Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

mangni toooot gayi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: mangni toooot gayi

    Originally posted by D@y W@lk3r
    hosakta hai abhi yeh farak mahsoos na ho... aur jab aap dono aged hojain tab yeh farak aap ko mahsoos ho.... :)
    :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

    Comment

    • #17
      Re: mangni toooot gayi

      Originally posted by Aania
      sad news... conservative people cannt be understood....cannt ever give happiness :( wot else to say.... its so bad..... but guess wot... acha hua sif mangni hi thee..... aur definately ye faisla larrki ke liye acha hua... koz.. insaan takeef detey huye sochta thorri naa hai... is baat ka pata shaadi ke baad chalta to wo larrki aur uski family socho kitna dukh utha-ti... Allah ke har kaam main behtri hoti hai... InshaAllah... us larrki ke naseeb main bohat khushyaan hon gi.... fir aiesey sar-phirey cheap-minded conservative logon ko pachtawey ke siwa kuch nahen milney wala....
      meri dua hai.... Allah us larrki ko dheron khushyaa aur pur-sakoon zindagi ataa fermaaye... usey kabhi zindagi main dukh na miley na us ki family ko aameen....
      wese me kay friend ka mokaf hai k larki walon nay yeh baat pehlay kyun nahi batai..... :) baad mein age difference ka ezhaar karna vo badniyati hai.... :)
      Last edited by rehman; 31 January 2006, 10:54.
      :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

      Comment

      • #18
        Re: mangni toooot gayi

        Originally posted by rehman
        suppose engagement ho jaati hai.... larki waley age difference nahi batatay .... baad mein kahen k larki ki age bari hai.... zahir si baat hai larkay walay tu naraz hoongay na....:) dono tara sincerity honi chahiye jese saima shaheen nay durast kaha... otherwise jhoot per rishtay paidaar tu nahi rahen gay...:)
        Yup dono sides per sachai n sincerety zarori hai
        but me k nazdeek age matter nahi kerti.........!!!

        Comment

        • #19
          Re: mangni toooot gayi

          hi there

          Comment

          • #20
            Re: mangni toooot gayi

            yaa kohi mujhaa hepl kar gaa plz

            Comment

            • #21
              Re: mangni toooot gayi

              Originally posted by rehman
              aap nay bahut umda baat ki...... :)
              Thnx, yeh sirf ek logic hai jo samajhney ki zarorat hai :)
              sigpic

              Comment

              • #22
                Re: mangni toooot gayi

                kyaa maih bhee app donoo kee conversation maih ahh sakh tee hoon

                Comment

                • #23
                  Re: mangni toooot gayi

                  Originally posted by sam@hotmail.com
                  yaa kohi mujhaa hepl kar gaa plz

                  kaisi help chahiyeh aap ko ???
                  sigpic

                  Comment

                  • #24
                    Re: mangni toooot gayi

                    Originally posted by rehman
                    meray eik dost nay 1 saal pehlay enagement ki thi jab ussay yeh pata chala k larki 2 saal umer mein bari hai tu uss larkay nay magni tor di.... jab me ko pata laga bahut dukh hua.... :)

                    kiya wakai larki ka larkay ki umer mein chota hona zaroori hai?? aap kiya comments dein gay??
                    Rehman baat yeh hai keh aik kaamyab shaadi ka daro maddar is baat per nahin hota keh umer mein kitna tazaad hai aur kiski umer kaisi hai. Aik kaamyab shaadi key liye sochon ka milna bohat zaroori hai. Larki aur larkey ko is baat per yaqin hona chahiye keh zindagi key mailey mein koi muqaam bhi aaey mera saathi us waqt meri himmat bandhaey ga jab main down hoon, aur us waqt mujhey encourage karey ga jab main theek jaa raha/rahi hoon. Aik doosrey per bharosa, aetmaad bohat zaroori hai.

                    Aik fact yeh hai keh larkiyaan aur larkey aaj kal dey daur mein itney "ba'shaoor" ho gaey hain keh woh age key gap ko feel kartey hain. Unkey nazdeek agar age ka gap bohat ziyada ho ga to sochon mein ham'ahangi nahin hoti - thinking level different hota hai.

                    Ba'zaat-e-khud I think keh kuchh saal ka gap hona chahiye. Larki kam'umer ho bhi to woh behtar adjust kar paati hai, lekin agar larki age mein larkey sey ziyada ho to ussey khud feel hota hai keh uska miyaan us sey kam'umer (bacha :wk ) hai...
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #25

                      2-3 saal ka bada koi farq nahin hota,

                      kuchh din pehle mera bhi purposal aaya tha...baad mein pata chala ke she is 3 years older to me, jab meri mother ko pata chala to baat ayi gayi rah gayi.
                      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                      Comment

                      • #26
                        Re: mangni toooot gayi

                        Originally posted by Masood
                        Rehman baat yeh hai keh aik kaamyab shaadi ka daro maddar is baat per nahin hota keh umer mein kitna tazaad hai aur kiski umer kaisi hai. Aik kaamyab shaadi key liye sochon ka milna bohat zaroori hai. Larki aur larkey ko is baat per yaqin hona chahiye keh zindagi key mailey mein koi muqaam bhi aaey mera saathi us waqt meri himmat bandhaey ga jab main down hoon, aur us waqt mujhey encourage karey ga jab main theek jaa raha/rahi hoon. Aik doosrey per bharosa, aetmaad bohat zaroori hai.

                        Aik fact yeh hai keh larkiyaan aur larkey aaj kal dey daur mein itney "ba'shaoor" ho gaey hain keh woh age key gap ko feel kartey hain. Unkey nazdeek agar age ka gap bohat ziyada ho ga to sochon mein ham'ahangi nahin hoti - thinking level different hota hai.

                        Ba'zaat-e-khud I think keh kuchh saal ka gap hona chahiye. Larki kam'umer ho bhi to woh behtar adjust kar paati hai, lekin agar larki age mein larkey sey ziyada ho to ussey khud feel hota hai keh uska miyaan us sey kam'umer (bacha :wk ) hai...
                        Waise mere khyal mein larka 4-5 saal larki se bada hona chahiye, phir dono mein "ham'ahangi" balance rahta hai.

                        Lekin main kuchh logon ko dekha ke larka 30-32 ka hai to larki 20-22 ka yehan 10 ka difference dekhne ko milta hai, aur aaj kal boys yeh chahtey hian ke jab tak koi suitable job naa mil jaye tab tak shaadi nahiin karenge, after graduation ke baad is competion daur mein job paney mein kafi waqt nikal jata hai, aur ab pehle zamaney ki tarah ab 4-5 saal ke difference age ratio nahin raha.
                        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                        Comment

                        • #27
                          Re: mangni toooot gayi

                          Originally posted by Spy009

                          Mera zaati khiyaal hai keh larki kam'sin hoti hai magar woh adjust karna jaan jati hai. Magar larka la'ubali tabiyat ka hota hai. 20 saal key larkey ki shadi aik azab sey kam nahin. Larkey ki shadi us waqt karni chahiye jab woh mature ho. Ab yeh koi zaroori nahin keh umer key saath hi larka mature hota hai. Lekin ham in general baat kartey hain. Aur general yehi dekhney mein aaya hai keh larkey around about 27-30 yrs mein aa ker saheeh "paktey" :lol hain. For me around about 30 yrs for a male is an excellent age.

                          Main bhi bohat sey logon ko janta hoon jahan age ka gap 20 saal tak dekhney mein aaya hai
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #28
                            Re: mangni toooot gayi

                            Originally posted by Masood
                            Main bhi bohat sey logon ko janta hoon jahan age ka gap 20 saal tak dekhney mein aaya hai
                            As a muslim hamey nahin bhoolna chahiye ke Rasool Allah s.a.wasallam ne Khadija r.a. se shaadi kiye, jo ke Aap s.a.w. se 15 saal badi thin, wahi doosri aur Hajrate Ayesha r.a. aur Aap s.a.w. ke bich kaafi age difference tha.
                            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                            Comment

                            • #29
                              Re: mangni toooot gayi

                              Originally posted by Masood
                              For me around about 30 yrs for a male is an excellent age.
                              khudh is umer ko pohanch rahye ho is liyeh :lol :lol
                              sigpic

                              Comment

                              • #30
                                Re: mangni toooot gayi

                                Originally posted by Spy009
                                As a muslim hamey nahin bhoolna chahiye ke Rasool Allah s.a.wasallam ne Khadija r.a. se shaadi kiye, jo ke Aap s.a.w. se 15 saal badi thin, wahi doosri aur Hajrate Ayesha r.a. aur Aap s.a.w. ke bich kaafi age difference tha.

                                Aap ki baat darust hai Spy magar wo daur wo waqt aur tha, logo ki tarbeeyat sahi hoti thi, aaj kal to 70% parents ko pata hi nahi hota tarbeeyat kaisey ki jati hai :tauba
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X