Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

yaad k raastay maloom karnay hien.....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

    Originally posted by ummid View Post
    well.. hum ne kaan ke jhunjhunane ke waqt ki jo duaa perhi hai... woh yeh hai ke "zakarallahu bekhairim'man zakarani".. yaani " jis shaks ne mujhe yaad kiya Allah us ko bhalai ke saath yaad kare".. is se tu yahi sumjh aati hai ke kaan ka jhunjhunana kisi ke yaad karne ke waqt hota hai...:donno: baaqi other baatein jasie hichki ana ya chink ka aana.. wagarah hum bhi nahi mante... dil ko dil se raah bhi suna hai hum ne ke aisa hota hai...aur akser aisa hota bhi hai k jub aap kisi ko dil se yaad karo tu woh kahein na kahein se samne aa jata hai ya koi zariya hi mil jata hai usi ki khaber ka... :thmbup: yeh sub kuch faith i batein hai chanda... maanu tu heera nahi tu pather...:)
    OMG...Islam ka hashar nashar ker diya he loogon ne...kaan ki jumbash ki duaa, kharish kerne ki duaa...khujli honay ki duaa, yeh kerne ki duaa wo kerne ki duaa...yaani bunda koi kaam na karay puri zindagi duaaein kerta rahay.

    by the way yeh jo aap ne duaaein perhi hein, kia yeh confirm he ke yeh duaa Quran mein moojood he? kia aap mujay is duaa ka source batana pasand fermaein gi?

    Islam bohat simple aur practicle mazhab he, lekin jis tarah is ki complicated presentation ki jaa rahi he koi mai ka laal bhi us tarah Islam ko follow nahi ker sakta :tauba
    :thmbup:

    Comment

    • #62
      Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

      Originally posted by munda_sialkoty View Post

      khud ko zyadah Aqalmand sabit karne ke chaker mein dosron ki baaton ka mazaq banana bnad ker dijye aap.... Ok... aur raha sawal duaao'n ka tu Quraan mein chail Rabna ke illawah koi duaa nahi... baaqi ki saari duaaein Haditon se milti hai.... aur yeh duaa hisn-e-haseen mein darj hai... be-shak Islaam simple deen hai... lakeen hume sir ke baal se le ker pair ke nakhun tak ko kis tarah treat karna chahiye bataya gaya hai... her baat ki duaa.. subha jaagne ke waqt se le ker sone tak ki duaaein moojod hai aamir javed...:thmbup:

      Comment

      • #63
        Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

        mein ub kuch arz kerna chahon ga...ke hum loogon ka eman waqee bohat kamzoor hota ja raha he...mein ne us gharanay mein aankh khooli jo sunni-barehlawi garana tha...lekin mein ne apni study ki...aur paya ke Ehal-e-Hadeez walon ke concept bohat pure, saaf aur islaam se kareeb tar hein...Barehlaviyat mein bohat si aisi cheezon ka imtezaaj he, jo hinduon mein bhi common he...jinhein hum "Bidat" kehtay hein...aur pakistan mein 70% loog barehalvi hein...aap loog kisi achay se Ahal-e-Hadees ke Aalam se raabta keejiye...aap loogon ke bohat se concepts ko sahi kerne ki zaroorat he....aur is ke saath Allah se duaa keejiye ke wo sub ko seedha rasta dikhaye.
        :thmbup:

        Comment

        • #64
          Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

          Originally posted by ummid View Post
          khud ko zyadah Aqalmand sabit karne ke chaker mein dosron ki baaton ka mazaq banana bnad ker dijye aap.... Ok... aur raha sawal duaao'n ka tu Quraan mein chail Rabna ke illawah koi duaa nahi... baaqi ki saari duaaein Haditon se milti hai.... aur yeh duaa hisn-e-haseen mein darj hai... be-shak Islaam simple deen hai... lakeen hume sir ke baal se le ker pair ke nakhun tak ko kis tarah treat karna chahiye bataya gaya hai... her baat ki duaa.. subha jaagne ke waqt se le ker sone tak ki duaaein moojod hai aamir javed...:thmbup:
          first of all stopy saying me aamir javaid...mujay simply aamir kaha karo...undestand.

          aur sub se pehlay hum loogon ka farz banta he jo cheezein quran mein hein unhein follow karein. aur jahan tak ahadees ka taaluq he...to mein yeh kahon ga ke kuch ahadees sahih bhi hein aur zaeef bhi...mein ne aik kitaab perhi thi, jis mein ahl-e-sunat aur ahl-e-tasheeh ki ahadees ka comparison kia gaya tha...aik he mookay pe do contrast ahadees derj thein, aik mein kuch aur doosri mein kuch kaha gaya tha...ub aisay mein insaan kis ko maanay?

          khair...Arab ki ser-zameen jahan se islaam phoota tha, wahan pe islam bohat simple he...jub namza hoti he to loog 5-10 min ke liye apnay kaar-o-baar kerte hein aur namaz perh lete hein...jo jahan he wo wahi namaz perh leta he...aur apnay amoor sar anjaam dene lagtay hein...aap wahan ja ke dekhiye, ke un loogon ka islam kitna pure he aur hum logon ka islaam bidaton se bhara para he.

          Mein Ahl-e-sunat ki masjid mein Jumma perhnay jata hoon to molvi sahib...30 mein mein koi 5-10 aisay waqeyaat suna dete hein jis se aisa lagta he ke islaam to Khudana khawasta mazhab he jadu garon ka he. Lekin ub Ahl-e-hadees ki majid mein jaon to wahan pe aisi koi fazooliyaat nahi miltein...aap ne ager islam pheelana he to jaadu ki kahawaton suna ke kisi ko convince nahi ker saktay...aap ko logically aanay paray ga...aur America mein jo loog musalmaan ho rahay hein un ki tableeg wo musalman he kerte hein jo ke islam ko achay tareekay se jantay hein na ke hum aur aap jese loog
          :thmbup:

          Comment

          • #65
            Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

            Originally posted by sumera View Post
            :) :) :)

            yeh bhi theek hay:)

            q main juth bolaya???:na:

            I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani

            Comment

            • #66
              Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

              Originally posted by ummid View Post
              well.. hum ne kaan ke jhunjhunane ke waqt ki jo duaa perhi hai... woh yeh hai ke "zakarallahu bekhairim'man zakarani".. yaani " jis shaks ne mujhe yaad kiya Allah us ko bhalai ke saath yaad kare".. is se tu yahi sumjh aati hai ke kaan ka jhunjhunana kisi ke yaad karne ke waqt hota hai...:donno: baaqi other baatein jasie hichki ana ya chink ka aana.. wagarah hum bhi nahi mante... dil ko dil se raah bhi suna hai hum ne ke aisa hota hai...aur akser aisa hota bhi hai k jub aap kisi ko dil se yaad karo tu woh kahein na kahein se samne aa jata hai ya koi zariya hi mil jata hai usi ki khaber ka... :thmbup: yeh sub kuch faith i batein hai chanda... maanu tu heera nahi tu pather...:)
              ahan......new info for me.....:)
              cheenk hichki wagayra to just a part of fun hay k hum kehty hien k kisi nay yaad kiya....:) ..magar dil ko dil say rah hoti hay....koi maanay ya nah manay hamara qawwi yaqeen hay..:lpop:

              Comment

              • #67
                Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                waqee mafroozay kaim kerne mein kia muzaika he :donno: aur even apnay aap ko dhooka dene mein bhi kia jata he :donno: waqee ager hum aisi baatein assume ker lein to na to humein koi choot lagay gi na blood niklay ga, kuch nahi ho ga bus aik tasali si ho gi.
                :lpop: :lpop: :lpop: :khi: :khi: :khi: :khi:

                Bar-e-sageer paak-o-hind ki tareekh bohat purani he...musalman aur hindu aik arsay se saath saath rehtay aaye hein. Hindu mazhab ziada tar tohmaat per base kerta he...aur aisi baatein hum ne hinduon se li hui hein, aur ub itnay pakay ho gaye hein ke hamara dil he nahi chahta ke aisi toohmaat se apni jaan churaein. Mein aap ko tease nahi ker raha, lekin mujay kahin lagta he ke aap loogon ka knowledge bohat kamzoor he...aik zee-shaoor aur perha likhay bunday ko to aisi chooti mooti baaton ki assessment khud se he ker leni chahiye. Hum loogon jub chootay hotay hein to ajeeb-o-gareeb kahaniyaan suntay hein apnay baron se...aur hamaray la'shaoor mein bhi kuch aisi he false things beth jati hein, jinhein hum chaah ke bhi rud nahi ker paatay...aur baaz aukaat yeh false things hamara belief bun jati hein...hamein in cheezon se nikalna chahiye...dunia chand per pohanch gai he...angreezon ne signal baijnay ke liye sattelittes bana li hein, aur hum ub tak cheenkon se signal baij rahay hein :)
                tease karnay waali to koi baat nhi aur hum yeh bhi jaanty hien k hamaray mahool mien boht si aysi batien hoti hien jinka haqeeqat mien koi wajood nhi ....jab hum village mien rehty thay to hum nay yeh sab kuchh boht observe kiya hay .....magar :alhamd: hamaray saath aysa koi masla nhi hay aur hum apna achha bura khoob samajhty hien
                magar duniya kahin bhi pohnchh jaay hum nay signal to cheenkoon say hee bhayjnay hien:lpop: :lpop: :lpop: bhala is k saath kisi aur ka kya muqaabla:embarasse
                Last edited by *Duaa*; 29 May 2007, 16:22.

                Comment

                • #68
                  Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  OMG...Islam ka hashar nashar ker diya he loogon ne...kaan ki jumbash ki duaa, kharish kerne ki duaa...khujli honay ki duaa, yeh kerne ki duaa wo kerne ki duaa...yaani bunda koi kaam na karay puri zindagi duaaein kerta rahay.

                  by the way yeh jo aap ne duaaein perhi hein, kia yeh confirm he ke yeh duaa Quran mein moojood he? kia aap mujay is duaa ka source batana pasand fermaein gi?

                  Islam bohat simple aur practicle mazhab he, lekin jis tarah is ki complicated presentation ki jaa rahi he koi mai ka laal bhi us tarah Islam ko follow nahi ker sakta :tauba
                  yeh to koi baat nah hui:embarasse ......dua say ab islam ka kya hashar nashar honay laga........:tauba ...aur dua to banday aur us k maalik ka maamla hay woh jitni duaa chahay maangay ya siray say nah maanay.....aur hum to maangnay waaloon mien say hien.......ab agar hum subh uthtay huay Allah ka shukar ada karien k us nay moot k baaad dindagi di aur dua karty hien k hamara din achha rahay....to galat kya hay
                  khaana khaty huay barkat ki dua maang lien to is mien kitna wqt lagay ga....chand seconds.......
                  bhlaai maangnay ka hukm to Allah paak khud dayta hay...... aur dua karnay k liay aapko kaam choor kar bayth jaanay ki zaroorat nhi parti...:na:

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  Allah se duaa keejiye ke wo sub ko seedha rasta dikhaye.
                  ameeen:dua
                  Last edited by *Duaa*; 29 May 2007, 16:45.

                  Comment

                  • #69
                    Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

                    Originally posted by sumera View Post
                    :) :) :)
                    hah....hum to gayr ikhtiyaari awaamal ki baat kar rahay thay:tauba

                    zabardasti to khush fehmiyaan bhi nhi paali jaatien:khi: :khi:

                    haan main yahi baat kar raha tha but jus kiding :D

                    waisay banda khush fahmi paal lay to acha hai kam say kam ghalit fahmi say to achi hoti hia ;)

                    Comment

                    Working...
                    X