Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
khamosh
Collapse
X
-
Re: khamosh
Originally posted by ambreen_shaam View Postsach kahtey ho aur hum nay aap ki khamoshi dekh bhi li hai...... lakin ziyada khamosh bhi rahna yeh bhi kuch achi alamat nahi hoti.... yeh furastration, nakaami aur zindgi mein shikast ki nishandhi karti hain.... kuch loog baray sadmo se jab guzartey hain tu laambi khamoshi mein rahna pasand kartey hain..... bus laambi khamoshi se bach kay rahna........ :esmile:
Comment
-
Re: khamosh
Originally posted by Masood View PostWa allaikum salaam Rita
Khamoshi meri saheli hai - main iskey saath kaii kaii roz rah sakta hoon aur kisi ko khaber bhi nahin honey deta keh khamoshi merey saath hai...
Mujhey chup rehna achha lagta hai - balkeh aik sakoon deta hai. Magar aisa bhi aksar huwa hai keh main apni khamoshi mein khud hi sey batein karta hoon ....
Comment
-
-
Re: khamosh
Originally posted by AbgeenA View Postme kab chup hun...pata nahi aj baki sab memebrs kahan hen?ankool bhi nahi aey...sab jagah khamoshi achi lagti he lekin pegham par bilkul achi nahi lagti:thmbup:
Comment
-
Re: khamosh
Originally posted by AbgeenA View Postkhamoshi insan me therao ka doosra naam bhi he..zaruri nahi k insan frustration ya nakami me hi khamosh ho.khamoshi ko ebadat ka darja dia gya he.jo kam bolta he wo kam ghaltiyan karta hesigpic
Comment
-
Re: khamosh
Originally posted by ambreen_shaam View Posthamaray eik rishtay daar hain vo aksar khamosh rahtay hain aur jab bhi uss nay kuchh bola hai ulta hee boltay hain.... issliye ussey hum hamesha naseehat kartay hain bewakoof ko kam bolna chahiye....siso jo shaks bewakoof ho ussay kam aur mehfil mein khamosh rahna chahiye....... 372-hahaOriginally posted by AbgeenA View Postkhamoshi insan me therao ka doosra naam bhi he..zaruri nahi k insan frustration ya nakami me hi khamosh ho.khamoshi ko ebadat ka darja dia gya he.jo kam bolta he wo kam ghaltiyan karta he
Jaalay lag jatay hein jub band makaan hota he
Yahan pe mein Ambreen_shaam ki baat se kuch itfaaq karon ga senorita ki bajaye. Bolna aur baat kerna bhi aik hunar he, yeh her kisi ke paas nahi hota. Khamoosh kahan rehna chahiye is ki different applications hein unhein mein abi address nahi karon ga. Abi sirf itna kahon ga ke bolnay se insaan ke ander aitmaad paida hota he jo khamoosh tabah loog bilkul bhi sari zindagi hasil nahi ker saktay. Jo kum boltay hein wo saari zindagi kisi na kisi complex mein rahein ge ya wo self-centered personality ban ke reh jaein ge. Ziada bolna se insaan ager ziada ghaltiyan karay ga to un ghaltiyoon se utna ziada seekhay ga b. Ziada bolna aur khasoosan logics ke saath bolna bhi aik art he. Jo loog yeh art seekh jatay hein wo public dealing mein atleast kabi maat nahi khatay ;):thmbup:
Comment
Comment