Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tjasus

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tjasus

    Aslamoalikum:hii:
    tjasus insani zindagi ka aik ehem juzv....isi justaju ne insan ko gharon se chaand tak pohanchaya....poochna ye he k ap ke dimagh me kin kin batob,kin kin topics k bare me tjasus paya jata he..kia baat he jo aap khojna chahte hen?wo baat share karen..chahe wo dunya me kisi baat se mutalik ho kisi shaks se mutalik...kainaat se mutalik...kuch bhi to ap k dimagh me ata he bataen....
    jese mujhe death k bare me bohat tjasus he...kese marna ho ga,farishte yani new makhlook kesi dikhti ho gi?kia ho ga..kia ho ga???kahan jaen ge???ese hi.....or bhi bataun gi sath sath...pehle ap shiru kee jeay lekin plzz seriously

  • #2
    Re: Tjasus

    Wa Alaikum Aslam,

    Acha topic he. Einstein ki is quote se reply start karon ga.

    The important thing is not to stop questioning. Curiosity has its own reason for existing. One cannot help but be in awe when he contemplates the mysteries of eternity, of life, of the marvelous structure of reality.

    Mere khyaal mein jo ziada curious hota he wo ziada knowledge hasil kerta he. Curiosity by birth insaan ke traits mein shamil hoti he. Aik chootay buchay ko ager aap koi bhi cheez dikhaoo gay to wo us cheez ko jub tak apnay haathon mein le ker parakh na le wo bechain rahay ga. Aur kudrat ne yeh khasiyat us ke ander jaan bhooj ke rakhi he ta ke wo apnay mahool se aur ird gird ki cheezon se jald ham'aahang ho sakay.

    Lekin jese jese hum baray hotay hein, curiosity hamaray ander to rehti he lekin hum us curiosity ko apnay control mein ker lete hein, aur us per aik artificial core charhaa lete hein. Hum pretend kerte hein ke hum curious nahi. Hamein apnay ird gird ke loogon ki perwah nahi. Hamein falaan cheez se koi lagao nahi. Nai aur innovative cheezon ko dekh ke ignore ker de ga, us per comment nahi karay ga, aur show karay ga ke wo is cheez ke baray mein curious nahi. Lekin akser aisa hota nahi.

    Curiosity is as much the parent of attention, as attention is of memory. So don't stop yourself to be curious.
    :thmbup:

    Comment

    • #3
      Re: Tjasus

      wasalam.. bauaht accha thread hai :wink

      me ki tabiyat mein kai baato ko le ker tajsus hai... jaise me choti thi tu me sochti thi:
      machliyaan paani mein kyun nahi doobti... parindeh urte hoye kyun nahi girte?.. humare par kyun nahi hai? suraj kahan se aata hai? raat ko hum raat kyun kehte hain? Lol... bla bla bla.. her doosri cheez ko le ker me ke sawalo ki list ready rehti thi... tub ghar waale jawab dete the... ab me khud sochti ho, parhti ho, research karti ho, observe karti ho, discuss karti ho or bhi bauaht kuch kar kar ke baato ko sumjh hi leti ho..

      and the topics I am curious about are following:

      social issues
      jaise terrorist kaise or kyun ban jaate hain? phir khoob parhti ho, logo se milti ho.. jail bhi gai ho milne... :$...
      prostitutes kaise ban jaati hain aurtein?
      gay lesbines kyun barhte jaa rahe hain?
      Aids ka illaj ab tak kyun nahi mil paaya?
      Muslims mein cerbal palsy kids ki tadad kyun barh rahi hai yahan?

      Religious issues
      Quraan ki kai ayton per search karti ho or tafseel w tafseer parhti rehti ho... koshish karti ho ke Quraan ko sumjh kar parh sako... Quraan mein kya likha hai jub arbi parhti thi tub bara tajsus tha janne ka... phir koi jub 12th std mein thi tub ek dip join kiya tha Arbic lang ka per kuch farq nahi para tu adhora hi chor diya woh... phir 47 saal pehle Quraan ki arbi seekhi or ab tarjuma kar leti ho Allahmdullilah

      Family issues
      log apne gharo ki problems chor kar dosro ki problems kyun barhaane aajate hain? kai baar mein ne aisi types aunties se yeh sawal bhi pooche hain? ke aap aisa kyun karte ho? :$
      kisi bhai kisi larki se baat kare tu OK.. per us ki behan kisi larke se baat karo tu not OK... kyun?? or is per jo jawab me ke dosto ne diya woh kuch yun tha ke: "hume apni niyat ka pata hai... dosre larke ki niyat ka nahi... hunh"
      woh game plans and all jo khandaan ke log khailte hain

      world issues
      WW III hoi tu kya kya hosakta hai? kaun si country kis side hogi.. WWII ke baad jo halat the woh WWIII ke baad bhi honge... Iraan waahid America ki takar ka mulk lagta hai is waqt... woh kya karega? ager jihaad ka elaan hogaya tu hum sub kahan jaayenge... phir is sawal ka jawab mila ek jagah: Aap (SAW) ne farmaya shaam ki zameen ke lashkar mein shaamil hojana... phir nect Question.. hum sub shaam kaise jaayenge phir? Lol

      about self
      me itna kyun sochti ho... :$

      is ke illawah bhi kai baatein hain jin ko le ker me curious ho isi liye shaid me ne psychology or research ki feild mein ho... :$

      Comment

      • #4
        Re: Tjasus

        Originally posted by ummid View Post

        Tumhein jis sawaal ki samaj nahi aati muj se pooch lena. Mein eggs-plain ker doon ga.
        :thmbup:

        Comment

        • #5
          Re: Tjasus

          Originally posted by munda_sialkoty View Post

          sure aamir... Thanx

          Comment

          • #6
            Re: Tjasus

            Originally posted by ummid View Post
            sure aamir... Thanx
            Yeh to mere awaleen faraiz mein shamil he, aur meri one member party ka manshoor mein bhi shamil he :shyy:
            :thmbup:

            Comment

            • #7
              Re: Tjasus

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Wa Alaikum Aslam,

              Acha topic he. Einstein ki is quote se reply start karon ga.

              The important thing is not to stop questioning. Curiosity has its own reason for existing. One cannot help but be in awe when he contemplates the mysteries of eternity, of life, of the marvelous structure of reality.

              Mere khyaal mein jo ziada curious hota he wo ziada knowledge hasil kerta he. Curiosity by birth insaan ke traits mein shamil hoti he. Aik chootay buchay ko ager aap koi bhi cheez dikhaoo gay to wo us cheez ko jub tak apnay haathon mein le ker parakh na le wo bechain rahay ga. Aur kudrat ne yeh khasiyat us ke ander jaan bhooj ke rakhi he ta ke wo apnay mahool se aur ird gird ki cheezon se jald ham'aahang ho sakay.

              Lekin jese jese hum baray hotay hein, curiosity hamaray ander to rehti he lekin hum us curiosity ko apnay control mein ker lete hein, aur us per aik artificial core charhaa lete hein. Hum pretend kerte hein ke hum curious nahi. Hamein apnay ird gird ke loogon ki perwah nahi. Hamein falaan cheez se koi lagao nahi. Nai aur innovative cheezon ko dekh ke ignore ker de ga, us per comment nahi karay ga, aur show karay ga ke wo is cheez ke baray mein curious nahi. Lekin akser aisa hota nahi.

              Curiosity is as much the parent of attention, as attention is of memory. So don't stop yourself to be curious.
              theek...ap kin kin topics par curious rehte hen?

              Comment

              • #8
                Re: Tjasus

                Originally posted by ummid View Post
                wasalam.. bauaht accha thread hai :wink

                me ki tabiyat mein kai baato ko le ker tajsus hai... jaise me choti thi tu me sochti thi:
                machliyaan paani mein kyun nahi doobti... parindeh urte hoye kyun nahi girte?.. humare par kyun nahi hai? suraj kahan se aata hai? raat ko hum raat kyun kehte hain? Lol... bla bla bla.. her doosri cheez ko le ker me ke sawalo ki list ready rehti thi... tub ghar waale jawab dete the... ab me khud sochti ho, parhti ho, research karti ho, observe karti ho, discuss karti ho or bhi bauaht kuch kar kar ke baato ko sumjh hi leti ho..
                aawww masoom masoom se sawal na...bachpan me wakai bohat khoj hoti he dheron baton ki or bache to sawal karne se bhi ghabrate..bare ho kar sawal karna chor dete hen
                Originally posted by ummid View Post
                the topics I am curious about are following:

                social issues
                jaise terrorist kaise or kyun ban jaate hain? phir khoob parhti ho, logo se milti ho.. jail bhi gai ho milne... :$...
                prostitutes kaise ban jaati hain aurtein?
                gay lesbines kyun barhte jaa rahe hain?
                Aids ka illaj ab tak kyun nahi mil paaya?
                Muslims mein cerbal palsy kids ki tadad kyun barh rahi hai yahan?

                Religious issues
                Quraan ki kai ayton per search karti ho or tafseel w tafseer parhti rehti ho... koshish karti ho ke Quraan ko sumjh kar parh sako... Quraan mein kya likha hai jub arbi parhti thi tub bara tajsus tha janne ka... phir koi jub 12th std mein thi tub ek dip join kiya tha Arbic lang ka per kuch farq nahi para tu adhora hi chor diya woh... phir 47 saal pehle Quraan ki arbi seekhi or ab tarjuma kar leti ho Allahmdullilah

                Family issues
                log apne gharo ki problems chor kar dosro ki problems kyun barhaane aajate hain? kai baar mein ne aisi types aunties se yeh sawal bhi pooche hain? ke aap aisa kyun karte ho? :$
                kisi bhai kisi larki se baat kare tu OK.. per us ki behan kisi larke se baat karo tu not OK... kyun?? or is per jo jawab me ke dosto ne diya woh kuch yun tha ke: "hume apni niyat ka pata hai... dosre larke ki niyat ka nahi... hunh"
                woh game plans and all jo khandaan ke log khailte hain

                world issues
                WW III hoi tu kya kya hosakta hai? kaun si country kis side hogi.. WWII ke baad jo halat the woh WWIII ke baad bhi honge... Iraan waahid America ki takar ka mulk lagta hai is waqt... woh kya karega? ager jihaad ka elaan hogaya tu hum sub kahan jaayenge... phir is sawal ka jawab mila ek jagah: Aap (SAW) ne farmaya shaam ki zameen ke lashkar mein shaamil hojana... phir nect Question.. hum sub shaam kaise jaayenge phir? Lol

                about self
                me itna kyun sochti ho... :$

                is ke illawah bhi kai baatein hain jin ko le ker me curious ho isi liye shaid me ne psychology or research ki feild mein ho... :$
                ese sawalmere dimagh me bhi ate hen bohat....u ko jawab milte hen?

                Comment

                • #9
                  Re: Tjasus

                  Originally posted by unity View Post
                  aawww masoom masoom se sawal na...bachpan me wakai bohat khoj hoti he dheron baton ki or bache to sawal karne se bhi ghabrate..bare ho kar sawal karna chor dete hen

                  ese sawalmere dimagh me bhi ate hen bohat....u ko jawab milte hen?
                  me ne humesha hi sawal pooche hain... or jawab me ko diye jaate the.... me ka bhai me ko Question book kaha karta tha... balke ab bhi koi baat sumjh na aaye or me kisi topic per usey bhi search marne ko kaho tu woh tub kehta hai ms Question book.. :$

                  or jawab... haan Taqreeban mil hi jaate hain... :wink

                  Comment

                  • #10
                    Re: Tjasus

                    Originally posted by ummid View Post
                    me ne humesha hi sawal pooche hain... or jawab me ko diye jaate the.... me ka bhai me ko Question book kaha karta tha... balke ab bhi koi baat sumjh na aaye or me kisi topic per usey bhi search marne ko kaho tu woh tub kehta hai ms Question book.. :$

                    or jawab... haan Taqreeban mil hi jaate hain... :wink
                    achaa naam he miss question book:khi:

                    Comment

                    • #11
                      Re: Tjasus

                      Originally posted by unity View Post
                      theek...ap kin kin topics par curious rehte hen?
                      Koi aik area nahi he. Actually my curiosity is very much related to my study on those particular areas. Mein insaano ko study kerta hoon especially different occasions mein un ke variable behaviour ko. Aur yeh topic itna widely expanded he ke is ka ahata mein lafzoon mein nahi ker sakta. Is mein Pakistani aur Pakistan se bahir basnay wali dunia ke loog bhi aatay hein. Meri curiosity ki waja se mujay in loogon ko jananay ka acha knowledge mila, even mein ne notice kia he ke kisi se baat kerne se pehlay mujay idea ho jata he ke falaan banda falaan baat ka kia exactly jawaab de ga aur akser aisa he hota he.

                      Meri curiosity almost sabhi areas mein he, chahay wo politics ho, sports ho, knowledge ho or whatever. Bakool zenia ke kahaani lambi ho jaye gi
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #12

                        haan insan ko jan'ne k leay to arsa chaey hota he...kabhi andazey ghalat bhi huey?

                        Comment

                        • #13
                          Re: Tjasus

                          Originally posted by unity View Post
                          haan insan ko jan'ne k leay to arsa chaey hota he...kabhi andazey ghalat bhi huey?
                          Kyoon nahi, andazay ghalat bhi ho jatay hein, hum insaan hein computer nahi. Lekin overall dekhoon to mujay lagta he ke meri observation aam loogon se kahin ziada achi he.
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #14
                            Re: Tjasus

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            Kyoon nahi, andazay ghalat bhi ho jatay hein, hum insaan hein computer nahi. Lekin overall dekhoon to mujay lagta he ke meri observation aam loogon se kahin ziada achi he.
                            kabhi khud ko bhi jan'ne ki koshish ki?apne bare me tjasus?

                            Comment

                            • #15
                              Re: Tjasus

                              Originally posted by unity View Post
                              kabhi khud ko bhi jan'ne ki koshish ki?apne bare me tjasus?
                              Well, ager mein isay as question loon to yeh aik "stupid question" he. Her koi apnay aap ko achi tarah se janta he. Apnay aap se bhala kia dhaka chupa hota he.

                              Haan insaan apnay aap ko jananay ki bajaye apnay aap ko change kerne ki justaju zaroor kerta he aur wo bhi aik positive and effective change ke liye. Insaan hama'waqt apnay ander chooti chooti tabdeeliyaan lanay ki kooshish kerta rehta he aur yeh tabdeeliyan positive and negative dono hoti hein. Yeh sara kheel insaan ke mindset ka hota he.

                              Tum ne nahi bataya ke tum kin cheezon ke baray mein curious hoti ho? Apna experience bhi share karo.
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X