Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Azadi Mubarak!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Azadi Mubarak!

    Originally posted by waitingeyes View Post
    Hmm Nice thread Fari

    Jab tak Pakistan main aur student tha tu her saal Jashn e Azadi School ya college kfunctions hotay thay ... Raat ko hi apne kapre press ker k sotay thay k kal Jashn e Azadi hai .... Ghar main Subha Namaz k baad kheer pakaee jati thee aur Sab aik doosre ko Azadi Mubarak Kehtay thay ... ab bhi hota hai laikin ab ham sab behen bhaee door door hain tu is liey sirf Tel.Phone per baqi ka nahien patak ab bhi kheer banti hai ya nahien....Main tu specialy school colleges k functions main bara barh charh ker hissa laita tha ... Khas ker k Debats main...1997 main main nay Dist Levelper main ne 2nd position lee thee.....her chees say chuti hoti thee k aaj azadi ka din hai hahahaha

    aur ab mulk say door 3 saal ho gay hain..jab 1st Indepndence day aaya tha yahan per tu apne ghar ko bhot miss kia tha....mere 2 friends aur main nay aik program bnaya k ham yahan Jashn e Aazadi manain gay aur sab ko wish kerain gay .... 2 din pehlay yeh program bna tha 14 Aug say....2nd day hamare pass koee hjhandi nahein thee tu ham nay stickers sheet lay ker net say Jhanday download kiey aur un per Print ker k chotay chotay jhanday Badges ki tarha bna liey aur 14 Aug ki raat ko sab Paksitanies main bant diey k subha her banda yeh Jhanda seenay per saja ker niklay...next day Pooray camp walay daikh ker hairan reh gay k yeh kiya ho gya .... Almost sab Indians Hindu aur doosri nationalties jo ham say jaltay thay sab k cheray peelay perh gay....ham nay aik kam aur bhi kiya tha k aik A3 size paper per aik bra jhanda Print ker k apni mess Hall k samnay laga diya tha aur Happy Independence day lik diya tha .... bas phir na poocho...kaisa Enjoyable seeen tha wo subha subha...ham sab friends nay white jeans aur Green shirts pehen leen:D

    Yeh is camp ki history ka aur mere mulk main aanay k bad pka pehla Jashn e Azadi tah...phir last two years bhi aisa hi hoowa ... bal last year jab sticker bnanay main raat ko thori dair ho gaee tu hamare cell phones per calls aana shuroo ho gaien k bhaee jhanday kahan hain:D:D...aur khas ker Pathan bhaee bhot khush hooway k chalo koee tu hai jo ham ko azadi mubarak kehta hai...really main pata nahien kiun in dino main kuch ziyada hi jazbati ho jata hooon..even k some time meri ankhon main pani aa jata hai...ab mere friends chalay gay hain .. main akaila reh gya hooon ...... aur aaj kal k pakistan k halat daikh ker dukh hota hai...log mujhe tanziya nazron say daikhtay hain aur aaj kal tu kuch ziyada hi daikh rahay hain soch raha hooon kerooon k na kerooon

    Mujhe aap sab ki raey chahiey plz help me

    Specially Masood Bhaee aap ki
    wow .. gr8 ppl always do gr8 work ..
    meri to eyes bhar aayeen .. stickers idea parh ke .. plus .. true .. jo PK main rehtey hein .. unka to ab pata nahen .. but I still miss this day .. but I do .. I write poems/essays/design PK-flaggy cards .. for Pakistani news papers, ad companies here .. wheneva they call me to do so ... :)

    My msg to Pakistan: Where ever I am .. I am .. I will be .. yours .. forever!

    chotey hotey to hum charon behan bhaii apni pocket money specially save rakhtey the, to get jhandyan, n flags .. aur sehri time se chat ko poorey ghar ko lights and flags se sajana shuroo ker detey the .. aur doopehar 12pm tak free ho jatey the .. spceially mom .. is day ke liye white green dressing kerwati theen .. raat mein hum sab ghar ki lighting on ker ke nikaltey the dad ke sath .. poora shehar ki decoration dekhney ...7am must PTV dekhtey the .. kharey ho ke sath mein tarana e Pakistan parhtey the .. aur ..

    hamarey frndy mamoon ghar aatey the .. jin ki waja se hum ne ye sab seekha .. Allah unhen jannat mein jagah ataa fermaaye .. mamoon ke sath .. fir .. hallagulla hota tha .. milli naghmey antakshari .. speical dishes tayar kerti theen ghar ki khuwateen .. 13 aug night mamoon humarey pas aa jatey the .. aur hum exactly 12am .. mamoon ka laya hua cake .. jis pe flag bhi hota thaa .. sab mil ke kat-tey the .. baad main falooda .. waghera .. aur phir mamoon ki farmayesh pe hum bari bari sab relatives , frends ko calls ker ke wish kertey the ...

    school timing mein apni classes specially decorate kertey the .. aur events arrange kertey the ..

    well here .. out of PK now .. parades hoti hain .. 14th August melay hotey hein .. PK se pop stars aatey hein .. Mom ke sath jati hoon .. sometime friends ke sath .. aur .. maza aataa hai .. josh zinda hota hai .. har baar aur ziada .. bas yehan .. koi khas nahen .. ye mela waghera attend kerna hi hota hai ziada tar .. aur TV pe .. 14th Aug special progs dekhtey hein .. aur agar is day mein chuti na ho to fir routine .. work.. but .. @ sundays .. festivals waghera .. :)

    lekin wo bachpan ka time .. koz hum 4 hain .. to hum 4 big flags ko aapas mein race pe jhandyon se korners bana ke sajatey the .. laryon mein lighting hang kerna .. and some time .. diye jalatey the ... or candles .. maza aataa thaa .. meri bhanji ne kal mujhey phone pe poocha she is 7yrs old .. ke khala aap kia kertey the .. 14th aug pe .. i explained her everything .. give her all instructions .. wo bhi mashaAllah 4 bro-sis hain .. to unhon ne bhi hamari tradition ko pakar liyaa .. to decorate home with .. tiny n biggi flags .. then she called me .. to let me know .. ke ham ne bhi ghar saja liya .. ab hum tayar honey lagey hein ...

    baten to khatam nahen hotin .. ab aap sunayen ...

    LOVE U PAKISTAN ....
    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

    Comment

    Working...