Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Azadi Mubarak!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Azadi Mubarak!

    Assalam-o-Alikum!!


    ummid ha ap sab khraiyat se hongay

    Iss thread ma ap sab ko ya batanaa ha kah ap aur apkay ghar walay Azadi ka din kasay manatay hainkiya ap ghar ko jhandiyo se sajatay hain:).......special khanay bana tay hain........special dresses silwatay haindawatain kartay hain:eye:


    Aur ap ko ya bhi batana ha kah app kay buzurg apnay zamanay ma kasay Azadi manatay thay!!!!kahtay hain pehlay log boaht josh o jazbay kay sath aur Eid ki tarhan Azadi ka din manaty thay....................kiya woh josh o jazba ajjkal kay dor ma nazar ata ha ap ko?:mm:


  • #2
    Re: Azadi Mubarak!

    Originally posted by *Fari* View Post
    Assalam-o-Alikum!!



    ummid ha ap sab khraiyat se hongay

    Iss thread ma ap sab ko ya batanaa ha kah ap aur apkay ghar walay Azadi ka din kasay manatay hainkiya ap ghar ko jhandiyo se sajatay hain:).......special khanay bana tay hain........special dresses silwatay haindawatain kartay hain:eye:



    Aur ap ko ya bhi batana ha kah app kay buzurg apnay zamanay ma kasay Azadi manatay thay!!!!kahtay hain pehlay log boaht josh o jazbay kay sath aur Eid ki tarhan Azadi ka din manaty thay....................kiya woh josh o jazba ajjkal kay dor ma nazar ata ha ap ko?:mm:
    KON SI AZADI....:cc:
    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

    Comment


    • #3
      Re: Azadi Mubarak!

      Originally posted by aabi2cool View Post
      KON SI AZADI....:cc:

      14 August Pakistan Independence day APkay aur humaray watan ki azadi ka dinwoh din jab hum ko humara watan Pakistan mila:eye:

      Comment


      • #4
        Re: Azadi Mubarak!

        Originally posted by *Fari* View Post
        14 August Pakistan Independence day APkay aur humaray watan ki azadi ka dinwoh din jab hum ko humara watan Pakistan mila:eye:
        achaaaa great news bhai phir to sab ko azdi mubarak....
        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

        Comment


        • #5
          Re: Azadi Mubarak!

          hain????

          Hum azad hain?

          Comment


          • #6
            Re: Azadi Mubarak!

            Originally posted by Khalil View Post
            hain????

            Hum azad hain?
            :taubaap nhi ha tu ap ko qaid mubarak:tasali:

            Comment


            • #7
              Re: Azadi Mubarak!

              Originally posted by *Fari* View Post
              :taubaap nhi ha tu ap ko qaid mubarak:tasali:
              i know hum qaid main hee hian...............
              aap to mojaa ker rahi hain naa

              Comment


              • #8
                Re: Azadi Mubarak!

                پاکستان کے پیارے لوگو پاکستان سے پیار کرو

                I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


                Comment


                • #9
                  Re: Azadi Mubarak!

                  Hmm Nice thread Fari

                  Jab tak Pakistan main aur student tha tu her saal Jashn e Azadi School ya college kfunctions hotay thay ... Raat ko hi apne kapre press ker k sotay thay k kal Jashn e Azadi hai .... Ghar main Subha Namaz k baad kheer pakaee jati thee aur Sab aik doosre ko Azadi Mubarak Kehtay thay ... ab bhi hota hai laikin ab ham sab behen bhaee door door hain tu is liey sirf Tel.Phone per baqi ka nahien patak ab bhi kheer banti hai ya nahien....Main tu specialy school colleges k functions main bara barh charh ker hissa laita tha ... Khas ker k Debats main...1997 main main nay Dist Levelper main ne 2nd position lee thee.....her chees say chuti hoti thee k aaj azadi ka din hai hahahaha

                  aur ab mulk say door 3 saal ho gay hain..jab 1st Indepndence day aaya tha yahan per tu apne ghar ko bhot miss kia tha....mere 2 friends aur main nay aik program bnaya k ham yahan Jashn e Aazadi manain gay aur sab ko wish kerain gay .... 2 din pehlay yeh program bna tha 14 Aug say....2nd day hamare pass koee hjhandi nahein thee tu ham nay stickers sheet lay ker net say Jhanday download kiey aur un per Print ker k chotay chotay jhanday Badges ki tarha bna liey aur 14 Aug ki raat ko sab Paksitanies main bant diey k subha her banda yeh Jhanda seenay per saja ker niklay...next day Pooray camp walay daikh ker hairan reh gay k yeh kiya ho gya .... Almost sab Indians Hindu aur doosri nationalties jo ham say jaltay thay sab k cheray peelay perh gay....ham nay aik kam aur bhi kiya tha k aik A3 size paper per aik bra jhanda Print ker k apni mess Hall k samnay laga diya tha aur Happy Independence day lik diya tha .... bas phir na poocho...kaisa Enjoyable seeen tha wo subha subha...ham sab friends nay white jeans aur Green shirts pehen leen:D

                  Yeh is camp ki history ka aur mere mulk main aanay k bad pka pehla Jashn e Azadi tah...phir last two years bhi aisa hi hoowa ... bal last year jab sticker bnanay main raat ko thori dair ho gaee tu hamare cell phones per calls aana shuroo ho gaien k bhaee jhanday kahan hain:D:D...aur khas ker Pathan bhaee bhot khush hooway k chalo koee tu hai jo ham ko azadi mubarak kehta hai...really main pata nahien kiun in dino main kuch ziyada hi jazbati ho jata hooon..even k some time meri ankhon main pani aa jata hai...ab mere friends chalay gay hain .. main akaila reh gya hooon ...... aur aaj kal k pakistan k halat daikh ker dukh hota hai...log mujhe tanziya nazron say daikhtay hain aur aaj kal tu kuch ziyada hi daikh rahay hain soch raha hooon kerooon k na kerooon

                  Mujhe aap sab ki raey chahiey plz help me

                  Specially Masood Bhaee aap ki
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: Azadi Mubarak!

                    pehle mujhe yakeen ajae k ham sach me azaad hen phir bataun gi is din ke bare me:mm:

                    Comment


                    • #11
                      Re: Azadi Mubarak!

                      Hmmm Pehlay kabhi Jandiyan Lagaya kartay thay Maghar ab tu wo bhi nahin :)
                      Zindagi Thak Gaye ..!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: Azadi Mubarak!

                        KYa Azadi aur konsi AZadi??? Jab Azad ho jayein to Phir Mana bhi lein ge :) Has no comments..........
                        Allah

                        Comment


                        • #13
                          Re: Azadi Mubarak!

                          Originally posted by waitingeyes View Post
                          ...... aur aaj kal k pakistan k halat daikh ker dukh hota hai...log mujhe tanziya nazron say daikhtay hain aur aaj kal tu kuch ziyada hi daikh rahay hain soch raha hooon kerooon k na kerooon

                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment


                          • #14
                            Re: Azadi Mubarak!

                            Originally posted by aabi2cool View Post
                            KON SI AZADI....:cc:
                            Originally posted by Khalil View Post
                            hain????

                            Hum azad hain?
                            Originally posted by hamzad View Post
                            pehle mujhe yakeen ajae k ham sach me azaad hen phir bataun gi is din ke bare me:mm:
                            Originally posted by Yaaram View Post
                            KYa Azadi aur konsi AZadi??? Jab Azad ho jayein to Phir Mana bhi lein ge :) Has no comments..........
                            Itni na shukri??? .... akhir kyun ?? :)

                            Qad'r karein iss din ki aur Qad'r kerna seekheiN un logoN ki jinhoN ney ye din hamein diya hai......... shukr ada kareiN Alah T'ala ka...

                            itni mayoosiyaaN kyun? .... aap logoN ko ye nahi feel hota hai key aaj pakistan key jo halat hein uss per hamara agar ye mayoos kun rawwiya ho to ...yahi maoysiyaN hi iss mulk ko khuda na khwasta dobo dein gi???

                            mat karein kuch celebrations .... sirf uss din shukar ada ker leiN aur du'a ker leiN koi aik acha kaam ker leiN apney mulk key liye..... magar iss din ka INKAAR to mat karein..... :rose
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment


                            • #15
                              Re: Azadi Mubarak!

                              main to khoob enjoy karti houn yeh din :D:
                              dress bhi special white/green combination wala pehnti houn ...or jewellery matching ki :eye:....pechli baar to friends aian the ghar ..is baar bahir hi janay ka irada hai :lpop:..or candle bhi zaror jaltay hian :D: candle jalanay main buhat maza ata hai is din....
                              Dish to samajh nahi ati green/white koon si banaoun :hehe: ..bas kheer bana kay oper say green color daal kay jhanda bana daian :lol ...is baar cake loun gee special
                              baloon phulati houn :p koi bachay ghar a gay to saray chun chun kay lay jatay hiaan jo na lay ja sakye phaar kay bhag jatay hian :khi:
                              TV pay kafi achay programmes atay hian vo deekhti houn ...bas isi main din guzar jata hai :D:
                              14 Aug ko sab apnay watan kay leye dua kejeye ga or Allha Tala ka shukar ada karnay kay leye 2 nafil zaror parh lejeye ga :rose
                              or Azadi kay din ko khoob enjoy karain :thmbup:
                              Azadi Mubarak :thmbup:
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment

                              Working...
                              X