Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~*~*Planning*~*~
Collapse
X
-
Re: ~*~*Planning*~*~
Originally posted by hamzad View Postyeh planning ka lafz mujhe bara ajeeb lagta he ab jab insan ke hath me kuch bhi nahi to planning kesi?tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: ~*~*Planning*~*~
Originally posted by Masood View PostYehi to hamari ghalatfehmi hai keh insaan key haath mein kuchh nahin, merey bhai Allah Tala har saal insaan ki qismaton key faisley kartey hain, insaan ko uskey mangney key mutabiq detey hain - to mera zaati nuqtah-e-nazar yeh he keh hamari aik sala planning honi chahiye keh agley saal shab-e-qadar per hamein Allah Tala sey kya mangena hai - ab woh bakhshey ya na bakhshey yeh uski marzi hai - kyun keh yahan per woh kuchh hota hai jo Allah Tala ko manzoor hota hai - magar planning zaroor honi chahiye - aik munazzam zindagi ki zamanat hai....
Comment
-
Re: ~*~*Planning*~*~
Originally posted by hamzad View Postyahan to zindagi ki hi zamanat nahi to jo hota hey wo Allah ki mazri sey hota hey ye jab planning ka sheeraza bikharta hey tab pata chalta hey
Ham ahl-e-Islam waley hi aisa kyun sochtey hain? Jab keh zamanat to ghair-muslemon ko bhi nahin - magar woh to planning key tehat zindagi guzartey hain aur kamyab rehtey hain.....tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: ~*~*Planning*~*~
Originally posted by Rida View Post
acha sawal aur sab key bohot achey jawab :thmbup:
pehley hamein ye pata hona chahiye key hum Planing kertey kis cheez ki hain?aur kertey kyun hein?
Meyrey khayal mey hum apna time ko occupy kerney key liye saari planings kertey hein so its a v positive thing
Zindagi mey hamein targets rakhney chahiyein ----her kisam key targets chotey sey chotey bhi aur barhey sey barhey bhi ---kyun key targets keep us moving .....
aur Rida jahan tak meyra apna experience hai ......agar hum plans realisticly karein to hum zaroor issey achieve kertey hien
ab ye ho gai planings ---aik aur cheez hamari planings mey jo ha'il hoti hai kabhi kabhi not always wo hai Halaat aur choti barhi problems jo zindagi mey aa jayein ----agar hum inhi problems as excuse ley lein aur apney targets sey hat jayein to ye ghalt ho ga kyun key ye excuses hamein hamari planings mey kamyab nahi honey dein gi leykin agar hum yahi problems as part of life lein aur un ko bilkul bhi excuse nahi banayein key ab ye ho gaya hai aur ab wo ho gaya hai jis ki waja sey zindagi bas ruk gai hai etc etc ----to tabhi hum kamyab reh saktey hein inshAllah
Conclusion:
hamein atleast ye zaroor pata hona chahiye key agley aik saal mey kya ho raha hai" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: ~*~*Planning*~*~
Originally posted by yellowsky View Postwalaikum salam Rida!
acha sawal aur sab key bohot achey jawab :thmbup:
pehley hamein ye pata hona chahiye key hum Planing kertey kis cheez ki hain?aur kertey kyun hein?
Meyrey khayal mey hum apna time ko occupy kerney key liye saari planings kertey hein so its a v positive thing
Zindagi mey hamein targets rakhney chahiyein ----her kisam key targets chotey sey chotey bhi aur barhey sey barhey bhi ---kyun key targets keep us moving .....
aur Rida jahan tak meyra apna experience hai ......agar hum plans realisticly karein to hum zaroor issey achieve kertey hien
ab ye ho gai planings ---aik aur cheez hamari planings mey jo ha'il hoti hai kabhi kabhi not always wo hai Halaat aur choti barhi problems jo zindagi mey aa jayein ----agar hum inhi problems as excuse ley lein aur apney targets sey hat jayein to ye ghalt ho ga kyun key ye excuses hamein hamari planings mey kamyab nahi honey dein gi leykin agar hum yahi problems as part of life lein aur un ko bilkul bhi excuse nahi banayein key ab ye ho gaya hai aur ab wo ho gaya hai jis ki waja sey zindagi bas ruk gai hai etc etc ----to tabhi hum kamyab reh saktey hein inshAllah
Conclusion:
hamein atleast ye zaroor pata hona chahiye key agley aik saal mey kya ho raha hai
Bohat siyani bachi hai hamari - jeeti raho chanda :thmbup:tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: ~*~*Planning*~*~
Originally posted by Rida View Post
woh kisi shair na kaha hai na..
"waqt karta hai parwarish barsu...
hadsah aik dum nahi hota........."
bus wahi baat hai....
raha humara sawal tu hum plannning karte hain..per paanch saal ki ya kul ki nahi... hum apni manzilon ke raston ka intekhab karte hoye plan bana lete hain.... its not a fantsy... yeh planning fantsy nahi hoti.. haqeeqat ko samne rakh ker....Allah per bharosa ker ke.... jo qadam uthana hai us ki planning hoti hai...
Comment
-
Comment