Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Time: Is it the healer of one's pains?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Time: Is it the healer of one's pains?

    Originally posted by Yaaram View Post
    Asslamo ALikum
    Kese hain aap sab?:eye:
    Insaan ko zindagi main bohat se dukhoN aur pains ka samna karna parta hay. Aap ke nazdeek kya waqt guzarne ke sath sath yeh gham mundamil ho jate haiN? Kya waqt insaani dukhoN ka madawa kar pata hay? Kya Yeh aik marham hay? is it the healer?

    Aap sab ki aar'aa ka intezar rahe ga
    wasalm
    waalaikumasalam...

    yeh theory hume aaj tak sumjh nahi aai...:donno:...
    humari apni personal theory hai....... woh tu aap jaante hi ho....:D...

    Comment

    • #32
      Re: Time: Is it the healer of one's pains?

      well well well - i think some mature members remain to comment on this topic - :) Thanx for adding your views:rose
      Allah

      Comment

      • #33
        Re: Time: Is it the healer of one's pains?

        Originally posted by Yaaram View Post
        well well well - i think some mature members remain to comment on this topic - :) Thanx for adding your views:rose
        to u ki nazar main hum abhi bachay hain kaya dekho dekho
        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

        Comment

        • #34
          Re: Time: Is it the healer of one's pains?

          Originally posted by aabi2cool View Post
          to u ki nazar main hum abhi bachay hain kaya dekho dekho
          kisay nooN poooay vi charha layi da honda aay:wk
          Allah

          Comment

          • #35
            Re: Time: Is it the healer of one's pains?

            Originally posted by Yaaram View Post
            kisay nooN poooay vi charha layi da honda aay:wk
            chalo changa charhao charhao:na:
            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

            Comment

            • #36
              Re: Time: Is it the healer of one's pains?

              Originally posted by Yaaram View Post
              Asslamo ALikum
              Kese hain aap sab?:eye:
              Insaan ko zindagi main bohat se dukhoN aur pains ka samna karna parta hay. Aap ke nazdeek kya waqt guzarne ke sath sath yeh gham mundamil ho jate haiN? Kya waqt insaani dukhoN ka madawa kar pata hay? Kya Yeh aik marham hay? is it the healer?

              Aap sab ki aar'aa ka intezar rahe ga
              wasalm

              Wa salaam Beta

              Time is NOT healer! Log apney aap ko dhoka detey hain. Aik baar zindagi mein koi hadisa ho jaey to woh yaad rahta hai.... shair kehta hai:

              ik mulaqat thi jo dil ko sada yaad rahi
              jissey ham umer samjhey they woh ik pal nikla

              sari umer bhi guzar jaey, aik zakhm jo dil ko laga ho woh yaad reh jata hai.

              Aap zara peechhey murr ker dekhein, aap ko apni zindagi ki kitab ka har safha yaad aaney lagey ga, phir yadon ka tana bana shuru ho jata hai, jahan tak yaadasht saath dey - time cannot vanish once's memory unless memory is vanished!!
              Last edited by Masood; 7 February 2008, 15:14.
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #37
                Re: Time: Is it the healer of one's pains?

                Originally posted by La'hasil View Post
                Kia Aap Bhool Sakhte hain ?

                Chalein Is ko BHi Chorein Yeh Baatain Zindagi Main Choti Se bhi Kamyaabi Ya koi Khushi Mili ho Kia Aap Kabhi Usay Bhoolay ? Nahin Bhoolein hon gay Jab Khushiyo'n ko Nahin Bhultay tu Ghum Main tu Hum nay Buhat khush khoya Hota hai Usay kaise Bhool Sakhtay hain ? Nahin Rafi Kehnay ki Baatein Hain Sab Kay Bhool Jao Hum Bhool Jatay hain Hum Kabhi Nahin Bhooltay Hamesha Inhi Ghumo'n ki Waja Se Hamari Khushiyan Aksar Kharab ho jati hian Hamain Apney Dukh Yaad Atey hain Tab Chehray Pae Muskan Sajana tu Asaan hai Apna Asnoo'n ko Peena Be'Had Mushkil :)
                Na, bohat mushkil hai. Phir kahoon ga ham khudh ko dhoka deta hain keh ham bhool gaey hain, waqti tor per to woh baat jo abhi chand lamhey pehley hui ho, woh bhi zehan mein nahin rehti, magar jab sochon ka ambar lagta hai to har baat samney aa jati hai.

                Insaani dimagh aik Screen ki tarha hai, jab tak film ko band dabbey mein rakho woh parri rehti hai, jab ussey chalao to sab kuchh samney aaney lagta hai...
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #38
                  Re: Time: Is it the healer of one's pains?

                  Originally posted by Masood View Post

                  Mera nahi khayal kay koi dhoka daita hai , shayed koi daita bi ho lekin....

                  Mera khayal hai yeh gham khushiyaan kuch particles hain , like memory stack hota hai na , har ek different stack hota hai aur Memory mein add hota rahta hai .
                  Yeh sab aisay hi hotay hain ek Memory stack ki tarah. ek kay baad doosra aata jata hai aur banday ki attention naye stack ki taraf lag jati hai tu dhayan bat jata hai .
                  Aur jis stack ko utha kar samnay rakh loo phir dhayan osi ki taraf lag jata hai. Jo stack sab se pahlay ata hai wo memory mein peechay chalay janay ki waja se itna dhayan nai laita , jitna newly stacks rakhtay hain :d

                  ainwine dhoka shoka nai hota :$
                  Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                  Sadly, common sense is not very common..!!

                  Comment

                  • #39
                    Re: Time: Is it the healer of one's pains?

                    Originally posted by GumShuda View Post

                    Dhokey sey murad yeh hai keh jo log kehtey hain ham to aagey bharh gaey hain, hamein maazi yaad nahin, woh khud ko dhoka dey rahey hain, maazi kabhi nahin bhoolta!
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #40
                      Re: Time: Is it the healer of one's pains?

                      Originally posted by Masood View Post
                      Na, bohat mushkil hai. Phir kahoon ga ham khudh ko dhoka deta hain keh ham bhool gaey hain, waqti tor per to woh baat jo abhi chand lamhey pehley hui ho, woh bhi zehan mein nahin rehti, magar jab sochon ka ambar lagta hai to har baat samney aa jati hai.

                      Insaani dimagh aik Screen ki tarha hai, jab tak film ko band dabbey mein rakho woh parri rehti hai, jab ussey chalao to sab kuchh samney aaney lagta hai...
                      Hmmm :) Sahi Kehtay ho Maghar Yeh Hamari Sochein Kahan Ki Kahan Hamain Ley Jati hain :)
                      Zindagi Thak Gaye ..!!

                      Comment

                      • #41
                        Re: Time: Is it the healer of one's pains?

                        Originally posted by Masood View Post
                        Dhokey sey murad yeh hai keh jo log kehtey hain ham to aagey bharh gaey hain, hamein maazi yaad nahin, woh khud ko dhoka dey rahey hain, maazi kabhi nahin bhoolta!
                        waisay bhool bi jatain hain bohat sari chezein, lekin osko yaad lanay ki salahiyat paida karni parti hai.

                        Ek misaal daita hoon. Hum sab ne duniya mein anay se pahlay Allah se Wada kia kah hum Allah ka hukam manain gai aur saray wohi kaam karain gai jo Allah chahain gai... right?
                        Lekin wo tu hum sab bhool jatay hain ? lekin jin mein yaad karnay ki salahiyat paida ho jati hai unko hi yaad samajh ati hain sari batain.

                        Ek aur misaal , bohat se batain jab bacha 1 ya 2 saal ka hota hai , oskay saath jo maumlay paish atay hain ya chezein hoti hain wo usko bhool jati hain. Yaad kuyn nahi rahtain ? halankah hotien tu mind mein hi hain na kisi konay mein chuphi howien ?

                        yeh ek Salahiyat hai purani batain yaad karna jo har insaan mein hoti hai lekin ujagar karni parti hai :D

                        Aur jo ap kah rahay ho wo jaan bhooj kar bhulanay ki koshish karnay walay loog hotay hain aisay koi cheez nai bhoolti :$
                        Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                        Sadly, common sense is not very common..!!

                        Comment

                        • #42

                          Is masley mein tumhari dono misaalein ghalt hain sorry!

                          Allah Tala sey jo wadah ham ney kiya tha, woh us aalam mein kiya tha jahan per hamari jismani pedaish nahin hui thi, roohani pedaish hui thi. Wahan ki koi baat hamein yaad nahin na ho sakti hai!

                          Main ney memory ki baat ki hai aur yeh kaha hai keh JAHAN TAK hamari yaadasht hamara saath dey sakti hai - ab tum apney maazi ko dekho to tumhein bohat kuchh yaad aaey ga, haan wahan yeh huwa tha wahan yeh huwa tha - yeh woh batein hain jo insaan nahin bhool sakta.

                          Agar koi zakhm laga ho, chot lagi ho jiski kasak mehsoos ki gaii ho to woh aap bhooley sey nahin bhool patey ...
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #43
                            Re: Time: Is it the healer of one's pains?

                            Originally posted by Masood View Post
                            Is masley mein tumhari dono misaalein ghalt hain sorry!

                            Allah Tala sey jo wadah ham ney kiya tha, woh us aalam mein kiya tha jahan per hamari jismani pedaish nahin hui thi, roohani pedaish hui thi. Wahan ki koi baat hamein yaad nahin na ho sakti hai!

                            Main ney memory ki baat ki hai aur yeh kaha hai keh JAHAN TAK hamari yaadasht hamara saath dey sakti hai - ab tum apney maazi ko dekho to tumhein bohat kuchh yaad aaey ga, haan wahan yeh huwa tha wahan yeh huwa tha - yeh woh batein hain jo insaan nahin bhool sakta.

                            Agar koi zakhm laga ho, chot lagi ho jiski kasak mehsoos ki gaii ho to woh aap bhooley sey nahin bhool patey ...
                            Chalo mana pehli misaal sahi nahi kah os mein humari rooh thi.

                            Lekin jab bacha hota hai tu ? wo batain kuyn nahi yaad ati bachay ko itni chotein lagtein hain ..... itna roota hai.... wo baad mein kuyn nahi yaad rahta ?

                            Bohat se batain yaad nahi rahtein lekin wo kabi koi os se similar environment create ho jai tu alag baat hai yaad aa jain . :$

                            Working...
                            X