Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kia Hum Buray hein?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Kia Hum Buray hein?

    buhat acha topic hay.
    [FONT="Arial Black"]Mr. Khalil How much Fake IDs would you make in Pegham... ?

    See you Real Face in here 372-shed

    Muhammad Khalil's Real Face [/FONT]

    Comment

    • #32
      Re: Kia Hum Buray hein?

      shukriyaaa :D

      likin kuch bolein bhee to is topic pe 372-scare

      Comment

      • #33
        Re: Kia Hum Buray hein?

        Originally posted by mano_billi View Post
        :rose humein bhee aik acha leader mile ga kabhi na kabhi :tasali: jab tak nahi milta tab tak hum khud leader ban jate hein ... buray kaam hum sab mil ke karna chorein ge...agay se bache karna chorein ge...to adha pakistan to theek ho hi jaye ga na :donno:
        han inshaAllah....
        lekin aik aise shaks se jis ko din me 2 waqt ki roti na mile...jis ki behan ki shadi jehez na hone ki waja se na ho rahi ho...jis k pas ilaj k lie paise na ho k apni maa ka ilaaj kur wa sake....wo kia yeh prefer kure ga k wo kunda na dale aur proper billing kure KESC ki??? jub k us k leader ya kuch political parties k supporter k han sirre se billing ka koi concept hi na ho:donno:
        (han agur us ne apni istatatt se zyada cheezein li hoi he to yeh us ka weak point he)

        u ne laal band ka song "ummid'e'sahar ki bat" to suna aur dekha hi ho ga....wo aadha song to reality pe he but akhir ka aadha reality pe nahi....in case agur koi bunda aisa kurta he to koi awam uth k nahi aati...us bunde ko jail hi hoti he in the end...just like the person who hit bush with his shoes...

        so "ik nukte di gal mukdi he"....khud'dar aur mukhlis leader.....

        Comment

        • #34
          Re: Kia Hum Buray hein?

          humein koi aisa leader chahye ho ga jo sab se pehle akay poverty jaisi lanat ko khatam to nahi likin control kar sake ... mere khayal se sab burayan ki base hi ghurbat he... Insan ke dimagh me aisi cheezon ki hawas tab janam leti he jab wo ghurbat se tang ajata he...mehngayi jab tak qamar torti rahe gi har ghareeb insan apni qamar bachane ke lye hath payr chalaye ga he naa? :donno:

          Comment

          • #35

            han na...to wahi leader hi chaie na...
            lekin yeh jo feudal lords he na pakistan me....wo aisa kabhi nahi hone dein ge..akhir agur aik ghareeb ka bachab hi oxford se perh k aae ga to un k bacho me aur us me kia differene reh jay ga???...
            jub awam k paet bhare houn ge....to wo soche ge bhi...aur phir wo un k jalso me nare lagane bhi nahi aaein ge:D

            kher...!!!!!!
            aik din aye ga....:D...

            Comment

            • #36
              Re: Kia Hum Buray hein?

              han hum bury hain:(

              Comment

              • #37
                Re: Kia Hum Buray hein?

                Originally posted by MSA View Post

                feudal system to azaadi se bhee pehle ka chala araha he na :donno: is pe kase qabu paya ja sakta he :yy: mere khyal se in sab cheezon ka torh ab education hi he :(
                likin aik ghareeb ke bache agar educated bhe ban jayein ge to kia karein ge unhi feudal lords ki ghulami??

                Comment

                • #38
                  Re: Kia Hum Buray hein?

                  Originally posted by mano_billi View Post
                  Asalam o alaikum...

                  fifi hazir he ap sab ke khidmat me ...

                  mere brain me aik sawaal aya he... socha ap logon se share karu...
                  Aj kal ke daur me itni burayii kyu he? hum jidhar nazar doratay hein har jaga burayi hi nazar ati he Pakistan me... jhoot , farayb , dhoka , rishwat A-Z har kism ki burayi mile gi..

                  Jis des ki bunyad hi Iman ki eent rakhi gayi to aj wohi des kis taraf ja raha he? rishwat ke bagher koi kaam nahi karwa sakta... sifarish ke bina koi taraqi nahi kar sakta... jahan waasta lagwaya waha se ap nikal gaye.. koi sincerity kyu nahi milti kisi bhe jaga pe?

                  shopping karne jao to dukaandaar alag dhoka dete hein gandi cheez de ke.. government alag lagi hui he logon ko bewaquf banane me

                  akhir burayi he kis me hum mein? ya system me?

                  jab kisi se pucha jata he ke ye bura kaam kyu kar raha he to wo apne ayb chupane ke lye system ko hi kyu blame karta he?

                  mano... bohat acha topic he... :thmbup:

                  baat wohi he na.... ke hum log... apni kotahiya nahi dehkte,apne gire baan mai nahi jhaangte ... sab log dolat ke piche bhaag rahe hain...

                  koi bhi Khuda ki tarf nahi jaraha....to pihr khuda ka Fazal aur rehmat kaise ho

                  Comment

                  • #39
                    Re: Kia Hum Buray hein?

                    Originally posted by *Kashish* View Post
                    mano... bohat acha topic he... :thmbup:

                    baat wohi he na.... ke hum log... apni kotahiya nahi dehkte,apne gire baan mai nahi jhaangte ... sab log dolat ke piche bhaag rahe hain...

                    koi bhi Khuda ki tarf nahi jaraha....to pihr khuda ka Fazal aur rehmat kaise ho

                    likin siso agar aik banda sach bolta he Khuda ki batayi hui raah par chalta bhee he to dunya usi ko uth ke pathar marti he ke dekho ye kidhar se molvi agaya ... humara mulk bhee baqi mulkon ki tarah taraqi kyu nahi kar raha? hum aj bhee wahi hein jahan 1947 me the :donno: itnay salon me hum ne kia paya he kia khoya he? :donno:

                    Comment

                    • #40
                      Re: Kia Hum Buray hein?

                      Originally posted by MSA View Post
                      w'salam...

                      hur urooj ko zawal hota he....kabhi musalman urroj pe thay phir deen se dorri,aur lalach o hirs o hawis ka shikar hogay...to ajj is mukam pe he...aik waqt aye ga jub sub phir se aim ummat bun k ubrhein ge....
                      ajj kal jo situation he us ki main waja yahi he k hamein aik mukhlis aur khud'dar leader nahi mila....ajj k leader ko dekh k awam yahi sochti he k jub leader yeh kur sakta he to hum kyun nahi....aik perfect role model nahi mila hamein koi...aur jo UNIVERSAL role model's he....Hazrat Muhammad (SAW) un ki taleemat se hum dor hote ja rahe he.....

                      lekin is ka hargiz yeh mutlub nahi k hum pakistan ko chor k chale jay...yeh hamara apna mulk he aur hame is ki aik aik cheez se pyar hona chahie....is cheez k bur'uks k wo sahi he k galat...hamein apne watan ko bura nahi kehna chaie aur sath sath isse achay banane k lie sochna aur jahan tuk ho sake umul kurna chahie...

                      "millat k sath rabta istawar rakh
                      pewasta reh shajr se umeed'e'bahar rakh"
                      Aik waqt aeysa aye ga? Agar hamari yahi halaat rahi jo aaj hai tau kya wo waqt aa jaye ga? aye ga bhi ya nahi? Insaan apney aap ko khud badalta hai, waqt uss ko nahi badalta hai :-)

                      Leader pluto sey tau nahi ana, issi mulk ka koi jeeta jagta insaan ho ga, ham hi mey sey :-)

                      exactly!

                      Originally posted by mano_billi View Post
                      zeni sis me ne kaha aj sab ki dukhti vein par haath rakh ke dekhu kia hota he :mm:

                      system ko khraab karne wale bhee hum log hein likin itna kuch kar ke bhee herat he koi apne uper ilzaam nahi lena chahta :donno: ye qaum kamzor nahi he wo ye puri dunya dekh chuki he jaise humare lawyers ne apne rights wapis lye or qaum ne unka saath dya akhir me jeet sach ki hui :salam: ... bas aise hi thora sa jazba or chahye apni qismat sanwarne ke lye...
                      jis leader se hi nahi balke us ke neeche jitne bhee log chahe wo tea boy hi kyu na ho jahan hota he wahan se corruption karta he and in the end kaha jata he yahan sab aise hi chalta he :donno:
                      Originally posted by ballay_baaz View Post
                      corruption is not only nuisance for pakistani people it is everywhere across the world.
                      Mey umeed kerti hun k aap ka ye matlab hargiz nahi ho ga k agar dunya bhar mey corruption mey ho rahi hai tau Pakistan mey honey sey kya harj hai??

                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment

                      • #41
                        Re: Kia Hum Buray hein?

                        dil to karta he sab ko maar maar ke insan bana du likin kash aisa hosakta ab to log itne dheet hogaye hein kaan me lice bhee nahi reengti akhir kiya kia jaye inka :donno:

                        Comment

                        • #42
                          Re: Kia Hum Buray hein?

                          Originally posted by mano_billi View Post

                          dil to karta he sab ko maar maar ke insan bana du likin kash aisa hosakta ab to log itne dheet hogaye hein kaan me lice bhee nahi reengti akhir kiya kia jaye inka :donno:
                          bijli k jhatkey laga detey hein /

                          Meyra khayal hai k hamein, her aik ko, itna strong hona chahiye k hamara asar hamarey sath logon pey perh sakey. bilkul issi tarhan jaisey aik pathar jab ham paani mey daaltey hein tau pehley sirf wahi jaga jahan pathar girta hai, paani harkat mey ata hai, lehrain peyda hoti hian, phir ye lehrein pheyl jati hai aik circle ki surat mey, aur ye ham jaantey hien k jitna zaur sey pathar paani mey giraya jaye utni hi ziada lahrein peyda hoti hain.
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment

                          • #43
                            Re: Kia Hum Buray hein?

                            Originally posted by Xai View Post
                            Aik waqt aeysa aye ga? Agar hamari yahi halaat rahi jo aaj hai tau kya wo waqt aa jaye ga? aye ga bhi ya nahi? Insaan apney aap ko khud badalta hai, waqt uss ko nahi badalta hai :-)

                            Leader pluto sey tau nahi ana, issi mulk ka koi jeeta jagta insaan ho ga, ham hi mey sey :-)

                            exactly!

                            wo me ne kuch religious prg me suna tha k aisa waqt aye ga...to inshaAlla aye ga....kaisa aae ga??,,,obviously hum log hi kuch kurein ge....aur bhagawat ho gi..:lol...is generation me na sahi agli me..per kurein ge awam hi...jub zulm hud se berh jae ga....

                            aur leader hum me se hi ho ga...per jub tuk wo leader naih ho ga us waqt tuk wo kuch nahi kur sakta

                            Comment

                            • #44
                              Re: Kia Hum Buray hein?

                              Originally posted by mano_billi View Post
                              Asalam o alaikum...

                              fifi hazir he ap sab ke khidmat me ...

                              mere brain me aik sawaal aya he... socha ap logon se share karu...
                              Aj kal ke daur me itni burayii kyu he? hum jidhar nazar doratay hein har jaga burayi hi nazar ati he Pakistan me... jhoot , farayb , dhoka , rishwat A-Z har kism ki burayi mile gi..

                              Jis des ki bunyad hi Iman ki eent rakhi gayi to aj wohi des kis taraf ja raha he? rishwat ke bagher koi kaam nahi karwa sakta... sifarish ke bina koi taraqi nahi kar sakta... jahan waasta lagwaya waha se ap nikal gaye.. koi sincerity kyu nahi milti kisi bhe jaga pe?

                              shopping karne jao to dukaandaar alag dhoka dete hein gandi cheez de ke.. government alag lagi hui he logon ko bewaquf banane me

                              akhir burayi he kis me hum mein? ya system me?

                              jab kisi se pucha jata he ke ye bura kaam kyu kar raha he to wo apne ayb chupane ke lye system ko hi kyu blame karta he?

                              Comment

                              • #45
                                Re: Kia Hum Buray hein?

                                haaw haye shela ye kia tha

                                Comment

                                Working...
                                X