Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

    Originally posted by thefire1 View Post
    Assalaam-O-Alaikum Soniya Jee
    walaikum ussalam

    Originally posted by thefire1 View Post
    Rania kay baaray main itna kuch jaan kar aik taraf khushi hoyee tou doosri taraf gham ka ehsaas bhi hoa, magar main koi bhi aisay alfaaz ka isitmaal karna nahin chahta jiss say Rania ko aisa lagay kay main ussay HAMDARDIYAN baant raha hoon, main HAMDARD zaroor hoon magar HAMDARDI nahin karta.....
    bilkul theek kar rahey hain ap kyunki dunya ki isi hamdardii se door rehney k liye wo aksar akelii rehti hai koi dost nai banatii..

    Originally posted by thefire1 View Post
    Unhoon nay mujhay apna baRa bhai tasawuurr kia hay jisay woh zindagi main khoo chuki hain jo kay meray hamnaam thay yaani ALI, main haqeqatan tou nahin magar INSHALLAH kabhi meri zaroorat hogi tou main zaroor kahin na kahin madadgaar saabit hoonga.
    Insha'Allah ..g haan Ali us k sub se baRey bhai they jo k us k waalid ki jagah they or us k dil k sub se zyada qareeb ..ap ko shayad isi liye bhi wo apna bhai keh gayii kyunki ap ki bol chaal ka andaaz thoRa buhut un se milta hai..

    Originally posted by thefire1 View Post
    Jahan tak unki Arabic language say main nay andaaza lagaya hay woh yeh hay kay wou Qatar main qayam pazir hain kiyonki Qatar kay log aisi hi Arabic kehtay hain jaisay woh baat karti hain, agar hosakay tou mujhay hospital ka naam share kijyeye ga, meray liye Qatar aana koi mushkil baat nahin, main kabhi bhi aa sakta hoon aur unn ki taymaadari karsakta hoon, aik baRay bhai ki tarah.
    G haan ap ne bilkul sahee andaza lagaya hai ..magar hospital ka naam tu mai us se poochney k baad hii ap ko bata saktii hoon.. waisey ap k in naik jazbaat k liye tah-e-dil se ap ki shukar'guzaar hoon..
    JazakAllah..


    Originally posted by thefire1 View Post
    May ALLAH SWT blessing be upon her and she gets well soon.
    Ameen
    Originally posted by thefire1 View Post
    Fi Amaan ALLAH
    ma'asalamah

    Comment


    • #17
      Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

      Mrs.Sami_4ever thanks a lot kay app nay Rania kay baray main jo bataya... yeah sab kuch jaan kar main bohat sad hogaya hoon.
      zindagi kay bhi kiya roop hain, kab janay kiya ho jay.
      mairi RABul Kareem say Dua hain kay usko sehat aur aik achi zindagi atta farmay. uski zindagi main itni khushiyaa bhar jay kay wo sari zindagi samtay hi rahay. ameen
      ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

      Comment


      • #18
        Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

        Allah aasniyaan paida kare un ke liye aameen :rose

        Comment


        • #19
          Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

          ALLAH TALA usay sehet o shifa ata fermaaye aur apni amaan mein rakhay...us per apna rehm o karam fermaaye....
          For New Designers
          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

          Comment


          • #20
            Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

            Allah ap sub ko Jaza-e-khair dey

            Ali ap ka buhut shukriya itna concern dikhaney k liye Allah ap ki zindagii ko khushiyoon se bhar dey dua' hai meri ap k liye :rose

            n Soni dil se aik buhut baRa thanx keh kar mai tumhain paraya nai karna chahta
            sirf dil se dua' dey sakta hoo k Allah tumharii zindagii mai itnii khushiyaan bhar dey k ghum k liye koi jagha hi na bac'hey..or Allah tumhain Suhaib ki khushiyaan or us ki lambii zindagii ka tuhfa dey :rose

            waisey mai yahii soch raha tha k agar koi mujh se poochey k Rano ko howa kya hai tu mai kya bataoon, kuch samaj mai nai araha tha, tum ne tu saari problem hi solve kar dii.
            Allah tumharii saari problems ko tumharey liye isi tarah se asaan kar dey.


            Ap sub k liye best wishes 4 ur kind prayers..May Allah bless u all..:rose

            Comment


            • #21
              Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

              ohhhhhhhhhhhhhhhhh

              bara afsoos ho raha hai sun ker muje................


              Allah sey dua hai k meri Ranoo ko lambi zindgey aur sehat daey kashi meri tarf sey zaroor poch lena usey yar thankx

              aur yeh phool ranoo k laeyrose:rose
              I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

              Comment


              • #22
                Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

                thank u Hassan

                bey'fikar rahye ap ka salam or ap ka phool us tak pohonch jaye ga.:rose

                Comment


                • #23
                  Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

                  Originally posted by Kashii View Post
                  thank u Hassan

                  bey'fikar rahye ap ka salam or ap ka phool us tak pohonch jaye ga.:rose

                  yar mein really mein buth prechan hua hun she is not like my sis she is my sister
                  I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

                  Comment


                  • #24
                    Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

                    May Allah's blessings be with her Ameen. :rose
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #25
                      Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

                      Originally posted by Kashii View Post

                      n Soni dil se aik buhut baRa thanx keh kar mai tumhain paraya nai karna chahta
                      sirf dil se dua' dey sakta hoo k Allah tumharii zindagii mai itnii khushiyaan bhar dey k ghum k liye koi jagha hi na bac'hey..or Allah tumhain Suhaib ki khushiyaan or us ki lambii zindagii ka tuhfa dey :rose
                      JazakAllahu khairan kaseera fid-dunya wal akhira :rose
                      Allah hamarii Rano ko ap k or hum sub k liye sehat'yaab kar dey ..Ameen..

                      Originally posted by Kashii View Post
                      waisey mai yahii soch raha tha k agar koi mujh se poochey k Rano ko howa kya hai tu mai kya bataoon, kuch samaj mai nai araha tha, tum ne tu saari problem hi solve kar dii.
                      seedhey seedhey ye kaho na k ab saari maar mujhey paRey gii :embarasse

                      Comment


                      • #26
                        Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

                        Originally posted by Kashii View Post
                        Assalmu3laikum wa ra7ma9ullahi wa baraka9uh

                        Dear Brothers n Sisters,

                        waisey tu hum apnoo k liye dua kartey hii hain, jinhein hum jantey hain, jin se hum pyaar kartey hain magar wo dua jo ek momin ki dosrey momin k liye us k peet peechey baghair kisi rishtey k kii jaye wo zyada qabool hotii hai.

                        tu aj ap sub se ye request hai k Raniya (bhataktii rooh) k liye dua karein,
                        wo hospital mai hai, doctors ne do din ka waqt diya hai agar is doraan us ki halat mai sudhaar na aya tu operation karna parrey ga jis k kamyaabi k chances 50-50 hain...

                        is liye dua kejiye k wo jald se jald theek hojaye or usey ye operation ki zaroorat hi na parrey.

                        Wajazakumullahu khairan fid-dunya wal akhira

                        Fee Amaanillah-e-wa hifzeh
                        Walaikum Assalam...

                        i think 2 din ho gae...abb kaise condition he:donno:

                        Comment


                        • #27
                          Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

                          Allaha Tala usay jaldi sehatyaab karay ..ameen :rose
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment


                          • #28
                            Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

                            Don't know what to say at such situation except I have all my best wishes and a lot of prayers for her. I want to see this girl happy & healthy.

                            Any latest update?
                            :thmbup:

                            Comment


                            • #29
                              Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

                              Dukh pareshanyan aur museebtain, ALLAH ki taraf se azmayish hoti hain, inhain sabar se jheelna parta hay, barhaal hum us ki sehat ke lye dua go hain, ALLAH unhain aur kisi bhi musalmaan ko apni sakht azmayishoN se bachaye. Amin
                              Allah

                              Comment


                              • #30
                                Re: Rooh ko dua'oon ki zaroorat hai

                                Thank u all

                                Merey paas confirm news tu nahii haiN lekin kachii pakkii khabar yeh ayi hai k operation nahiiN hoga or INsha'Allah wo do din mai discharge hojaye gii.

                                again i'll repeat Unconfirmed news hai.

                                is news ko confirm ya deny tu Kashif hii akar kar saktey hain, so lets wait 4 him.

                                Comment

                                Working...
                                X