Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

    Assalmu3laikum wa ra7ma9ullahi wa baraka9uh

    Dear Brothers n Sisters,

    waisey tu hum apnoo k liye dua kartey hii hain, jinhein hum jantey hain, jin se hum pyaar kartey hain magar wo dua jo ek momin ki dosrey momin k liye us k peet peechey baghair kisi rishtey k kii jaye wo zyada qabool hotii hai.

    tu aj ap sub se ye request hai k Raniya (bhataktii rooh) k liye dua karein,
    wo hospital mai hai, doctors ne do din ka waqt diya hai agar is doraan us ki halat mai sudhaar na aya tu operation karna parrey ga jis k kamyaabi k chances 50-50 hain...

    is liye dua kejiye k wo jald se jald theek hojaye or usey ye operation ki zaroorat hi na parrey.

    Wajazakumullahu khairan fid-dunya wal akhira

    Fee Amaanillah-e-wa hifzeh

  • #2
    Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

    Walaikum Assalaam

    ALLAH SWT unhain sehat-O-zindagi ata farmayay AMEEN.

    Waisay unhain aisi kaun see beemari lahaq hay jiss kay liye jaan ka khatra hosakta hay aur kiss cheese ka operation hay?

    Fi Amaan ALLAH
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

      oh...
      Allah usey shifaye kaamil de aameen:rose

      per howa kya hai unhe?? or operation kis cheez ka hai???

      Comment


      • #4
        Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

        WAALIKUM ASSLAM

        ALLAH APNI REHMTAIN NICHAWAR KRAY RANIYA PE ...AUR SHIFA E kamila ataa farmaye aameen...

        alot of prayers
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment


        • #5
          Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

          Originally posted by Kashii View Post
          Assalmu3laikum wa ra7ma9ullahi wa baraka9uh

          Dear Brothers n Sisters,

          waisey tu hum apnoo k liye dua kartey hii hain, jinhein hum jantey hain, jin se hum pyaar kartey hain magar wo dua jo ek momin ki dosrey momin k liye us k peet peechey baghair kisi rishtey k kii jaye wo zyada qabool hotii hai.

          tu aj ap sub se ye request hai k Raniya (bhataktii rooh) k liye dua karein,
          wo hospital mai hai, doctors ne do din ka waqt diya hai agar is doraan us ki halat mai sudhaar na aya tu operation karna parrey ga jis k kamyaabi k chances 50-50 hain...

          is liye dua kejiye k wo jald se jald theek hojaye or usey ye operation ki zaroorat hi na parrey.

          Wajazakumullahu khairan fid-dunya wal akhira

          Fee Amaanillah-e-wa hifzeh
          Last edited by D@y W@lk3r; 3 December 2009, 14:48.
          ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

          Comment


          • #6
            Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

            Originally posted by kashii View Post
            assalmu3laikum wa ra7ma9ullahi wa baraka9uh

            dear brothers n sisters,

            waisey tu hum apnoo k liye dua kartey hii hain, jinhein hum jantey hain, jin se hum pyaar kartey hain magar wo dua jo ek momin ki dosrey momin k liye us k peet peechey baghair kisi rishtey k kii jaye wo zyada qabool hotii hai.

            Tu aj ap sub se ye request hai k raniya (bhataktii rooh) k liye dua karein,
            wo hospital mai hai, doctors ne do din ka waqt diya hai agar is doraan us ki halat mai sudhaar na aya tu operation karna parrey ga jis k kamyaabi k chances 50-50 hain...

            Is liye dua kejiye k wo jald se jald theek hojaye or usey ye operation ki zaroorat hi na parrey.

            Wajazakumullahu khairan fid-dunya wal akhira

            fee amaanillah-e-wa hifzeh

            وعلیکم سلام
            اوہ میرے خُدایا۔۔۔۔!۔

            بہت دُکھ اور حیرانی ہُوئی سُن کر۔۔۔۔

            اللہ پاک سے التجا ہے کہ۔۔۔۔’’رانیا‘‘کو صحتِ کاملہ دے اور اُن کو ایسی شفا دے کہ۔۔۔۔۔پھر کوئی بیماری باقی نہ رہے۔۔۔۔۔۔۔آمین

            Comment


            • #7
              Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

              Originally posted by Kashii View Post
              Assalmu3laikum wa ra7ma9ullahi wa baraka9uh

              Dear Brothers n Sisters,

              waisey tu hum apnoo k liye dua kartey hii hain, jinhein hum jantey hain, jin se hum pyaar kartey hain magar wo dua jo ek momin ki dosrey momin k liye us k peet peechey baghair kisi rishtey k kii jaye wo zyada qabool hotii hai.

              tu aj ap sub se ye request hai k Raniya (bhataktii rooh) k liye dua karein,
              wo hospital mai hai, doctors ne do din ka waqt diya hai agar is doraan us ki halat mai sudhaar na aya tu operation karna parrey ga jis k kamyaabi k chances 50-50 hain...

              is liye dua kejiye k wo jald se jald theek hojaye or usey ye operation ki zaroorat hi na parrey.

              Wajazakumullahu khairan fid-dunya wal akhira

              Fee Amaanillah-e-wa hifzeh

              Allah tallah Raniya ko sehat wali lambi Zindagi ata farmaye. amin

              Comment


              • #8
                Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

                Originally posted by Kashii View Post
                Assalmu3laikum wa ra7ma9ullahi wa baraka9uh
                Wa Alaikum Assalam
                Allah Tala raniya ko sehat e kamila atta karein , aur bina kisi complication k wo bilkul theek thaak aur sehatyaab ho k ghar jaaen aameen sum aameen
                sigpic

                Comment


                • #9
                  Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

                  Allah Rania ko sehete kamila ata famraey.ameen:dua

                  Comment


                  • #10
                    Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

                    walaikum salam,

                    May Allah bless her with good health Ameen. :rose
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #11
                      Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

                      :rose
                      That's Enough...!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

                        Originally posted by Kashii View Post
                        Assalmu3laikum wa ra7ma9ullahi wa baraka9uh
                        wa alaikum ussalam

                        Originally posted by thefire1 View Post

                        Waisay unhain aisi kaun see beemari lahaq hay jiss kay liye jaan ka khatra hosakta hay aur kiss cheese ka operation hay?

                        bhai mujhey zyada tu nai pata par jitna pata hai bata detii hoo

                        actually koi sar'dard ka masla but koi ordinary dard nahii balkey kuch youN hota hai k achanak us k sar mai dard shuru hojata hai jis k saath shivering start hotii hai, saans leney mai problem hotii hai , paseeney chooTney lagtey hain, kuch keh nai patii, kuch kar nai patii

                        buhut zyada takleef hoti hai usey or phir wo ghar mai akelii bhi hotii hai sirf aik hii bhai hai us ka wo bhi kabhi office mai hota hai ya phir kabhi masjid waghera chala jaye tu us waqt agar yeh attack aye tu phir tu is ki halat hii ghair hojatii hai, or agar wo saath ho tu phir doctor kii dii howii do qisam ki tablets hotiii hain jo usey detey hain
                        first one denii hotii hai jub attack ho or 10 minute k ander dard khatam hona chahye agar na ho tu second walii deni hai same 10 minute intezaar karna hai agar koi asar na ho tu hospital le kar jatey haiN jahaN usey dr injection detey hain jis k baad dard tu nai rehta magar saath mai is ka bhi kaam hojata hai

                        sirf pehlii tab ka itna power hai k wo is ki poorii body energy ko absorb kar letii hai or phir ye taqreebun do ghanTey tak beyhosh rehtii hai ...phir agar baqii 2 bhi le ley tu...
                        pehley bataya gaya tha k brain tumor hosakta hai lekin confirm nai howa phir kaha gaya Shaqeeqa hoga wo bhi nai howa confirm abhi mujhe zyada tu nai pata but i guess brain k veins mai blockage hai ya something like dat

                        khair jo bhi hai buus humein us k liye dua karni chaye.

                        n i hope Kashif ki aglii post mai us k sehatyaabii ki khabar ho..

                        Comment


                        • #13
                          Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

                          Assalaam-O-Alaikum Mrs.Sami_4ever

                          Aap ka bay-hadh shukriya... ALLAH SWT Rania ko shafa-e-kulli naseeb farmayay aur ussay iss dardnaak bemaari say nijaat ata farmayay.

                          Waisay HEADACHE ki bohat see wajohaat hosakti hain, main nay aik jagah paRha tha kay srif USA main 50 Million log Headache ka shikaar hain.... yeh aik aam beemaari hoti hay jiss say insaan apnay sar main shadeed dard mehsoos karta hay... waja Depression hosakti hay aur jaisa kay aap nay kaha Tanhayi ka ehsaas insaan ko andar andar khookhla kar daita hay.

                          Aap un kay bhai ko advice karain kay ziyada sa ziyada un kay saath rahain aur unkay headache attacks ki aik diary maintain rakhain jiss main mandarja zail baatain zaroor note karain:

                          1. Kis waqt yeh head pain hoya?
                          2. Tareekh au din?
                          3. Dard ki asal jagah kia thi (Location)?
                          4. Type of pain (pulsing, throbbing, stabbing, etc.) ?
                          5. Associated symptoms - nausea, dizziness, photophobia, phonophobia, blurred vision.?
                          6. Severity of pain?
                          7. Duration of the pain?
                          8. How Frequent the head pain occurs?
                          9. Whether the pain is made worse by movement?

                          Yeh tamam baatain aik Nurologist ko dard ki sahi diagnose main kaam aayain gi aur bohat zaroori hay kay inka jald az jald computed tomography (CT scan), magnetic resonance imaging (MRI), or Magnetic resonance angiography (MRA) karwayain.

                          Jab sahi nishandahi hojayay gi tou beemaari ka ilaaj karna asaan hojayay ga.

                          Waisay main nay aik cheese apni zindagi main seekhi hay aur woh hay MOHABBAT, mohabbat go kay koi DAWAYI nahin magar yaqeen karain aik MOHABBAT bhara dil bohat hosla daita hay aur CARE say bohat see beemaarian behtar hosakti hain.

                          May ALLAH SWT grant her health, a very CARING and DESPERATE prayers of her elder brother ALI is always with her, she will be OK INSHALLAH.

                          FI Amaan ALLAH
                          sigpic

                          Comment


                          • #14
                            Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

                            Originally posted by thefire1 View Post
                            Assalaam-O-Alaikum Mrs.Sami_4ever
                            walaikum ussalam
                            waisey app mujhey soniya keh saktey hain...

                            Originally posted by thefire1 View Post
                            ALLAH SWT Rania ko shafa-e-kulli naseeb farmayay aur ussay iss dardnaak bemaari say nijaat ata farmayay.
                            Ameen

                            Originally posted by thefire1 View Post
                            waja Depression hosakti hay aur jaisa kay aap nay kaha Tanhayi ka ehsaas insaan ko andar andar khookhla kar daita hay.
                            G haan ap ne bilkul sahee kaha hai...Tanhayii us ki sab se baRi beemaarii hai kyunki Rano ki ammi us waqt fout howii thein jub wo sirf paanch din ki thi or un k 6 din baad yanii jub wo sirf 11 din ki thii tub us k abbu fout hogaye..phir us k chaar bhai they jin mai aik us waqt fout howa jub wo 3 saal ki thii dosra jub wo 9 saal ki thii or teesra jub wo 11 saal ki thi tu wo bilkul akelii paR gayii or yahii is k depressed or dukhii rehney ki wajah hai..

                            Originally posted by thefire1 View Post
                            Aap un kay bhai ko advice karain kay ziyada sa ziyada un kay saath rahain
                            wo apnii poorii koshish tu karta hai magar phir kabhi na kabhi tu ghar se nikalna hii paRta hai..

                            Originally posted by thefire1 View Post
                            aur unkay headache attacks ki aik diary maintain rakhain jiss main mandarja zail baatain zaroor note karain:
                            is attack ka koi khaas waqt nahii hota kabhi 3 din mai aik baar tu kabhi aik din mai 3 baar ...kabhi subha kabhi shaam...is liye mushkil hi hoti hai pata laganey mai..


                            Originally posted by thefire1 View Post
                            Yeh tamam baatain aik Nurologist ko dard ki sahi diagnose main kaam aayain gi aur bohat zaroori hay kay inka jald az jald computed tomography (CT scan), magnetic resonance imaging (MRI), or Magnetic resonance angiography (MRA) karwayain.

                            Jab sahi nishandahi hojayay gi tou beemaari ka ilaaj karna asaan hojayay ga.
                            inhii tests waghera k liye tu usey admit kiya gaya hai...

                            Originally posted by thefire1 View Post
                            Waisay main nay aik cheese apni zindagi main seekhi hay aur woh hay MOHABBAT, mohabbat go kay koi DAWAYI nahin magar yaqeen karain aik MOHABBAT bhara dil bohat hosla daita hay aur CARE say bohat see beemaarian behtar hosakti hain.
                            well said bhai

                            Mohabbat or apnoo k saath se behtar dawa or koi ho hii nai saktii

                            Originally posted by thefire1 View Post
                            May ALLAH SWT grant her health, a very CARING and DESPERATE prayers of her elder brother ALI is always with her, she will be OK INSHALLAH.
                            Insha'Allah ..hope 4 d best

                            Originally posted by thefire1 View Post
                            FI Amaan ALLAH
                            Ma'Asalamah
                            JazakAllahu khairan kaseera:rose

                            Comment


                            • #15
                              Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

                              Assalaam-O-Alaikum Soniya Jee

                              Rania kay baaray main itna kuch jaan kar aik taraf khushi hoyee tou doosri taraf gham ka ehsaas bhi hoa, magar main koi bhi aisay alfaaz ka isitmaal karna nahin chahta jiss say Rania ko aisa lagay kay main ussay HAMDARDIYAN baant raha hoon, main HAMDARD zaroor hoon magar HAMDARDI nahin karta.....

                              Unhoon nay mujhay apna baRa bhai tasawuurr kia hay jisay woh zindagi main khoo chuki hain jo kay meray hamnaam thay yaani ALI, main haqeqatan tou nahin magar INSHALLAH kabhi meri zaroorat hogi tou main zaroor kahin na kahin madadgaar saabit hoonga.

                              Jahan tak unki Arabic language say main nay andaaza lagaya hay woh yeh hay kay wou Qatar main qayam pazir hain kiyonki Qatar kay log aisi hi Arabic kehtay hain jaisay woh baat karti hain, agar hosakay tou mujhay hospital ka naam share kijyeye ga, meray liye Qatar aana koi mushkil baat nahin, main kabhi bhi aa sakta hoon aur unn ki taymaadari karsakta hoon, aik baRay bhai ki tarah.

                              May ALLAH SWT blessing be upon her and she gets well soon.

                              Fi Amaan ALLAH
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X