Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bolay to URDU...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by sumera View Post
    acha to aap garmiyoon mien yeh kaam karty hien:khi: ...tukh maloongay ki to samajh aati hay magar is baloongay ki samajh nhi aati k iska doodh mien kya kaam.....hah samajh aa gai...dimaag bhi thanda rehta hay:khi:
    ji mashwaray ka shukriya ...hamaray chotay bhai sahab ko hum aysay dramay karty aksar daykhty hien.....abhi kal hee sahab doodh mien rooh afza daaal k pee rahay thay aur farma rahay thay....agar is mien tukh maloonga bhi hota (jo abhi khatam hua hay) to maza he aa jata...:tauba :tauba
    Allah ap k mashwaroon say hamien mehfooz rakhay:dua
    Theek he aainda tumhein koi mashwara nahi doon ga :lpop: ub Goond Kateera Bilkul bhi na khareedna, Ub usay Paani mein bhi bilkul na Bigoona, Aur na he ub tum isay doodh mein daal ke mazay mazay se peena aur na he Goond Kateera pi ke farhat aur thandak hasil kerna :na: Aur mein tumhein yeh bhi nahi bataon ga ke yeh good kateera goond wali barfi ke ouper istamaal hota he, tumhein kuch batanay ka faida nahi :tauba

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by Gul-e-Lala View Post
    janab ye bhi aik achhi baat hai k bataur e faishion he sahi log kaum ka dard mehsoos tou kerte hain na :lol aap k itne lambe tabsrey se hamian aur kuch nahi tou PAYE tou zaroor yaad aa gaye hain. aik woh jo hamari Dadi Maan k zamaney k bhaare Chinyuti palang k paye thay aur aik woh jo Hamari amma ney Baqer Eid per shaheed Baqrey k banaye thay :lol
    Aap ki mahanata, aala zarfi, door andeeshi, bareek-beeni ka mein arsa pehlay se he kail tha, ub aap ne apnay dard aur fashion ka jo haseen imtazaaj pesh kia he, Bakhuda pehlay kisi ne pesh kerne ki ehlaaki jurat nahi ki Ager beengi aankhon se dekha jaye to aap islamic sciencedaan lag rahi hein. Aap jese loogon ki is mulk mein is tarah kami he jese suger ke mareez ko insuline aur kamzoor hadiyon walay babay ko calcium ki hoti he :tauba Aap samaj rahi hein na mein kia keh raha hoon :blush:

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by Gul-e-Lala View Post
    ye Tukh Malanga nahi Gond Katira ka botanical(nabatati :lol) naam hai.
    wese naam per tabsra mazey ka hai :lol
    :tauba Ghalti se mistake ho gai, yeh akser ho jaya kerti he, jese kai baar mein apna chashma laga ke chashma dhoondta rehta hoon jo puray room mein kahin nahi milta :tauba khair mazratun.

    Tabsara mazay ka kia hona he Lala ji, us ka naam he aisa he, aap to mashallah perhi likhi hein, ghoor karein gi to pata chal he jaye ga aap ko :tauba

    Leave a comment:


  • Gul-e-Lala
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by sumera View Post
    ok dear......matlab k yeh shay hamaray matlab ki nhi
    ji han es liye k amoman es tarah k raisins khanon mein raw form mein nahi esmaal hote.

    Leave a comment:


  • *Duaa*
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by Gul-e-Lala View Post
    dear jahan tak hamara knowledge hai es ka direct kitchen se koi link banta nahi hai. haan ye hai k bhot si internal problems(eng k liye maazrat) k ilaj k liye estmaal hota hai lakin woh bhi in combinition with some other herbs. ab ye kitchen section mein kiya ker raha tha ye ham nahi jante mager ye baat tay hai k es ka khanon mein direct estmaal nahi hota
    ok dear......matlab k yeh shay hamaray matlab ki nhi

    Leave a comment:


  • Gul-e-Lala
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by sumera View Post
    oh sorry....i mean...oh ho:tauba
    mera matlab hay k mien mazrat chahti hoon......shop k liay:D
    waysay hamien samajh nhi aai k iska bawarchi khaaanay say kya ta'aluq hay:mm:
    dear jahan tak hamara knowledge hai es ka direct kitchen se koi link banta nahi hai. haan ye hai k bhot si internal problems(eng k liye maazrat) k ilaj k liye estmaal hota hai lakin woh bhi in combinition with some other herbs. ab ye kitchen section mein kiya ker raha tha ye ham nahi jante mager ye baat tay hai k es ka khanon mein direct estmaal nahi hota

    Leave a comment:


  • *Duaa*
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Yeh wo hota je jo germiyon mein hum akser Tukh-malangay ke saath mila ke jam-e-sheerein ki bootal undheel ke doodh mein daal ke pee jatay hein :blush: is se jism ke saath saath dimaag bhi thunda rehta he...aap wo packet kharediye, half chamach tukh malangay ko ziada se paani mein daaliye, phir dekhiye yeh paani pi pi ke kitna moota ho jaga he...aur jub yeh bohat moota ho jaye, phir aap is ke saath jo chahay salook ker sakti hein, mujay koi aitraaz na ho ga :blush:
    acha to aap garmiyoon mien yeh kaam karty hien:khi: ...tukh maloongay ki to samajh aati hay magar is baloongay ki samajh nhi aati k iska doodh mien kya kaam.....hah samajh aa gai...dimaag bhi thanda rehta hay:khi:
    ji mashwaray ka shukriya ...hamaray chotay bhai sahab ko hum aysay dramay karty aksar daykhty hien.....abhi kal hee sahab doodh mien rooh afza daaal k pee rahay thay aur farma rahay thay....agar is mien tukh maloonga bhi hota (jo abhi khatam hua hay) to maza he aa jata...:tauba :tauba
    Allah ap k mashwaroon say hamien mehfooz rakhay:dua

    Leave a comment:


  • *Duaa*
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    shop nahi dukaan :blush:

    wesay mera bawarchi khanay say aisa koi tal'luq nahi hai :cc: par lagta hai aap ki behna baja farma rahi haiN :mm:
    oh sorry....i mean...oh ho:tauba
    mera matlab hay k mien mazrat chahti hoon......shop k liay:D
    waysay hamien samajh nhi aai k iska bawarchi khaaanay say kya ta'aluq hay:mm:

    Leave a comment:


  • *Duaa*
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by Gul-e-Lala View Post
    aap ki behna ka khyal sahi hai. ye darkhton se nikalne wala Fluid( angrezi k liye maazrat) hai aur herbal adwyat mein estmaal hota hai. jis darakht se ye hasil kiya jata hai uss ka botanical naam Cochlospermum religiosumhai :)
    hmm acha jee...thnku for info...magar yeh "Goond kateera" wahan masaloon mien kya kar raha tha......:mm:

    Leave a comment:


  • Z.
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    jab baat samajh aajati hai to us kay matlab pochnay ka matlab :embarasse
    Okay! okay!

    :D

    Leave a comment:


  • RulzZ
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by yellowsky View Post



    mey ney kya kiya hai :donno:
    jab baat samajh aajati hai to us kay matlab pochnay ka matlab :embarasse

    Leave a comment:


  • Z.
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    :shh: kion pitwanay wali bataiN karti ho



    mey ney kya kiya hai :donno:

    Leave a comment:


  • RulzZ
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by yellowsky View Post
    Iss lafz key jitney Maf'oom nikaltey hein wo bhi bta dein :hehe:
    :shh: kion pitwanay wali bataiN karti ho

    Leave a comment:


  • Z.
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    koi baat nahi humari to dua hai sab kay leay kay Allah karay zaur-e-zubaan aur :blush:
    Iss lafz key jitney Maf'oom nikaltey hein wo bhi bta dein :hehe:

    Leave a comment:


  • RulzZ
    replied
    Re: Bolay to URDU...!!

    Originally posted by Gul-e-Lala View Post
    aur jinhon ney es Masalay k bere mein sawal kiya tha unn ko maloom he nahi hai k yahan kitni Tehqeeq k sath sath kitni ILMI aur PUR MAGHAZ behas ho rahi hai
    * wese aap k es DHAGHEY ne hamari Urdu ko dobara se rawan dawan ker diya hai. shukriya
    koi baat nahi humari to dua hai sab kay leay kay Allah karay zaur-e-zubaan aur :blush:

    Leave a comment:

Working...
X