Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Ghussay ko control karna chaye ya express?
Collapse
X
-
Re: Ghussay ko control karna chaye ya express?
Originally posted by Aanchal View Postassalamalikum
agar kisi baat ya kisi banday pay ghuusa ho to aap kay khayal main usay control kar kay chup hoo jana chaye ya pher express karna chaye ?
or ghuusay ko control karnay ki tips ?
sigpic
Comment
-
Re: Ghussay ko control karna chaye ya express?
Walaikum Assalaam
Ghussa insaan ko Achayoon ko aisay khatam karta hay jaisay deemak lakRee ko!!
Ghussay per qaboo paana bohat zaroori hay aur iss baaray main kayi ahdidht bhi hain.... behtreen pehalwan woh hay tou apnay ghussay per qaboo rakhta hay kiyonki aksar ghussay main insaan apnay hosh-O-hawas khoo daita hay aur aisay kaam kar daita hay jinn ka hosh main aanay kay baad bachtaawa hota hay...!
Main nay pichlay dinoo Akhbar-e-jahah main aik sawal paRha tha jo kis moulvi sahab kay liye "Molvi sahab main nay ghussay main aakar apni biwi ko talaq day dee, kia iss ka koi kufaara hay?"
Movli sahab nay jawab dia "Janab, insaan ghussay main aakar hi talaaq daita hay koi bhi pyar say apni biwi ko nahin kehta kay sunyeh main aap ko talaq day raha hoon"
Iss misaal kay dainay ka maqsad yehi hay kay ghussay main apnay hosh-O-hawas ko qayim rakhna zaroori hay aur iss kay liye chand iqdam bhi hain jaisay agar aap ko ghussa aarahay aur aap khaRay hain tou baith jayain, baithay hain tou laait jayain, laitay hain tou wazoo karlain" kiyonki ghussa aik aag hay aur ussay paani hi thanda kar sakti hay. Jab ghussay per qaboo hojayay tou thanday dimagh say faisla lain aur apni naraaazgi aik mohazib andaz main paish karain yaqeen karain aap ko bhi khushi hogi aur samnay waalay bhi apnay kiye per khudh sharminda hoga (yeh mera zaati tajurba bhi hay)
May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
Fi amaan ALLAH
Originally posted by Aanchal View Postassalamalikum
agar kisi baat ya kisi banday pay ghuusa ho to aap kay khayal main usay control kar kay chup hoo jana chaye ya pher express karna chaye ?
or ghuusay ko control karnay ki tips ?sigpic
Comment
-
Re: Ghussay ko control karna chaye ya express?
Originally posted by thefire1 View PostWalaikum Assalaam
Ghussa insaan ko Achayoon ko aisay khatam karta hay jaisay deemak lakRee ko!!
Ghussay per qaboo paana bohat zaroori hay aur iss baaray main kayi ahdidht bhi hain.... behtreen pehalwan woh hay tou apnay ghussay per qaboo rakhta hay kiyonki aksar ghussay main insaan apnay hosh-O-hawas khoo daita hay aur aisay kaam kar daita hay jinn ka hosh main aanay kay baad bachtaawa hota hay...!
Main nay pichlay dinoo Akhbar-e-jahah main aik sawal paRha tha jo kis moulvi sahab kay liye "Molvi sahab main nay ghussay main aakar apni biwi ko talaq day dee, kia iss ka koi kufaara hay?"
Movli sahab nay jawab dia "Janab, insaan ghussay main aakar hi talaaq daita hay koi bhi pyar say apni biwi ko nahin kehta kay sunyeh main aap ko talaq day raha hoon"
Iss misaal kay dainay ka maqsad yehi hay kay ghussay main apnay hosh-O-hawas ko qayim rakhna zaroori hay aur iss kay liye chand iqdam bhi hain jaisay agar aap ko ghussa aarahay aur aap khaRay hain tou baith jayain, baithay hain tou laait jayain, laitay hain tou wazoo karlain" kiyonki ghussa aik aag hay aur ussay paani hi thanda kar sakti hay. Jab ghussay per qaboo hojayay tou thanday dimagh say faisla lain aur apni naraaazgi aik mohazib andaz main paish karain yaqeen karain aap ko bhi khushi hogi aur samnay waalay bhi apnay kiye per khudh sharminda hoga (yeh mera zaati tajurba bhi hay)
May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
Fi amaan ALLAHsigpic
Comment
Comment