Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shararatain :)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Shararatain :)

    apko tou apna nick Fire ki bajaye Mr Shararat rakhna chahye tha..........
    :p

    Comment


    • #17
      Re: Shararatain :)

      thik hay bhai aap jo rakh lain... woh din kuch aur aaj din kuch aur hain :))
      sigpic

      Comment


      • #18
        Re: Shararatain :)

        Originally posted by thefire1 View Post
        Chalain itni bhooli tou aap nahin hain kay sharart na ki ho, haan nadamat nahi hoyi woh alag baat hay, koi shararat hi likh dain... koi school, koi college, araos paros, cousins waghaira, koi bhi..... :)
        khair main ne aisa bhi nai kaha k karti hi nai thi yeh kaha k itni nai karti thi.shararti bachi nai thi :khi:

        choti moti karti jaise class mein aik student ki book/copy nikaal k doosr ek bag mein daal dena aur phir aik ki heraani aur doosre ki pareshani pe hansna :lol kisi ko drawna mask pehan k kabhi dara dena ya school se aate main aur mera bhaai door bell baja k baag jate yeh to shaed har bacha karta hai :lol christmas mein darwazon k bahir pata nai kya kuch lagaya hota woh utaar k doosre k darwaze pe latka jana aisi hi bas aur last wali k siwa baaqi pe kabhi nidamat nai hui.last wali pe is liye k range haathon pakre gaye the :shyy:

        Comment


        • #19
          Re: Shararatain :)

          yeh hoyi naa baat... shararat tou har koi karta hay... aap nay bhi ki... :) acha laga paRh kar, laikin shararat kar kay pakRa jaana bohat hi embracing hota hay :( Nice sharing :)
          sigpic

          Comment


          • #20
            Re: Shararatain :)

            AIK AUR SHARARAT

            Humaray molvi sahab bohat hi sakht mizaaj insaan thay, zara si Duwaad, Suaad, waghaira main ghalti hojayay tou pitayee shuroo, danda tou aisay saath rakhtay thay jaisay hum aaj kal Mobile phone rakhtay hain lolzzz

            Mujhay aik dinn bohat ghussa aaya, chotuu sa tha, main nay jaa kar unki sohrab waali cycle ki hawa nikaal di, becharay paidal ghar gayay cycle ko humsafar bana kar :)

            Abhi sochta hoon tou aik baar phir nidaamat kay daldal main dhansta chala jaata hoon :(
            sigpic

            Comment


            • #21
              Re: Shararatain :)

              bachpan mein subhi sharartein karte hain..... me tu abhi tak karti ho...

              bezarar si hoti hain sharartein tu... :shyy:ab is mein nidamat kya hogi....?:garmi:

              aap ke replies se tu lgta hai aap ko taqreeban her kaam ke baad nidamat hoti hai....... 372-shock

              Comment


              • #22
                Re: Shararatain :)

                Originally posted by ummid View Post
                bachpan mein subhi sharartein karte hain..... me tu abhi tak karti ho...

                bezarar si hoti hain sharartein tu... :shyy:ab is mein nidamat kya hogi....?:garmi:

                aap ke replies se tu lgta hai aap ko taqreeban her kaam ke baad nidamat hoti hai....... 372-shock
                Tu karain naa hum say koi aap ki shararat share, hum bhi tou dekhain aap ka mayar-e-shararat :)

                Mujhay har kaam main nadamat nahin hoti warna tou zindagi dushwaar hoti hay.. haan uss kaam main zaroor nidaamat hoti hay jis say main nay kisi ko takleef poohnchayi hoo ya main uss ki takleef ka sabab bana hoon!!
                sigpic

                Comment


                • #23
                  Re: Shararatain :)

                  Originally posted by thefire1 View Post
                  Dear Members,

                  Main iss nayi thread the aghaaz apni hi ki gayi shararat say kar raha hoon. Main chahta hon kay aap bhi aisi shararat paish karain jis say aap ko nidamat bhi ho aur sharmindagi bhi :)

                  Karachi ki lights ka tou sab ko ilm hay, yeh bhi aisa hi din tha jab load shedding kay bayis parishaan log shaam kay 8:00 bajay kay lag bhag baithay light aanay ka initzaar kar rahay thay, thik ussi waqt meray dimagh main aik idea aaya aur aisa idea kay aaj tak apnay aap ko kousta hoon!

                  Main nay sab kay gharoon ki ghantiyon per Tape laga dee aur khudh humaray building kay chowkidaar Sher Nawaz Khan kay saath baith kar gappay laganay laga, jaisay hi electricity aayi poori building mukhtalif kism ki door bells say gounj uthi.... aur woh log jo bechaaray light aanay kay intizaar main khab-e-khargoush main gum hochukay thay woh aik dam uth khaRay huway.... kiyonki light raat kay 11:35 minute per aayi thi, jab aksar log araam kartay hain. Aur kaamal ki zehniyat dekhain, main nay apnay ghar ko bhi nahin choRa taakay koi mujh per shak-o-shubha na kar sakay :)

                  Aaj bhi apni iss nadaani per afsoos hota hay aur us din kay baat kaan pakaR liye kay aisa kabhi nahin karoonga aur auroon ko bhi yehi PEGHAM doonga kay hum kabhi kabhar apnay maazaq main kisi ko takleef poohnchaatay hain jissay humain avoid karna chayeh.

                  Haan agar meri building ka koi shaks issay paRh raha hay tou maazrat :)

                  Waiting for your contribution.

                  Fi Amaan ALLAH


                  PS: Dear Khan/Admin, I wasnt sure kay iss thread ko Gupshup main post karoon yaa Mazahiya Adab main, bas issi confusion may yahan hi kardi agar sahi nahin hay tou paishgi maazrat aur iltija kay issay apni sahi jagah shift kardain :)
                  372-haha tum to baRay shareer niklay 372-shock

                  meri jo abhi haliya shararat hai woh batoon :shyy:

                  humara jo office hai na us maiN madam ka room itna dour hai kay un kay aanay aur janay ka kisi ko andaza nahe hota, to na aik din woh chali gaeeN to maiN apnay room say bahar tha to maiN nay daikh lia, phir jab maiN apnay room maiN aaya to sub computer par masroof thay maiN nay sarooN ko kaha tum sab ko madam bula rahe haiN aur khud maiN khamoshi say apni seat par baiTh gaya :shyy: woh sab sharafat say uTh kar janay lagay kay pata nahe sab ko ikhaT'Tay kioN bulaya hai, jab sab madam kay room kay samnay pohanchay to woh lock tha
                  That's Enough...!!

                  Comment


                  • #24
                    Re: Shararatain :)

                    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                    372-haha tum to baRay shareer niklay 372-shock

                    meri jo abhi haliya shararat hai woh batoon :shyy:

                    humara jo office hai na us maiN madam ka room itna dour hai kay un kay aanay aur janay ka kisi ko andaza nahe hota, to na aik din woh chali gaeeN to maiN apnay room say bahar tha to maiN nay daikh lia, phir jab maiN apnay room maiN aaya to sub computer par masroof thay maiN nay sarooN ko kaha tum sab ko madam bula rahe haiN aur khud maiN khamoshi say apni seat par baiTh gaya :shyy: woh sab sharafat say uTh kar janay lagay kay pata nahe sab ko ikhaT'Tay kioN bulaya hai, jab sab madam kay room kay samnay pohanchay to woh lock tha


                    ammu phir ap ko kitne logon ne pakar ke mara

                    @topic

                    aise to mein bhee kayi baar mama se kehti hu papa bula rahe hein or papa se kehti hu mama bula rahi hein :shyy:

                    Comment


                    • #25
                      Re: Shararatain :)

                      Originally posted by mano_billi View Post
                      ammu phir ap ko kitne logon ne pakar ke mara

                      @topic

                      aise to mein bhee kayi baar mama se kehti hu papa bula rahe hein or papa se kehti hu mama bula rahi hein :shyy:
                      u yeh to nai kehna chahteen kay all papaz darring :a stick:
                      That's Enough...!!

                      Comment


                      • #26
                        Re: Shararatain :)

                        @ Scorpion_Rulzz.... achi shararat hay magar uss main tou aap pakRay gayay, koi aisi bhi shararat share karain jis main aap kabhi pakRay nahin gayay hoon :)
                        sigpic

                        Comment


                        • #27
                          Re: Shararatain :)

                          Originally posted by mano_billi View Post
                          @topic

                          aise to mein bhee kayi baar mama se kehti hu papa bula rahe hein or papa se kehti hu mama bula rahi hein :shyy:
                          Sach kehti hain jab woh bulaatay hain yaa tafreeh kar rahi hoti hain...

                          Koi shararat bhi share karain school waali :)
                          sigpic

                          Comment


                          • #28
                            Re: Shararatain :)

                            Originally posted by thefire1 View Post
                            @ Scorpion_Rulzz.... achi shararat hay magar uss main tou aap pakRay gayay, koi aisi bhi shararat share karain jis main aap kabhi pakRay nahin gayay hoon :)
                            shararat kar kay woh bhagtay haiN jo shareer qism ki shararat kartay haiN :hairdrayer: maiN to shareef qism ki sharartaiN he karta hoon
                            That's Enough...!!

                            Comment


                            • #29
                              Re: Shararatain :)

                              acha koi aur shareefana shararat bhi share karain hum say :)

                              AIK AUR SHARARAT

                              Humaray Mamoo ki shaadi main ghar main kaafi rishtay daar aayay huway thay, main aur meray cousins nay mil kar aik plan banaya aur jab sab raat ko so gayay to hum nay humari hum umar cousins kay moon per Cherry Blossom mal diya aur subha jab unhoon nay aaina dekha tou saara ghar un ki cheekhon say goonj utha aur uss kay baad humari cheekhoon say kiyon kay mamoo nay bohat pitayee ki :(
                              sigpic

                              Comment


                              • #30
                                Re: Shararatain :)

                                welcome back sharartii Ali bhai....
                                .......................!!!!!

                                Comment

                                Working...
                                X