Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sharab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Sharab

    Aslamoalikum:salam:

    thread ka tytle dekh kar shaed ap pareshan ho jaen k aj senorita ko kia ho gya he..kesi buri cheez ka naam le lia:embarasse...mazrat...lekin me ne last days kuch books parhen apne seyasat danon k bare me,poets k bare me,army Gens k bare me to mujhe aik cheez bohat numaya nazar aei k in me zeada tar log sharab peete the or peete hen:mm:aik muslim mulk or muslims ho kar....aik bilkul haram or mamnooh cheez akher kion?jitna pig khana haram he utna hi sharab peena bhi haram he.lekin pakistan me bohat se log is shughal ko apnaey huey hen jin me bohat se shurfaa bhi ate hen:mm:

  • #2
    Re: Sharab

    Originally posted by senorita View Post

    Pakistan mein Sharab aam nahi he, atleast mein ne kabi bhi kisi achay hotel mein bhi nahi dekhi.

    2 Islamic countries UAE aur EGYPT jana hua mera wahan pe Sharab bohat aam he. Especially Abu Dhabi Airport pe he bar banai gai he. Dubai ke hotels mein Sharab aam milti he, Duty Free Shops mein. Egypt mein her almost her achay hotel mein. Pakistani Airlines mein nahi dekhi lekin Itehad Airlines jo ke UAE based he wahan pe sharab serve ki jati he aur hamaray muslim bhai shookiyaa peetay huay dikhai dete hein. Sharam ki baat he ke loog haram cheez ko baray fakhar ke saath noosh kerte hein
    :thmbup:

    Comment

    • #3
      Re: Sharab

      Originally posted by munda_sialkoty View Post

      zeada tar log jo hamaen govern kar rahe hen wo sab is lat ka shikar hen....zeada tar poets peete hen......or ham log ese logon ko elect bhi karte hen or staish bhi karte hen:donno:kia sharab peena koi mamooli or choti bat he?or pakistan me ache hotels me peene walon ko mil jati he....kia ye aik kabal-e-nafrat baat nahi honi chaey:donno:

      Comment

      • #4
        Re: Sharab

        Originally posted by senorita View Post
        zeada tar log jo hamaen govern kar rahe hen wo sab is lat ka shikar hen....zeada tar poets peete hen......or ham log ese logon ko elect bhi karte hen or staish bhi karte hen:donno:kia sharab peena koi mamooli or choti bat he?or pakistan me ache hotels me peene walon ko mil jati he....kia ye aik kabal-e-nafrat baat nahi honi chaey:donno:
        Sharab peenay walay per Allah khud lanat baijta he kuriye. Sub kuch mil jata he, per phir bhi Pakistan mein yahan pe sharab ke license sirf Christians ko he miltay hein. Aur Muslims tak in ki rasai aasan ho jati he. Sharab ban honi chahiye, but unfortunately yeh Saudi Arabia mein bhi easily available he.

        Mere khyaal se jo sharaab peeta he usay rubber ki gooliyaan maarni chahiyein, ta ke wo zinda buch jaye lekin ainda sharab ko haath na lagaye 372-haha372-haha
        :thmbup:

        Comment

        • #5
          Re: Sharab

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          Sharab peenay walay per Allah khud lanat baijta he kuriye. Sub kuch mil jata he, per phir bhi Pakistan mein yahan pe sharab ke license sirf Christians ko he miltay hein. Aur Muslims tak in ki rasai aasan ho jati he. Sharab ban honi chahiye, but unfortunately yeh Saudi Arabia mein bhi easily available he.

          Mere khyaal se jo sharaab peeta he usay rubber ki gooliyaan maarni chahiyein, ta ke wo zinda buch jaye lekin ainda sharab ko haath na lagaye 372-haha372-haha
          mujhe nahi maloom k rubber ki goliyan mari jaen ya islam me kia saza he lekin is ki sakht muzamat karni chaey or qabal-e-nafrat samjhna chaey peene wale ko...me ne Gen Yahya k bare me book parhi n i was shocked k wo itna drink karta tha k apne hosh me nahi rehta tha or esa shaks Pakistan ka hukmaran raha....pakistan ka matlab..la ilaha or ham par ese ghaleez or dirty log hakoomaten karte hen.....:(mera dil bohat bura hua

          Comment

          • #6
            Re: Sharab

            Originally posted by senorita View Post
            Aslamoalikum:salam:

            thread ka tytle dekh kar shaed ap pareshan ho jaen k aj senorita ko kia ho gya he..kesi buri cheez ka naam le lia:embarasse...mazrat...lekin me ne last days kuch books parhen apne seyasat danon k bare me,poets k bare me,army Gens k bare me to mujhe aik cheez bohat numaya nazar aei k in me zeada tar log sharab peete the or peete hen:mm:aik muslim mulk or muslims ho kar....aik bilkul haram or mamnooh cheez akher kion?jitna pig khana haram he utna hi sharab peena bhi haram he.lekin pakistan me bohat se log is shughal ko apnaey huey hen jin me bohat se shurfaa bhi ate hen:mm:

            Walikum Assalam...

            Asul mein unho ne wo gana suna huwa he
            "Jo waha pio to Halal he jo yahan pio to haram he"

            waisi mein ne suna he 25th dec ko itni sharab christian nahi kharedte jitni musalman khardte hein

            Comment

            • #7
              Re: Sharab

              Originally posted by MSA View Post

              han musalman ab bohat sari christians wali rasumaat or adaten apnanae lag gaey hen...velentine,new year waghera n phir drink:donno:

              Comment

              • #8
                Re: Sharab

                Originally posted by senorita View Post
                han musalman ab bohat sari christians wali rasumaat or adaten apnanae lag gaey hen...velentine,new year waghera n phir drink:donno:
                to yeh sub to app k culture pe thope ja rahein hein through media....pakistani culture pe indian culture superimpose ho raha he....aur indian media to copy he western media he...:D

                inhi sub hurkato ki waja se hi to musalman ajj sharminda'e'tabeer ho rahe hien 372-haha

                Comment

                • #9
                  Re: Sharab

                  yeh baat mujhe aaj se nahiIn ek zamaane se parishaan kar rahii hai k in naam nihaad muslims kitne bad-qismat haiN k islam jaisaa kohinoor haath meN de diyaa Allah ne ek muslim ghar emN paida kar ke magar unhoN ne us ko to kia giraate nagar Khud Ghalaazat emN gir gaye...kaafii muslim haiN aise jo sharaab peene kushaadgii-e-zehn honaa samajhte haiN aur Khud ko advanced, progressive, modern samajhte haiN...samajhte haiN to samjehN magar kab tak...jald hii vo waqt aayegaa jab is dunaaya ko chhoR us dunyaa ko sidhaarnaa hogaa phir Allah ke saamne yehii javaaz pesh kareNge? Allah aise logoN par la'nat bhejtaa hai, farishte bhejte haiN aur ham bhii bhejte haiN...Allah unko yaa to hidaayat de de yaa phir unko nest o naabood kar de, Ghaarat kar de...aameen

                  Fall view from inside my car
                  near my work place :)

                  Comment

                  • #10
                    Re: Sharab

                    Originally posted by MSA View Post
                    to yeh sub to app k culture pe thope ja rahein hein through media....pakistani culture pe indian culture superimpose ho raha he....aur indian media to copy he western media he...:D

                    inhi sub hurkato ki waja se hi to musalman ajj sharminda'e'tabeer ho rahe hien 372-haha
                    to kia ghalat baten jo ho rahi hen ham un ko rok nahi sakte:mm:

                    Comment

                    • #11
                      Re: Sharab

                      Originally posted by senorita View Post
                      mujhe nahi maloom k rubber ki goliyan mari jaen ya islam me kia saza he lekin is ki sakht muzamat karni chaey or qabal-e-nafrat samjhna chaey peene wale ko...me ne Gen Yahya k bare me book parhi n i was shocked k wo itna drink karta tha k apne hosh me nahi rehta tha or esa shaks Pakistan ka hukmaran raha....pakistan ka matlab..la ilaha or ham par ese ghaleez or dirty log hakoomaten karte hen.....:(mera dil bohat bura hua
                      Jub tumhein pata chala ke mein drinking nahi kerta, tub tumhara dil kitna acha hua :embarasse
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #12
                        Re: Sharab

                        Originally posted by senorita View Post
                        to kia ghalat baten jo ho rahi hen ham un ko rok nahi sakte:mm:
                        abb nahi rok sukte....abb khud ruk jay wohi buhat he.....:khi:

                        Comment

                        • #13
                          Re: Sharab

                          Originally posted by SherAli View Post
                          yeh baat mujhe aaj se nahiIn ek zamaane se parishaan kar rahii hai k in naam nihaad muslims kitne bad-qismat haiN k islam jaisaa kohinoor haath meN de diyaa Allah ne ek muslim ghar emN paida kar ke magar unhoN ne us ko to kia giraate nagar Khud Ghalaazat emN gir gaye...kaafii muslim haiN aise jo sharaab peene kushaadgii-e-zehn honaa samajhte haiN aur Khud ko advanced, progressive, modern samajhte haiN...samajhte haiN to samjehN magar kab tak...jald hii vo waqt aayegaa jab is dunaaya ko chhoR us dunyaa ko sidhaarnaa hogaa phir Allah ke saamne yehii javaaz pesh kareNge? Allah aise logoN par la'nat bhejtaa hai, farishte bhejte haiN aur ham bhii bhejte haiN...Allah unko yaa to hidaayat de de yaa phir unko nest o naabood kar de, Ghaarat kar de...aameen
                          ameen
                          lekin ese logon ki waja se sab par Allah ka ghusa nazail hota he to ham kitne kasoor war hen is tarah ki baton me?:mm:ager koi hamare samne koi bura kaam kare to ham khamoshi ikhtyar kar lete hen k hamen kia:donno:bure ko bura kehna chor dia gya he is leay burai karne wale kisi ka dar ya sharam mehsoos nahi karte:mm:

                          Comment

                          • #14
                            Re: Sharab

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            Jub tumhein pata chala ke mein drinking nahi kerta, tub tumhara dil kitna acha hua :embarasse
                            Allah na kare jo ap ya yahan ka koi member esi neech harkaten kare....:lahoul

                            Comment

                            • #15
                              Re: Sharab

                              Originally posted by MSA View Post
                              abb nahi rok sukte....abb khud ruk jay wohi buhat he.....:khi:
                              nahi bure ko zarur bura kahen..ye us k sath bhala ho ga..shaed kabhi us ko burai ka ehsas ho jaey:donno:

                              Comment

                              Working...
                              X