Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Deep Freezer mein zindagi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Deep Freezer mein zindagi

    Murgi ke andoo aur meri meri bakriyooo

    Salam Hukam kerta hoon

    To aaj mein jis critical mudday per baat kerne ja raha hoon mujay ummid he ke aap ko topic se kuch bhi idea nahi hua ho ga Chalo me eggs-plain kerta hoon :tauba

    Hum loog paisa kamanay ke liye aur apni khushiyaan khareednay ke liye apni khushiyaan daao per laga dete hein (yeh bhala kia baat hui :donno:)

    PG ke bohat se members jo doosray mulkon mein waqoo pazeer :khi:hein, wahan per rehnay ke bawajood satisfied nahi hein. Wahan ka mahool pasand nahi aata, environment pasand nahi aata. Wo sirf paisa kamanay ke liye wahan per hein. Aur baaz loog apni saari zindagi Deep Freezer yani canada jese countries mein guzaar dete hein...banda poochay ke deep freezer mein reh ke kooi kia khushi haasil karay ga, life jammed, roads blocked, frostbite, aur pata nahi kia kia :donno:

    Kia aisay paisay se khushiyaan haasil ki ja sakti hein jo paisa deep freezer mein beth ke kamaya gaya hoo :donno:Kia khushiyoon ka meyaar sirf paisa he hay :donno:
    :thmbup:

  • #2
    Re: Deep Freezer mein zindagi

    waalaikumasalam....:rose
    Ab hum kya bolein... hum tu apna mulk chor ke kabhi kahein gaye hi nahi... :blush:
    Waise... aik baat kahein... jo log apna mulk chor ke dosre mulk mein jate hain paisa kamane ke liye humare hisab se who log waqai qabil-e-tareef log hai jo apna mulk chor ker apna gher bar chor ker apne gher waalo ko aik pur-asaish zindagi dene ke liye khawar hote hain... :rose
    Per waise jin ko apne hi mulk mein sahi salary per job mil rahi ho aur un ka family background bhi accha ho aise logon ki hume waqai sumjh nahi aati.. infact humara second bhai jub kaihta hai ke yahan kya rakha hai main US jaonga.:tauba. tu hum kaihte hain ke accha hai dafa hojao.. jub wahan khud sub kaam akrne pareinge tu lag pata jayega yahan tu ammi sub haath mein dete hain wahan koi poochega bhi nahi.. .. yeh aur is se bhi kai zyadah khofnaak nqsha khinchte hain hum aksr so bechara her baar hi irdah badal leta hai... :D
    Jub ke humara sub se chota bhai khud wahan study ke liye gaya hai.. per woh sirf parhne gaya hai... aur professionally who yahan hi settle hoga.. InshAllah... :)
    aur aap ki last baat ka jawab.. ke khushiyo ka mayar sirf paisa nahi self-satisfaction hai.. jo log apne mulk se door baste hain woh shaid satisfy ho aise... woh kis condition mein wahan gaye.. kyun gaye... yeh wahi behter jante hain... so dont be judgmental...:D

    Comment

    • #3
      Re: Deep Freezer mein zindagi

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      Salam Hukam kerta hoon
      salam sy pehly jawab raseed hay:slap::slap::slap::slap:
      bakee gallan baad wich

      Comment

      • #4
        Re: Deep Freezer mein zindagi

        Kuchh batein Khoton ki samajh sey bahir hain, so wohi haal tumhara hai :a stick:

        Sab sey pehli baat to yeh hai keh jo log bahir key mumalik mein jaa ker apni rozi talash kartey hain us ki wajoohat per nazar daalni chahiyey keh woh aisa kyun kartey hain?
        • hamarey mulk mein woh environment muhayya nahin jahan per aik insaan safaidposhi sey apni zindagi basar kar sakey - yeh environment hamein bahir milta hai.
        • Ham apney mulk mein jaan torr mehnat kartey hain magar iskey bawajood hamein us mehnat ka ajjar nahin milta - yani ujrat woh nahin milti jo kaam hota hai.
        • Parhey likhey log rozgaar na honey ki wajah sey ghalt kamo mein lag jatey hain aur jab woh yeh dekhtey hain keh bahir phir bhi - chahey safaii hi kyun na ki jaey - ujrat to aisi mil jati hai keh aap apna aur apney khaandan ka pet paal sakein - to woh bahir ka rukh kartey hain.
        • Hamarey mulk mein apna business karney ka bhi environment muyahha nahin - agar main aaj wahan jaa ker settle honey ki koshish karoon to mujhey la'tadaad mushkilaat ka samna karna ho ga:
          • Adam'tahaffuz
          • Sarey aam loot maar
          • Sarkaari kamon mein bhi rishwat
          • har kaam late hona
          • Pakistani logon mein la'parwaii had sey ziyada hai
          • had'harami
          • etc
        Kehney sey muraad yeh hai keh hamarey haan jahan nizaam hi chopta huwa hai, wahan per aik aust tabqey sey ta'aluq rakhney wala kam kam hi kamyaab hota hai.....

        Main yeh ghaltfehmi bhi door kar doon keh log bahir siraf paisey kamaney key liyey rehtey hain - aisa nahin, bahir log is liyey bhi rehtey hain keh idher - jaisa bhi sahi - nizaam to mojood hai - har kaam aik system key tehat hota hai (yeh nahin kaha keh idher ghalt kaam nahin hotey - magar iski misaal yun keh keh idher koi ghalt kaam ho to khabron mein aa jata hai keh fulaan jaggah ghalt kaam huwa hai - hamarey haan agar sahih kaam ho to ussey wajah-e-hairangi jana jata hai)...

        Aamir aaj kal key Pakistan sey Europe bohat behtar hai!
        (Aik chhoti si misaal in Elections key hawaley sey dena chahoon ga, Aabid, jo merey nazdeek ilm ka aik sar'chashma hain, jab un jaisa insaan Nawaz Shareef jaisey luterey ko apna leader maan ker ussey vote dey saktey hain to mujhey Pakistaniyo ki hub-ul-watni per yaqin nahin raha, sorry Aabid bhai!

        Misaal yeh dena thi keh Denmark mein aik Prime Minister tha, 1984 mein Sri Lanka sey kuchh muhaajreen idher aaey aur us case ka scandal bana, jissey Prime Minister ney dabaney ki koshish ki. Woh zahir ho geya aur us Prime Minister ki hakoomat ka takhta ult geya siraf us aik case ki bina per aur phir sari umer woh bandah siyasat mein nahin aaya - Nawaz Shareef jaisa watan'farosh aur lutera aaj bhi hamara leader baneney ka dawa kar raha hai - isi liye merey nazdeek Pakistan sey Denmark hazaar darjey behtar hai).

        Originally posted by munda_sialkoty View Post
        Murgi ke andoo aur meri meri bakriyooo

        Salam Hukam kerta hoon

        To aaj mein jis critical mudday per baat kerne ja raha hoon mujay ummid he ke aap ko topic se kuch bhi idea nahi hua ho ga Chalo me eggs-plain kerta hoon :tauba

        Hum loog paisa kamanay ke liye aur apni khushiyaan khareednay ke liye apni khushiyaan daao per laga dete hein (yeh bhala kia baat hui :donno:)

        PG ke bohat se members jo doosray mulkon mein waqoo pazeer :khi:hein, wahan per rehnay ke bawajood satisfied nahi hein. Wahan ka mahool pasand nahi aata, environment pasand nahi aata. Wo sirf paisa kamanay ke liye wahan per hein. Aur baaz loog apni saari zindagi Deep Freezer yani canada jese countries mein guzaar dete hein...banda poochay ke deep freezer mein reh ke kooi kia khushi haasil karay ga, life jammed, roads blocked, frostbite, aur pata nahi kia kia :donno:

        Kia aisay paisay se khushiyaan haasil ki ja sakti hein jo paisa deep freezer mein beth ke kamaya gaya hoo :donno:Kia khushiyoon ka meyaar sirf paisa he hay :donno:
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #5
          Re: Deep Freezer mein zindagi

          Masood Se Agree Karti HooN "Baat Tu Such Hai Maghar Baat Hai Ruswaye Ki"

          Aur Mazey ki Baat Tu Yeh Hai kay Aaj Mulk Is Jagah karha hai tu Yeh Hamara Appna hi Qasoor Hai Hum Leader Un Logo'N Ko Banatey HaiN Jo Sirf Apna Mufad Jantey Hain MULK Ka nahin :)
          Zindagi Thak Gaye ..!!

          Comment

          • #6
            Re: Deep Freezer mein zindagi

            No comments right now, bcoz it all depends on person to person

            Comment

            • #7
              Re: Deep Freezer mein zindagi

              agree wid masood uncle..:eye:

              me tu khud UK main reh ker khush nahi hoon...but her insaan ki kuch majbooriyan hoti hain..jin ki waja say un ko sab kuch bardasht kerna hai perta hai motuuuuu...u ko samhjani perti hai her baat...:slap:

              kasmay u b na aqal say padal insaan he ho..:kr: :kr:

              Comment

              • #8
                Re: Deep Freezer mein zindagi

                Originally posted by musaddaq View Post
                No comments right now, bcoz it all depends on person to person
                Agreed with u ...coz her insaan ki apni life hai so her insaan behter jaanta hai kay ussay kiss kay liay kitni dair iss deep freezer jasi life guzaarni hai...:)

                Comment

                • #9
                  Re: Deep Freezer mein zindagi

                  har kisi ki alag alag situation hoti he wese serf pesa kamane bahir chale jana or apni family ko intezar me chor jana bhi munasib anhi:donno:insan kam me guzara kare lekin sab sath mil kar rahen

                  Comment

                  • #10
                    Re: Deep Freezer mein zindagi

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    Murgi ke andoo aur meri meri bakriyooo

                    Salam Hukam kerta hoon

                    To aaj mein jis critical mudday per baat kerne ja raha hoon mujay ummid he ke aap ko topic se kuch bhi idea nahi hua ho ga Chalo me eggs-plain kerta hoon :tauba

                    Hum loog paisa kamanay ke liye aur apni khushiyaan khareednay ke liye apni khushiyaan daao per laga dete hein (yeh bhala kia baat hui :donno:)

                    PG ke bohat se members jo doosray mulkon mein waqoo pazeer :khi:hein, wahan per rehnay ke bawajood satisfied nahi hein. Wahan ka mahool pasand nahi aata, environment pasand nahi aata. Wo sirf paisa kamanay ke liye wahan per hein. Aur baaz loog apni saari zindagi Deep Freezer yani canada jese countries mein guzaar dete hein...banda poochay ke deep freezer mein reh ke kooi kia khushi haasil karay ga, life jammed, roads blocked, frostbite, aur pata nahi kia kia :donno:

                    Kia aisay paisay se khushiyaan haasil ki ja sakti hein jo paisa deep freezer mein beth ke kamaya gaya hoo :donno:Kia khushiyoon ka meyaar sirf paisa he hay :donno:
                    I think Itnay saray replies se aapko samjh aa gaey hogi baat....:slap:

                    aur phir bhi nahin aaey to aapni aqal ko bech k sawa rupay ki sheerni banat dena mohallay may (for sure u k dimagh sawa rupay mein to bikk hee jaey ga:kr: )
                    sigpic

                    Comment

                    • #11
                      Re: Deep Freezer mein zindagi

                      sub ke jawaab ghalat hein :slap:

                      sirf ummid ka he sahi he :blush:
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #12
                        Re: Deep Freezer mein zindagi

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        Murgi ke andoo aur meri meri bakriyooo

                        Salam Hukam kerta hoon

                        To aaj mein jis critical mudday per baat kerne ja raha hoon mujay ummid he ke aap ko topic se kuch bhi idea nahi hua ho ga Chalo me eggs-plain kerta hoon :tauba

                        Hum loog paisa kamanay ke liye aur apni khushiyaan khareednay ke liye apni khushiyaan daao per laga dete hein (yeh bhala kia baat hui :donno:)

                        PG ke bohat se members jo doosray mulkon mein waqoo pazeer :khi:hein, wahan per rehnay ke bawajood satisfied nahi hein. Wahan ka mahool pasand nahi aata, environment pasand nahi aata. Wo sirf paisa kamanay ke liye wahan per hein. Aur baaz loog apni saari zindagi Deep Freezer yani canada jese countries mein guzaar dete hein...banda poochay ke deep freezer mein reh ke kooi kia khushi haasil karay ga, life jammed, roads blocked, frostbite, aur pata nahi kia kia :donno:

                        Kia aisay paisay se khushiyaan haasil ki ja sakti hein jo paisa deep freezer mein beth ke kamaya gaya hoo :donno:Kia khushiyoon ka meyaar sirf paisa he hay :donno:
                        tu ki janay bhole kuker europe diya'n shaana:kr::kr:
                        Last edited by BUS U HE; 15 February 2008, 21:06.

                        Comment

                        • #13

                          Mulk ki abadi pehlay say itni zaida hai oper say logoo ko keh rehay hoo bahir kio reh rehay hian :tauba

                          is topic pay bolnay ko kafi kuch hai agar waqai main serious thread shuru kia hai to ..:lpop: nahi to alfaaz zaya nahi kartay ham apnay :tomato::p
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment

                          • #14
                            Re: Deep Freezer mein zindagi

                            Originally posted by Khalil View Post
                            salam sy pehly jawab raseed hay:slap::slap::slap::slap:
                            bakee gallan baad wich
                            Takalf he keeta e
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Re: Deep Freezer mein zindagi

                              Originally posted by Aanchal View Post
                              Mulk ki abadi pehlay say itni zaida hai oper say logoo ko keh rehay hoo bahir kio reh rehay hian :tauba

                              is topic pay bolnay ko kafi kuch hai agar waqai main serious thread shuru kia hai to ..:lpop: nahi to alfaaz zaya nahi kartay ham apnay :tomato::p
                              To mein tumhein serious nahi lagta kia :donno:

                              bolo bolo mein bohat serious hoon
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X