Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Deep Freezer mein zindagi
Collapse
X
-
Re: Deep Freezer mein zindagi
Originally posted by munda_sialkoty View Postbe serious man
Pahlay Canada Ya aisi jagah per mein Kuch Dair Rah kar Daikho Ap Khud Se.
Aisay hi Kisi ko Kuch nahi kahna chahiye , kah wo paisoo'N kay lye rah rahay hai :) .Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
Sadly, common sense is not very common..!!
Comment
-
Re: Deep Freezer mein zindagi
Originally posted by munda_sialkoty View Post
Aap ko thank you kehna to ub muj per faraz ho gaya he. Thank you so much
MenTioN Not jee :)
Aap ki aik baat per mein aik objection raise kerna chahta hoon, aap ne kaha ke canada mein loog paisa kamanay nahi aatay, phir itni thund kyoon bardasht kerte hein loog, paisay ke ilawa wahan pe aur kia charm he???
( doctor nay nahi mana`a kia :) appay hee :) Sachiiiiiiiiii ! )
آپ کے سوال کی طرف آتی ہوں کہ لوگ کینیڈا کیوں رہتے ہیں اتنا رف موسم ہونے کے با وجود، اس میں دو تین باتیں ہیں ، جو اہم ہیں میں اپنے ہی جیسے لوگوں کا ذکر کروں گی ، جن کی تعداد یہاں پر ہزاروں کی صورت ہے ، جو لوگ مشرقِ وُسطیٰ سے یہاں پر ایمیگریشن لے کر آئے ہیں۔ وہ صرف اور صرف بچوں کی اچھی تعلیم! اور کچھ نہیں، اب سوال یہ اُٹھے گا ، جس کا ہمیں بھی سامنا کرنا پڑا یہاں آنے کے فیصلے کو لے کےَ کہ کیا بچے پاکستان میں نہیں پڑھتے، تو جناب ہماری جاننے والی پاکستانی فیملیز ہیں جن کے بچوں نے آنکھ کھولی ہی مُلک سے باہر تھی، وہ وہیں پر برطانوی طرزِ تعلیم حاصل کرتے رہے ، یعنی او لیول یا اے لیول ۔۔کیا ۔۔ اور بڑے اچھے گریڈز میں یعنی کچھ نے تو تینوں مضمونون میں اے لیا تھا وہ بھی کیمبرج یونیورسٹی سے سرٹیفائیڈ۔ جب وہ پاکستان میں پروفیشنل تعلیم ، یعنی ، میڈیکل یا انجینئرنگ کرنے گئے ، وہاں اُن کو اینٹری ٹسٹ دینا تھا، اچھا اُن بچوں نے اسلام آباد کی ایک مشہور اکیڈمی میں ایڈمیشن لیا، کیوں کہ وہ ٹیسٹ پاکستانی سٹینڈرد کا تھا، ٢ سے ٣ ماہ اُنہوں نے تیاری کی امتحان دیا، نتیجہ کیا کہ وہ کلئیر نہیں کر سکےآپ یقین مانیں جن بچوں نے ساری عُمر اچھے گریڈز لیئے ہوں، اور اپنے وطن میں آتے ہی وہ ایک ناکامی کا شکار ہو گئے ہوں، اور اُن میں سے وہ بچے پاس کرگئے، جو کہ اُن سے کم لائق تھے اور ، جنہوں نے لازمی کوئی گھپلے کیئے تھے کیوں کہ ایسی اکیڈمیز سے تو آپ بھی انکار نہیں کریں گے ، جو اپنا ریکارڈ اچھا رکھنےکے لیئے ، کس کس طرح کے راستے اپناتی ہے، حیرانگی تو اس بات پر تھی کہ، جو بچے پاکستانی طرزِ تعلیم پڑھنے کے بعد، پہلے دس نمبرز پر آئے تھے اُن میں سے بھی دو ایک اینٹری ٹیسٹ میں رہ گئے، اب اس طرح کا انصاف یا سلوک اگر ہو گا تو کون والدین، جن کے پاس دوسری آپشن ہو، یہ چاہیں گے کہ میرا بچہ یا بچی اُسی تکلیف دہ عمل سے گُزرےاور پھر بعض اوقات یہ بھی ہوتا ہے کہ بچے اتنے ڈیپریشن کا شکار ہو جاتے ہیں ، کہ یہ ایک ناکامی عُمر کے ایک حصہ تک اُن کے ساتھ رہتی ہے، پاکستان میں رہنے والی،اپنے کالج میں سیکنڈ آنے والی بچھی کے دو سال ضائع ہو گئے پہلا اینٹری ٹسٹ میں رہ جانے کی باعث وہ اتنی ڈیپریشن میں چلی گئی کہ ریکوری ہوتے ٹائم لگا پھر جب اُس نے کسی طور اینٹری ٹیسٹ کلیئر کیا ، تو میڈیکل کالج میں کچھ گھپلوں کی وجہ سے داخلہ نہیں مل سکا ، اور اس طرح وہ دو سال ضائع گئے ، اُس کے بعد ایک بچی اُس نے انجنیئر بننے کے شوق کو ہی الوداع کہہ دیا اور ایم بی اے یا دیگر راستہ اپنایا، بات صرف اتنی ہی ہے کہ، بچوںکی مایوسیوں کی دُنیا میں گھسیٹنے کی بجائے اُن کو فریش ماحول کیوں نا مُہیا کیا جائےتا کہ وہ ایک کامیاب انسان بنیں نا کہ ایک فیلئیر۔۔کا ٹھپہ لے کر ساری عُمر گُزار دیں، میں پھر وہی کہوں گی کی اگر آپشن ہو تو ضرور استعمال کریں کیوں کہ Opportunitiesہر وقت آپ کے در پر دستک نہیں دیتیں ، تو یہ بُنیادی وجہ ہے ہماری یا ہم جیسی اور فیملیز کے کینیڈا آنے کی،،،اب کچھ ایسی بھی فیملیز ہیں یہاں ، جو کہ بچےوالدہ کے ساتھ یہاں ہیں اور تعلیم حاصل کر رہے ہیں ، اور والد صاحب دوبئی ، ابو ظہبی میں اپنی جاب کر رہے ہیں کیوں کہ اُن کا خیال ہے کہ جو آمدنی اُن کو وہاں رہ کر ہو سکتی ہے وہ کینڈا میں رہنے سے نہٰیں ہو سکتی ، اور وہ اس میں صحیح بھی ہیں کیوں کہ وہاں اُن کو ٹیکسز کا کوئی مسئلہ ہی نہیں ، اگر آپ کریہ پر وہاں رہ رہے ہیں تو ، بجلی پانی کا سب خرچہ اُسی کرایہ میں شامل ہے آپ دن رات اے سی چلائیں ، ١٠٠٠ وولت کا بللب لگائیں ( پچھلے برس تک تو ایسا ہی تھا اب کچھ تبدیل ہو گیا ہو تو کچھ نہیں کہہ سکتی) ہم گرمی کی چُھٹیوں میں پاکستان آتے تھے تو ہمٰیں اے سی آن رکھ کے آنا ہوتا تھا جو ہم بخوشی کرتے تھے کیوں کہ ہمیں کچھ الگ سے بل پے نہیں کرنا ہوتا تھا، پھر ہم پاکستان آتے تھے لوگ یورپ سیر کے لیئے جاتے تھے کیوں کہ وہاں سے جانا لوگ افورڈ کر سکتے ہیں ، کینیڈا سے نہیں، یہاں پر اتنے ٹیکسز ہیں کہ جانے ہوا میں سانس لینا کیسے فری ہے یہ سوچنا پڑتا ہے ، ھاسپٹل کی رسائی ، تکیلف دہ حد تک مُشکل، ہاں اگر آپ ایڈمٹ ہو گئے ہیں ، خوشقسمتی سے تو آپ اُن کا بے بی ہوتے ہیں مگر وہی پاکستانی سٹائیل پرچی لے کر بیٹھے رہو! ٦ یا ٧ گھنٹے تو کچھ بھی نہیں تو ۔۔۔جناب بات صرف اتنی ہے کہ بچوں کے مُستقبل کی خاطر موسٹلی والدین یہاں پر آتے ہیں ، ورنہ جب ٤ سے ٦ ماہ کی فیس اتنی ہے جس میں کی بچہ سال بھر پاکستان میں ہاسٹل میں رہ کر عیاشی کے ساتھ پڑھ سکتا ہے !!!!!!!!!!!
Comment
-
Re: Deep Freezer mein zindagi
Originally posted by munda_sialkoty View PostMiddle east mein bhi loog paisa kama rahay hein, mere apnay dooston ke paas thehra jo engineer hein, lekin paisa bachanay ke liye wo below to their standard life guzaar rahay hein. Phir kia hota he ke yeh aik habbit ban jati he, loog routein ke ghulaam ho jatay hein, un ka life cycle paisa kamana, aur phir saal mein 40 din ki chuti pakistan mein aa ke guzrana reh jata he. Mere nazdeek to yeh aisa he hay ke aik banda jail kaat'ta he aur baki loog us ki kamai se faida lete hein.
mein 8 din ke liye gaya tha aur 6 din baad wapis aa gaya, itne dinon mein mein ne wahan pe khoob enjoy bhi kia, dooston ke saath gooma, parties kesaath meetings kein, aur sub kuch, lekin phir bhi mujay wo baat nahi mili jo pakistan mein he, wo baat jo lafzoon mein bhi beyaan nahi ki ja sakti.
Maanta hoon ke canada mein her kaam system ke tehat hota ho ga, lekin is se bhi berh ke bohat kuch he, jo sirf apnay pyaaray mulk mein he hay :)
Sab baat sahi hai ...wo ek punjaabi ki khawat hai jo hamaary abu ji
( Allah TaalH Onn ko Ghareeq-e rehmat karay ameen)
kaha kartay thay ...
Jaira maza Chajoo de Chobaray , O na Bulkh na Bukharay
Oss Khiyal se waqi ..MEIN BA ZAAT-E KHUD aur meray bachay jin k liyay wo apna mulk hee nahi ...
Daddi aamma aur Nani amma ka Ghar hai ...Jis mein
Onn Ko piyaar aur dulaar milta hai ....
Jab keh onhoun nay Abu dhabi mein hee mein hee aankh kholi, Hosh sambhala...Wahan waqi hum better futur k liyay gay kion k ..Pakistan mein itni aqraba parwari pan-ap rahi thee, oNn dinoun k jeeNaa
mushkil ho raha tha , iss Liyay Agay bharnay per majboor ho gay to
earn a Good life and Alhamdolillah Hum nay Jitni b Financially progress Abudhabi mein reh kar ki , wo pakistan
mein tasawr b nahi kar saktay thay,
meray hubby Jo UET Lahore se Engineering parhay hein Onn nay mashaAlalh na sirf khud ki family ko support kia yani ghar walay , bulkeh apnay rishta darouN ko b Financially Support kia .... ...Alhamdolliah....Wo aisa Pakistan mein reh kar saoch b nahi saktay thay ,
yeh zaroor hai k hamein ...U AE mein rehna Gold k cage mein rehnay
jesa lagta tha , sab kuch tha magar sab apnouN se door thay...magar
yeh faida tha k hum yearly ja k onn se mil leytay thay , 3 hours ki flight
thee and sometimes tu hum 2 se 3 baar b jana afford kar saktay thay
Tu Jo laog abhi b wahan hein THEY ARE really Lucky to stay over
there ,apna islamic mahol, Masjid se Aazaan ki awaaz .....Halal Food .....apnay chehray, kisi ko pesay ki dooor nahi ...har koi Allah k fazal se Pur sakooN....MAlli Lihaz se ...aur education aur experience k hisab se mulazmat ... Hamara tu buhat acha tajruba raha ....We miss Abu Dhabu too much Agar wahan Education system sahi hota tu hum wahan se kabi yehan nahi aatay!
Universities wahan b heiN , but again ....No standard for Professional education, ..kafi lambi baat ho gaiii :)
Comment
-
Re: Deep Freezer mein zindagi
Originally posted by munda_sialkoty View PostAaj mein tumhein yeh nahi kahoon ga ke yahan se gumshuda ho jao :khi:
Apni sooch ko to mein kisi had tak aap loogon ke saamnay mukhtalif jawaabaat ki soorat mein byaan ker chuka. Ub baat kuch mukhtasir karon ga.
Discussion mein hamein kooshish yeh kerni he ke sub se pehlay hum is discussion ke theme ko catch karein aur is ke origin per he rahein. Anwaan tha "Deep Freezer mein Life", yaani aisay ilaaqon ko typically point out kia tha jahan ka environment human tolerance level se bohat hut ke he. Jahan pe aap ki life stuck ho jati he. Aisay ilaqay mein koi insaan kyoon ker zindagi guzaaray. Kuch loog is ki wajoohat beyaan kerte huay dalail dein ge ke pakistan mein justice nahi he, pakistan mein terrorism he, pakistan ka political structure stable nahi he. Mein aisi logics ko "beating about the bushes" se ziada aur kuch nahi kahon ga.
Ager yahan pe justice kum he to is ka yeh matlab to nahi he ke aap pakistan mein aaein ge to kaid ho jaein ge :donno: tareekay se rahiye, shayad he koi aisa chance ho ke aap ko injustice ka samna kerna paray, once in a blue moon.
Baaki sub cheezein secondary hein. baat to paisay pe he aa ke khatam hoti he :donno: Mein paisay ki khaatir kabi bhi aisay country mein rehna pasand nahi karon ga jahan jaan ko azab he azab mein ho :tauba
Aap ki theme k mutabic hee jawabat diyay ja raha hein
iss k baad yeh k jo yehan reh rahay hein wo B tuu aakhir
reh hee rahay hein nam doojay jo hum nay apni living k
liyay region ko khud chunaa Wo kiya hai wo zikr ho chuka
aur jab hamaray bachay hee hamara sab kuch hoon ....
yani k ...Onn ka acha future aur well-mannered life
ko provide karna hee hamara maqsad ho
tu ...iss k samany ..MOASM KI SAKHTIYAAN
Kuch b nahi ...!
aap nay kis ek reply mein yeh b kaha hai k ..
tableegh ets ...
Tu janab! aap yaqeen karein iss waqt sirf Calgary mein
60,000, t0 65,000 Muslims hein ...aur onn mein se 80%
achay muslims ki tarah se zindgee guzar rahay hein
yani larkiyan hijab leyti hein bulkeh mein nay baaz muslim larkiyun
ko Chehra b cover kartay deykha hai ...! Pakistan mein ..TV per show
aa raha kisi Mall mein aik Host Sahib mic. ley kar larkay larkiuin se sawal
kar rahay hein ..mein samjhi dubai ki koi Mall....jab Volume raise kia and
boys aur girls ko suna tu pata chala .. k Oh Khuda yeh pakistan ki
hee mall hai ..WO larkiyan kesa dress up hoi theen Aap ...Tu ziada acha
Jaan Saktay hein , yehan mein nay aisia larkiyan buhat kum deykhein
jo apni VALUES and RELIGION ko ...bala-ay Taaq rakh k ..MODERN honay
ka label laga-ay phirti hein
Pesay ki baat tu yeh k...
Pakistan mein jis k pass sifarish hai :)
oss K liyay Cha-hay Double Malla-ii Mar k wali life hai
Magar jo hum jesay hein jo slef Made kisam k middle
Class logouN mein aatay hein , tu Onn K liyay ,
MosamOun ki Shiddatein , yani Middle east mein
Intehaai sakht garmi aur North America mein EK dum Minus
Temperature ...Koi Maai`ni nahi rakhta ,
agar aap ki dreams True hein Tu B solid To achieve them...!
Pesa Kuch tu hota hai ....Sab Kuch har giz har giz nahi hota :na:! Bhai jeee ..
May Allah bless Our Pakistan Ameen Sum ameen ! Jin Ki zindgee wahan
Azaab hai onn ka Qissa tu alag hai ..wo ek alag discussion hai,
Allah tallah sab k liyay aasaaniyaN paida karay ! ameen:dua
Comment
-
Re: Deep Freezer mein zindagi
Gul aap ne bohat khoobsurati se apnay khyalaat ko derj kia, aap ke replies se aik to yeh pata chala ke aap married hein, aur doosra Mashallah se aap kafi ba'shaoor hein, aur is ke ilawa ke aap ki sooch kafi had tak hakeekat pasandana he.
Jahan tak Pakistan mein nazam'e'taleem ka taaluq he to us baray mein yeh kehna chahoon ga ke pakistan mein talent bohat he lekin us talent ko cash kerne ke liye institutes kum hein. Yahan pe aik he asool ke tehat kaam hota he "survival of the fittest". Is liye bohat se talented buchay aala adaaron mein taleem hasil nahi ker patay. Lekin is ka yeh matlab nahi ke jo students un adaron mein taleem hasil kerte hein wo kum talented hotay hein. Mein jahan job kerta tha, wahan pe mere boss ki 2 betiyaan Dentistry mein gaein. Dono mashallah se kafi intelligent thein, aik ko to mein ne A level mein teach bhi kia. Achay marks liye but couldn't get through. Un ke dad ne achi rakam bhi offer ki lekin unhein admission nahi mila. Lekin baad mein mere boss ne he kaha ke acha hua, jo student ziada mehnat ker ke aur ziada achay grades le ke aaye hein un ka pehla haq he...to aap yeh keh saktay hein ke Canada mein merit wo nahi jo pakistan mein he. Pakistan mein to cream ki he selection hoti he. Mera bhai jo ke ub CA ker raha he, kabi Medical mein janay ka sooch raha tha, us ne hameesha se A+ aur A grade liye, lekin wo kuch marks se aik achay medical college se miss hua phir us ne khud he yeh line change kerne ka faisla ker diya aur CA ko choose ker lia. Safarish chalti ho gi, rishwat bhi chalti ho gi lekin her department mein nahi.
Lekin aap ke khyalat ko jananay ke baad mein is nateejay pe pohancha hoon ke waqee kuch panay ke liye kuch khoona to perta he, lekin it doesn't mean ke aap eventually apnay mulk ko he khoo dein...apna watan apni pehchan he, hum aaj bhi isi se pehchanay jatay hein aur kul bhi isi se he pehchanay jaein ge. Allah aap ko aur aap ki family ko her wo khuhi de jis ke liye aap apnay watan ko choor ke deyaar'e'gair mein aanay per majboor huay...Be happy and blessed:thmbup:
Comment
-
Re: Deep Freezer mein zindagi
Originally posted by munda_sialkoty View Postbe serious mansigpic
Comment
-
Re: Deep Freezer mein zindagi
Originally posted by Eshaa Chaudhry View PostItna hee serious ley k chalna tha to aapko bhi chahiey tha k topic k sath brackets may mention ker detay k halki si tafreeh bhi allow nahin ....Aur saath may khud bhi next time serious topic per aap bhi seriously hee reply kiya kijiey:thmbup:
Comment
-
Re: Deep Freezer mein zindagi
Originally posted by Masood View PostKuchh batein Khoton ki samajh sey bahir hain, so wohi haal tumhara hai :a stick:
Sab sey pehli baat to yeh hai keh jo log bahir key mumalik mein jaa ker apni rozi talash kartey hain us ki wajoohat per nazar daalni chahiyey keh woh aisa kyun kartey hain?- hamarey mulk mein woh environment muhayya nahin jahan per aik insaan safaidposhi sey apni zindagi basar kar sakey - yeh environment hamein bahir milta hai.
- Ham apney mulk mein jaan torr mehnat kartey hain magar iskey bawajood hamein us mehnat ka ajjar nahin milta - yani ujrat woh nahin milti jo kaam hota hai.
- Parhey likhey log rozgaar na honey ki wajah sey ghalt kamo mein lag jatey hain aur jab woh yeh dekhtey hain keh bahir phir bhi - chahey safaii hi kyun na ki jaey - ujrat to aisi mil jati hai keh aap apna aur apney khaandan ka pet paal sakein - to woh bahir ka rukh kartey hain.
- Hamarey mulk mein apna business karney ka bhi environment muyahha nahin - agar main aaj wahan jaa ker settle honey ki koshish karoon to mujhey la'tadaad mushkilaat ka samna karna ho ga:
- Adam'tahaffuz
- Sarey aam loot maar
- Sarkaari kamon mein bhi rishwat
- har kaam late hona
- Pakistani logon mein la'parwaii had sey ziyada hai
- had'harami
- etc
Main yeh ghaltfehmi bhi door kar doon keh log bahir siraf paisey kamaney key liyey rehtey hain - aisa nahin, bahir log is liyey bhi rehtey hain keh idher - jaisa bhi sahi - nizaam to mojood hai - har kaam aik system key tehat hota hai (yeh nahin kaha keh idher ghalt kaam nahin hotey - magar iski misaal yun keh keh idher koi ghalt kaam ho to khabron mein aa jata hai keh fulaan jaggah ghalt kaam huwa hai - hamarey haan agar sahih kaam ho to ussey wajah-e-hairangi jana jata hai)...
Aamir aaj kal key Pakistan sey Europe bohat behtar hai!
(Aik chhoti si misaal in Elections key hawaley sey dena chahoon ga, Aabid, jo merey nazdeek ilm ka aik sar'chashma hain, jab un jaisa insaan Nawaz Shareef jaisey luterey ko apna leader maan ker ussey vote dey saktey hain to mujhey Pakistaniyo ki hub-ul-watni per yaqin nahin raha, sorry Aabid bhai!
Misaal yeh dena thi keh Denmark mein aik Prime Minister tha, 1984 mein Sri Lanka sey kuchh muhaajreen idher aaey aur us case ka scandal bana, jissey Prime Minister ney dabaney ki koshish ki. Woh zahir ho geya aur us Prime Minister ki hakoomat ka takhta ult geya siraf us aik case ki bina per aur phir sari umer woh bandah siyasat mein nahin aaya - Nawaz Shareef jaisa watan'farosh aur lutera aaj bhi hamara leader baneney ka dawa kar raha hai - isi liye merey nazdeek Pakistan sey Denmark hazaar darjey behtar hai).ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh
Comment
-
Re: Deep Freezer mein zindagi
Originally posted by munda_sialkoty View PostMurgi ke andoo aur meri meri bakriyooo
Salam Hukam kerta hoon
To aaj mein jis critical mudday per baat kerne ja raha hoon mujay ummid he ke aap ko topic se kuch bhi idea nahi hua ho ga Chalo me eggs-plain kerta hoon :tauba
Hum loog paisa kamanay ke liye aur apni khushiyaan khareednay ke liye apni khushiyaan daao per laga dete hein (yeh bhala kia baat hui :donno:)
PG ke bohat se members jo doosray mulkon mein waqoo pazeer :khi:hein, wahan per rehnay ke bawajood satisfied nahi hein. Wahan ka mahool pasand nahi aata, environment pasand nahi aata. Wo sirf paisa kamanay ke liye wahan per hein. Aur baaz loog apni saari zindagi Deep Freezer yani canada jese countries mein guzaar dete hein...banda poochay ke deep freezer mein reh ke kooi kia khushi haasil karay ga, life jammed, roads blocked, frostbite, aur pata nahi kia kia :donno:
Kia aisay paisay se khushiyaan haasil ki ja sakti hein jo paisa deep freezer mein beth ke kamaya gaya hoo :donno:Kia khushiyoon ka meyaar sirf paisa he hay :donno:ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh
Comment
-
Re: Deep Freezer mein zindagi
Originally posted by munda_sialkoty View PostHmm...aap ka point valid he, no harm in getting international exposure. Aap kisi aisi jagah pe reh ke paisa kama saktay hein jahan pe climate human friendly ho, jahan pe pakistani community ho, jahan pe kuch apnayat ho. Lekin yeh bhi aik limited time frame ke liye hona chahiye. Families ko he doosray countries mein settle ker ke aap kisi na kisi tareekay se apnay mulk ko hameesha ke liye choornay ka he ailaan kerte hein, jo mere nazdeek acha nahi he.
then again, kuch Pakis main inferiority complex hota hay..samjhtay hain Blue passport kia mill gaya...unkay ander akarh a'jaati hay aur apnay apko pata nahi kia samjhtay hain...jerksFinding truth - Finding love
These diamonds sparkle from lights above
Lorraine Venner
Comment
Comment