Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kiya aap imandar hein.....?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: kiya aap imandar hein.....?

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Aap ne itnay pyaaray comments paas kiye, ub yeh to aap ka haq bunta he :phool:

    well i am not the man of my own wishes...mein doosron ke mutabik bhi chalna jaanta hoon aur chalta bhi hoon :) aur kabi kabi wo bhi kerna per jata he jo kerne ko dil nahi bhi kerta, lekin kia he ke duniya daari he...aur waise bhi mein apnay aap ko bohat acha na kehta hoon aur na samajta hoon

    Means:mm: k app achey tarhaa sey duniya darii nibhaa rahey haii ...:)

    Achi baat haii mager kuch apney usool baananey chayeaa or unper amal bhi zarori haii....
    dosroo ko khush rakhnaa achi baat haii.. ..
    Apney app ko app acha keh bhi kaisey saktey hoo yeh tu doosrey decide kertey haii ya woh jo Upper Betha howa hai jis k haath main humari dor haii...
    Allah app ko kamyabi deyy ...........

    Comment

    • #32
      Re: kiya aap imandar hein.....?

      Originally posted by Khalil View Post
      aur main hun hee emandar...........................aur main wo kaam kerta hun jis sy kisi ka zra bee dil na dukhy...............
      tu bilkul be-zarar insaan he :) aik gadhay ki tarah :)
      :thmbup:

      Comment

      • #33
        Re: kiya aap imandar hein.....?

        Originally posted by aquari View Post
        App imandar hai ya nahi yeh app nahi i think app k aas pas loog app ko observe ker k decide kertey hai k app per bharoosa kya jaye k nahi..:blush:

        Rahi bat meri tu koshsish kerti hoo k apney profession sey imandar rahoo ...or Allah ka karam hia kafi had tak kamyab bhi hoo.:)

        Aur sub sey zayda apney relations k mamaley main imandar hoo specialy my parents,my sisters my friends or ager kabhi koi aisa insan hoo jis sey imandar honeyko dil na karain ya yu kehlain k jis sey mizaj na miley tu us sey relation hi khatum kerleti hoo i personally think miloo tu saaf dil sey nahi tu nahi ...
        Or aney wali life main apney life partner sey imandra rahoogi kunk yeh Allah ka hukum bhi hai or achi zindagi k liya zaroori bhi:rose
        bari achi baatein kerti hein aap :)
        :thmbup:

        Comment

        • #34
          Re: kiya aap imandar hein.....?

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          well...kuch relations demanding hotay hein...aur jahan per demand ka taaluq aata he to wahan pe aap ko kuch na kuch sacrifice kerna perta he, sacrifice in all the senses...buchpan mein mujay hameesha such boolnay ki he tarbiyat di gai he Alhamdullilah...aur waise bhi kuch white lies hotay hein, mein ne un ki baat nahi ki...mein ne kaha ke kabi kabaar maslehatun lafzon ka hair phair kerna per jata he...do follow the sense.

          Aap ko aik baat aur bhi batata chalon, ke mere jo bhi doost hein, un se ziada mein un ke ghar walon se attach hota hoon, aur yeh is liye nahi ke mein jhoot boolta hoon, zamana saaz duniya he...jhootay bunda to aik aankh se pehchana jaata he. I still stand firm on what i sad...mein maslehatun baat mein hair-phair ker sakta hoon, lekin mein haira-phairi pe yakeen nahi rakhta...ub is sense ko bhi follow karne ki kooshish karo
          App ki baat thek hai kuch relation sacrifice manget haii ..........or jo sacrifice kertey hia bazhir tu nuqsan main rehtey hai mager kahi na kahi un ka faida hota haii ....Ek book main mainny parhaa thaa..Jo piyar detey ,letey nahi woh baqi rakhey jatey hai tak jin ko woh piyar detey hai woh zinda reh sakain,khush reh sakain

          Maslihat achi cheez haii bus honest honi chaeyaa

          Comment

          • #35
            Re: kiya aap imandar hein.....?

            Originally posted by aquari View Post
            Means:mm: k app achey tarhaa sey duniya darii nibhaa rahey haii ...:)

            Achi baat haii mager kuch apney usool baananey chayeaa or unper amal bhi zarori haii....
            dosroo ko khush rakhnaa achi baat haii.. ..
            Apney app ko app acha keh bhi kaisey saktey hoo yeh tu doosrey decide kertey haii ya woh jo Upper Betha howa hai jis k haath main humari dor haii...
            Allah app ko kamyabi deyy ...........
            It is not that ke mujay koi bhi kahin bhi lagay mein lag jata hoon...her baat ki apni alag noiyat hoti he...aur waise bhi mera emphasis is baat per katei nahi ke aap baat ko badal ke beyaan karo...lekin kabi kabi...kabi kabi se muraad kabi kabi...when you have no option left...to aisa kia ja sakta he...mein ne aisay suchay bunday bhi dekhay hein jo apni sachai ko dikhanay ke liye khoob laraiyaan kerwatay hein...aisay such se to mein atleast ijtanaab kerta hoon...her aik ki apni philosophy he...mein kisi ko yeh nahi kehta ke wo mere mutabik chalay :)
            :thmbup:

            Comment

            • #36
              Re: kiya aap imandar hein.....?

              An arresting style of speech

              time mila pardoon ga in thread ko :blush:

              Comment

              • #37
                Re: kiya aap imandar hein.....?

                kitni emandari sy aap loag batain ker rahain hain:mm:

                Comment

                • #38
                  Re: kiya aap imandar hein.....?

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  bari achi baatein kerti hein aap :)

                  Shukriyaa

                  Comment

                  • #39
                    Re: kiya aap imandar hein.....?

                    Originally posted by Khalil View Post
                    kitni emandari sy aap loag batain ker rahain hain:mm:

                    Koshih tu kerrahey haii k jo bhi boley apney experinces ki baser per bolaian

                    Comment

                    • #40
                      Re: kiya aap imandar hein.....?

                      Originally posted by aquari View Post
                      App ki baat thek hai kuch relation sacrifice manget haii ..........or jo sacrifice kertey hia bazhir tu nuqsan main rehtey hai mager kahi na kahi un ka faida hota haii ....Ek book main mainny parhaa thaa..Jo piyar detey ,letey nahi woh baqi rakhey jatey hai tak jin ko woh piyar detey hai woh zinda reh sakain,khush reh sakain

                      Maslihat achi cheez haii bus honest honi chaeyaa
                      To me every relation is demanding, you just need to understand the intensity of demand and to act accordingly to justify your relations. Until and unless you are not fully available for all your adequate services, your relation is hollow and fake and this is what i believe in. The element of being honest with your relations can't be ruled out...it is the base where the roots of ur relationship entrench. Being honest in the relations implies to your all time goodwill for that person. If you want the goodwill of other person, then you must be prepared for any kinda circumstances to cope with your extreme intelect and wisdom in order to protect your relationship. This is the formula which i believe in.
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #41

                        :clap: Nice quote and thinking
                        You are approximatlly right ,the root of your relation is honest ..I believe in this and thats why i simply don't do those things which will hurt my any beloved relation and in thatmanner i keep them happy andtheir happines give me strength.
                        About circumstances..we can try to handle each and every situtation and let them not dominant on us .:)

                        Comment

                        • #42
                          Re: kiya aap imandar hein.....?

                          Originally posted by munda_sialkoty View Post
                          Yaani tumharay kehnay ka matlab he ke tum khanay mein karwi ho lekin taseer tumhari achi he :kr: :kr:
                          meri taseer kaisi bhi ho ous ki fiker u matt kero . kiu ke U ke liyeh mei her haal mei zeher hi sabit hon gi :lpop:

                          Originally posted by munda_sialkoty View Post
                          well...kuch relations demanding hotay hein...aur jahan per demand ka taaluq aata he to wahan pe aap ko kuch na kuch sacrifice kerna perta he, sacrifice in all the senses...buchpan mein mujay hameesha such boolnay ki he tarbiyat di gai he Alhamdullilah...aur waise bhi kuch white lies hotay hein, mein ne un ki baat nahi ki...mein ne kaha ke kabi kabaar maslehatun lafzon ka hair phair kerna per jata he...do follow the sense.

                          Aap ko aik baat aur bhi batata chalon, ke mere jo bhi doost hein, un se ziada mein un ke ghar walon se attach hota hoon, aur yeh is liye nahi ke mein jhoot boolta hoon, zamana saaz duniya he...jhootay bunda to aik aankh se pehchana jaata he. I still stand firm on what i sad...mein maslehatun baat mein hair-phair ker sakta hoon, lekin mein haira-phairi pe yakeen nahi rakhta...ub is sense ko bhi follow karne ki kooshish karo
                          Dekho aamir .......... aap jo baat ker rahey ho woh sirf aur sirf diplomatic hai ........... humarey mazhab aur ikhlaqiyat mei ous ka koi wajood nahi .......... zamana saaz duniya sirf maslehaton ke tehad jhoot nahi aur bhi buhut kuch mangti hai kya aap woh sab kero gai .......... ????
                          mei bhi yahan white lies ki baat nahi ker rahi ........ sirf itna keh rahi hoon jhoot kisi bhi soorat mei jhoot hota hai ..... chahyeh wo kisi waja se bhi bola jayeh ......... aur jesa aap ne kaha her rishta demanding hota hai, sacrifice mangata hai . to ager koi rishta bachaney ke liyeh aap ko baar baar jhoot bolna parey to aap boltey raho gai ......... aur aakhir kab tak ??? at the end jis rishtey jis maqsad ke liyeh aap ne yeh kiya jab baat samney aayi to ko nahi dekhey ga aap ne kiu kiya yeh dekha jayeh ga aap jhootey sabit huwey ... aur jhoot per mabni her rishta jhoota hota hai ........ to phir kaisa sacrifice ????? ...... instead yeh behter nahi ke aap sach ka sath lo jo rishtey aap ke sachey honey ki qadar kertey hain wahi aap ke sath sada rehtey hain ..... na ke jhooti maselhaton pe mabni rishtey ...... koi bhi rishta, koi bhi kaam, jhoot ke bal per nahi chal sakta .... kiu ke jhoot bazaat-e-khudh ek lanat hai jo kabhi bhi kisi ke liyeh bhi maslehat kabhi ban hi nahi sakti .........

                          aur ek baat :alhamd: humein bhi bachpan se sach ki taleem di gayi hai .......... till date i have lost many things ....... even from blood relations because of it and i dont regret it ........... this is wht my parents have always taught me.
                          sigpic

                          Comment

                          • #43
                            Re: kiya aap imandar hein.....?

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            To me every relation is demanding, you just need to understand the intensity of demand and to act accordingly to justify your relations. Until and unless you are not fully available for all your adequate services, your relation is hollow and fake and this is what i believe in. The element of being honest with your relations can't be ruled out...it is the base where the roots of ur relationship entrench. Being honest in the relations implies to your all time goodwill for that person. If you want the goodwill of other person, then you must be prepared for any kinda circumstances to cope with your extreme intelect and wisdom in order to protect your relationship. This is the formula which i believe in.
                            yeh roots hi ager aap ke so called maslehat per mabni jhoot ki ho to ???? how can u call it an honest relation ????
                            sigpic

                            Comment

                            • #44
                              Re: kiya aap imandar hein.....?

                              Originally posted by 'Sweet & Sour' View Post
                              yeh roots hi ager aap ke so called maslehat per mabni jhoot ki ho to ???? how can u call it an honest relation ????
                              Baat hai tu sahii saima app ki.......mager baaz loog khud ko ghalat fehmi ka shiakr rakh kerkhush hotey haii..
                              Mainney apney bhi realtions k saath aisa hi kyaa pheley try kyaa k sambhal jayee mager jub laga k bus hadhogaii sub kuch khatum kerdiyaa kunk mujey laga k abb smaney wala jhoot ka sahara ley raha haii so its better jub trust hi nahi honest hi nahi tu faida kyaa :)

                              Comment

                              • #45
                                Re: kiya aap imandar hein.....?

                                Originally posted by aquari View Post
                                Baat hai tu sahii saima app ki.......mager baaz loog khud ko ghalat fehmi ka shiakr rakh kerkhush hotey haii..
                                Mainney apney bhi realtions k saath aisa hi kyaa pheley try kyaa k sambhal jayee mager jub laga k bus hadhogaii sub kuch khatum kerdiyaa kunk mujey laga k abb smaney wala jhoot ka sahara ley raha haii so its better jub trust hi nahi honest hi nahi tu faida kyaa :)

                                exactly this it what i'm to clarify here .......... its true her relations demanding hota hai aur her wo relation jo aap ke liyeh maney rakhta hai ousey bachantey ke liyeh akser sacrifice kerna perta hai .......... i agree ......... magar jhoot bol ker kabhi kisi relation ko nahi bachaya ja sakta ........
                                at the end hota kya hai ........ aap her limit cross ker jatey hain,apney rishtey ko bachaney ke liyeh aap shayed na jantey ho magar aap ke jhoot se shayed kisi ka nuwsan hota hai .......... kiu ke jhoot mei kabhi kisi ka faida nahi ho sakta ........ aur choonkey jhootey rishtey ko tootna hota hai wo toot jata hai tab insan ke pass siwayeh pachtawey ke kuch nahi bachta .....
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X