Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Azadi Mubarak!
Collapse
X
-
Re: Azadi Mubarak!
Originally posted by bloo View PostItni na shukri??? .... akhir kyun ?? :)
Qad'r karein iss din ki aur Qad'r kerna seekheiN un logoN ki jinhoN ney ye din hamein diya hai......... shukr ada kareiN Alah T'ala ka...
itni mayoosiyaaN kyun? .... aap logoN ko ye nahi feel hota hai key aaj pakistan key jo halat hein uss per hamara agar ye mayoos kun rawwiya ho to ...yahi maoysiyaN hi iss mulk ko khuda na khwasta dobo dein gi???
mat karein kuch celebrations .... sirf uss din shukar ada ker leiN aur du'a ker leiN koi aik acha kaam ker leiN apney mulk key liye..... magar iss din ka INKAAR to mat karein..... :roseAllah
Comment
-
Re: Azadi Mubarak!
ahhh... hum bhi 15th Aug celebrate karte hain... :D: aur aise ke baqool bhai... aisa lagta hai ke angrez inhe hi azaad kar gaye.:lol.. aur ager is particular day ko hum se aik bhi mistake ho jaaye tu .. phir kaihta hai aaj shaid angrez bhi khushiyaan manate honge ke tum jaise ganwaaron se peecha choota...LOlz...
any wayzz.. ghar mein tu koi si bhi govt. holiday ho hum sub khush ho jaate hain... so nothing specail in home... ji humari society mein functions wagairah hote hain... per jub tak jaag ker hum attende karein farewell song start ho chuka hota hai...:embarasse.. khair... mama ki school mein bhi function hota hai... mama tu month ke start se hi apne students ke saath BZ rehte hain functions ki tyaarian karwaane mein..... nanu kabhi kabhaar mood mein aa jaaye tu batate hain ke angrez kaise the.. aur kya kya hota tha us zamane mein.. Allah kisi ki ghulaami na de bus... aameen....:dua...
Comment
-
Re: Azadi Mubarak!
[quote=bloo;492028]salam Eyes!
Yes:embarasse
Nhaien wo sab puranay hain aur un main say jinhon nay mujhe 14 Aug wish kiya tha wo sab Pakistanies aur kuch Muslim Countries k thay laikin Jo other countries k Log hain in ki nazron main mujhe aisay lagta hai k jesay keh rahay hoon k tum tu bari tareefain kertay thay apne pakistan ki aur bara Proud feel kertay thay apnay Pakistani honay per daikho k aaj tumhare us mulk ka kia hashar nashar ho raha hai aur wo koee aur nahien tum log khud ker rahay ho...kia itna hi piyar kertay ho apne watan say???? Specialy Indians & Bangladeshies...aap shayad janti nahein ho k Bangladeshies k dilon main hamare liey kitni nafrat hai....(yeh bhi in fojion ki dee hoee hai):fuming:
wat i think is key agar aap akeyley ho aur bohot saarey log hein aas paas jin sey aap ko lagta hai key agar aap issey celebrate karo gey to wo aap key ehssassat ki respect nahi karein gey to ....dont do any celebration
jitna waqt aap jhandiyaN laganey mey ya iss type ka kaam kerney mey sarf karein gey utney time mey do rakah salat ul shuker perh leiN aur Pakistan key liye dher saari du'a ker leiN... kyun key Allah T'ala loves us when we make du'a :)sigpic
Comment
-
Re: Azadi Mubarak!
Originally posted by bloo View PostItni na shukri??? .... akhir kyun ?? :)
Qad'r karein iss din ki aur Qad'r kerna seekheiN un logoN ki jinhoN ney ye din hamein diya hai......... shukr ada kareiN Alah T'ala ka...
itni mayoosiyaaN kyun? .... aap logoN ko ye nahi feel hota hai key aaj pakistan key jo halat hein uss per hamara agar ye mayoos kun rawwiya ho to ...yahi maoysiyaN hi iss mulk ko khuda na khwasta dobo dein gi???
mat karein kuch celebrations .... sirf uss din shukar ada ker leiN aur du'a ker leiN koi aik acha kaam ker leiN apney mulk key liye..... magar iss din ka INKAAR to mat karein..... :rose
yehan huti jehan hum reh rahy hian
to
Lag loo jaati
Comment
-
Re: Azadi Mubarak!
Originally posted by waitingeyes View Post
Yes:embarasse
Nhaien wo sab puranay hain aur un main say jinhon nay mujhe 14 Aug wish kiya tha wo sab Pakistanies aur kuch Muslim Countries k thay laikin Jo other countries k Log hain in ki nazron main mujhe aisay lagta hai k jesay keh rahay hoon k tum tu bari tareefain kertay thay apne pakistan ki aur bara Proud feel kertay thay apnay Pakistani honay per daikho k aaj tumhare us mulk ka kia hashar nashar ho raha hai aur wo koee aur nahien tum log khud ker rahay ho...kia itna hi piyar kertay ho apne watan say???? Specialy Indians & Bangladeshies...aap shayad janti nahein ho k Bangladeshies k dilon main hamare liey kitni nafrat hai....(yeh bhi in fojion ki dee hoee hai):fuming:
Laikin agar nahien kerooon ga tu yeh log yeh bhi kahien gay k kahan gya wo jazba ... friends thay tu un k saath mil ker sab kerta tha aur ab wo nahien hain tu apne palay main kuch nahien hai
Sachi baat kahoon tu main Fajar ki namaz bhot hi kam perhta hoon ... laikin 14 August ko specialy subha uth ker apne watan k liey namaz perh ker dua zaroor kerta hoon Allah mere Watan ko hamesha Qaim o Daim Rakhay aur Ham sab ko itni himat ata keray k ham is watan ko is Qabil Bna dain k Pakistan Haqeeqat main Islam ka Qila Bn jaey..AminLast edited by Z.; 6 August 2007, 13:09." Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: Azadi Mubarak!
Originally posted by *Fari* View PostAssalam-o-Alikum!!
ummid ha ap sab khraiyat se hongay
Iss thread ma ap sab ko ya batanaa ha kah ap aur apkay ghar walay Azadi ka din kasay manatay hainkiya ap ghar ko jhandiyo se sajatay hain:).......special khanay bana tay hain........special dresses silwatay hain
dawatain kartay hain:eye:
Aur ap ko ya bhi batana ha kah app kay buzurg apnay zamanay ma kasay Azadi manatay thay!!!!kahtay hain pehlay log boaht josh o jazbay kay sath aur Eid ki tarhan Azadi ka din manaty thay....................kiya woh josh o jazba ajjkal kay dor ma nazar ata ha ap ko?:mm:
Jab ham pakistan mein they to ghar ko jhandiyon sey zaroor sajatey they us waqt they bhi bachey to bachon ko ziyada josh hota hai - yeh samjhey bghair keh jashan kis baat ka hai - aur waisey bhi bachey masoom hotey hain waqt sey ziyada pyar kartey hain... magar ab to aik muddat hui hai is tarha ka koi shor shraba kiyey huwey - magar is saal insahAllah aehtemaam bohat zabardast hai....
Yahan per aik bohat zabardast amusement park hai BAKKEN (click for visit the site) yahan per din key 13 bajey sey leker raat key 22 bajey tak Pakistani Community ka aik bohat zabardast function ho raha hai. Jis mein Pakistani singers hongey, Pakistani khana ho ga and alot of actitivities hongi - Phir raat ko aatishbaazi ka bhi ehtimaam kiya jaa raha hai... We will be there inshaAllah.Last edited by Masood; 6 August 2007, 13:19.tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Azadi Mubarak!
Originally posted by bloo View PostItni na shukri??? .... akhir kyun ?? :)
Qad'r karein iss din ki aur Qad'r kerna seekheiN un logoN ki jinhoN ney ye din hamein diya hai......... shukr ada kareiN Alah T'ala ka...
itni mayoosiyaaN kyun? .... aap logoN ko ye nahi feel hota hai key aaj pakistan key jo halat hein uss per hamara agar ye mayoos kun rawwiya ho to ...yahi maoysiyaN hi iss mulk ko khuda na khwasta dobo dein gi???
mat karein kuch celebrations .... sirf uss din shukar ada ker leiN aur du'a ker leiN koi aik acha kaam ker leiN apney mulk key liye..... magar iss din ka INKAAR to mat karein..... :rose
Comment
-
Re: Azadi Mubarak!
Originally posted by hamzad View Postme un logon ki qurbanion ka soch kar hi ye keh rahi hun ham ne kia qadar ki is azadi ki?aj hamen america attacks ki dhamkian deta he,jab chahe hamare citizens ko utha kar le jata he jab chahe ham se har baat manwa sakta he akher aik paksitani hone ki heseyat se hamari kia izat he????america me janwar bhi kuch hakook rakhte hen lekin pakistan me jab me apne hamwaton ki bey qadri or un se zilat bhara salook hote dekhti hun to mera khoon kholne lagta he:fuming:hamare hukmaran yahan aam awam se jo salook karte hen or un ko aik ghatyan makhlook samjhte hen yehi hukmaran jab america ki yaatra ko jate hen to wahan un logon ke talwe chatte hen:fuming:kia azaad qomen esi hoti hen???sab se sasta khoon pakistani ka aey din mar rahe hen lekin hukamraon ko koi fark nahi parta wo america ke azaim takmil tak pohanchana apna farz e ean samjhte hen.
Comment
-
Re: Azadi Mubarak!
Originally posted by *Fari* View PostAssalam-o-Alikum!!
ummid ha ap sab khraiyat se hongay
Iss thread ma ap sab ko ya batanaa ha kah ap aur apkay ghar walay Azadi ka din kasay manatay hainkiya ap ghar ko jhandiyo se sajatay hain:).......special khanay bana tay hain........special dresses silwatay hain
dawatain kartay hain:eye:
Aur ap ko ya bhi batana ha kah app kay buzurg apnay zamanay ma kasay Azadi manatay thay!!!!kahtay hain pehlay log boaht josh o jazbay kay sath aur Eid ki tarhan Azadi ka din manaty thay....................kiya woh josh o jazba ajjkal kay dor ma nazar ata ha ap ko?:mm:
azadi ka din hamaray ghar ma to bahot kush specialy azadi ke khushi ma packta ha lakin ma takrebun azadi ka sara din ghar ma he guzarta hoon....
aur bachpan ma hud ma bahot zayada jhandiya wagara lagata tha lakin ab nahi....
aur jo hamaray buchpan ka door ma jo josh jazba azadi ka tha wo aja kul dakhnay ma nahi milta..yani jab hum jhandiya lagata tha us waqat ka abi be din yaad aytay haan ka takrebun her ghar ke chat per jhandiya hoti thee..aur aja be wo waqat yaad ayata ha lakin abi itna zayada josh jazba dakhnay ko nahi milta....
sigpic
Comment
-
Re: Azadi Mubarak!
Originally posted by nomi sialkoti View Posthmmmmm....
azadi ka din hamaray ghar ma to bahot kush specialy azadi ke khushi ma packta ha lakin ma takrebun azadi ka sara din ghar ma he guzarta hoon....
aur bachpan ma hud ma bahot zayada jhandiya wagara lagata tha lakin ab nahi....
aur jo hamaray buchpan ka door ma jo josh jazba azadi ka tha wo aja kul dakhnay ma nahi milta..yani jab hum jhandiya lagata tha us waqat ka abi be din yaad aytay haan ka takrebun her ghar ke chat per jhandiya hoti thee..aur aja be wo waqat yaad ayata ha lakin abi itna zayada josh jazba dakhnay ko nahi milta....
ahaaaaaaaaa thanks for replying
App bata saktay hain kah asa kiun ha? kiun abb woh josh-o-jazba nahi raha jo pehlay tha:cc:
Comment
Comment