Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Maan Ki Shaan

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Maan Ki Shaan

    عمر بھر سینے سے لگا کر پالا ہے ماں نے
    غلط باتوں پے تھوڑا تھوڑا مارا ہے ماں نے

    ابھی تک وہ بچپنے کی یادیں ہیں باقی
    اور وہ بچپنے کی باتیں ہیں باقی

    کے جب میں نے بولا تھا ماں پہلی بار
    ماں کی آنکھوں میں بھرا تھا کتنا پیار

    پیدا ہوا تھا تو کچھ نہیں تھا میں
    ماں کی وجہ سے آج کیا کیا ہوں میں

    لالچ تو کچھ نہیں میری ماں کو مگر
    اچھا ہو جو دیدوں دل تحفے میں اگر

    ماں کو چھوڑتے ہیں ایسے کچھ لوگ ہوتےہیں
    پھر اپنی زندگی کا سکھ چین وہ کھوتے ہے

    کچھ لوگ ماں کو چھوڑتے نہیں
    چاہے کچھ ہو جائے منہ موڑتے نہیں

    ماں سے ہمیشہ ہمیں سکھ ملتے ہیں
    پھر بھی اس کو ہم سے دکھ ملتے ہیں

    کاش قربان کروں میں سب اس کی صدا پہ
    اور وہ مجھے پیار کرے میری اسی ادا پہ

    میری ماں سے مجھے کوئی جدا نہ کرے
    کرو پیار کسی اور سے خدا نہ کرے

    Comment

    • #17
      Re: Maan Ki Shaan

      Comment

      • #18
        Re: Maan Ki Shaan

        Originally posted by Nadia khan View Post
        بیٹھی ہے مصلے پہ شب تار مری ماں

        اس رات کا ہے مطلع انوار مری ماں
        جسموں کو جلاتے ہوئے سورج سے یہ کہدو
        اس دشت میں ہے سایٔہ دیوار مری ماں
        دنیا سے الجھ کر میں چلی آتی ہوں گھر میں
        دنیا سے بچالیتی ہے ہر بار مری ماں

        ہے میرے لئے دولت بیدار مری ماں
        میں چاند کا کہہ دوں تو دلاتی ہے مجھے چاند
        کرتی ہی نہیں ہے کبھی انکار مری ماں
        اس ذات کو مجھ سے کوئی لالچ ہی نہیں ہے
        ایثار ہے ایثار ہے ایثار مری ماں
        اس عمر میں میں نے تو اتنا ہی جانا

        اس ظلم کی دنیا میں فقط پیار مری ماں

        :jazak:

        Zabardast!
        Very Nice!
        :oldie:
        S T I L L W A I T I N G
        sigpic

        Comment

        • #19
          Re: Maan Ki Shaan

          Originally posted by BANJARAH View Post
          Sab Ahbaab Ko Dheron Salaam!
          Aur Bohat Si Duaaen!

          Pehli Baar Koi Thread Le ker Haazir-e-khidmat Hoon.
          Ummeed Hay Aapko Pasand Aaey Ga!

          Thread Yeh Hay ke Apni Azeem *Maa* Ke
          Baray Main Izhaar-e-Aqeedat Keejiey.....!

          Wassalam!
          With Regards!
          :salam:
          Attached Files
          :star1:

          Comment

          • #20
            Re: Maan Ki Shaan

            @
            Saz bhai ...:salam:
            dont have words am sorry...:rose
            .......................!!!!!

            Comment

            • #21
              Re: Maan Ki Shaan

              و عليكم السلام و رحمة الله

              hum ne kabhi apnii Maan ko daikha nahiin laikin jo aas paas daikha hai us sey yahii andaaza lagaya hai k Maan sey barrh kar is dunya mai koi azeez rishta nai hosakta ...
              hum ne daikha hai k bachey jub dunya ki dhoop mai chaltey chaltey thak jatey hain...dunya ki takleefoon se larr larr kar himmat haar jatey hain..tub maan ki goud mai sar rakh kar kuch dair aankhein bund kar leney se wo sub kuch bhool jatey hain...
              hum ne zindagii mai bhut kuch khoya..kabhi uff nahii ki ...magar jub ehsaas hota hai k is azeem meamat se hum mehroom hain tu hum jeeney ki himmat haar jaatey hain...
              laikin phir sochtey hain k acha hi hai k agar ammi baba zinda hotey un k saath zindagii guzartey howe kabhi na kabhi tu hum se koi na koi aisi harkat hotii jis se un ka dil hum sey khafa hota...is liye acha hi hai k wo humein dua'in detey howe is dunya se chaley gaye...

              Allah unhain Jannat-ul-firdous main A'la muqaam dey ...Ameen...
              .......................!!!!!

              Comment

              • #22
                Re: Maan Ki Shaan

                Originally posted by SAZ View Post
                :salam:
                Saz Bhai!
                Assalam-u-alaikum!
                Aap ne to Meri Bhi Aankhen nam Kar Deen.
                Allah Rabbulizzat Aap Ki Ammi Aur jitnay
                Bhi Musalman Is Dunya Se Rukhsat Ho Chukay
                Hain, Sab Ki Maghfirat Farmaeen! Aameen!
                With Regards!
                :oldie:
                S T I L L W A I T I N G
                sigpic

                Comment

                • #23
                  Re: Maan Ki Shaan

                  Originally posted by SAZ View Post
                  :salam:
                  :rose
                  Originally posted by bhataktii rooh View Post
                  و عليكم السلام و رحمة الله

                  hum ne kabhi apnii Maan ko daikha nahiin laikin jo aas paas daikha hai us sey yahii andaaza lagaya hai k Maan sey barrh kar is dunya mai koi azeez rishta nai hosakta ...
                  hum ne daikha hai k bachey jub dunya ki dhoop mai chaltey chaltey thak jatey hain...dunya ki takleefoon se larr larr kar himmat haar jatey hain..tub maan ki goud mai sar rakh kar kuch dair aankhein bund kar leney se wo sub kuch bhool jatey hain...
                  hum ne zindagii mai bhut kuch khoya..kabhi uff nahii ki ...magar jub ehsaas hota hai k is azeem meamat se hum mehroom hain tu hum jeeney ki himmat haar jaatey hain...
                  laikin phir sochtey hain k acha hi hai k agar ammi baba zinda hotey un k saath zindagii guzartey howe kabhi na kabhi tu hum se koi na koi aisi harkat hotii jis se un ka dil hum sey khafa hota...is liye acha hi hai k wo humein dua'in detey howe is dunya se chaley gaye...

                  Allah unhain Jannat-ul-firdous main A'la muqaam dey ...Ameen...
                  Ameen :rose
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment

                  • #24
                    Re: Maan Ki Shaan

                    Dear Maryam,
                    Aap jo kehna chahti hain kahyeh, agar aap munasib samjhain!!!, pata nahin aap kay sawaloon main chuppi koi TALKH dastan main paRh raha hoon!!!!

                    Originally posted by _Dard_Aashna_ View Post
                    mujhe nahi samjh aa rahi keh main is topic main kia kahoN

                    kia her maan ki koi shaan hoti hay?

                    kia her maan azeem hoti hay?

                    kia her maan k pairoN kay neechay jannat hoti hay ?
                    Last edited by thefire1; 23 January 2010, 13:33.
                    sigpic

                    Comment

                    • #25
                      Re: Maan Ki Shaan

                      Originally posted by bhataktii rooh View Post
                      و عليكم السلام و رحمة الله

                      hum ne kabhi apnii Maan ko daikha nahiin laikin jo aas paas daikha hai us sey yahii andaaza lagaya hai k Maan sey barrh kar is dunya mai koi azeez rishta nai hosakta ...
                      hum ne daikha hai k bachey jub dunya ki dhoop mai chaltey chaltey thak jatey hain...dunya ki takleefoon se larr larr kar himmat haar jatey hain..tub maan ki goud mai sar rakh kar kuch dair aankhein bund kar leney se wo sub kuch bhool jatey hain...
                      hum ne zindagii mai bhut kuch khoya..kabhi uff nahii ki ...magar jub ehsaas hota hai k is azeem meamat se hum mehroom hain tu hum jeeney ki himmat haar jaatey hain...
                      laikin phir sochtey hain k acha hi hai k agar ammi baba zinda hotey un k saath zindagii guzartey howe kabhi na kabhi tu hum se koi na koi aisi harkat hotii jis se un ka dil hum sey khafa hota...is liye acha hi hai k wo humein dua'in detey howe is dunya se chaley gaye...

                      Allah unhain Jannat-ul-firdous main A'la muqaam dey ...Ameen...
                      :salam: Sallam Bahna, Yahe Mayre Bhi Dowa hay ALLAH G Hamari Dowain Qabool Farmain Ameen.
                      :rose
                      :star1:

                      Comment

                      • #26

                        Aameen Ya Rubbul Aalameen!
                        :rose :rose :rose
                        :oldie:
                        S T I L L W A I T I N G
                        sigpic

                        Comment

                        • #27
                          Re: Maan Ki Shaan

                          Originally posted by thefire1 View Post
                          Dear Maryam,
                          Aap jo kehna chahti hain kahyeh, agar aap munasib samjhain!!!, pata nahin aap kay sawaloon main chuppi koi TALKH dastan main paRh raha hoon!!!!

                          shukar hay kisi nay to jawab main sawal ko mehsoos kia

                          dunia main maan ka aik he chhehra kiun dikhaya jata hay ?

                          thek hay maan ka rutba aur rishta azeem hay .. Allah rabbul izzat ki muhabbat ki misaal bhi yahi hay ..koi shak nahi beymisaal RISHTA hay ye
                          lekin kia her maan ?

                          kia her maan is azeem rishtay aur martabay pay pori utari hay ?

                          kia her maan k paaon talay jannat hay ?

                          chahaye wo maan mushrik ho?

                          chahaye wo maan naam ki muslim ho?

                          chahye wo maan muslim namaz rozay ki paband ho ker bhi.... aulaad ko gunah e kabeera main khud mulawwis karay bazor e zulm...

                          kesay kehtay hain sab k maan achi hoti hay

                          ye kiun nahi kehtay k maan ka rishta mutabar hay ...kiun k wo Allah Pak ka takhleeq karda hay .
                          Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                          Comment

                          • #28
                            Re: Maan Ki Shaan

                            [QUOTE=_Dard_Aashna_;1242955]shukar hay kisi nay to jawab main sawal ko mehsoos kia

                            dunia main maan ka aik he chhehra kiun dikhaya jata hay ?

                            thek hay maan ka rutba aur rishta azeem hay .. Allah rabbul izzat ki muhabbat ki misaal bhi yahi hay ..koi shak nahi beymisaal RISHTA hay.
                            :salam: Daykhin Jo Cheaz Coman Hoti Hay Ziada tar oshi ka tazkara kia jata hay.Or chonkay 100 Mian say kam az kam 75% "Main" Apnay Bachon K liay Bohat Koch Karti Hain so Ishi Iytbar say Bat ki Jati Hay.Even K Agar ap chor Ochkon Qatlon say bhi "Mann" K hawaly say Sawal Karin to Woh Bhi Kahin Na kahin Zaror Kahayn Gay K Man nay Roka tha Samjhaya ta.Laykin Agar Ap kisi Kamyab o Mashor Fard say Pochayin To woh yah nain Kahin Gay K mayre man To Mujhay Chori Or Daka zani ki Hadait Dayte the Laykin Main Parh Likh Kar Achi Rahon Par Chala.:rose
                            Last edited by S.Athar; 25 January 2010, 19:14.
                            :star1:

                            Comment

                            • #29
                              Re: Maan Ki Shaan

                              Assalaam-O-Alaikum Maryam

                              Hum sab apnay apnay tajurbay ki baat kar rahay thay jis main ALHAMDULLILAH sab hi mutmayin hay kay unki MAA nau unhain aik achi taleem di aur aaj woh fakhar say kehtay hain kay "I Love you Mom".

                              Waqayi yeh RISHTA itna moutabir hay kay mujh jaisa adna shakhs iss RISHTAY ki azmat ko apnay lafzoon main bayan nahin karsakta.

                              RISHTA moutabir hay aur waisay hi andaz main yeh rishta asar andaz hota hay, humari zindagi main har rishtay ka aik alag muqam hay aur har rishtay ki aik alag ahmiyat jinn main sab say aham rishta aik aulaad ka apni MAA kay saath hota hay aur baap say jinhain hum WALDAIN pukartay hain.

                              MAA ka aik raat ka jaagna humari zindagi bhar unki khidmat karnay kay barabar bhi nahin hay, hosakta hay kay MAA mushriq ho magar jab aulaad BAALIGH hokar inn sab cheeson ko samajhnay lagay tab bhi uss ko yeh HAQ nahin poohanchta kay woh apnay waldain kay aagay zaban khoolain, albatta unkay aisay hukum ko tark kar saktay hain jo ko deen aur mazhab kay khilaaf ho.

                              Humaray aik dost hain jinn ka taaluq BOHRI qabeelay say tha, aaj woh ALHAMDULLAH Sunni musalman hain aur unhoon nay apni aulaad aur biwi ko bhi Bohari qabeelay say dour kar kay Islami roshni say roshnas karwaaya... magar unkay waldain aaj bhi BOHRI hain aur hayat hain aur yeh unhain pegham tou daitay hain magar un say zor zabardasti nahin kartay aur na hi unki khimdat main koi kami kartay hain!!!

                              Iss misaal dainay ka maqsad yehi hay kay chahay duniya ki koi bhi MAA mushrik hay, apni aulad ko gunah karwaati hay.... magar iss RISHTAY kay MOUTABIR honay say kisi ko inkaar nahi, kiyonki aaj hum jo kuch bhi hain woh unhi ki parwarish ka najteeja hay, agar woh apni NEENDAIN haraam karkay humain SUKOON ki neend nahin sulaati tou aaj hum shayed zinda hi na hotay!!!!

                              May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                              Fi aaman ALLAH

                              Originally posted by _Dard_Aashna_ View Post
                              shukar hay kisi nay to jawab main sawal ko mehsoos kia

                              dunia main maan ka aik he chhehra kiun dikhaya jata hay ?

                              thek hay maan ka rutba aur rishta azeem hay .. Allah rabbul izzat ki muhabbat ki misaal bhi yahi hay ..koi shak nahi beymisaal RISHTA hay ye
                              lekin kia her maan ?

                              kia her maan is azeem rishtay aur martabay pay pori utari hay ?

                              kia her maan k paaon talay jannat hay ?

                              chahaye wo maan mushrik ho?

                              chahaye wo maan naam ki muslim ho?

                              chahye wo maan muslim namaz rozay ki paband ho ker bhi.... aulaad ko gunah e kabeera main khud mulawwis karay bazor e zulm...

                              kesay kehtay hain sab k maan achi hoti hay

                              ye kiun nahi kehtay k maan ka rishta mutabar hay ...kiun k wo Allah Pak ka takhleeq karda hay .
                              sigpic

                              Comment

                              • #30
                                Re: Maan Ki Shaan

                                Originally posted by BANJARAH View Post
                                Saz Bhai!
                                Assalam-u-alaikum!
                                Aap ne to Meri Bhi Aankhen nam Kar Deen.
                                Allah Rabbulizzat Aap Ki Ammi Aur jitnay
                                Bhi Musalman Is Dunya Se Rukhsat Ho Chukay
                                Hain, Sab Ki Maghfirat Farmaeen! Aameen!
                                With Regards!
                                Wa,alikum Assalam Janab. ALLAH G App ki Doua qabol Farmain.Ameen
                                Last edited by S.Athar; 25 January 2010, 19:40.
                                :star1:

                                Comment

                                Working...
                                X