Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
English
Collapse
X
-
-
Re: English
Walaikum Assalaam
Bohat hi achay topic ka aghaaz kia hay aap nay, khiraj-e-tehseen qubool karain.
Meri nazar main English aik additional qualification hay iss ka talent say aur kamyaabi say koi khaas laina daina nahin hona chayeh agar aisa hota tou sab kay sab Ramiz Raja jaisay hotay!! (jo English bhi khoob bol laitay hain aur talent bhi tha apnay zamana-e-cricket main), China aur Japan Asian countries hain aur jitni KAMYABI kay urooj per woh hain uski waja ENGLISH nahin apni hi language main maharat aur dilchaspi hay, chand dino pehlay Masood sahab (Iss forum kay respected member) ki aik thread main URDU per discussion hoyee aur bohat kuch seekhnay ko mila uss main bhi yehi bayan tha kay aaj kal humaray mulk ki yeh badqismati hay kay URDU ko hum nay sotayalee language ka rutba dia hay aur srif naam ki hi QOUMI zaban hay jab kay saaray hukumati maamlat, judge ki judgement sab hi ENGLISH main kii jaati hay.
Khair to cut it short, main srif itna kahoon ga ka ENGLISH aap aik additional qualification kay liye seekh saktay hain ta'kay aap issay universally use kar sakay aur mostly international business ma'amlat, international travels waghaira main as a way of communication isitmaal kar sakain, magar iss ka aap kay talent yaa kamyaabi say koi khaas ta'aluq nahin hay!
Fi amaan ALLAH
Originally posted by safia View PostAssalam o alaikum
pakistan, india, bangladesh aur even middle east countries mein jis shaks ko achi english bolnay aor likhnay aati hey uss ki kamiyabi yakeeni samjhe jaati hey.......... pakistan mein jo na-ahal shaks ho lakin achi english likhnay aati ho vo intelligent samjha jata hey........ beshatar aisey boys/girls hein jo intelligent hotay hain lakin english se jaankaari na honay ki wajah se unko lack of confidence rahti hey aur apnay profession mein bhi peechhe rah jate hain............
federal public service commission ziyada tar unlogon ko achi job kayliey recommend karti hein jin ko english achi aati ho unko vo select karte hein..... vo agar apnay profession mein achey hee kyun naa ho agar english nahi aati bus samjho ussay kuchh nahi aata........
aap iss baray mein kiya sochtay hain aur kia point of view rakhte hain???sigpic
Comment
Comment