Zindagi aik nemat hai
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Zindagi Aik Nemat Hai
Collapse
X
-
Zindagi Aik Nemat Hai
tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lageyTags: aap, aasan, aata, aik, aisa, aisi, allah, ap, apne, apney, apni, apny, aur, awaz, baad, baar, baat, bach, bachne, bahar, baithey, bethe, bhar, bhe, bhi, bohat, cheez, chor, color, daal, dard, darwaza, dee, dekhein, depression, detey, diya, door, dukh, duniya, font, gun, guzar, hai, hain, halaat, ham, hamari, haraam, hasil, hathon, hazor, hein, hey, ho, hon, hoo, hoon, hota, hote, hotey, hoti, hukam, huwa, ikhtiyar, insaan, insan, isi, itna, itni, jaaa, jaan, jab, jaey, jahan, janey, jata, jati, jis, jiski, jo, kaam, kaha, kai, kamyab, kar, karney, kay, keh, ker, kerna, kerta, key, kha, khabar, kharab, khatam, kho, khud, khuda, khudkhushi, khudkushi, ki, kis, kisi, kiya, ko, koi, kuch, ky, kya, lay, lekin, lerki, lete, letey, liay, likh, liye, log, logo, logon, magar, mai, main, majboor, majbooriyon, maut, mayoosi, mei, mein, mera, meri, mil, milti, ms, muqabla, muqaddar, mushkil, mushkilaat, nahe, nahi, nahi hota, nahin, nawaz, nazdeek, ney, ny, paas, par, pass, pegham, pehla, poor, qadam, qadar, quo, raasta, raha, rasta, reh, rehta, rose, sa, sab, saba, sabat, sahe, sahi, sakti, samajh, san, sans, sawaal, saza, se, sey, shaks, shayed, shukar, silsila, size, size=, soch, sura, surat, tala, ta
-
Re: Zindagi Aik Nemat Hai
Yay sahe ha ky zindage aik naimat hai mager kuch logo ko zindage ma itny deukh milty hain ky un ki bardast sy bahar ho jaaaty hain isi liay vo is zindage ko majboran apny hathon khatam ker deety hain..
Mager zindage jese naimat ko apny hatoon khatam kerna kise surat bhe ja'iz to nahe hai..
-
Re: Zindagi Aik Nemat Hai
Jee theek kaha zindagi ik naymat hay ager hum is ka gala ghont day to hum guna gaar hojain gay
Comment
-
Re: Zindagi Aik Nemat Hai
assalam alaikum
bilkul sahi kaha. zindagi Allah Ta'ala ki ata karda aik besh qeemat nemat hai aur isay apnay haathon khatam karna kisi soorat jaayez nahi.
taalib e dua
jo bhi maangna hai khuda se maang aye akbar
yahi woh dar hai jahan aabroo nahi jaati
Comment
-
Re: Zindagi Aik Nemat Hai
jo log khuda ko bhoole bethe hote hain, apne Dard dukh apni pereshaniou se Bezaar hojaate hain, un logou kai pass aur koi raasta nahi hota aur wo Khudkhushi ker lete hain...wajah yeh hi hoti hai kai mayoosi unko khuda se door le jaati hai aur wo apne apko halaat se Muqabla ker nahi sakte.
Comment
-
Re: Zindagi Aik Nemat Hai
Originally posted by aik_lerkiYay sahe ha ky zindage aik naimat hai mager kuch logo ko zindage ma itny deukh milty hain ky un ki bardast sy bahar ho jaaaty hain isi liay vo is zindage ko majboran apny hathon khatam ker deety hain..
Mager zindage jese naimat ko apny hatoon khatam kerna kise surat bhe ja'iz to nahe hai..
Main un logon ki majbooriyon ko samajhta hoon, magar mera sab sey pehla dhiyaan Allah Tala key us hukam par jata hai keh "jis ney meri balaoun par shukar kiya jo main ney muqaddar ki hain to main ussey ameeno mein likhta hoon".
Allah Tala sab ko sabat-qadam rehney ki tofeeq aata farmaein Ameen.tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Zindagi Aik Nemat Hai
Originally posted by aroosajo log khuda ko bhoole bethe hote hain, apne Dard dukh apni pereshaniou se Bezaar hojaate hain, un logou kai pass aur koi raasta nahi hota aur wo Khudkhushi ker lete hain...wajah yeh hi hoti hai kai mayoosi unko khuda se door le jaati hai aur wo apne apko halaat se Muqabla ker nahi sakte.tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Zindagi Aik Nemat Hai
Aap ne sahi kaha ke zindagi ek naimat hai aur aisi naimat jo khuda ne insan ko baksh ker ous per naimton ka silsila jari ker diya, aur zindagi ek her moar per ousey nawazta jata hai. Magar jahan ous ne insan ko itni khushian aur naimtein di hain wahi ousey takleefon main daal ker azmata bhi hai, ab yeh insan per munhasir hai ke wo kis sabit qadmi aur himat se oun pareshanio ka muqabla kerta hai aur zindagi main kamyab rehta hai. Khud- khushi aasan kaam nahi, apni zindagi apni her khushi apney hathon se khatam kerne k liyeh jo himat cahahiyeh hoti hai wo shayed kisi bhi insan ke paas nahi, aur jo log aisa kertey hain wo janey kis zehni dabao, yaan depression ka shikar hotey hain ke oun ke sochne samajhne ki salahiyatein mauf ho jati hain, is liyeh shayed wo is rastey ko ikhtiyar ker letey hain. Magar koi bhi shaks aisa kerne se pehley ek baar itna soch lay ke wo in taklifon se bachne k liyeh jo asan rasta ikhtiyar ker raha hai ous ke baad jayeh ga kaha, apne khuda ke hazor itni sakht nafermani ker kai aur aisa gunnah ker kay wo khuda ke samney kis mou se jayeh ga. Is tarah duniya main to wo kuch nahi ker paya magar aakhrat bhi kharab ker li.sigpic
Comment
-
-
Re: Zindagi Aik Nemat Hai
Apne haathon se zindgi khatm karna...how is it possible...pata nahin kuchh log kaise karte hian....
Zindagi waqe'i Allah swt ki di huwi ne'amat haiKhandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
Hamarey naam ka patthar zaroor milega
Comment
-
Re: Zindagi Aik Nemat Hai
Originally posted by Saima ShaheenAap ne sahi kaha ke zindagi ek naimat hai aur aisi naimat jo khuda ne insan ko baksh ker ous per naimton ka silsila jari ker diya, aur zindagi ek her moar per ousey nawazta jata hai. Magar jahan ous ne insan ko itni khushian aur naimtein di hain wahi ousey takleefon main daal ker azmata bhi hai, ab yeh insan per munhasir hai ke wo kis sabit qadmi aur himat se oun pareshanio ka muqabla kerta hai aur zindagi main kamyab rehta hai. Khuda khushi aasan kaam nahi, apni zindagi apni her khudhi apney hathon se khatam kerne k liyeh jo himat cahahiyeh hoti hai wo shayed kisi bhi insan ke paas nahi, aur jo log aisa kertey hain wo janey kis zehni dabao, yaan depression ka shikar hotey hain ke oun ke sochne samajhne ki salahiyatein maof ho jati hain, is liyeh shayed wo is rastey ko ikhtiyar ker letey hain. Magar koi bhi shaks aisa kerne se pehley ek baar itna soch lay ke wo in taklifon se bachne k liyeh jo asan rasta ikhtiyar ker raha hai ous ke baad jayeh ga kaha, apne khuda ke hazor itni sakht nafermani ker kai aur aisa gunnah ker kay wo khuda ke samney kis mou se jayeh ga. Is tarah duniya main to wo kuch nahi ker paya magar aakhrat bhi kharab ker li.
Beautiful said :) :rose - no more word to say!tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
Comment