Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~*Planning*~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~*~*Planning*~*~

    Originally posted by Rida View Post
























    Wsalam Rida jee:wk

    Well mai planning kay sath nahi chal sakti kitni bhi kosish karlon :donno: thats me:blush: .........mai bas kar lati hon jo karna ha dosray lafzo ma kar guzarti hon .....decision bhi at the spot lati hon:eye: ..........planning ajj kal kay zamnay ma karna aur phir us per amal karna tu asaan ha:tasali: per ap ko result wohi milay iss ki 10%gurantee hoti ha :lpop:

    Comment


    • #17
      Re: ~*~*Planning*~*~

      sab kay reply karnay ka buht shukriyaa...:rose
      kal batain hongi ...INSHALLAH TALAA :)
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment


      • #18
        Re: ~*~*Planning*~*~

        Originally posted by Masood View Post
        Zamanat to kisi bhi shay ki nahin - is ki bhi nahin keh hamari bakhshish ho gi keh nahin - to kya iska matlab yeh hai keh ham hath peh hath dharey muntazir-e-farda rahein keh ho rahey ga kuchh na kuchh ghabraein kya?

        Ham ahl-e-Islam waley hi aisa kyun sochtey hain? Jab keh zamanat to ghair-muslemon ko bhi nahin - magar woh to planning key tehat zindagi guzartey hain aur kamyab rehtey hain.....
        aap theek kehte hen lekin meri plannings is buri tarah se fail hui hen k ab mujhe is lafz se dar lagta he

        Comment


        • #19
          Re: ~*~*Planning*~*~

          Originally posted by hamzad View Post
          aap theek kehte hen lekin meri plannings is buri tarah se fail hui hen k ab mujhe is lafz se dar lagta he
          Main aap ki situations ko samajh sakta hoon and believe me meri apni plannings kaii aik baat tooti hain - magar woh kya hai keh Hazrat Ali R.A. ka qol hai hai keh "Main ney apney iradon key tootney sey Khuda ki zaat ko pehchana hai"... ham sey ooper aik quwat hai jo hamarey liye jo behtar hota hai woh karti hai .. :)
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #20
            Re: ~*~*Planning*~*~

            Originally posted by Masood View Post
            Main aap ki situations ko samajh sakta hoon and believe me meri apni plannings kaii aik baat tooti hain - magar woh kya hai keh Hazrat Ali R.A. ka qol hai hai keh "Main ney apney iradon key tootney sey Khuda ki zaat ko pehchana hai"... ham sey ooper aik quwat hai jo hamarey liye jo behtar hota hai woh karti hai .. :)
            jee bilkul or yakinan Allah kabhi hamara bura nahi chahta bas ham kam fehem insan hen

            Comment


            • #21
              Re: ~*~*Planning*~*~

              Originally posted by Rida View Post
              sab kay reply karnay ka buht shukriyaa...:rose
              kal batain hongi ...INSHALLAH TALAA :)
              ap ka bhi shukrya rida jee jo likhne ko itna acha mozu dia

              Comment


              • #22
                Re: ~*~*Planning*~*~

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                mein bohat lambi planning ke haq mein nahi hoon, meri planning short time ke liye hoti he, aur mein kooshish kerta hoon ke jo mein ne plan kia he usay us limited period mein hasil bhi ker loon
                thanks for replying...
                acha kartay hain....
                waisay bataien gay keh limited period mein target achieve karnay kay liye kia points ya tricks zehen mein rakhtay hain aap......
                For New Designers
                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                Comment


                • #23
                  Re: ~*~*Planning*~*~

                  Originally posted by hamzad View Post
                  yeh planning ka lafz mujhe bara ajeeb lagta he ab jab insan ke hath me kuch bhi nahi to planning kesi?
                  Originally posted by hamzad View Post
                  yahan to zindagi ki hi zamanat nahi to jo hota hey wo Allah ki mazri sey hota hey ye jab planning ka sheeraza bikharta hey tab pata chalta hey
                  Originally posted by hamzad View Post
                  aap theek kehte hen lekin meri plannings is buri tarah se fail hui hen k ab mujhe is lafz se dar lagta he
                  dear sis....waisay tu Masood bhai say aap ki baat ho chuki hai...
                  lakin plaanning ka word aisa ajeeb nahin.....kisi bhi kaam ka karnay kay liye hamesha koi na koi hikmat-e-amli waza ki jati hai .....aik tareeqa socha jata ha keh kis tarah kisi kaam ko kitnay waqt mein aur kab tak paya-e-takmeel tak pohnchana hai.....:rose
                  sab kuch tu hai hi ALLAH TALAA kay haath mein ...lakin saath hi us nay yeh bhi kaha hai ..."jo shakhs jitnay kay liye koshish karay ga usay utna hi ata kiya jaiga"


                  aur jaisay Masood bhai nay kaha.....

                  Originally posted by Masood View Post
                  Main aap ki situations ko samajh sakta hoon and believe me meri apni plannings kaii aik baat tooti hain - magar woh kya hai keh Hazrat Ali R.A. ka qol hai hai keh "Main ney apney iradon key tootney sey Khuda ki zaat ko pehchana hai"... ham sey ooper aik quwat hai jo hamarey liye jo behtar hota hai woh karti hai .. :)
                  For New Designers
                  وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                  Comment


                  • #24
                    Re: ~*~*Planning*~*~

                    Originally posted by sccorpion81 View Post
                    planing per main yaqeen tu kerta hoon laikin long terms ki nahien bal k short terms ki laikin aaj tak main nay plaanning ki nahien aaj tak day to day hi zindagey jee raha hoon...planning kerta hoon sirf hawai qilay tameer kerta hoon


                    chalain buht saaray loag day to day hi per amal kartay hain

                    waisay hawai qilay banana koi plaaning nahin balkay jagtay mien khwab dekhna kehlai ga naa..
                    For New Designers
                    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                    Comment


                    • #25
                      Re: ~*~*Planning*~*~

                      Originally posted by Kh@w@r View Post
                      maine jab b koe planing ki nakaam hoe

                      is liye maine ab plan bnana choor diya hai

                      hmmm...may ALLAH bless u:rose
                      For New Designers
                      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                      Comment


                      • #26
                        Re: ~*~*Planning*~*~

                        Originally posted by D@y W@lk3r View Post
                        no plan ...just do it..............

                        :wow:
                        yani aap batain nahin amal karnay walay loagon mein say hain...
                        For New Designers
                        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                        Comment


                        • #27
                          Re: ~*~*Planning*~*~

                          Originally posted by Raniya Asif View Post
                          sirf studies k bare mein plan karti hon aur kisi cheez ki nhn.har kam acha karne ki koshish karti hon aur baki Allah par chor deti hon
                          buht acha karti hain sis.....
                          khush rehiye...
                          abhi yaqeenan aap ki activities zyada tar perhnay tak mehdood hongi ...hai naaa...:)

                          For New Designers
                          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                          Comment


                          • #28
                            Re: ~*~*Planning*~*~

                            Originally posted by yellowsky View Post
                            walaikum salam Rida!

                            acha sawal aur sab key bohot achey jawab :thmbup:

                            pehley hamein ye pata hona chahiye key hum Planing kertey kis cheez ki hain?aur kertey kyun hein?

                            Meyrey khayal mey hum apna time ko occupy kerney key liye saari planings kertey hein so its a v positive thing

                            Zindagi mey hamein targets rakhney chahiyein ----her kisam key targets chotey sey chotey bhi aur barhey sey barhey bhi ---kyun key targets keep us moving .....

                            aur Rida jahan tak meyra apna experience hai ......agar hum plans realisticly karein to hum zaroor issey achieve kertey hien

                            ab ye ho gai planings ---aik aur cheez hamari planings mey jo ha'il hoti hai kabhi kabhi not always wo hai Halaat aur choti barhi problems jo zindagi mey aa jayein ----agar hum inhi problems as excuse ley lein aur apney targets sey hat jayein to ye ghalt ho ga kyun key ye excuses hamein hamari planings mey kamyab nahi honey dein gi leykin agar hum yahi problems as part of life lein aur un ko bilkul bhi excuse nahi banayein key ab ye ho gaya hai aur ab wo ho gaya hai jis ki waja sey zindagi bas ruk gai hai etc etc ----to tabhi hum kamyab reh saktey hein inshAllah


                            Conclusion:
                            hamein atleast ye zaroor pata hona chahiye key agley aik saal mey kya ho raha hai
                            hhmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmm :)
                            buht acha laga aap ka answer perh kay ....yaqeenan agar realistically plan kia jai...aur us kay liye utni hi mehnat ki jai tu ALLAH TALAA azuroor mada karta hai.....
                            lakin yeh last line gar bar kar gai ....poray aik saal kay baray mein kis tarah plan kia jai .....
                            yeh studies kay doran tu mumkin hai ...lakin kia aam halaat mein bhi aisa ho sakta hai ....?
                            For New Designers
                            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                            Comment


                            • #29
                              Re: ~*~*Planning*~*~

                              Originally posted by ummid View Post
                              planning tu waqt karta hai..

                              woh kisi shair na kaha hai na..

                              "waqt karta hai parwarish barsu...
                              hadsah aik dum nahi hota........."

                              bus wahi baat hai....

                              raha humara sawal tu hum plannning karte hain..per paanch saal ki ya kul ki nahi... hum apni manzilon ke raston ka intekhab karte hoye plan bana lete hain.... its not a fantsy... yeh planning fantsy nahi hoti.. haqeeqat ko samne rakh ker....Allah per bharosa ker ke.... jo qadam uthana hai us ki planning hoti hai...

                              mujhay aasaan asaan si batain samajh aati hain Ummid.... mujh per yeh mushkil batain kar kay sitam nahin karo....
                              yeh waqt ki planning aur hadsay say murad agar tu is dunya key haqeeqi khuda ki taraf say aanay wali aafat hain .....tu woh bhi aik tarah say taqdeer mein likha hota hai hum nay nahin tu ALLAH TALAA nay plan kia hota hai...
                              aur agar is dunya kay mijaazi khudaaoN (Super powers) ki taraf say aanay wali aafat hain tu in kay peechay tu buht lambi choari plnning hoti hai....waqai yeh hadsay aik dam nahin hotay...

                              tumhaaray planning ka tareeqa yaqeenan buht acha hai ...fantacy nahin ...sirf reality....koshish aur ALLAH per bharosa...yehi keys ho sakti hai succesful planning ki....:rose
                              be happy:rose
                              Last edited by *Rida*; 24 February 2007, 08:37.
                              For New Designers
                              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                              Comment


                              • #30
                                Re: ~*~*Planning*~*~

                                Originally posted by miss sng View Post
                                hum planning karty hain. ...but bohat zada lambee nhi.....:na:

                                aur utni he..aur un ki hee krty hain...jin k baray main hamin lag rha hoo k asa hona chahiy....ya hoo sakta hy.....
                                :lpop:
                                buht acha laga aap ka reply perh kay ...samajhdaari ka taqaza bhi yehi hai..:phool:
                                For New Designers
                                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                                Comment

                                Working...
                                X