Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Zindagi Aik Nemat Hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Zindagi Aik Nemat Hai

    Zindagi aik nemat hai
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Zindagi Aik Nemat Hai

    Yay sahe ha ky zindage aik naimat hai mager kuch logo ko zindage ma itny deukh milty hain ky un ki bardast sy bahar ho jaaaty hain isi liay vo is zindage ko majboran apny hathon khatam ker deety hain..
    Mager zindage jese naimat ko apny hatoon khatam kerna kise surat bhe ja'iz to nahe hai..

    Comment


    • #3
      Re: Zindagi Aik Nemat Hai

      Jee theek kaha zindagi ik naymat hay ager hum is ka gala ghont day to hum guna gaar hojain gay
      http://www.genericviagra2015shop.com/

      Comment


      • #4
        Re: Zindagi Aik Nemat Hai

        assalam alaikum

        bilkul sahi kaha. zindagi Allah Ta'ala ki ata karda aik besh qeemat nemat hai aur isay apnay haathon khatam karna kisi soorat jaayez nahi.

        taalib e dua
        jo bhi maangna hai khuda se maang aye akbar
        yahi woh dar hai jahan aabroo nahi jaati

        Comment


        • #5
          Re: Zindagi Aik Nemat Hai

          jo log khuda ko bhoole bethe hote hain, apne Dard dukh apni pereshaniou se Bezaar hojaate hain, un logou kai pass aur koi raasta nahi hota aur wo Khudkhushi ker lete hain...wajah yeh hi hoti hai kai mayoosi unko khuda se door le jaati hai aur wo apne apko halaat se Muqabla ker nahi sakte.

          Comment


          • #6
            Re: Zindagi Aik Nemat Hai

            main itna hi kahon ga dua kero k koi us jaga na jaye us stage per na jaye jahan khud ko khatam kerna parey

            Comment


            • #7
              Re: Zindagi Aik Nemat Hai

              Originally posted by aik_lerki
              Yay sahe ha ky zindage aik naimat hai mager kuch logo ko zindage ma itny deukh milty hain ky un ki bardast sy bahar ho jaaaty hain isi liay vo is zindage ko majboran apny hathon khatam ker deety hain..
              Mager zindage jese naimat ko apny hatoon khatam kerna kise surat bhe ja'iz to nahe hai..
              Aap ney drust kaha hai keh halaat insaan ko bohat majboor kar detey hain. Zindagi bazaat-e-khud aik imtihaan hai. Dekhein jab ham kisi imtihaan key kamrey mein baithey hotey hain to koi sawaal aasan hota hai to koi mushkil. Magar hamari tayyari bhar-poor hoti hai, to sochney ki baat yeh hai keh zindagi un tmaam imtihano sey bada imtihaan, iskey liye ham ney kya tayyari ki hai?

              Main un logon ki majbooriyon ko samajhta hoon, magar mera sab sey pehla dhiyaan Allah Tala key us hukam par jata hai keh "jis ney meri balaoun par shukar kiya jo main ney muqaddar ki hain to main ussey ameeno mein likhta hoon".

              Allah Tala sab ko sabat-qadam rehney ki tofeeq aata farmaein Ameen.
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: Zindagi Aik Nemat Hai

                Originally posted by aroosa
                jo log khuda ko bhoole bethe hote hain, apne Dard dukh apni pereshaniou se Bezaar hojaate hain, un logou kai pass aur koi raasta nahi hota aur wo Khudkhushi ker lete hain...wajah yeh hi hoti hai kai mayoosi unko khuda se door le jaati hai aur wo apne apko halaat se Muqabla ker nahi sakte.
                Main zati tor par yeh samajhta hoon keh insaan ko us cheez ki qadar nahin jo hasil ho. Jab cheez kho jaey to uski qadar bhalli mehsoos hoti hai. Khudkushi karney walon ko ghaflat ney ghaira huwa hai, unhein Allah Tala key Pegham ki khabar nahin, un key nazdeek yeh aik chor-darwaza hai jis sey guzar kar apni mushkilaat sey jaan chhuraee jaa sakti hai, lekin yeh ghaflat aur haraam ki maut hoti hai, jiski saza bhi aisi hi milti hai.
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #9
                  Re: Zindagi Aik Nemat Hai

                  sub nay bohat accha or sahi kaha

                  Comment


                  • #10
                    Re: Zindagi Aik Nemat Hai

                    Aap ne sahi kaha ke zindagi ek naimat hai aur aisi naimat jo khuda ne insan ko baksh ker ous per naimton ka silsila jari ker diya, aur zindagi ek her moar per ousey nawazta jata hai. Magar jahan ous ne insan ko itni khushian aur naimtein di hain wahi ousey takleefon main daal ker azmata bhi hai, ab yeh insan per munhasir hai ke wo kis sabit qadmi aur himat se oun pareshanio ka muqabla kerta hai aur zindagi main kamyab rehta hai. Khud- khushi aasan kaam nahi, apni zindagi apni her khushi apney hathon se khatam kerne k liyeh jo himat cahahiyeh hoti hai wo shayed kisi bhi insan ke paas nahi, aur jo log aisa kertey hain wo janey kis zehni dabao, yaan depression ka shikar hotey hain ke oun ke sochne samajhne ki salahiyatein mauf ho jati hain, is liyeh shayed wo is rastey ko ikhtiyar ker letey hain. Magar koi bhi shaks aisa kerne se pehley ek baar itna soch lay ke wo in taklifon se bachne k liyeh jo asan rasta ikhtiyar ker raha hai ous ke baad jayeh ga kaha, apne khuda ke hazor itni sakht nafermani ker kai aur aisa gunnah ker kay wo khuda ke samney kis mou se jayeh ga. Is tarah duniya main to wo kuch nahi ker paya magar aakhrat bhi kharab ker li.
                    sigpic

                    Comment


                    • #11
                      Re: Zindagi Aik Nemat Hai

                      hmmm bilkul b nahi jaiz bhai

                      Comment


                      • #12
                        Re: Zindagi Aik Nemat Hai

                        Apne haathon se zindgi khatm karna...how is it possible...pata nahin kuchh log kaise karte hian....


                        Zindagi waqe'i Allah swt ki di huwi ne'amat hai
                        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                        Comment


                        • #13
                          Re: Zindagi Aik Nemat Hai

                          bilkul sahi fermaya saima
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #14
                            Re: Zindagi Aik Nemat Hai

                            Originally posted by Saima Shaheen
                            Aap ne sahi kaha ke zindagi ek naimat hai aur aisi naimat jo khuda ne insan ko baksh ker ous per naimton ka silsila jari ker diya, aur zindagi ek her moar per ousey nawazta jata hai. Magar jahan ous ne insan ko itni khushian aur naimtein di hain wahi ousey takleefon main daal ker azmata bhi hai, ab yeh insan per munhasir hai ke wo kis sabit qadmi aur himat se oun pareshanio ka muqabla kerta hai aur zindagi main kamyab rehta hai. Khuda khushi aasan kaam nahi, apni zindagi apni her khudhi apney hathon se khatam kerne k liyeh jo himat cahahiyeh hoti hai wo shayed kisi bhi insan ke paas nahi, aur jo log aisa kertey hain wo janey kis zehni dabao, yaan depression ka shikar hotey hain ke oun ke sochne samajhne ki salahiyatein maof ho jati hain, is liyeh shayed wo is rastey ko ikhtiyar ker letey hain. Magar koi bhi shaks aisa kerne se pehley ek baar itna soch lay ke wo in taklifon se bachne k liyeh jo asan rasta ikhtiyar ker raha hai ous ke baad jayeh ga kaha, apne khuda ke hazor itni sakht nafermani ker kai aur aisa gunnah ker kay wo khuda ke samney kis mou se jayeh ga. Is tarah duniya main to wo kuch nahi ker paya magar aakhrat bhi kharab ker li.

                            Beautiful said :) :rose - no more word to say!
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #15
                              Re: Zindagi Aik Nemat Hai

                              Thnx Aamir and Masood :) :rose


                              To aap log mujh se calsses leney kab aa rahey hain :D
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X