Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shararatain :)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Shararatain :)

    kabhi kabhi shrarat karni chaey:ys:

    Comment

    • #32
      Re: Shararatain :)

      waqayi ab andaaza hogaya kay aap ka nick BHATAKTI kiyon hay? na jaanay kahan say BHATAK kar iss thread ko baramad kardiya aap nay :lol

      Lagay hathoon aik aur shararat post kar daita hoon!

      School main aik laRka bohat hi badtameez qisam ka tha, har kisi say jhagRa karna uska shouq tha, ek din main nay school kay toilet main ussay bahar say lock kardia aur light off kardee.... saath saath Springles chipps kay khaalay dabbay (woh tou round wala hota hay) ko apnay munn say laga kar darayoni awaazain nikal kar "Tuu bachoon ko bohat tang karta hay, main tujhay nahin choRoon ga" aur light on/off kar kay usay khoob daraya.....uss kay baad usskay baad woh kuch hadh tak sudhar gaya magar kabhi school kay toilet main nahin gaya :lol
      sigpic

      Comment

      • #33
        Re: Shararatain :)

        haan karain na, kis nay roka hay, magar pakRii nahin jaana warna bohat pitayee hoti hay :)

        Originally posted by unity View Post
        kabhi kabhi shrarat karni chaey:ys:
        sigpic

        Comment

        • #34
          Re: Shararatain :)

          Originally posted by thefire1 View Post
          haan karain na, kis nay roka hay, magar pakRii nahin jaana warna bohat pitayee hoti hay :)
          ab me ne kia sharart karni he jab bachi thi tab nahi ki

          Comment

          • #35
            Re: Shararatain :)

            haan main abhi tou bachi hi samajh raha tha, ab yaad aaya kay aap ko tou nikaal chuka hoon "bachoon ki list may say"
            Originally posted by unity View Post
            ab me ne kia sharart karni he jab bachi thi tab nahi ki
            sigpic

            Comment

            • #36
              Re: Shararatain :)

              Walikum salam
              Chalye koi baat nahi ab to ho gaya na wo kaam Ainda say nahi kia again bohat acchi baat hay
              MAin bilkul bhi shararti nahi hun

              Comment

              • #37
                Re: Shararatain :)

                Pata nahin koi gurantee nahin day sakta, hosakta hay pegham per hi kisi say shararat karloon, waisay bhi aksar Mr. Khan aur Tanha Hassan meri shararaton ka nishaana bantay rehtay hain :lol

                Kia karain shararatain bas hadh main reh kar, shararatin insaan ko zinda dil banaati hain aur khushgawar mood create rakhti hain :)
                sigpic

                Comment

                • #38
                  Re: Shararatain :)

                  Originally posted by thefire1 View Post
                  waqayi ab andaaza hogaya kay aap ka nick BHATAKTI kiyon hay? na jaanay kahan say BHATAK kar iss thread ko baramad kardiya aap nay :lol

                  Lagay hathoon aik aur shararat post kar daita hoon!

                  School main aik laRka bohat hi badtameez qisam ka tha, har kisi say jhagRa karna uska shouq tha, ek din main nay school kay toilet main ussay bahar say lock kardia aur light off kardee.... saath saath Springles chipps kay khaalay dabbay (woh tou round wala hota hay) ko apnay munn say laga kar darayoni awaazain nikal kar "Tuu bachoon ko bohat tang karta hay, main tujhay nahin choRoon ga" aur light on/off kar kay usay khoob daraya.....uss kay baad usskay baad woh kuch hadh tak sudhar gaya magar kabhi school kay toilet main nahin gaya :lol
                  u ne me ki kuch zyada hi taareef kar di...:shyy:

                  beychara wo larrka....:garmi:
                  .......................!!!!!

                  Comment

                  • #39
                    Re: Shararatain :)

                    @

                    main waisey sharartii bilkul bhi nai hoon laikin ghalti se kabhi kabhaar zehan mai kuch ultii seedhi baatein ajatii hain..tu yeh nateeja hota hai...:shyy:

                    aik baar school main sari teachers meeting k liye gayii thein...main staff room main gayii tu dekha k un k mobile phones wohein parrey they...jaldii sey jaa kar teen larrkiyoon ko apney saath le ayii..or un sub k mobiles k SIM change kar diye...darr bhi buhut lag raha tha kyunki staff room k bilkul saamney waaley hall main meeting chal rahi thi koi door kholta hum ne dikh hi jana tha...par khair Allah Allah kar k Sims change kar k wahan se nikal gaye....

                    agley din aik teacher kehtii hain pata nai kul merey mobile par Faraaz sahab ki call ayii mujhe hairat howi k unhein mera number kis ne diya..phir dekha tu merey husband ne Madiha ko call kii...pata chala tu sub k Sim kisi ne change kar lii thein....

                    or hum sub maasoomiyat k maarey bachey khamooshii sey suntey rahey..or dil hi dil main hanstey rahey k chalo shukar hai isi chakkar main last 2 periods free miley...:lol:lol
                    .......................!!!!!

                    Comment

                    • #40
                      Re: Shararatain :)

                      baqi insha'Allah araam sey share kartey jayein gey...
                      .......................!!!!!

                      Comment

                      • #41
                        Re: Shararatain :)

                        Shareef laRkiyan, laRkay hotay tou woh mobile unhain kabhi nahin miltay 372-haha

                        Originally posted by bhataktii rooh View Post

                        • #42
                          Re: Shararatain :)

                          Zarooor, intizaar rahay ga :)

                          Originally posted by bhataktii rooh View Post
                          baqi insha'Allah araam sey share kartey jayein gey...
                          sigpic

                          Comment

                          • #43
                            Re: Shararatain :)

                            Originally posted by thefire1 View Post
                            Shareef laRkiyan, laRkay hotay tou woh mobile unhain kabhi nahin miltay 372-haha
                            bhaijaan hum sharafat k hadood mai reh kar sharartein kartii hain...:shyy:
                            .......................!!!!!

                            Comment

                            • #44
                              Re: Shararatain :)

                              Arey yaar itna purana or ghisa pitta tarika,, Har dusra bcha yeh kahani sunata hai....

                              Tum blv kro hum ney esi esi harkty ki hain Allah Maaf kry...

                              aik bta deta hun.. jab hum choty thy about in 6 or 7class to ramzan mein hum sab gli k bchy gather ho kar masjid jaya krty thy Taravio mein or jab hum mein say koi namaz start kar deta tha to uss ki Pent ya Shilwar utar k bhaag jaya krty thy.

                              Kabhi esa hota k jo bechara Cycle py ata us k tyro ki hawa nikal dete thy..

                              Or bhi pta nahi esi kitni hain jo yahan share nahi kar skta

                              Comment

                              • #45
                                Re: Shararatain :)

                                Assalaam-O-Alaikum

                                Hum nay shararat aur badtameezi main humesha farq rakha hay, tameez kay dairay aur aisi koi harqat nahin ki jo ikhlaaq say giri hoyee hoo, yehi waja hay kay main nay apni THREAD ka naam SHARARATIN rakha BADTAMEEZIYAN nahin.....

                                Aap jay comments ka bohat bohat shukriya, MASJID ka ehtiraam hum sab per laazim hay, apni harkat per nidamat karain aur ASTAGFAAR paRhain aur ALLAH SWT say apnay kiye ki muafi maangain, ALLAH SWT hum sab ko sahi raah per chalnay ki toufeeq ata farmayay AMEEN

                                Fi amaan ALLAH
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X