Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

mangni toooot gayi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • mangni toooot gayi

    meray eik dost nay 1 saal pehlay enagement ki thi jab ussay yeh pata chala k larki 2 saal umer mein bari hai tu uss larkay nay magni tor di.... jab me ko pata laga bahut dukh hua.... :)

    kiya wakai larki ka larkay ki umer mein chota hona zaroori hai?? aap kiya comments dein gay??
    :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

  • #2
    Re: mangni toooot gayi

    Pagal Loag hain yeh nahi sochty k Jab Hamry piary Rasool(saw) Kee shadi hui thi to Hazrat KHudija(RAH) kee age aap sy 15 baras ziyada theee....

    Comment

    • #3
      Re: mangni toooot gayi

      Well is se koi farq nahi perta, shadi ka rista aisa rishta hai jis kikamyabi wa inhesar umer per nahi, balkey bahmi mohabbat, understanding aur compromise per hota hai aur jahan muhabbat hoti hai waha insan her tarah ka compromise kerne ke liyeh tayyar hota hai. Is ke liyeh yeh bhi zarori hai ke lerka aur lerki jab bhi shadi karein kam se kam wo is zimadari ko samajhen aur issey poora keren ke liyeh mature honey chahiye.

      But I personally prefer ke dono ki age mei kuch saal ka gap zaror hona chahiye.
      sigpic

      Comment

      • #4
        Re: mangni toooot gayi

        Originally posted by Last Knight
        Pagal Loag hain yeh nahi sochty k Jab Hamry piary Rasool(saw) Kee shadi hui thi to Hazrat KHudija(RAH) kee age aap sy 15 baras ziyada theee....
        aap nay bilkul durast farmaya..... :) agreed.... :)
        :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

        Comment

        • #5
          Re: mangni toooot gayi

          Originally posted by Saima Shaheen
          Well is se koi farq nahi perta, shadi ka rista aisa rishta hai jis kikamyabi wa inhesar umer per nahi, balkey bahmi mohabbat, understanding aur compromise per hota hai aur jahan muhabbat hoti hai waha insan her tarah ka compromise kerne ke liyeh tayyar hota hai. Is ke liyeh yeh bhi zarori hai ke lerka aur lerki jab bhi shadi karein kam se kam wo is zimadari ko samajhen aur issey poora keren ke liyeh mature honey chahiye.

          But I personally prefer ke dono ki age mei kuch saal ka gap zaror hona chahiye.
          jee me aap ki baton say agreed karta hoon..... :) aur aap nay jo age gap ki baat ki .... kiya yeh zaroori hai k age larki ki hi choti ho??
          :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

          Comment

          • #6
            Re: mangni toooot gayi

            NAHI AISA ZAROORI TO NAHI............

            CHIPKOOOOOOOOOOOO

            Comment

            • #7
              Re: mangni toooot gayi

              Originally posted by rehman
              aap nay bilkul durast farmaya..... :) agreed.... :)
              بہت بہت شکریہ

              Comment

              • #8
                Re: mangni toooot gayi

                Originally posted by rehman
                jee me aap ki baton say agreed karta hoon..... :) aur aap nay jo age gap ki baat ki .... kiya yeh zaroori hai k age larki ki hi choti ho??

                Nahi rehman yeh zarori nahi hai, magar aaj ke zamaney mei aisi shadion ki kamyabi sirf 10% hoti hai. Let me make it more clear by talking about " Aaj ke zamaney mei "

                Jis baat ka hawala khalil ne diya to ous ke mutabiq wo daur aur tha, waqt aur tha, wese bhi Islam ki amad ke baad in sab pabandion ko khatam ker diya gaya. Islami nuqtaye nazar se yeh jayez hai is mei koi qabahat nahi.
                Magar ous waqt kya ager hum 30-40 saal peechey jayein to lerki ho yaan lerka ounhein teenage cross kertey hi zimedarion mei daal diya jata hai, oun ki tarbiyat is tarah ki jati thi ke wo shaouri torr per in rishton in zimedarion ko samajhne, nibhaney aur oun per poora outerne ki salahiyat rakhtey they, is liyeh akser aisi shadian hoti thi aur kamyab bhi hoti thi, kiu ke dono ko ek dosrey ka, khudh se wabasta her insan her rishtey ka lehaz aur ehtaram hota tha. Magar ab yeh sab batein anhi rahi, maan baap bacho ko beja pyar se palney mei bhool jatey hain ke waqt ke sath sath jismani torh per barhney ke sath sath oun ke shaour mei bhi tabdeeli aa rahi hai, jis ki sahi terbiyat ousi waqt ke sath honi chahiye, magar wo aisa nahi kertey, bacho ko zimedarion se dour rakhtey hain, shaouri torh per ounehin barhney khudhmukhtar honey ki opportunities nahi milti, to aisi soorat mei hota yeh hai ke physically to lerka aur lerki shadi ki umer mei hotey hain magar mentally is rishtey ko qabool kerne ke liyeh tayyar nahi hotey aur ager oun per dabao daal ker shadi ker di jayeh to it ends up with failure, kiu ke dono mei wo aqeedatm rishto ki samajh boojh, wo ehteram nahi hota jo is rishtey ko barqarar rakhney ke liyeh behad zarori hai.
                Is liyeh I said I prefer age gap hona chahiyeh, so that when they get married both are mature enough to understand and continue this relationship.
                sigpic

                Comment

                • #9
                  Re: mangni toooot gayi

                  Assalam-o-Alikum!

                  me k nazdeek koi bhi rishta jo sincerety n trust chahta ho wo age/physical appearance/status/any other thing not related 2 the inner of person.......us rishte ko ye sab nahi chahiye hota......

                  engagement k baad to shaid hum us ik hi person k liye pure hote hain......usko apna life partener bhi samajh chuuke hote hain phir itni c bat per mangni torna....?

                  it means ur friend was not sincere with his fionce.....perhaps he was not feeling com4table after engagement n so he gave AGE DIFFERENCE as a reason.....

                  Anyways.....age matter kerti to ISLAM mai mana hota but HAZRAT MOHAMMAD PBUH ne HAZRAT KHADEEJA RA se shaadi ki thi jab k age difference buhaat ziada tha........

                  Comment

                  • #10
                    Re: mangni toooot gayi

                    hmm.. agur pyar ho to log age ka sochte b nehi hen,
                    but agur eshi kooi bat na ho to, jesha aap k friend nai kia wo i think k
                    girl k haq mein acha hi raha,...
                    coz bad mein prb hoti.
                    Last edited by ŠaяfaяσŠh; 30 January 2006, 18:46.

                    Comment

                    • #11
                      Re: mangni toooot gayi

                      Originally posted by rehman
                      meray eik dost nay 1 saal pehlay enagement ki thi jab ussay yeh pata chala k larki 2 saal umer mein bari hai tu uss larkay nay magni tor di.... jab me ko pata laga bahut dukh hua.... :)

                      kiya wakai larki ka larkay ki umer mein chota hona zaroori hai?? aap kiya comments dein gay??

                      ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                      Comment

                      • #12
                        Re: mangni toooot gayi

                        sad news... conservative people cannt be understood....cannt ever give happiness :( wot else to say.... its so bad..... but guess wot... acha hua sif mangni hi thee..... aur definately ye faisla larrki ke liye acha hua... koz.. insaan takeef detey huye sochta thorri naa hai... is baat ka pata shaadi ke baad chalta to wo larrki aur uski family socho kitna dukh utha-ti... Allah ke har kaam main behtri hoti hai... InshaAllah... us larrki ke naseeb main bohat khushyaan hon gi.... fir aiesey sar-phirey cheap-minded conservative logon ko pachtawey ke siwa kuch nahen milney wala....
                        meri dua hai.... Allah us larrki ko dheron khushyaa aur pur-sakoon zindagi ataa fermaaye... usey kabhi zindagi main dukh na miley na us ki family ko aameen....
                        Visit My Early PS Work
                        You Are Welcome To Comment

                        Comment

                        • #13

                          • #14
                            Re: mangni toooot gayi

                            Originally posted by Saima Shaheen
                            Nahi rehman yeh zarori nahi hai, magar aaj ke zamaney mei aisi shadion ki kamyabi sirf 10% hoti hai. Let me make it more clear by talking about " Aaj ke zamaney mei "

                            Jis baat ka hawala khalil ne diya to ous ke mutabiq wo daur aur tha, waqt aur tha, wese bhi Islam ki amad ke baad in sab pabandion ko khatam ker diya gaya. Islami nuqtaye nazar se yeh jayez hai is mei koi qabahat nahi.
                            Magar ous waqt kya ager hum 30-40 saal peechey jayein to lerki ho yaan lerka ounhein teenage cross kertey hi zimedarion mei daal diya jata hai, oun ki tarbiyat is tarah ki jati thi ke wo shaouri torr per in rishton in zimedarion ko samajhne, nibhaney aur oun per poora outerne ki salahiyat rakhtey they, is liyeh akser aisi shadian hoti thi aur kamyab bhi hoti thi, kiu ke dono ko ek dosrey ka, khudh se wabasta her insan her rishtey ka lehaz aur ehtaram hota tha. Magar ab yeh sab batein anhi rahi, maan baap bacho ko beja pyar se palney mei bhool jatey hain ke waqt ke sath sath jismani torh per barhney ke sath sath oun ke shaour mei bhi tabdeeli aa rahi hai, jis ki sahi terbiyat ousi waqt ke sath honi chahiye, magar wo aisa nahi kertey, bacho ko zimedarion se dour rakhtey hain, shaouri torh per ounehin barhney khudhmukhtar honey ki opportunities nahi milti, to aisi soorat mei hota yeh hai ke physically to lerka aur lerki shadi ki umer mei hotey hain magar mentally is rishtey ko qabool kerne ke liyeh tayyar nahi hotey aur ager oun per dabao daal ker shadi ker di jayeh to it ends up with failure, kiu ke dono mei wo aqeedatm rishto ki samajh boojh, wo ehteram nahi hota jo is rishtey ko barqarar rakhney ke liyeh behad zarori hai.
                            Is liyeh I said I prefer age gap hona chahiyeh, so that when they get married both are mature enough to understand and continue this relationship.
                            aap nay bahut umda baat ki...... :)
                            :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

                            Comment

                            • #15
                              Re: mangni toooot gayi

                              Originally posted by Barish
                              Assalam-o-Alikum!

                              me k nazdeek koi bhi rishta jo sincerety n trust chahta ho wo age/physical appearance/status/any other thing not related 2 the inner of person.......us rishte ko ye sab nahi chahiye hota......

                              engagement k baad to shaid hum us ik hi person k liye pure hote hain......usko apna life partener bhi samajh chuuke hote hain phir itni c bat per mangni torna....?

                              it means ur friend was not sincere with his fionce.....perhaps he was not feeling com4table after engagement n so he gave AGE DIFFERENCE as a reason.....

                              Anyways.....age matter kerti to ISLAM mai mana hota but HAZRAT MOHAMMAD PBUH ne HAZRAT KHADEEJA RA se shaadi ki thi jab k age difference buhaat ziada tha........
                              suppose engagement ho jaati hai.... larki waley age difference nahi batatay .... baad mein kahen k larki ki age bari hai.... zahir si baat hai larkay walay tu naraz hoongay na....:) dono tara sincerity honi chahiye jese saima shaheen nay durast kaha... otherwise jhoot per rishtay paidaar tu nahi rahen gay...:)

                              Working...
                              X