Re: Pegham
hmm..yeh question reasonable he aap ka :clap: aur is per mein raye bhi de sakta hoon.
Aap ne "newspaper" ka word use kia he to is ka matlab yeh hua ke News jo hein wo paper per print hoon gi that seems nearly impossible :D for this you need healthy finance as well as professionals in order to get through.
Ager aap News net per spread kerna chahti hein to us ke liye bhi aap pehle yeh decide karein ho ga ke yeh News sirf Forum se related aur forum members ke liye hoon gi jesa ke Ms. Saima Shaheen ne beyaan kia, ya ke doosray web news broadcaster ki tarah hoon gi, jesa ke akhbar.urdupoint.com, ya jang-group.com pe hoti hein.
Ager News sirf forum se related hon gi, to usay Forum ke members hi manage ker lein ge...aur ager aap professional news channel ki tarah her field ko scope kerna chahti hein to phir bhi kafi maslay hein.
Anyway as far as the outlook of news is concerned, it should be like....
1. Pehle Farman-e-Elahi, aur Hadees ho
2. Us ke baad general news (Nationa, International, Social News, Trade News, Agricultural News)
3. Sports ke liye bhi aik acha haasa hisa hona chahiye, aur yahan mein aik baat mention kerta chaloon ke sports mein Football se related sari updated news honi chahiyein especially English Premier League, and Spenish League. Golf, Formula 1, MOTO Grandprix, WWE,Tannis, her Grand Slam ki news, Hockey ki news especially PHL (premier hockey league) and SHL (Super hockey league) aur Pakistani Snooker ko scope zaroor kiya jaye. aur waktun fooktun in sports se related Sportsmen aur sportswomen ki ranking bhi shaye ki jaye.
4. Science and technology mein jo updates ho rahi hein wo bhi mention ki jaein, jese ke current activities of NASA, its future plan, different countries ki Aeronautical industries ki updates bhi shaya ki jaein, Genetics pe jo latest researches ho rahi hein us ko bhi focus kia jaye.
5. Aik section pakistan mein moojod Awam ki preshaniyoon se related ho...aur us ke sad-e-baab ke liye aaraah bhi pesh ki jaein
6. General knowledge ka bhi kuch hissa hona chahiye.
I think yeh aik News mag type ka hona chayiye, jo ke fortnightly on air ho. aur jo points mein ne beyaan kiye hein un sub per brief focus ho.
Originally posted by barg.e.gul

Comment