Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~ Urdu ~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: ~*~ Urdu ~*~

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Tujay 10 number to de diye, ub aur kia doon tujay, khatam ker baat ko yahi pe
    naheen khatam akronnga tu mujh s emoafi mang pehly k tunay ghalat baat kion ki mangh moafi mujh se
    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

    Comment


    • #47
      Re: ~*~ Urdu ~*~

      Originally posted by aabi2cool View Post
      chal ab khisyana mut ban apni ghalat fehmi tasleem karlay yaad rahay ghalat fehmi keh raha hon ghalti anheen :tasali:
      Originally posted by aabi2cool View Post
      naheen khatam akronnga tu mujh s emoafi mang pehly k tunay ghalat baat kion ki mangh moafi mujh se
      Hun kush sharam v ker. No more arguments
      :thmbup:

      Comment


      • #48
        Re: ~*~ Urdu ~*~

        Originally posted by munda_sialkoty View Post
        Hun kush sharam v ker. No more arguments
        mareen chawala taynoon tapan laga see :garmi:
        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

        Comment


        • #49
          Re: ~*~ Urdu ~*~

          Originally posted by aabi2cool View Post
          mareen chawala taynoon tapan laga see :garmi:
          Yeh try kisi aur thread pe maro
          :thmbup:

          Comment


          • #50
            Re: ~*~ Urdu ~*~

            Originally posted by munda_sialkoty View Post
            Yeh try kisi aur thread pe maro
            moqa hi tonay yahaan faraham kia tooo372-haha
            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

            Comment


            • #51
              Re: ~*~ Urdu ~*~

              Originally posted by aabi2cool View Post
              moqa hi tonay yahaan faraham kia tooo372-haha
              doosray thread mein aa, tujay Mookay, keel, mohasay sub kuch faraham karon ga :tasali:
              :thmbup:

              Comment


              • #52
                Re: ~*~ Urdu ~*~

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                doosray thread mein aa, tujay Mookay, keel, mohasay sub kuch faraham karon ga :tasali:
                kiderrrrr:garmi:
                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                Comment


                • #53
                  Re: ~*~ Urdu ~*~

                  Originally posted by aabi2cool View Post
                  kiderrrrr:garmi:
                  2 lagawaan tere kanna mund te tainu lag jaway pata
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #54
                    Re: ~*~ Urdu ~*~

                    yahan kia kehna he :think:

                    Comment


                    • #55
                      Re: ~*~ Urdu ~*~

                      Originally posted by mano_billi View Post
                      yahan kia kehna he :think:
                      ایتھے مُنگ دلنی اےےے
                      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                      Comment


                      • #56
                        Re: ~*~ Urdu ~*~


                        Walaikum Assalaam Masood Sahab

                        Main umooman har post ko paRh kar uss per apni raye ka izhaar bohat jald kar daita hoon, magar jab baat URDU say related thi tou main nay sab ki baatain baRi ghour say paRhee aur ab apni rayay say aap sab ko agaha karna chata hoon. Meri POST taweel honay ki TANBEEH main abhi say day raha hoon mohtaat rahyeh :lol

                        URDU humari qoumi zaban kay saath saath aisi shaistagi ki haamil hay jiss say aap kisi ko bhi mutassir kar saktay hain.... Aap nay sahi kaha kay INDIANS apni filmoon ko HINDI film keh kar bulatay hain magar asal Hindi say shayed woh khudh bhi sahi say waqif nahin hain... URDU zaban ki tareekh main agar jayain tou aap sab jaantay hi hain kay yeh Arabic, Pashto, Turkish aur Persian zaban ka majmoya hay jo kay Urdu say pehlay Rekhta aur hindawi kay naam say jaani jaati thi, aur iss zaban ka baqaida aaghaz sun 1639 main Mughal Shahnshah Shahjahan nay Shahjahanabad kay naam say aik shahar Delhi main qayim kia, aur aik market jo kay laal qilay kay paas waqiya thi jisay URDU BAZAAR kah jaanay lagi aur iss rekhta ko uss ka sahi naam i.e. URDU mila.

                        1700 main Wali Deccani naam kay shayer nay jinhay Moulana Mohammad Hussain Azaad nay apni kitaab Aab-e-hayat main baba-e-Urdu ka naam dia hay apni shayeri aur Urdu litreture say Mughal saltanat ko bohat mutaasir kia aur URDU ka baqaida firoogh milna shuro hua, angrazi hukumat aanay kay baad go kay iss zaban ko zinda rakhnay ki koshish ki aur ghazal, nazm, nasri adaab aur bohat kuch Urdu zaban main likha jaanay laga aur aam honay laga... magar musalman har lucrative job say mehroom honay lagay tab Janab Sir Syed Ahmad Khan nay logon ki tawajoo English zaban per karwayi aur baqaida English zaban ki tarbiyat aur taleem dainay lagay aur unki khidmaat per unhain English hukumat nay SIR ka khitab dia, magar uss waqt kay ulma-e-karaam nay unhain KAAFIR ka laqab dia aur kaha kay yeh farangiyon ki zaban sikha raha hay, magar Sir Syed Ahmed Khan sahab peechay nahin hatay kiyonki woh nahin chahtay thay kay musalmaan administrative job jo kay under british rule thi say mehroom rahain aur Hindu unn sab posts ko fill kardain.....

                        Magar aaj tou hum Ghulam nahin kisi mulk kay tou hum apni zaban fakhar say use kar saktay hain, magar afsoos ki baat yeh hay kay URDU humari qoumi zaban honay ka bawajood kisi bhi Government idaaroon main raij nahin, har faisla har order ENGLISH zaban main hi hota hay, jo kay humari hukumat ki na-ahli aur URDU zaban kay sotaila sulook ka suboot hay...



                        Kuch FACTS and FIGURES per aap ki tawaju markooz karwaana chahoon ga Aaj Urdu zaban dunya kay 37 mulkoon main boli aur samjhi jaati hay.... Oxford, Harward aur Cambridge Universities main urdu lecturer appoint ho rahay hain. Byran University Munich main Urdu department qayim hogaya hay aur Doctor Stanley iss kay incharge hain, Uzbikistan, Tajikistan, Kazakistan aur Turkumistan jinn mulkoon kay naam say bhi humari aadhi say ziyada awaam waaqif nahi hay nay already humari hukumat say discuss ki hay kay delegation bhaijain taakay hum bhi Urdu department ka aghaaz apnay mulk ki Universities main kar sakain. China main bhi yeh zaban bohat si Universities main boli samji aur likhi jaati hay.

                        Urdu zaban agar na hoti tou duniya main MARSIYA NIGARI naa hoti jiss kay baani Mir Anees hain, qawali ka fun, mehfil-e-samaa na hoti, mouseeqi ka wajood hi nahin hota, Saraygamapa sab kay sab Urdu kay word hain!! aur aik aur baat kay URDU duniya ki wahid zaban hay jo nihayat shaistagi say dosri zaban ko adopt kar kay aik wasee aur khoosburat zaban lagti hay... chaabi, almaari aur aaya jo kay hum umooman istimaal kartay hain asal main Portugeese zaban kay word hain....!!!

                        Jahan tak meri baat MASOOD Bhai, tou main srif itna hi kahoon ga kay URDU nay humain srif aur srif adab dia hay aur dour-e-guzista say ab tak humain srif Shayer aur nikammay asshiq hi diye hain jinhoon nay mulk ki falah-o-behbood main koi kaam nahin kia, mujhay afsoos isi baat ka raha hay kay iss zaban ko hum srif aur srif shayeri say munsalik rakhtay hain, na hi issay SARKAARI ahmiyat haasil hay aur na hi TALEEMI.... bas yeh srif aur srif naam ki QOUMI ZABAN hay yaa naam ki MAADRI zaban....!!!!!

                        May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN.

                        Originally posted by Masood View Post
                        Assalamo Allaikum

                        Allama Iqbal key hawaley sey haal hi mein aik aham din guzra hai... Merey zehan mein unka aik shair ghoom raha hai:

                        gaisu-e-Urdu abhi minnat pazeer-e-shaana hai
                        shama yeh sodaii-e-dil'sozi-e-parwana hai

                        Yun mehsoos hota hai keh Urdu key saath hamesha soteeli maan ka salook kiya geya hai aur Urdu ko woh haq nahin diya geya jo iska asal haq hai.

                        Mujhey us waqt logon ki soch sey shadeed nafrat hoti hai jab woh Hindustani filmon ko HINDI filmein kehtey hain, kyun keh asal hindi bohat mukhtalif hai - woh Urdu key marhoon-e-minnat hain - magar is baat ko qabool nahin kartey...

                        Hamarey haan bhi logon ka haal kuchh achha nahin. Yahan per bhi Urdu ko woh muqaam nahin dilwaya geya jo Urdu ka hai..

                        To aap yeh btaiyey keh aap KHUD kitney Urdu'daan hain? Apney roz-mar'rah mein kahan tak Urdu istimaal kartey hain? Gharon mein, madrison mein, kaam per ya jahan bhi aap wabasta hain.. Kahan tak Urdu istimaal kartey hain aur doosron ko iskey istimaal ki targheeb detey hain???
                        sigpic

                        Comment


                        • #57
                          Re: ~*~ Urdu ~*~

                          معذرت کے ساتھ علی بھائی آپکی بہت سی باتوں کا یہاں محل نہ تھا۔ ۔ ۔
                          آپ بھی اصل موضوع سے صرف نظر کرگئے لہذا آپکی گفتگو میں لایعنی طوالت در آئی اور بعض باتیں ایسی در آئیں جو کہ یقینا خلط مبحث کا باعث بن سکتیں ہیں مثلا سر سید پر کفر کا فتوٰی کہ جسکی اصل وجوہات کچھ اور تھیں وغیرہ وغیرہ ۔۔
                          یہاں اردو زبان کی تاریخ موضوع سخن نہ تھی اس پر بات ہم بہت پہلے یہاں کرچکے ہیں

                          بلکہ اصل مسئلہ ہمارا یعنی اردو بولنے والوں کا تھا کہ ہم نے
                          اس زبان کو کیا دیا کتنی اہمیت دی کس حد تک اپنے روزمرہ کے استعمال کے باوجود اسے فنی زبان بنانے میں کردار ادا کیا اس نے تو پھر بھی بقول آپ کے ہمیں ادب دیا مگر ہم نے اسے کیا دیا ؟؟؟؟؟؟ کیا یہ اس زبان کا قصور تھا کہ یہ ٹیکنالوجی کی زبان نہ بن سکی یا اس کے بولنے والے اہل زباں کا؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟
                          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                          Comment


                          • #58
                            Re: ~*~ Urdu ~*~

                            Assalaam-O-Alaikum

                            Bohat bohat shukriya aabi2cool aap ki response ka.

                            Main nay URDU ki tareekh say nawaaza hay taakay paRhnay waalay URDU ki tareekh say waaqif hojayain aur main apni POST ki tawalat ka zikar pehlay hi paragraph main kar chuka hoon.

                            Doosri jo baat MASOOD sahab say poochi thi.. yaani hum iss kay saath soutaila sulook kar rahay uss ka jawab bhi main nay FACTS and FIGURES say dia kay aaj MASHALLAH 37 mumalik main boli jaati hay aur kayi maroof universities main iss kay lecturer appoint horahay hain.

                            Teesra main nay apni hukumat ki na-ahli ka zikar kia kay hum issay QOUMI zaban kehtay hain magar phir bhi kisi bhi Government idaaray main iss ka istimaal nahin hota aur saari government communication English main ho rahi hay.

                            Chouthi baat main apna nazarya-e-khayal bhi bayan kia aur woh aik baar phir post kardaita hoon Jahan tak meri baat MASOOD Bhai, tou main srif itna hi kahoon ga kay URDU nay humain srif aur srif adab dia hay aur dour-e-guzista say ab tak humain srif Shayer aur nikammay asshiq hi diye hain jinhoon nay mulk ki falah-o-behbood main koi kaam nahin kia, mujhay afsoos isi baat ka raha hay kay iss zaban ko hum srif aur srif shayeri say munsalik rakhtay hain, na hi issay SARKAARI ahmiyat haasil hay aur na hi TALEEMI.... bas yeh srif aur srif naam ki QOUMI ZABAN hay yaa naam ki MAADRI zaban....!!!!!


                            Sir Syed Ahmad Khan ki baat main nay iss liye ki kay hum srif URDU ko apna kar kisi bhi maidan main aagay nahin baRh saktay thay aur English zaban ka sahara laina bohat zaroori tha jinn ki khidmaat per Syed Sahab ko hum aaj tak tareekh main sunhairi lafzoon say jaantay hain, fatwa ki kayi wajoohat hosakti hain magar unmain say aik yeh bhi thi kay woh English zaban ko firoogh day rahay thay.

                            Khush rahyeh


                            Originally posted by aabi2cool View Post
                            معذرت کے ساتھ علی بھائی آپکی بہت سی باتوں کا یہاں محل نہ تھا۔ ۔ ۔

                            آپ بھی اصل موضوع سے صرف نظر کرگئے لہذا آپکی گفتگو میں لایعنی طوالت در آئی اور بعض باتیں ایسی در آئیں جو کہ یقینا خلط مبحث کا باعث بن سکتیں ہیں مثلا سر سید پر کفر کا فتوٰی کہ جسکی اصل وجوہات کچھ اور تھیں وغیرہ وغیرہ ۔۔
                            یہاں اردو زبان کی تاریخ موضوع سخن نہ تھی اس پر بات ہم بہت پہلے یہاں کرچکے ہیں
                            بلکہ اصل مسئلہ ہمارا یعنی اردو بولنے والوں کا تھا کہ ہم نے

                            اس زبان کو کیا دیا کتنی اہمیت دی کس حد تک اپنے روزمرہ کے استعمال کے باوجود اسے فنی زبان بنانے میں کردار ادا کیا اس نے تو پھر بھی بقول آپ کے ہمیں ادب دیا مگر ہم نے اسے کیا دیا ؟؟؟؟؟؟ کیا یہ اس زبان کا قصور تھا کہ یہ ٹیکنالوجی کی زبان نہ بن سکی یا اس کے بولنے والے اہل زباں کا؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟
                            sigpic

                            Comment


                            • #59
                              Re: ~*~ Urdu ~*~

                              Ali bhaii mujhey achha laga hai keh aap ney intihaii tafseel mein jaa ker baat ki hai aur facts and figures key saath baat ki hai. Main un fact aur figures per to baat nahin karoon ga kyun keh woh bhi debatable hain :)

                              Mere thread mein guftgoo ka ziman kuchh aur tha. Agar aap facts and figures per jaaein to Pakistan mein aisey logon ki ta'adad sirf 8% hai jinki maadri zubaan Urdu hai - aur in mein aksariyat muhajireen ki hai - is aetbaar sey to Pakistan ki qaumi zuban Urdu honi hi nahin chahiyey thi :)

                              Aap ko ma'loom ho ga keh yeh bhi aik baat saniha-e-Saqoot-e-Dhaka ki wajah bana tha keh Bengali bolney walon i ta'adad bohat ziyada thi aur Urdu bohat kam, so Urdu ko nahin Bengali ko Pakistan ki qaumi zuban hona chahiyey tha.

                              Meri guftgoo ka hisaar Pakistan aur pakistaniyon mein Urdu ka muqaam rehni chahiyey.
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • #60
                                Re: ~*~ Urdu ~*~

                                Originally posted by aabi2cool View Post
                                اور یہ بات یاد رکھو کہ ٹیکنالوجی بنیادی طور پر کسی بھی زبان کا نام نہیں اور نہ ہی ٹیکنالوجی کی کوئی زبان اپنی ہوتی ہے اور نہ ہی کسی بھی زبان کو مطلقا ٹیکنالوجی کی زبان کہا جاسکتا ہے ۔۔
                                کیونکہ ٹیکنالوجی علم کی ایک مخصوص شاخ کا نام جو کہ صنعتیات ، فنیات سے متعلق ہوتا ہے یعنی علم کا وہ شُعبہ جو صنعت و حرفت کے علوم و فنون سے متعلق ہو ۔
                                اور تم جو یہ بار بار مثالیں دے رہے ہو نہ کے انگریزی زبان ٹیکنالوجی کی زبان ہے سو اس لحاظ سے اولیت حاصل ہے تو تمہارا یہ مثال یہاں پیش کرنا بعید از قیاس ہے ۔ ۔

                                اگر کہو تو تمہاری پیش کردہ مثال جو کہ تمہارا نقطہ استدلال ہے اور اس کا بطلان بھی ظاہر کرسکتا ہوں
                                Ufffff mujhey hairat ho rahi hai keh aap ko is baat per drust kah raha hoon 372-haha372-haha372-haha372-haha
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X