Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Time: Is it the healer of one's pains?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Time: Is it the healer of one's pains?

    Originally posted by Subas.Gul View Post
    Kuch dukh esay hotay hain jo waqt guzarna k sath sath barhty hain:)

    Magr kuch dukh waqi bhol jaty hain insan..waqt ki gard jesy jesy parti jati hai oper:)
    per yon bhi to hota hay ke aisay dukh aap ki zindagi ke kisi mor per aap ke samne aa jate haiN
    Allah

    Comment


    • #17
      Re: Time: Is it the healer of one's pains?

      Originally posted by raafi View Post
      aap her cheez ko postive aspect mein dekhain..... gham yaa khushi ye inner feelings hain...... agar her waqt ghamon ko dukhon ko yaad karain gay tu hum ghamgeen rahin gay aur aggressive rahin gay..... bus khushi ko socho dukho ko bhula do......
      It cannot be done but sometimes:wk
      Allah

      Comment


      • #18
        Re: Time: Is it the healer of one's pains?

        Bilkul hota hai yaram bhai...........:( Hum tu khud ya face ker chukay hain ker rehi ho..............yahi zindaig hai..Sorrows and hapiness goes side by side:)

        Comment


        • #19
          Re: Time: Is it the healer of one's pains?

          Originally posted by raafi View Post
          mein khushi kay her pal ko khoob enjoy karta hoon.... aur khushi kay lamhay aksar mujhe yaad rahti hain..... khushi cheez bhi aisi hoti hain jisay bhulaya na jai...... kisi nay kaha hai na k Bhula do bhula do vo baatein purani
          Jo dil ko jalati rahin Vo yaadeinnn vo batainnnn Jo bijli ban kay dil pey girti hain ...... mein manta hoon kuch zindg mein ghum insaan ko aisay miltay hain jisay bhulana bhi chaho bhula nahi patay..... lakin phir bhi un ghamon ko yaad kar kay bhi hamein kiya milay ga??? aansoo tu apnay he niklay gay na.... dil tu apna jalay ga... bechain tu khud banay ga..... bus yahi kahon ga k hamein apnay dil mein khushi ko palna chahiye naa k ghamon ko......
          oh yar come on it is all about human being not any other creature
          Allah

          Comment


          • #20
            Re: Time: Is it the healer of one's pains?

            Originally posted by raafi View Post
            yaaram bhai nice topic...... . lakin jahan tak madway ka taluk hai k waqt ke saath nahi insaan apni planning, apnay iraday aur apni hikmat e amali se zakham ka madwa karta hai...... apnay zakhmo ko bhulana parta hai..... zakhmo ko jitna yaad karo gay aur aggressive raho gay vo zakham nahi bholtay......
            Originally posted by raafi View Post
            puranay dukhon ko jitna yaad karein gay vo tu khud ko takleef denay kay mutradif hoga...... yeh gham yeh khushi yeh tu zindgi ka hissa hain..... zindgi mein khushi milay ussay banto aur ghum milain ussay bhool jao......
            Agree With u :) Maana k ye Insaan k ikhtiyaar may nahin bilkul bhi ...Lekin Its ma personal experience :) K dukh takleef ko jitna yaad karo gay Utna zindagee may azziyat hogi ....Mushkil hota hay bhulana takleefon ko aur wakaeey bhoolty bhi nahin hain ..beshak her pal yaad hee rehty hain La Sha'oor may may kaheen chhupi huey ......

            Lekin jitna unhein nazar andaaz kar diya jaey utna Achaa utna hee behter hay ....Nahin to un takleefon ki yaad aanay walay mustaqbil k chand hansi k lamhon ko bhi saath apni lapet may lay jatee hay.......


            Aur wessay bhi hum to ye kehtay hain k Waqt ka kaam to guzarna hee hay Khwah aap usey apnay dukhon ko yaad kar k ro k guzaarein ya phir Sabr k saath seh jaen "waqt aapk liey thehray ga nahin kabhi bhi..Lekin takleefon ko her waqt khud per sawar kar k guzaro gay to boht mushkil , bohat kathhin ho k guzray ga wo waqt :)..................

            To kya ye behter nahin unhein Bhool kar guzaar liya jaey...aur jab ye soch aajaey na to boht saray baray baray ghum takleefein bhool jaya kartee hain ..Humara aazmaya huaa hay ...:) Bas baat sirf samjhnay ki hay .....................Aur ye Samajh bhi baree mushkil se hee atee hay lekin aajaey to waqt guzarna aasaan ho jata hay ...............Aur aanay waali khushiyon ko puranay dukh magarmach ki terha nigaltay nhin :)
            sigpic

            Comment


            • #21
              Re: Time: Is it the healer of one's pains?

              Originally posted by Yaaram View Post
              Asslamo ALikum
              Kese hain aap sab?:eye:
              Insaan ko zindagi main bohat se dukhoN aur pains ka samna karna parta hay. Aap ke nazdeek kya waqt guzarne ke sath sath yeh gham mundamil ho jate haiN? Kya waqt insaani dukhoN ka madawa kar pata hay? Kya Yeh aik marham hay? is it the healer?

              Aap sab ki aar'aa ka intezar rahe ga
              wasalm
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #22
                Re: Time: Is it the healer of one's pains?

                Originally posted by Yaaram View Post
                Asslamo ALikum
                Kese hain aap sab?:eye:
                Insaan ko zindagi main bohat se dukhoN aur pains ka samna karna parta hay. Aap ke nazdeek kya waqt guzarne ke sath sath yeh gham mundamil ho jate haiN? Kya waqt insaani dukhoN ka madawa kar pata hay? Kya Yeh aik marham hay? is it the healer?

                Aap sab ki aar'aa ka intezar rahe ga
                wasalm
                jee haan ye baat bilkul barhaq hy k waqat aik bohat bara marham hy
                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                Comment


                • #23
                  Re: Time: Is it the healer of one's pains?

                  Originally posted by La'hasil View Post
                  Hmmmmm Mundamil Ho Jatay hain Kyun Kay Kaha Jata hai ahista Ahista Sabar tu Aa hi jata hai Maghar Yeh nahin kaha ja Sakhta kay Insaan Puraney Dukh Bilkul Bhool Jay :)
                  perfect answersalam:
                  yaraam bhai k sawal mukamal aur saheeh jawab la,haisl nay de diya hy..
                  baqi log asal sawal se hat kar aik alg behas laykar chal pary hain hahahahaha
                  aur yehi hota hy hameesha hamary pegham par k sawal gandum aur jawab chana.
                  aray bhai yaraam nay ye naheen poucha k hameen apnay zakham ya dard yaad rakhnay chaiye ya naheen?
                  balk us nay poucha hy k aya kaya waqat insaan k zakhmoon ko mundmil kardeta hy kaya waqat guzarnay k sath sath takleef ya ghuam ka ahsaas kum hojat hy? to is ka bilkul theek theek jawab la,hasil nay dey diya.
                  bayshuk waqat guzarnay k sath sath zakham ya takleef ki shdat kam hojati hy laikin insaan ussay bilkul naheen bhula pata phir kbhi kisi mor par kisi khas moqay par wohi zakham phir taza hosakta hy laikin us shidat k sath naheen jo k pehli martba thi.
                  Last edited by aabi2cool; 6 February 2008, 15:25.
                  ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                  Comment


                  • #24
                    Re: Time: Is it the healer of one's pains?

                    Originally posted by Yaaram View Post
                    Asslamo ALikum
                    Kese hain aap sab?:eye:
                    Insaan ko zindagi main bohat se dukhoN aur pains ka samna karna parta hay. Aap ke nazdeek kya waqt guzarne ke sath sath yeh gham mundamil ho jate haiN? Kya waqt insaani dukhoN ka madawa kar pata hay? Kya Yeh aik marham hay? is it the healer?

                    Aap sab ki aar'aa ka intezar rahe ga
                    wasalm
                    walaikum salam
                    yaaram bhai insaan kabhi kuch nahi bhoolta hai aur na kabhi bhool sakta hai zindagi mein khushi ho ya gham insaan ko hamesha yaad rehte hai...
                    waqt ke saath ye dukh thore kam to ho jate hai lekin kabhi bhoole nahi jate hai aur kuch dukh aise hote hai jo hamari dil ki khushi per bhi haavi ho jate hai...jinhein insaan chah ker bhi kabhi nahi bhool sakta hai...

                    Comment


                    • #25
                      Re: Time: Is it the healer of one's pains?

                      Originally posted by aabi2cool View Post
                      perfect answersalam:
                      yaraam bhai k sawal mukamal aur saheeh jawab la,haisl nay de diya hy..
                      baqi log asal sawal se hat kar aik alg behas laykar chal pary hain hahahahaha
                      aur yehi hota hy hameesha hamary pegham par k sawal gandum aur jawab chana.
                      aray bhai yaraam nay ye naheen poucha k hameen apnay zakham ya dard yaad rakhnay chaiye ya naheen?
                      balk us nay poucha hy k aya kaya waqat insaan k zakhmoon ko mundmil kardeta hy kaya waqat guzarnay k sath sath takleef ya ghuam ka ahsaas kum hojat hy? to is ka bilkul theek theek jawab la,hasil nay dey diya.
                      bayshuk waqat guzarnay k sath sath zakham ya takleef ki shdat kam hojati hy laikin insaan ussay bilkul naheen bhula pata phir kbhi kisi mor par kisi khas moqay par wohi zakham phir taza hosakta hy laikin us shidat k sath naheen jo k pehli martba thi.
                      Hmmmm Buhat Shukriya Aabi :rose
                      Zindagi Thak Gaye ..!!

                      Comment


                      • #26
                        Re: Time: Is it the healer of one's pains?

                        Originally posted by La'hasil View Post
                        Hmmmm Buhat Shukriya Aabi :rose
                        LO kar lo gal is main pala shukriya ki kon se wali gal thi:khi:
                        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                        Comment


                        • #27
                          Re: Time: Is it the healer of one's pains?

                          Originally posted by aabi2cool View Post
                          LO kar lo gal is main pala shukriya ki kon se wali gal thi:khi:
                          Khayalat Milney par kaha tha :blush: :p
                          Zindagi Thak Gaye ..!!

                          Comment


                          • #28
                            Re: Time: Is it the healer of one's pains?


                            Walaikumsalam

                            Kaha yahi jata hai kah waqat sab se bara marham hai har dukh kay lye , lekin mera Khayal thora mukhtlif hai.
                            Hota youN hai kah kuch naye Dukh aur Kuch Khushiya'N puranay dukhooN ko bhoolnay kay kaam ati hain ya aisa kahna behtar hoo ga kah puranay dukhooN ki shidat mein kami aa jati hai.
                            Agar insaan ko koi naya dukh aur khushi na milay tu jo dukh ek baar mil jai wo dukh waqat khatam nai kar sakta wo shadeed hota chala jata hai phir maut hi khatam kar sakti hai.

                            Wasalam
                            Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                            Sadly, common sense is not very common..!!

                            Comment


                            • #29
                              Re: Time: Is it the healer of one's pains?

                              han keh sakte hen k dukh waqt ke sath sath kabal-e-bardasht ho jate hen lekin khatam nahi hote.koi na koi baat ya wakiya unhen dobara taza kar deta he.kabhi ham khud ko serf behla rahe hote hen k ham apne dukh ko bhool gaey lekin ham bhoolte kabhi nahi serf waqti tor par esa lagta he.kuch dukh to insan ki zindagi ka nasoor ban jate hen unhen waqt ki gard halka bhi nahi karti.

                              Comment


                              • #30
                                Re: Time: Is it the healer of one's pains?

                                Originally posted by Yaaram View Post
                                Asslamo ALikum
                                Kese hain aap sab?:eye:
                                Insaan ko zindagi main bohat se dukhoN aur pains ka samna karna parta hay. Aap ke nazdeek kya waqt guzarne ke sath sath yeh gham mundamil ho jate haiN? Kya waqt insaani dukhoN ka madawa kar pata hay? Kya Yeh aik marham hay? is it the healer?

                                Aap sab ki aar'aa ka intezar rahe ga
                                wasalm

                                Walikumas salam
                                mera khayal hai ke gham aur khushi bhooli nahi jati balkey waqt guzarney ke saath ye choti bari yaadin humarey demagh ke kisi hissey main gum hojati hain aur hum samajhtey hain ke hum sab bhool gaey....aur ghamoon ki shidaat bhi kam lagney lagti hai coz hum life ki dosri baaton main masroof ho jatey hain.....gham kabhi bharta nahi hai...ye watq koi marham nahi hai... kiun ke jab bhi hum ko apni koi purani taklif yaad aati hai tu ankhen nam hojati hain....dil main aik kasak si hoti hai...bas pal bhar ke lein phir zindagi mamool par aajati hai.....so time is just a bhool bhulaiya aur kuch nahi:lpop:

                                Comment

                                Working...
                                X