Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

English

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • English

    Assalam o alaikum

    pakistan, india, bangladesh aur even middle east countries mein jis shaks ko achi english bolnay aor likhnay aati hey uss ki kamiyabi yakeeni samjhe jaati hey.......... pakistan mein jo na-ahal shaks ho lakin achi english likhnay aati ho vo intelligent samjha jata hey........ beshatar aisey boys/girls hein jo intelligent hotay hain lakin english se jaankaari na honay ki wajah se unko lack of confidence rahti hey aur apnay profession mein bhi peechhe rah jate hain............
    federal public service commission ziyada tar unlogon ko achi job kayliey recommend karti hein jin ko english achi aati ho unko vo select karte hein..... vo agar apnay profession mein achey hee kyun naa ho agar english nahi aati bus samjho ussay kuchh nahi aata........

    aap iss baray mein kiya sochtay hain aur kia point of view rakhte hain???
    sigpic

  • #2
    Re: English

    Originally posted by safia View Post

    Wa Alaikum Aslam,

    Interesting topic he lekin yeh topic kisi aur "heading" ke under discuss ho chuka he. Aap ki baat se mein kafi hud tak itfaaq kerta hoon. Siwaye chand aik baaton ke.

    Pakistan mein na'ahal shakhs ka angreezi se kia kaam? Ager us ne aik international language seekhi he to us ki ehliyat per question mark kyon?

    English International language he, yeh business, science aur technology ki zuban he, is liye is ka seekhna bohat zaroori he. Jo yeh nahi seekhtay wo kisi hud tak na'ehli ka muzahira zaroor kerte hein.
    :thmbup:

    Comment

    • #3
      Re: English

      Originally posted by munda_sialkoty View Post

      u ne jo kuch kaha hai english mai kahoo...taakey me ko samaj ajaye...
      .......................!!!!!

      Comment

      • #4

        un kay kehnay ka maqsad yeh hai kay jesay faraz karian aik banda 8,10 tuk parha hai lekan English language achi hai ...(zarori nahi English anay ki waja say wo zaida zaheen bhi hoo)..or aik banda urdu medium main M.fill kar lay ..to jobs ki aap baat karaian to English anay ki waja say pehlay banday ko kafi moukay mill jatay hian agay barhnay kay jitnay Urdu waloun ko nahi mill patay ....
        to Urdu na seekhi jaye kia faida hai ? ya seekhi jaian bus parhna likhna ata hoo kafi hai ? ya pher kuch or kia jaye :lol:
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment

        • #5
          Re: English

          Originally posted by bhataktii rooh View Post
          u ne jo kuch kaha hai english mai kahoo...taakey me ko samaj ajaye...

          English Translation

          Interesting topic but already discussed under a different "heading". I am obliged to agree upon your comments but with the exception of a few.

          What the incapable person has to do with English in Pakistan? If he is capable enough to learn a foreign language then there should be no question mark on his capability.

          It is imperative to learn English language since "English" being an international language it now recognized as the language of science and technology. The one who doesn't bother to learn the language of technology will be quite vulnerable to face the hurdles in his way. Lutta Pugga
          :thmbup:

          Comment

          • #6
            Re: English

            Originally posted by Aanchal View Post
            un kay kehnay ka maqsad yeh hai kay jesay faraz karian aik banda 8,10 tuk parha hai lekan English language achi hai ...(zarori nahi English anay ki waja say wo zaida zaheen bhi hoo)..or aik banda urdu medium main M.fill kar lay ..to jobs ki aap baat karaian to English anay ki waja say pehlay banday ko kafi moukay mill jatay hian agay barhnay kay jitnay Urdu waloun ko nahi mill patay ....
            to Urdu na seekhi jaye kia faida hai ? ya seekhi jaian bus parhna likhna ata hoo kafi hai ? ya pher kuch or kia jaye :lol:
            Haan haan tum bilkul sahi keh rahi ho. Kaway ki tarah seyaani jo ho gai ho :think:
            :thmbup:

            Comment

            • #7
              Re: English

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              English Translation

              Interesting topic but already discussed under a different "heading". I am obliged to agree upon your comments but with the exception of a few.

              What the incapable person has to do with English in Pakistan? If he is capable enough to learn a foreign language then there should be no question mark on his capability.

              It is imperative to learn English language since "English" being an international language it now recognized as the language of science and technology. The one who doesn't bother to learn the language of technology will be quite vulnerable to face the hurdles in his way.

              hmmmmmmm ab bhi thorri sii hi samaj ayi hai...:think:

              ab german main translate kar do taakey behtar tareeqey sey samaj sakein...:lpop:
              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Lutta Pugga
              yeh kon sii zubaan hai lalay...:think:
              .......................!!!!!

              Comment

              • #8
                Re: English

                Originally posted by bhataktii rooh View Post
                hmmmmmmm ab bhi thorri sii hi samaj ayi hai...:think:

                ab german main translate kar do taakey behtar tareeqey sey samaj sakein...:lpop:

                German Translation

                Originally posted by bhataktii rooh View Post
                yeh kon sii zubaan hai lalay...:think:
                Tum kahin laaton ke bhoot wali "rooh" to nahi ho
                :thmbup:

                Comment

                • #9
                  Re: English

                  Originally posted by safia View Post
                  Assalam o alaikum

                  aap iss baray mein kiya sochtay hain aur kia point of view rakhte hain???
                  waalikum asslam

                  language ka masla hamesha se iss mulk me raha hai hamaray karta dharta hi nikammay log hain awaam jo b sochay jo b point of view rakhay be-sood hai

                  me khud language ki student reh chuki hoon janti hoon kya hashar ho chuka hai hamari zubano ka

                  baqi me english k khilaaf nae hoon iss ko as a language hi lena chahiye seekhnay me b koi harj nae smjhti yeh maslay tab tak hal nae hosktay jab tak hakoomti satah pe iqdamaat nae hotay
                  شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                  Comment

                  • #10
                    Re: English

                    WaAlaikum Asslam
                    Good thread. Aamir khan ki new fil 3 Idiots sab ney dekhi hai.. us k undr aik pegham hai sab k liye k admi jo kar skta hai usy wohi karna chaye. Yehi btaya gia hai na us k undr k sab ko Doctor and engineer bnna he pasand hai chahy wo dhaky se he bn jay.

                    Yehi hmari dabqismati hai k hum ney bas aik standar rakha hua hai k jisy English ati hai wo boht zaheen hai chahy usy takky ka na pta ho. 2 4 English mushkil lafz bol dene say hum zahin bn jaty hain. Main B.Com or B.A ko English Parhata hun or mera sara Lecture Urdu mein hota hai or mere students ko boht acha smjh ata hai. Lazmi nahi k English bolny sy he admi zahin ho. Zahant ka taluk kabhi bhi Parhi say nahi hota, iss ka taluk hmesha creativity sy hota hai k aap jo parh rahy ho usy kis tarah understand karty ho jitny aap learning k tariky nikalo gy utna he aap ka mind zahin hoga.

                    Mj sy pehly waly jo teacher thy un ko Spoken English ki base pay rakha gia tha or Grammar ka un ko zra bhi nahi pta tha.

                    Bas baat yehi k English aati hai to smjh lia jata hai yeh bnda zahin hai
                    Last edited by MindFreak; 22 February 2010, 14:47.

                    Comment

                    • #11
                      Re: English

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post

                      German Translation

                      bengali mai translate karo tu mano u ko:manicure:

                      Comment

                      • #12
                        Re: English

                        Originally posted by Faro View Post
                        bengali mai translate karo tu mano u ko:manicure:

                        Oh itjamas eh keeht rihp ot oh itjamas fookaweb irab es bus ik ainud ok paa yanpa muT.

                        Isay translate kerne ke liye ulti taraf se perho
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #13
                          Re: English

                          English tu aani chahiye... nahi aai tu bhi kya... Lol..
                          jahan zaroorat ho wahan baat kar li jaaye english mein... jahan zaroorat nahi na baat kare....
                          or jo log enlgish ke aane na aane ki wajah se logo mein farq karte hain woh khud kisi Qism ke complex ka shikar hote hain...

                          Comment

                          • #14
                            Re: English

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            Wa Alaikum Aslam,

                            Interesting topic he lekin yeh topic kisi aur "heading" ke under discuss ho chuka he. Aap ki baat se mein kafi hud tak itfaaq kerta hoon. Siwaye chand aik baaton ke.

                            Pakistan mein na'ahal shakhs ka angreezi se kia kaam? Ager us ne aik international language seekhi he to us ki ehliyat per question mark kyon?

                            English International language he, yeh business, science aur technology ki zuban he, is liye is ka seekhna bohat zaroori he. Jo yeh nahi seekhtay wo kisi hud tak na'ehli ka muzahira zaroor kerte hein.
                            not agree, English srif aik language hain. English country ka kuta bhi english smjhta hain.. ab wo intelligent to na hoya na...
                            Ager ham apnay country main apni hi zabaan ko terji day gay to hamko dosray ki zabaan ki koi zarorat nahi::::::::
                            ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                            Comment

                            • #15
                              Re: English

                              Originally posted by munda_sialkoty View Post

                              German Translation

                              ha ha ha lol mujhay yah read karkay hansi aai jaisay koi bangali URDU likh raha hoo:hoho: lol google say copy past na kiya kar..............
                              ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                              Comment

                              Working...
                              X