Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shararatain :)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Shararatain :)

    Originally posted by thefire1 View Post
    Assalaam-O-Alaikum

    Hum nay shararat aur badtameezi main humesha farq rakha hay, tameez kay dairay aur aisi koi harqat nahin ki jo ikhlaaq say giri hoyee hoo, yehi waja hay kay main nay apni THREAD ka naam SHARARATIN rakha BADTAMEEZIYAN nahin.....

    Aap jay comments ka bohat bohat shukriya, MASJID ka ehtiraam hum sab per laazim hay, apni harkat per nidamat karain aur ASTAGFAAR paRhain aur ALLAH SWT say apnay kiye ki muafi maangain, ALLAH SWT hum sab ko sahi raah per chalnay ki toufeeq ata farmayay AMEEN

    Fi amaan ALLAH

    Oh Bhai Musalman.. Bachy jab shartey krty hain to sab kuch un k liye sharten he hota hai theek hai na agr bcho ko achy bury ki tamiz ho jay phir baat kia reh jati hai?????? Meharbani kar k Aindy esy Alfaz mat use karna. or Plz mere samny ziada muslman banny ki koshish mat kro jesy aj kal k muslman ho wesy he raho......

    Comment

    • #47
      Re: Shararatain :)

      Assalaam-O-Alaikum

      Kuch kehna hay tou meri zaat say mansoob kar kay bolain aap sab MUSLAMAANON ko kiyon mouz-e-behas bana rahay hain, khair, agar aap ki dil azaari hoyee tou mua'afi chahta hoon, mera maqsad aap ko hurt karna nahin aap ki islaah karna tha, jiss ki aap kay saath saath mujhay bhi zaroorat hay, khush rahyeh :)

      Fi amaan ALLAH

      Originally posted by MindFreak View Post

      sigpic

      Comment

      • #48
        Re: Shararatain :)

        Originally posted by thefire1 View Post
        Dear Members,

        Main iss nayi thread the aghaaz apni hi ki gayi shararat say kar raha hoon. Main chahta hon kay aap bhi aisi shararat paish karain jis say aap ko nidamat bhi ho aur sharmindagi bhi :)

        Karachi ki lights ka tou sab ko ilm hay, yeh bhi aisa hi din tha jab load shedding kay bayis parishaan log shaam kay 8:00 bajay kay lag bhag baithay light aanay ka initzaar kar rahay thay, thik ussi waqt meray dimagh main aik idea aaya aur aisa idea kay aaj tak apnay aap ko kousta hoon!

        Main nay sab kay gharoon ki ghantiyon per Tape laga dee aur khudh humaray building kay chowkidaar Sher Nawaz Khan kay saath baith kar gappay laganay laga, jaisay hi electricity aayi poori building mukhtalif kism ki door bells say gounj uthi.... aur woh log jo bechaaray light aanay kay intizaar main khab-e-khargoush main gum hochukay thay woh aik dam uth khaRay huway.... kiyonki light raat kay 11:35 minute per aayi thi, jab aksar log araam kartay hain. Aur kaamal ki zehniyat dekhain, main nay apnay ghar ko bhi nahin choRa taakay koi mujh per shak-o-shubha na kar sakay :)

        Aaj bhi apni iss nadaani per afsoos hota hay aur us din kay baat kaan pakaR liye kay aisa kabhi nahin karoonga aur auroon ko bhi yehi PEGHAM doonga kay hum kabhi kabhar apnay maazaq main kisi ko takleef poohnchaatay hain jissay humain avoid karna chayeh.

        Haan agar meri building ka koi shaks issay paRh raha hay tou maazrat :)

        Waiting for your contribution.

        Fi Amaan ALLAH

        PS: Dear Khan/Admin, I wasnt sure kay iss thread ko Gupshup main post karoon yaa Mazahiya Adab main, bas issi confusion may yahan hi kardi agar sahi nahin hay tou paishgi maazrat aur iltija kay issay apni sahi jagah shift kardain :)
        iss mein pashemaan honay wali konsi baat hey........ yeh tu shararatein hoti rahti hein......... aur shararetein tu zindgi ka hissa hoti hain jo muhabbat aur pyar va hussan ko bekhairti hain.......aap ki achi shararat thi........... lagay raho munna bhai.....
        :khi:
        sigpic

        Comment

        • #49
          Re: Shararatain :)

          Originally posted by thefire1 View Post
          Assalaam-O-Alaikum

          Kuch kehna hay tou meri zaat say mansoob kar kay bolain aap sab MUSLAMAANON ko kiyon mouz-e-behas bana rahay hain, khair, agar aap ki dil azaari hoyee tou mua'afi chahta hoon, mera maqsad aap ko hurt karna nahin aap ki islaah karna tha, jiss ki aap kay saath saath mujhay bhi zaroorat hay, khush rahyeh :)

          Fi amaan ALLAH

          Main ney Bhai Muslaman kaha hai.. Musalamno nahi. Dusro ka sahara lay k defend mt kro khud ko.

          Comment

          • #50
            Re: Shararatain :)

            @

            Asad bhai ...plz zara apney baat karney ka andaaz durust kejiye...har baat par jhagarrna zaroori hai kya...
            .......................!!!!!

            Comment

            • #51
              Re: Shararatain :)

              Mujh say ghlat baat Bardasht nahi hoti. Dats it. Agy ab kisi ko bura lagy ya acha. Jab main kisi ki zaat pay comment nahi krta to meri zaat pay bhi na kia jay. Or agr jis ney kia to phr bhugty

              Comment

              • #52
                Re: Shararatain :)

                Originally posted by thefire1 View Post
                acha koi aur shareefana shararat bhi share karain hum say :)

                AIK AUR SHARARAT

                Humaray Mamoo ki shaadi main ghar main kaafi rishtay daar aayay huway thay, main aur meray cousins nay mil kar aik plan banaya aur jab sab raat ko so gayay to hum nay humari hum umar cousins kay moon per Cherry Blossom mal diya aur subha jab unhoon nay aaina dekha tou saara ghar un ki cheekhon say goonj utha aur uss kay baad humari cheekhoon say kiyon kay mamoo nay bohat pitayee ki :(
                yeh hoi naa baat..........:hphp:

                Comment

                • #53
                  Re: Shararatain :)

                  Assalaam-O-Alaikum

                  Mujhay apnay aap ko defend karnay ki zaroorat hi nahin :) mujhay pata hay main nay jo kaha woh sach hay, isi liye main nay muafi bhi mang lee kay sahyed aap ki dil dhuka ho.

                  Jiss tarah aap ko ghalat baat bardaasht nahin hoyee tou main bhi aap jaisa hi insaan hoon, mujhay bhi thik nahin laga so keh diya...

                  Baaqi jo jaisa muslamaan hay usay waisa hi rehnay dain, aap ka imaan aap kay saath mera imaan meray saath, aj ka aur kal ka yaa parsoon ka koi MUSLAMAAN ki shanakht nahin!!!

                  khair main khumakhuwa iss behas ko tool nahin daina chahta, khush rahyeh aap nay jitna kehna tha keh lia, mujhay jitna sunna tha sun liya, can have this closed right here or you wish to go on!!!

                  Fi amaan ALLAH
                  Originally posted by MindFreak View Post
                  Main ney Bhai Muslaman kaha hai.. Musalamno nahi. Dusro ka sahara lay k defend mt kro khud ko.
                  Originally posted by MindFreak View Post
                  Mujh say ghlat baat Bardasht nahi hoti. Dats it. Agy ab kisi ko bura lagy ya acha. Jab main kisi ki zaat pay comment nahi krta to meri zaat pay bhi na kia jay. Or agr jis ney kia to phr bhugty
                  sigpic

                  Comment

                  • #54
                    Re: Shararatain :)

                    baRi khushi ho rahi hay aap ko meri ptayee ka sunn kar :lol

                    Originally posted by *ASK* View Post
                    yeh hoi naa baat..........:hphp:
                    sigpic

                    Comment

                    • #55
                      Re: Shararatain :)

                      Pashaymaani in sense of Nidaamat :) aur kuch nahin.... waqai bachpan ki masoom sharartain kitni khoobsurat hoti thi :lol

                      Aap ki bhi kisi shararat ka intizaar rahay ga, khush rahyeh :)

                      Originally posted by safia View Post
                      iss mein pashemaan honay wali konsi baat hey........ yeh tu shararatein hoti rahti hein......... aur shararetein tu zindgi ka hissa hoti hain jo muhabbat aur pyar va hussan ko bekhairti hain.......aap ki achi shararat thi........... lagay raho munna bhai.....
                      :khi:
                      sigpic

                      Comment

                      • #56
                        Re: Shararatain :)

                        Originally posted by thefire1 View Post
                        baRi khushi ho rahi hay aap ko meri ptayee ka sunn kar :lol
                        haan naa.....

                        Comment

                        • #57
                          Re: Shararatain :)

                          Originally posted by thefire1 View Post
                          Pashaymaani in sense of Nidaamat :) aur kuch nahin.... waqai bachpan ki masoom sharartain kitni khoobsurat hoti thi :lol

                          Aap ki bhi kisi shararat ka intizaar rahay ga, khush rahyeh :)
                          shararatein mein karti rahti hoon.......... lakin ek shararat ek meray classfellow ney meray saath shararati ki thi vo mein aap ko batati hoon .... univ mein ek larkay nay meray purse mein zinda mandak daal diya aur mujhe pata bhi na laga.... jab mein paisay nikalnay lagi tab mandak ochhal kar meri gaud mei aa gaya aur mein itni cheekhain maariein kay meri sub friends vo bhi meri cheekhain sun kar darr gayi ..... baad mein dekha tu mandak merey purse mein tha.....phir pata laga ek larkay ney shararatan meray purse mein mandak rakha tha......... phir uss ney sorry bhi kar di thi lakin jab bhi yeh wakiya yaad aata hey mein bahut hansti hoon............. :khi:
                          sigpic

                          Comment

                          • #58

                            • #59
                              Re: Shararatain :)

                              Apni bhi koi bayaain naa, taakay hum bhi aap ki pitayee per hansay :lol

                              Originally posted by *ASK* View Post
                              haan naa.....
                              sigpic

                              Comment

                              • #60
                                Re: Shararatain :)

                                Waqayii larKiyon ki cheekh bohat hi khatarnaak hoti hay bechara Maindak bhi darr kar bhag gaya hoga :lol

                                aapki apni koi shararat bhi post karain, kisi behan say bhai say waghaira waghaira

                                Meri aik aur shararat :)

                                "Meray chotay bhai behan jab bhi koi cheese (maslan chocolate waghaira) lay kar aatay, main intihayee rob-daar lehjay main "chaloo mujhay doo jaldi karoo warna lagayoo ga, jaldeeeee" aur woh becharay seham kar yeh kehtay huway "Bhai jaan aap hum say humari cheese aisay haq say maangtay hain jaisay khudh hi ho" mujhay day daitay thay aur phir khoob rotay thay" :lol

                                iss harkat per bhi bohat baar maar bhi lagyii abbu nay aur ammi nay bhi aik baar bailan say pitayee kardee thi :(

                                Working...
                                X