Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

yaad k raastay maloom karnay hien.....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

    Originally posted by yellowsky View Post
    haan hichki key baarey mey suna hai
    aik baar aik buzurg khatoon sey iss key baarey mey poocha gaya key kehtey hein key jab hichti ho to iss ka matlab ye hota hai key koi hamein yaad ker raha hia magar ye kaisey maloom ho key kaun hamein yaad ker raha hai :mm: , un buzrg khatoon ney kaha key jab hichki lagey to aap apney sab kareeb aur door logoN key naam leyna shuru ker dein ............jis pey hichki khatam ho jaye ......wahi banda aap ko yaad ker raha ho ga :khi:
    Originally posted by Zindgi View Post
    hichki main jo sab sy pehly yaad aye samaj lo os ny yaad kia hay.
    wow very interesting:thmbup: ...hichki par bhi muje yaqeen hay,bus ainwee:blush:
    Finding truth - Finding love
    These diamonds sparkle from lights above

    Lorraine Venner

    Comment

    • #32
      Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

      jab jiger kushak hoo jaye to hicki a jati hai isi leye kehtay hian hichki aye pani peeian :blush:
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment

      • #33
        Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

        Originally posted by Aanchal View Post
        jab jiger kushak hoo jaye to hicki a jati hai isi leye kehtay hian hichki aye pani peeian :blush:
        lo ji aap ney to innnay saray logon ki khushfehmiyon per paani pher diya....
        sigpic

        Comment

        • #34
          Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

          Originally posted by sumera View Post
          As salam o alaikum:)

          friends

          mujhay ik baat poochhni hay:blush:

          jo loog hamien yaad aatay hien

          kya

          hum bhi unhien yaad aatay hien...?

          chahay koi raabta ho ya nah ho....:donno:

          like jab cheenk aati hay to loog kehty hien k kisi nay yaad kiya....magar mien kehti hoon k zukaam nay ya alergy nay yaad kiya

          phir bhi kai baar aysa hota hay k mehsoos hota hay jaysay yeh kisi k yaad karnay say hee cheenk aai hay

          is mien kitni sachhai hay....?
          cheenk ya cheezing tub hoti he jub aap ke nostrils ya trachea mein koi irritation ho ya dust particle chalay jaein, aur dimaag ka wo part jo is area ko control kerta he stimulate ho ke achanak tehreek baijta he jis ki waja se sneezing hoti he...yeh he scientific fact...kisi ke yaad kerne se koi cheenk nahi aati :na:
          :thmbup:

          Comment

          • #35
            Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

            Originally posted by Aabgina View Post
            Walaikom Assalaam...
            yeh tu mujhay bhi nahin maloom ...jin ko ham yaad kartay hain woh bhi hain yaad kartay hongay ya nahin....
            lkain cheenk nahin balkay hichki kay baray mein yeh kaha jata hai .....
            aap ki science bhi ghalat he :tauba
            :thmbup:

            Comment

            • #36
              Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

              Originally posted by yellowsky View Post
              haan hichki key baarey mey suna hai
              aik baar aik buzurg khatoon sey iss key baarey mey poocha gaya key kehtey hein key jab hichti ho to iss ka matlab ye hota hai key koi hamein yaad ker raha hia magar ye kaisey maloom ho key kaun hamein yaad ker raha hai :mm: , un buzrg khatoon ney kaha key jab hichki lagey to aap apney sab kareeb aur door logoN key naam leyna shuru ker dein ............jis pey hichki khatam ho jaye ......wahi banda aap ko yaad ker raha ho ga :khi:
              Aray waah...yeh hitchki GSM ya GPRS technology se hoti he kia :tauba maaiyaan waqei maiyaan hoti hein, kukh pata nahi hota inhein :tauba
              :thmbup:

              Comment

              • #37
                Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

                Originally posted by Kh@w@r View Post
                kisi ki yaad say waali baat to bzurgon say maine b soni hia

                aur aaj kal ki dunya man is pe ahtbaar karna bohat muskil ho jaata hi kyon k

                ya jdeed door hia hum 21 sadi man hian

                wel magher bzurgon ki baat ko b taala nai jaa sakta

                waisay ho b sakta hai k ya sach ho aur may b na ho par main thora thora beleive karta hon bzurgon ki baat pe
                mujay ager koi bazurg aisi baat kahein to mein kahon ga ke Baba ji aap Allah Allah karein aur jin baaton ka pata na ho wo kabi na kia karein :fuming:
                :thmbup:

                Comment

                • #38
                  Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

                  Yaar mere saath aik masla hai .... main jab bhi kuch kaha laita hooon tu mujhe cheenkain aana shuroo ho jati hain...kia khane k baad mujhe koee yaad kerta hai???:cc:

                  Aur hichki tu mujhe aati hi nahien...is ka matlab hai k mujhe yaad hi koee nahien kerta??????
                  sigpic

                  Comment

                  • #39
                    Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    Aray waah...yeh hitchki GSM ya GPRS technology se hoti he kia :tauba maaiyaan waqei maiyaan hoti hein, kukh pata nahi hota inhein :tauba
                    MaaiyaN????
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment

                    • #40
                      Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

                      Originally posted by yellowsky View Post
                      MaaiyaN????
                      Mai = Boorhi aurat
                      Maiyaan = Boorhi Auratein

                      :lpop:
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #41
                        Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

                        mayra mana hay yad kernay kay leay pahlay bholna perta hay phir hi to hum kisi ko yad kertay hain.or rahi baat kay jub hum kisi ko yad kertay hain to kia wo bhi humain yad kertay hon gay.janab hum kis ko yad is shrat pay nahi kertay kay return main wo bhi humain yad kery ager yadain khoshgawar hain to yaqeen maneay wo zeror aap ko yad rakhain gay

                        Comment

                        • #42
                          Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

                          Originally posted by neha_ahmad View Post

                          Neha yaad karnay mien aur yaad aanay mien farq hota hay....
                          aap kisi ko yaad karty ho jab aapka dil chahay...koi achhi memory sooch li ya aysa hee kuch
                          magar kisi k yaad aanay mien insaan ka koi ikhtiyaar hota hay nah bas chalta hay.......to hum nay kisi k yaad aanay ki baat ki ...jo khud bakhud bin bulaay mehmaan ki tarah chali aati hay aur hamari routine life ko disturb kar dayti hay.

                          bas yeh poocha tha k jo loog aysay hee achanak hamain disturb karny chalay aty hien:tauba kya woh bhi us lamhay aysay hee disturb ho rahay hoty hien:lpop:

                          Comment

                          • #43
                            Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

                            main bhi janti hon kay yad per bus nahi chalta bina batay hi chali ati hay per ey to rishtay per depend kerta hay ager aap ki yad itni solid hay or us ka rishta bhi aap kay sath waysa hay to zeror usi lamhay wo bhi aap ko yad kertay hon gay.mayray sath bohat bar howa hay.jub bhi mujhay kisi ki yad shidat say aai hay usi lamhay phone aa jata hay.ab aap batain,

                            Comment

                            • #44
                              Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

                              Originally posted by neha_ahmad View Post
                              mayra mana hay yad kernay kay leay pahlay bholna perta hay phir hi to hum kisi ko yad kertay hain.or rahi baat kay jub hum kisi ko yad kertay hain to kia wo bhi humain yad kertay hon gay.janab hum kis ko yad is shrat pay nahi kertay kay return main wo bhi humain yad kery ager yadain khoshgawar hain to yaqeen maneay wo zeror aap ko yad rakhain gay
                              yaad karney ka mutlab bhi yahi hai k agar aap kisi ko yaad kar rahain hain tho sumajh lain k woh aap ko zaroor yaad kar raha hai.:shh:

                              Comment

                              • #45
                                Re: yaad k raastay maloom karnay hien.....

                                Originally posted by neha_ahmad View Post
                                main bhi janti hon kay yad per bus nahi chalta bina batay hi chali ati hay per ey to rishtay per depend kerta hay ager aap ki yad itni solid hay or us ka rishta bhi aap kay sath waysa hay to zeror usi lamhay wo bhi aap ko yad kertay hon gay.mayray sath bohat bar howa hay.jub bhi mujhay kisi ki yad shidat say aai hay usi lamhay phone aa jata hay.ab aap batain,
                                :) :rose :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X