Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Deep Freezer mein zindagi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Deep Freezer mein zindagi

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Yahan pe mein serious replies chah raha hoon, chawlein maarni hein to doosray threads mein aa jaoo :khi:

    ya ma kiya parh rhi ho ustaad:kr::kr:

    Comment

    • #32
      Re: Deep Freezer mein zindagi

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      Go ke tumhara jawaab meri sooch se kuch differ bhi kerta he, but still I would say Good Reply.

      mein ne Hamzad ko kuch points quote kiye, unhein bhi zaroor perh lena...i understand ke paisa bohat zaroori he, lekin paisay ki aik khaas mikdaar kama ker insaan ko apnay mulk mein aa ke wahan pe kuch kaam kerna chahiye. This is what I think
      main ne abhi dosrey replys parhey hain....app ki baat sahi hai..ke aik time limit ke baad watan wapas aajana chahiye...log jab watan se bahar ki rah letey hian tu yehi soch ke niklatey hain ke zarorat ke mutabiq paisa kamain gey aur phir wapas ghar chaley jian gey....liken itney saal bahar ke mulk main reh kar humain yahan ki aadat par gai hai....yahan ki life style ki...yahan ke legal processes ki....yahan ki markets ki....watan ke mahol se ghabrahat hoti hai...dar lagta hai...koi kaam baghair behes ka nahi hota....bazaar se le kar offices aur hospitals tak har jaga kisi expert bolney waley ki zarorat hoti hai ....hum akeel apna koi kaam nahi kar saktey..aur watan ke haalat se tu aur bhi zada dar lagta hai...being a second citizen is not easy....but if life is peaceful this way so y taking a risk going back home...ab tu watan main bhi hum ko apna app second citizen hi lagta hai

      Comment

      • #33
        Re: Deep Freezer mein zindagi

        Originally posted by Fari View Post
        ya ma kiya parh rhi ho ustaad:kr::kr:
        ager tumhein waqee perhna aata he to tum wohi perh rahi ho jo mein ne likha he :tauba
        :thmbup:

        Comment

        • #34
          Re: Deep Freezer mein zindagi

          Originally posted by Pakiza View Post
          main ne abhi dosrey replys parhey hain....app ki baat sahi hai..ke aik time limit ke baad watan wapas aajana chahiye...log jab watan se bahar ki rah letey hian tu yehi soch ke niklatey hain ke zarorat ke mutabiq paisa kamain gey aur phir wapas ghar chaley jian gey....liken itney saal bahar ke mulk main reh kar humain yahan ki aadat par gai hai....yahan ki life style ki...yahan ke legal processes ki....yahan ki markets ki....watan ke mahol se ghabrahat hoti hai...dar lagta hai...koi kaam baghair behes ka nahi hota....bazaar se le kar offices aur hospitals tak har jaga kisi expert bolney waley ki zarorat hoti hai ....hum akeel apna koi kaam nahi kar saktey..aur watan ke haalat se tu aur bhi zada dar lagta hai...being a second citizen is not easy....but if life is peaceful this way so y taking a risk going back home...ab tu watan main bhi hum ko apna app second citizen hi lagta hai
          hmmm...tumhaari baatein kuch kuch samaj raha hoon, derasal aaj mujay neend aai he, aaj travel bhi kaafi kia he mein ne, is liye me soo ke uth ke phir tumhein tumhaari baat ka jawaab doon ga, neend mein avein me kuch hoor keh gaya to maza nahi aaye ga :tauba
          :thmbup:

          Comment

          • #35
            Re: Deep Freezer mein zindagi

            :khi:

            ok i'll wait for ur reply Munda ji
            :)

            Comment

            • #36
              Re: Deep Freezer mein zindagi

              Originally posted by Pakiza View Post
              :khi:

              ok i'll wait for ur reply Munda ji
              :)
              ok kuriye

              me ki kamar doohri ho rahi he ub to :tauba
              :thmbup:

              Comment

              • #37
                Re: Deep Freezer mein zindagi

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                ok kuriye

                me ki kamar doohri ho rahi he ub to :tauba
                koi baat nahi uncle ji burhapey mian asa hota hai:khi:
                app araam karin

                Comment

                • #38
                  Re: Deep Freezer mein zindagi

                  Walekam-Aslam!
                  Yahan per abhi sirf apney barey mein baat karoon gi, bohat say log mulk say bahir hein and they all have their own reasons, so mein un ke barey mein kuch nahi keh sakti!
                  Well, mujhe Canada ayey huey almost 4 years honay ko hain, aur in 4 years mein aik baar Pakistan gaye hoon:)
                  Jahan tak baat hai paison ki, kay log mulk say bahir paisay kamaney ke liye atey hein, tou yeh theek baat hai, kise had tak:). Pakistan mein aap khud dekehin, hallat say koi bhi bay-khabar nahi hai, mehngaye kitni hai aur phir wahan per logon ke jo rawaye hota hai aik dosrey kay saath yeh paison per, woh bhi aap log jantey hon gey.
                  Jahan tak meri personally, apni family ki baat hai tou, only my Abu Jaan works, aur meri family mein say koi kam nahi kerta, aur Abu Jaan hamarey anay say pehley kay ayey huey hein:) So hum tou yahan paisay kamaney ke liye nahi bethey huey!
                  INSHALLAH when I am done my F.A, which would be after 1 and half year, hum Pakistan wapis chaley jeyen gey:)
                  Lekin yahan per bohat say points note kernay partey hein, jab bhi mein sochti hoon ke hum Pakistan chalin jayen gey, tou zehan mein bohat si uljhanien paida hoti hein!
                  I don't need to mention, but I would, and I am preety sure ke aap sab is barey mein jantey hein, aik larki ka Pakistan mein akeley bazar jana kise jungle mein janey say kam nahi hota, I hope kay mujhe aap ko is per explain nahi kerna parey ga. Secondly, bay-shak sab ko mouat ani hai, lekin Pakistan mein jab koi chour daku aata hai, maal ke saath saath jaan bhi ley jatey hein!
                  Bay-shak yahan per na mera close relatives hein, of course family friends bohat hein:)
                  Na apna ghar hai, na yeh apna mulk hai.
                  Pakistan ne hamein woh kuch diya hai, jo hum bata nahi saktey. Aaj hum yeh kehney ka qabil hein ka hum aik azad mulk ke citizens hein!
                  Lekin jo khamiyan mein ne mention ki hein, mujhe woh khamiyan Pakistan say dour ley ker aye hein!

                  I hope ke aap mera point of view samjh gayey hon gey. Munda bhai:)

                  Comment

                  • #39
                    Re: Deep Freezer mein zindagi

                    Originally posted by Sadia View Post

                    Aap ke points kafi had tak samaj aa gaye.

                    Aap canada mein rehti hein. Wahan pe serdi bohat he, temp even -40 tak bhi chala jata he. Aisay mulk mein aisay temp mei aap loog kese guzara ker lete ho...kitna boring envi ho ga na. Paisa kamanay ke liye deep freezer se bhi thunday mulk mein rehna kitna ajeeb lagta he na. Aap wahan pe paisa kamaoo, aur apnay mulk mein aa ke koi kaarobaar start karo. Aur apnay mulk ko us ki tamaam tar khaamiyoon ke bawajood usay accept karo, aur us ke nazam mein behtari laanay ke liye apna infraadi kardaar ada karo. This is what i think
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #40
                      Re: Deep Freezer mein zindagi

                      pehli dafa dekha hai k Munday ne koi serious topic add kia hai.......... :khi:

                      meinay takreeban sub kay view point parha hai.....but i would not comment on the topic.............................. :) just let me say munda sialkoty has a valid point........................:)

                      Comment

                      • #41
                        Re: Deep Freezer mein zindagi

                        Originally posted by raafi View Post
                        pehli dafa dekha hai k Munday ne koi serious topic add kia hai.......... :khi:

                        meinay takreeban sub kay view point parha hai.....but i would not comment on the topic.............................. :) just let me say munda sialkoty has a valid point........................:)
                        Thank you Raafi bro

                        Yaar mein bus yahi sooch sooch ke tension leta rehta hoon ke paisay ki desire honi chahiye aur yeh desire limited honi chahiye. Aap ka koi target hona chahiye jisay achieve ker ke aap satisfied ho jaein. Warna paisay ki hawas mein insaan per jaye to yeh jitna bhi milta he, utna he kam lagta he :donno:
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #42
                          Re: Deep Freezer mein zindagi

                          Originally posted by munda_sialkoty View Post
                          Murgi ke andoo aur meri meri bakriyooo

                          Salam Hukam kerta hoon

                          To aaj mein jis critical mudday per baat kerne ja raha hoon mujay ummid he ke aap ko topic se kuch bhi idea nahi hua ho ga Chalo me eggs-plain kerta hoon :tauba

                          Hum loog paisa kamanay ke liye aur apni khushiyaan khareednay ke liye apni khushiyaan daao per laga dete hein (yeh bhala kia baat hui :donno:)

                          PG ke bohat se members jo doosray mulkon mein waqoo pazeer :khi:hein, wahan per rehnay ke bawajood satisfied nahi hein. Wahan ka mahool pasand nahi aata, environment pasand nahi aata. Wo sirf paisa kamanay ke liye wahan per hein. Aur baaz loog apni saari zindagi Deep Freezer yani canada jese countries mein guzaar dete hein...banda poochay ke deep freezer mein reh ke kooi kia khushi haasil karay ga, life jammed, roads blocked, frostbite, aur pata nahi kia kia :donno:

                          Kia aisay paisay se khushiyaan haasil ki ja sakti hein jo paisa deep freezer mein beth ke kamaya gaya hoo :donno:Kia khushiyoon ka meyaar sirf paisa he hay :donno:
                          Walaikumsalam

                          Kis ne kaha aisay ? paisa kamanay ki baat nahi hai , aur waisay bi har jagah ka ek Life standard hota hai, sabhi paisa kamanay nahi jatay , wo loog jo dubai ya saudi arabia waghaira jatay thay siraf paisay kamanay wo alag baat thi mazdoori karni , aur joo loog bahir ja kar apnay apko manwatay hain jinkay talent ko pakistan mein zang lag jata hai , wo loog paisay kay lye nahi jatay . Apni salahiytooN ko ujagar karnay kay lye jatay hain.

                          Ek example , Yahan se ek aadmi Phd Kar kay gaye , bohat zabardast kaaam kia unhoon ne , Yahan per balkah duniya mein pahlay banday jinhoon Ne aisa kaam kia , unko yahan per Award mila jo aj tak kisi ko nahi mila , TV , radio aur news paper har jagah unkay interviews aye .....

                          Oskay baad wo Pakistan chalay gaye khushi khushi ........
                          8 months baad wapis aagaye bicharay , unkay comments thay..... bohat sari batain kein kuch points. unhi ki zubani...
                          1. Mein Peshawar se Sawat nahi ja sakta apnay abaye ghar tu faida wahan rahnay ka ?
                          2. Phd banday ko under graduate students ki assignments check karnay per laga diya jata.
                          3. Apnay senior Phd's ki pay ka hisaab kitaab karwaya ja raha tha.
                          4. Mein ne jis field mein itni mehnat ki , agay koi chance hi nahi tha mein os bary mein kuch aur kar sakta.
                          5. Mein halaal kay itnay nahi kama sakta kah apnay bachoo'N ko kisi achay school mein dakhal karwa sakta..

                          etc..... a lot more. barhaal , its not just paisa.

                          Muslmaan kay lye sari duniya hi oska watan hai. Suhabah (r.a) Kahan kahan nahi gaye ?
                          Mana zindagi ka bharosa nahi , lekin Jehan per ap ko har waqat khatra ho pata nahi kab khud-kash hamla ho jaye ga lols...
                          Bhai , bhai ko maar raha hai , Agar apki family ho tu ap jahan marzi chalay jaye aj kal tu banda ek jagah se dosri jagah kuch ghantooN mein pohanch jata hai.
                          har waqat ek dar khouf nahi rahta, Jahan par koi apnay dil ki baat nahi kar sakta, jahan per islami qanoon tu door ki baat duniyawi qanoon bi nahi , balkah laathi aur bhains wala masla hai .

                          Ab ek sawaal mein karta hoon .... tell me

                          Kia insaan duniya mein khushiyaaN Hasil Karnay aya hai ??
                          Kaun si khushi ? Kitni dair ki Khushi ?
                          I think wo khushi nahi Hadd harami hai :d
                          Wasalam
                          Last edited by GumShuda; 16 February 2008, 09:00.
                          Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                          Sadly, common sense is not very common..!!

                          Comment

                          • #43
                            Re: Deep Freezer mein zindagi

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            Murgi ke andoo aur meri meri bakriyooo

                            Salam Hukam kerta hoon

                            To aaj mein jis critical mudday per baat kerne ja raha hoon mujay ummid he ke aap ko topic se kuch bhi idea nahi hua ho ga Chalo me eggs-plain kerta hoon :tauba

                            Hum loog paisa kamanay ke liye aur apni khushiyaan khareednay ke liye apni khushiyaan daao per laga dete hein (yeh bhala kia baat hui :donno:)

                            PG ke bohat se members jo doosray mulkon mein waqoo pazeer :khi:hein, wahan per rehnay ke bawajood satisfied nahi hein. Wahan ka mahool pasand nahi aata, environment pasand nahi aata. Wo sirf paisa kamanay ke liye wahan per hein. Aur baaz loog apni saari zindagi Deep Freezer yani canada jese countries mein guzaar dete hein...banda poochay ke deep freezer mein reh ke kooi kia khushi haasil karay ga, life jammed, roads blocked, frostbite, aur pata nahi kia kia :donno:

                            Kia aisay paisay se khushiyaan haasil ki ja sakti hein jo paisa deep freezer mein beth ke kamaya gaya hoo :donno:Kia khushiyoon ka meyaar sirf paisa he hay :donno:
                            w/alaikum asalam.
                            Munda G jinko paisa khushi daiti hay to' ye baat unkay liye sahi hogi.
                            Paisa is not everything...if I talk about my personal life, muje education ka standard acha chahiye tha...aur mairay parents ka bhi yehi khyal tha...depends kis ko kia chahiye life say...kia goal hain...kuch loago'n ka acha paisa kamana...aur achi job..kuch loago'n ka education achieve karna(not for job's sake but interest's sake)...apkay aik question main do' question hain so its a bit complicated...:)
                            Finding truth - Finding love
                            These diamonds sparkle from lights above

                            Lorraine Venner

                            Comment

                            • #44
                              Re: Deep Freezer mein zindagi

                              Originally posted by GumShuda View Post
                              Walaikumsalam

                              Kis ne kaha aisay ? paisa kamanay ki baat nahi hai , aur waisay bi har jagah ka ek Life standard hota hai, sabhi paisa kamanay nahi jatay , wo loog jo dubai ya saudi arabia waghaira jatay thay siraf paisay kamanay wo alag baat thi mazdoori karni , aur joo loog bahir ja kar apnay apko manwatay hain jinkay talent ko pakistan mein zang lag jata hai , wo loog paisay kay lye nahi jatay . Apni salahiytooN ko ujagar karnay kay lye jatay hain.

                              Ek example , Yahan se ek aadmi Phd Kar kay gaye , bohat zabardast kaaam kia unhoon ne , Yahan per balkah duniya mein pahlay banday jinhoon Ne aisa kaam kia , unko yahan per Award mila jo aj tak kisi ko nahi mila , TV , radio aur news paper har jagah unkay interviews aye .....

                              Oskay baad wo Pakistan chalay gaye khushi khushi ........
                              8 months baad wapis aagaye bicharay , unkay comments thay..... bohat sari batain kein kuch points. unhi ki zubani...
                              1. Mein Peshawar se Sawat nahi ja sakta apnay abaye ghar tu faida wahan rahnay ka ?
                              2. Phd banday ko under graduate students ki assignments check karnay per laga diya jata.
                              3. Apnay senior Phd's ki pay ka hisaab kitaab karwaya ja raha tha.
                              4. Mein ne jis field mein itni mehnat ki , agay koi chance hi nahi tha mein os bary mein kuch aur kar sakta.
                              5. Mein halaal kay itnay nahi kama sakta kah apnay bachoo'N ko kisi achay school mein dakhal karwa sakta..

                              etc..... a lot more. barhaal , its not just paisa.

                              Muslmaan kay lye sari duniya hi oska watan hai. Suhabah (r.a) Kahan kahan nahi gaye ?
                              Mana zindagi ka bharosa nahi , lekin Jehan per ap ko har waqat khatra ho pata nahi kab khud-kash hamla ho jaye ga lols...
                              Bhai , bhai ko maar raha hai , Agar apki family ho tu ap jahan marzi chalay jaye aj kal tu banda ek jagah se dosri jagah kuch ghantooN mein pohanch jata hai.
                              har waqat ek dar khouf nahi rahta, Jahan par koi apnay dil ki baat nahi kar sakta, jahan per islami qanoon tu door ki baat duniyawi qanoon bi nahi , balkah laathi aur bhains wala masla hai .

                              Ab ek sawaal mein karta hoon .... tell me

                              Kia insaan duniya mein khushiyaaN Hasil Karnay aya hai ??
                              Kaun si khushi ? Kitni dair ki Khushi ?
                              I think wo khushi nahi Hadd harami hai :d
                              Wasalam
                              Aaj mein tumhein yeh nahi kahoon ga ke yahan se gumshuda ho jao :khi:

                              Apni sooch ko to mein kisi had tak aap loogon ke saamnay mukhtalif jawaabaat ki soorat mein byaan ker chuka. Ub baat kuch mukhtasir karon ga.

                              Discussion mein hamein kooshish yeh kerni he ke sub se pehlay hum is discussion ke theme ko catch karein aur is ke origin per he rahein. Anwaan tha "Deep Freezer mein Life", yaani aisay ilaaqon ko typically point out kia tha jahan ka environment human tolerance level se bohat hut ke he. Jahan pe aap ki life stuck ho jati he. Aisay ilaqay mein koi insaan kyoon ker zindagi guzaaray. Kuch loog is ki wajoohat beyaan kerte huay dalail dein ge ke pakistan mein justice nahi he, pakistan mein terrorism he, pakistan ka political structure stable nahi he. Mein aisi logics ko "beating about the bushes" se ziada aur kuch nahi kahon ga.

                              Ager yahan pe justice kum he to is ka yeh matlab to nahi he ke aap pakistan mein aaein ge to kaid ho jaein ge :donno: tareekay se rahiye, shayad he koi aisa chance ho ke aap ko injustice ka samna kerna paray, once in a blue moon.

                              Baaki sub cheezein secondary hein. baat to paisay pe he aa ke khatam hoti he :donno: Mein paisay ki khaatir kabi bhi aisay country mein rehna pasand nahi karon ga jahan jaan ko azab he azab mein ho :tauba
                              :thmbup:

                              Comment

                              • #45
                                Re: Deep Freezer mein zindagi

                                Originally posted by Almas View Post
                                w/alaikum asalam.
                                Munda G jinko paisa khushi daiti hay to' ye baat unkay liye sahi hogi.
                                Paisa is not everything...if I talk about my personal life, muje education ka standard acha chahiye tha...aur mairay parents ka bhi yehi khyal tha...depends kis ko kia chahiye life say...kia goal hain...kuch loago'n ka acha paisa kamana...aur achi job..kuch loago'n ka education achieve karna(not for job's sake but interest's sake)...apkay aik question main do' question hain so its a bit complicated...:)
                                Hmm...aap ka point valid he, no harm in getting international exposure. Aap kisi aisi jagah pe reh ke paisa kama saktay hein jahan pe climate human friendly ho, jahan pe pakistani community ho, jahan pe kuch apnayat ho. Lekin yeh bhi aik limited time frame ke liye hona chahiye. Families ko he doosray countries mein settle ker ke aap kisi na kisi tareekay se apnay mulk ko hameesha ke liye choornay ka he ailaan kerte hein, jo mere nazdeek acha nahi he.
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X