of interest ki baat hoti he :lol
                            achaa

                            Comment


                            • #29
                              Re: sirf cricket hee kyun??

                              Originally posted by ambreen_shaam View Post
                              eik tu aap dartay bahut hain...... lagta hai zindgi mein jitni mein lift karwa rahi hoon itni kisi nay nahi karwai........ 372-haha

                              wese mein aap ko farm ki picuture send karon gi..... vahan hum nay wheat ki crop lagwai hoi hai aur kuchh dino baad inshallah uss ki harvesting bhi thi..... socha tha aap aein gay tu gandam ki kattai bhi aap se karwa loon gi..... iss farm per 3 baffalows bhi hum nay rakhi hain eik behns nay tu chota sa bacha bhi diya hai uss behns kay bachay ki aankhain tu such much bilkul aap per gayi hain..... uss kay elawa vegetable bhi lagi hai bara maza aata hai jab apni khaiti mein ghomti hoon.....:ys:
                              Yeh baat to he jitni lift tum ne kerwai he itni to kisi ne sapnoo mein bhi nahi kerwai aur mein hoon to bohat bahadur per kia karon cheeti ho tum dar to lagay ga na :(

                              Tumharay farm house ki sair ker ke bara maza aaya. Tum apni bainsoon ke liye chara khud kaata karo takat aaye gi. Shikaar per jub jaoo gi to tez baago gi :ys: aur mere hissay ki sair to already bains ka baby ker he raha he :lol
                              :thmbup:

                              Comment


                              • #30
                                Re: sirf cricket hee kyun??

                                Originally posted by ambreen_shaam View Post
                                kahani tu bahut achi thi aur mein baray ghour se parhi aur zahan mein yeh bhi sochti aa rahi thi kay iss kahani ka cricket kay saath kese link karey ga.............. :lol

                                ab pata laga kay iss banderon ki kahani ka asal link saraah behan se tha............ :lol
                                Dekho ji jub tak saraah nahi chahay gi meri kia jurat ke koi link nikaal sakon
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X