Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kia Hum Buray hein?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Kia Hum Buray hein?

    Originally posted by Xai View Post
    bijli k jhatkey laga detey hein /

    Meyra khayal hai k hamein, her aik ko, itna strong hona chahiye k hamara asar hamarey sath logon pey perh sakey. bilkul issi tarhan jaisey aik pathar jab ham paani mey daaltey hein tau pehley sirf wahi jaga jahan pathar girta hai, paani harkat mey ata hai, lehrain peyda hoti hian, phir ye lehrein pheyl jati hai aik circle ki surat mey, aur ye ham jaantey hien k jitna zaur sey pathar paani mey giraya jaye utni hi ziada lahrein peyda hoti hain.
    waah zinia sis kia baat ki he teddy bilkul theek kaha ap ne ... aj hum message phelayein ge..or kal wo jin pe humari baaton ka asar hua ...or phir aise ye phelta chala jaye ga is generation me bhee or next generation me bhee.. .. likin message convey karne se pehle humein khud ko bhee to sanwarna pare ga na...acha kaam apne ghar se shuru kiya jata he or phir us par bahir ja kar amal kiya jata he .... to ab se kisi ne bhee PG par corruption karne ki koshish ki to hum usay baht marein ge





    Originally posted by MSA View Post
    wo me ne kuch religious prg me suna tha k aisa waqt aye ga...to inshaAlla aye ga....kaisa aae ga??,,,obviously hum log hi kuch kurein ge....aur bhagawat ho gi..:lol...is generation me na sahi agli me..per kurein ge awam hi...jub zulm hud se berh jae ga....

    aur leader hum me se hi ho ga...per jub tuk wo leader naih ho ga us waqt tuk wo kuch nahi kur sakta

    Religious prg ki to baat hi nahi karein ... wo to pata nahi kia kia kehte hein :donno: abhi pichle dino me ne aik prg me suna ke shrimps or prawns haraam hein ... ab mein muslim country me rehti hu jahan har haraam cheez ban he ya sirf non-muslims ke lye available he ..research ke baad pata chala :mm: unho ne ghalat kaha tha

    baghawat to karni pare gi ab chahe wo abhi ho ya kal... har daur me hi aise hi chalta aya he..jab tak koi awaz nahi uthaye ga kuch nahi hosakta he or awaz sirf aik bande ki nahi uthni chahye awaz jab qaum ki uthe gi to kisi me itni himat nahi hogi ke us awaz ko duba sake

    Comment


    • #47
      Re: Kia Hum Buray hein?

      Originally posted by mano_billi View Post
      waah zinia sis kia baat ki he teddy bilkul theek kaha ap ne ... aj hum message phelayein ge..or kal wo jin pe humari baaton ka asar hua ...or phir aise ye phelta chala jaye ga is generation me bhee or next generation me bhee.. .. likin message convey karne se pehle humein khud ko bhee to sanwarna pare ga na...acha kaam apne ghar se shuru kiya jata he or phir us par bahir ja kar amal kiya jata he .... to ab se kisi ne bhee PG par corruption karne ki koshish ki to hum usay baht marein ge

      theek hai un logoN k sath Hitler ki tarhan peysh ayein gey
      kya kehti ho
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #48
        Re: Kia Hum Buray hein?

        haan theek he unko garam garam oven me daal ke roast kar dein ge phir pehle ki halat dekh ke kisi dusre ki himat nahi ho gi wohi ghalti repeat karne ki
        Last edited by mano_billi; 19 April 2009, 12:20.

        Comment


        • #49
          Re: Kia Hum Buray hein?

          Originally posted by mano_billi View Post
          haan theek he unko garam garam oven me daal ke roast kar dein ge phir pehle ki halat dekh ke kisi dusre ki himat nahi ho gi wohi ghalti repeat karne ki
          leykin saza order kerney sey pehley logon ko educate kerna zaroori hota hai ta key un ko pata tau ho k un ko saza kis baat pey mil rahi hai ..hai na?
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #50
            Re: Kia Hum Buray hein?

            jee ye bhee theek he phir pehle kis ko pakrein educate karne ke lye

            Comment


            • #51
              Re: Kia Hum Buray hein?

              Originally posted by mano_billi View Post
              likin siso agar aik banda sach bolta he Khuda ki batayi hui raah par chalta bhee he to dunya usi ko uth ke pathar marti he ke dekho ye kidhar se molvi agaya ... humara mulk bhee baqi mulkon ki tarah taraqi kyu nahi kar raha? hum aj bhee wahi hein jahan 1947 me the :donno: itnay salon me hum ne kia paya he kia khoya he? :donno:


              allah tallah farmaate hain ke Imaan lane wale bohat log hote hain. Normally Zuban se sab imaan la chuke hain lekin AMLAN aisya Imaan lane waale log bohat kam hain.


              akser log (muslims) shirk ker rahe hain. Jo bootou ki pooja to nahi lekin..khuda se ziada kisi insaan per ya kisi chiez per bharosa rakhte hain.
              Last edited by *Samra*; 20 April 2009, 15:20.

              Comment


              • #52
                Re: Kia Hum Buray hein?

                haaan cuckoo apee ye to theek kaha u ne :mm: ab dekhein pakistan ki half population ki aunties jadu waghera ke peeche lagi hui hein or baki ke thore baht log mazaaro pe ja ke mannatein mangne mein ... :fuming: taraqi kis ne karni he in me se :lahoul:

                Comment


                • #53
                  Re: Kia Hum Buray hein?

                  Originally posted by D@y W@lk3r View Post
                  main to saaf kheta hoon kay main bohat bora hoon..............mager munday sialkoty say kaam

                  372-haha
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #54
                    Re: Kia Hum Buray hein?

                    Comment


                    • #55
                      Re: Kia Hum Buray hein?

                      Originally posted by mano_billi View Post
                      Asalam o alaikum...


                      fifi hazir he ap sab ke khidmat me ...

                      mere brain me aik sawaal aya he... socha ap logon se share karu...
                      Aj kal ke daur me itni burayii kyu he? hum jidhar nazar doratay hein har jaga burayi hi nazar ati he Pakistan me... jhoot , farayb , dhoka , rishwat A-Z har kism ki burayi mile gi..

                      Jis des ki bunyad hi Iman ki eent rakhi gayi to aj wohi des kis taraf ja raha he? rishwat ke bagher koi kaam nahi karwa sakta... sifarish ke bina koi taraqi nahi kar sakta... jahan waasta lagwaya waha se ap nikal gaye.. koi sincerity kyu nahi milti kisi bhe jaga pe?

                      shopping karne jao to dukaandaar alag dhoka dete hein gandi cheez de ke.. government alag lagi hui he logon ko bewaquf banane me

                      akhir burayi he kis me hum mein? ya system me?

                      jab kisi se pucha jata he ke ye bura kaam kyu kar raha he to wo apne ayb chupane ke lye system ko hi kyu blame karta he?

                      hum bure nhi bhanji... :D: humari niyaatain buri hein :lahoul



                      Comment


                      • #56
                        Re: Kia Hum Buray hein?

                        Originally posted by Khala@Saleema View Post
                        hum bure nhi bhanji... :D: humari niyaatain buri hein :lahoul

                        thek kaha ap ne khala aj hum jo bhe paa rahe hein apni niyaton ki waja se hi paa rahe hein :lahoul dunya mafaqaat e amal he.. jo bo ge wohi kaato ge

                        Comment


                        • #57
                          Re: Kia Hum Buray hein?

                          تم برے ہو اگر تو
                          جہاں میں اچھا کوءی نہیں
                          [FONT="Arial Black"]Mr. Khalil How much Fake IDs would you make in Pegham... ?

                          See you Real Face in here 372-shed

                          Muhammad Khalil's Real Face [/FONT]

                          Comment


                          • #58
                            Re: Kia Hum Buray hein?

                            Originally posted by Insaaan View Post
                            تم برے ہو اگر تو


                            جہاں میں اچھا کوءی نہیں

                            apka matlab mein achi hu

                            Comment


                            • #59
                              Re: Kia Hum Buray hein?

                              Originally posted by mano_billi View Post
                              apka matlab mein achi hu
                              mano tumhara matlab hum waqa'ae buray heiN

                              Comment


                              • #60
                                Re: Kia Hum Buray hein?

                                Originally posted by MSA View Post
                                mano tumhara matlab hum waqa'ae buray heiN
                                haan mano batao na kia msa waqai itna bura hai

                                aur agar yeh waqai itna bura bhi hai to is maiN mind karnay wali kaun si baat hai
                                That's Enough...!!

                                Comment

                                Working...
                                X