Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~*Planning*~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~*Planning*~*~

    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

  • #2
    Re: ~*~*Planning*~*~

    mein bohat lambi planning ke haq mein nahi hoon, meri planning short time ke liye hoti he, aur mein kooshish kerta hoon ke jo mein ne plan kia he usay us limited period mein hasil bhi ker loon
    :thmbup:

    Comment


    • #3
      Re: ~*~*Planning*~*~

      yeh planning ka lafz mujhe bara ajeeb lagta he ab jab insan ke hath me kuch bhi nahi to planning kesi?

      Comment


      • #4
        Re: ~*~*Planning*~*~

        Originally posted by hamzad View Post
        yeh planning ka lafz mujhe bara ajeeb lagta he ab jab insan ke hath me kuch bhi nahi to planning kesi?
        Yehi to hamari ghalatfehmi hai keh insaan key haath mein kuchh nahin, merey bhai Allah Tala har saal insaan ki qismaton key faisley kartey hain, insaan ko uskey mangney key mutabiq detey hain - to mera zaati nuqtah-e-nazar yeh he keh hamari aik sala planning honi chahiye keh agley saal shab-e-qadar per hamein Allah Tala sey kya mangena hai - ab woh bakhshey ya na bakhshey yeh uski marzi hai - kyun keh yahan per woh kuchh hota hai jo Allah Tala ko manzoor hota hai - magar planning zaroor honi chahiye - aik munazzam zindagi ki zamanat hai....
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: ~*~*Planning*~*~

          planing per main yaqeen tu kerta hoon laikin long terms ki nahien bal k short terms ki laikin aaj tak main nay plaanning ki nahien aaj tak day to day hi zindagey jee raha hoon...planning kerta hoon sirf hawai qilay tameer kerta hoon
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: ~*~*Planning*~*~

            Originally posted by Masood View Post
            Yehi to hamari ghalatfehmi hai keh insaan key haath mein kuchh nahin, merey bhai Allah Tala har saal insaan ki qismaton key faisley kartey hain, insaan ko uskey mangney key mutabiq detey hain - to mera zaati nuqtah-e-nazar yeh he keh hamari aik sala planning honi chahiye keh agley saal shab-e-qadar per hamein Allah Tala sey kya mangena hai - ab woh bakhshey ya na bakhshey yeh uski marzi hai - kyun keh yahan per woh kuchh hota hai jo Allah Tala ko manzoor hota hai - magar planning zaroor honi chahiye - aik munazzam zindagi ki zamanat hai....
            yahan to zindagi ki hi zamanat nahi to jo hota hey wo Allah ki mazri sey hota hey ye jab planning ka sheeraza bikharta hey tab pata chalta hey

            Comment


            • #7
              Re: ~*~*Planning*~*~

              Originally posted by hamzad View Post
              yahan to zindagi ki hi zamanat nahi to jo hota hey wo Allah ki mazri sey hota hey ye jab planning ka sheeraza bikharta hey tab pata chalta hey
              Zamanat to kisi bhi shay ki nahin - is ki bhi nahin keh hamari bakhshish ho gi keh nahin - to kya iska matlab yeh hai keh ham hath peh hath dharey muntazir-e-farda rahein keh ho rahey ga kuchh na kuchh ghabraein kya?

              Ham ahl-e-Islam waley hi aisa kyun sochtey hain? Jab keh zamanat to ghair-muslemon ko bhi nahin - magar woh to planning key tehat zindagi guzartey hain aur kamyab rehtey hain.....
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: ~*~*Planning*~*~

                maine jab b koe planing ki nakaam hoe

                is liye maine ab plan bnana choor diya hai

                Comment


                • #9
                  Re: ~*~*Planning*~*~

                  no plan ...just do it..............
                  ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~*~*Planning*~*~

                    sirf studies k bare mein plan karti hon aur kisi cheez ki nhn.har kam acha karne ki koshish karti hon aur baki Allah par chor deti hon
                    sigpic

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~*~*Planning*~*~

                      Originally posted by Rida View Post



















                      walaikum salam Rida!

                      acha sawal aur sab key bohot achey jawab :thmbup:

                      pehley hamein ye pata hona chahiye key hum Planing kertey kis cheez ki hain?aur kertey kyun hein?

                      Meyrey khayal mey hum apna time ko occupy kerney key liye saari planings kertey hein so its a v positive thing

                      Zindagi mey hamein targets rakhney chahiyein ----her kisam key targets chotey sey chotey bhi aur barhey sey barhey bhi ---kyun key targets keep us moving .....

                      aur Rida jahan tak meyra apna experience hai ......agar hum plans realisticly karein to hum zaroor issey achieve kertey hien

                      ab ye ho gai planings ---aik aur cheez hamari planings mey jo ha'il hoti hai kabhi kabhi not always wo hai Halaat aur choti barhi problems jo zindagi mey aa jayein ----agar hum inhi problems as excuse ley lein aur apney targets sey hat jayein to ye ghalt ho ga kyun key ye excuses hamein hamari planings mey kamyab nahi honey dein gi leykin agar hum yahi problems as part of life lein aur un ko bilkul bhi excuse nahi banayein key ab ye ho gaya hai aur ab wo ho gaya hai jis ki waja sey zindagi bas ruk gai hai etc etc ----to tabhi hum kamyab reh saktey hein inshAllah


                      Conclusion:
                      hamein atleast ye zaroor pata hona chahiye key agley aik saal mey kya ho raha hai
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~*~*Planning*~*~

                        bohat lambi chori planning nahi karti
                        lekin kissi had tak sirf, kaam ki noaiyat par bhi depend karta hai.
                        :rose Refreshing_breeze :rose

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~*~*Planning*~*~

                          Originally posted by yellowsky View Post
                          walaikum salam Rida!

                          acha sawal aur sab key bohot achey jawab :thmbup:

                          pehley hamein ye pata hona chahiye key hum Planing kertey kis cheez ki hain?aur kertey kyun hein?

                          Meyrey khayal mey hum apna time ko occupy kerney key liye saari planings kertey hein so its a v positive thing

                          Zindagi mey hamein targets rakhney chahiyein ----her kisam key targets chotey sey chotey bhi aur barhey sey barhey bhi ---kyun key targets keep us moving .....

                          aur Rida jahan tak meyra apna experience hai ......agar hum plans realisticly karein to hum zaroor issey achieve kertey hien

                          ab ye ho gai planings ---aik aur cheez hamari planings mey jo ha'il hoti hai kabhi kabhi not always wo hai Halaat aur choti barhi problems jo zindagi mey aa jayein ----agar hum inhi problems as excuse ley lein aur apney targets sey hat jayein to ye ghalt ho ga kyun key ye excuses hamein hamari planings mey kamyab nahi honey dein gi leykin agar hum yahi problems as part of life lein aur un ko bilkul bhi excuse nahi banayein key ab ye ho gaya hai aur ab wo ho gaya hai jis ki waja sey zindagi bas ruk gai hai etc etc ----to tabhi hum kamyab reh saktey hein inshAllah


                          Conclusion:
                          hamein atleast ye zaroor pata hona chahiye key agley aik saal mey kya ho raha hai

                          Bohat siyani bachi hai hamari - jeeti raho chanda :thmbup:
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~*~*Planning*~*~

                            Originally posted by Rida View Post























                            planning tu waqt karta hai..

                            woh kisi shair na kaha hai na..

                            "waqt karta hai parwarish barsu...
                            hadsah aik dum nahi hota........."

                            bus wahi baat hai....

                            raha humara sawal tu hum plannning karte hain..per paanch saal ki ya kul ki nahi... hum apni manzilon ke raston ka intekhab karte hoye plan bana lete hain.... its not a fantsy... yeh planning fantsy nahi hoti.. haqeeqat ko samne rakh ker....Allah per bharosa ker ke.... jo qadam uthana hai us ki planning hoti hai...

                            Comment


                            • #15
                              Re: ~*~*Planning*~*~

                              hum planning karty hain. ...but bohat zada lambee nhi.....:na:

                              aur utni he..aur un ki hee krty hain...jin k baray main hamin lag rha hoo k asa hona chahiy....ya hoo sakta hy.....
                              :lpop:
                              Last edited by miss sng; 22 February 2007, 17:39.

                              Comment

                              Working...
                              X