Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
'Express yourself'
Collapse
X
-
Re: 'Express yourself'
Originally posted by yellowsky View Post@ topic
kuch log aap ki zindagi mey bas aik hawa key jhonkey ki tarhan aatey hein
leykin baaz dafa ye jhonkey khushgawaar to nahi hotey----bin maangey hawa key jhonkey------kyun? is tarhan hota hai? kisi ko bhi to koi haq nahi hai key wo aap ki zindagi ko itna hilla ker chala jaye???
phir kyun kuch log aeysa kertey hein --------kyun itni beyhissi aa gai hai in logon mey.......
tumhari baat mei hi tumarey sawal ka jawab bhi hai :)
hawa bejan nahi hoti apni marzi se nahi chalti ..... aisey hi hum log taqdeer ka hathon majboor aur bebas hotey hain jo nahi kerna cahhtey hain kertey hain ....... issi tarah wo log jo humari zindagi mei hawa ke jhonkey ki tarah aatey hain wo shayed apni marzi se nahi aatey ..... taqdeer pal mei insan ko saat samandar pohancha deti hai to shayed wo log bhi issi tarah se kahin ke oukhrey kahin aa jatey hain ........ ab pata nahi humein ounhein is ka ilzam dena chahiyeh yaan nahi ....... haan magar ek baat hai ke aisey log sirf nakhushgawar hi nahi .. buhut si khushgawar yadein bhi chotey hain ....... hum per depend kerta hai hum kaisey yaad kertey hain :)sigpic
Comment
-
Re: 'Express yourself'
@ Topic ...........
kabhi kabhi zindagi buhut ouljhi huwi lagney lagti hai ........ sab kuch mamoul ke mutabiq honey ke bawajood kisi ek kaam ke oulajhney se sab kuch bikhra sa lagta hai ....... aisa kiu hota hai ????
kya sirf ek kaam ke oulajhney se sarey kaam oulajh jatey hain .... yaan insan khudh (apni soch, aamal) mei ouljha rehta hai to sarey kaam ouljhey lagtey hain ????
sigpic
Comment
-
Re: 'Express yourself'
@ topic:
Last couple of days sey yahan per bohat hi shadeed sardi hai (-1 sey -5 tak) to main sochta hoon keh yeh duniya kya kamaa hai jahan per sardi ho to itni shadeed keh bear ki khaal pehan lo sardi lagti hai aur garmi ho to aisi keh jism tak jhuls jatey hain - woh jannat kaisi ho gi jahan na sardi na garmi - na bhook na piyas - magar ham log jannat hasil karney key liye kya kar rahey hain? :cc:tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: 'Express yourself'
Originally posted by 'Sweet & Sour' View Post@ Topic ...........
kabhi kabhi zindagi buhut ouljhi huwi lagney lagti hai ........ sab kuch mamoul ke mutabiq honey ke bawajood kisi ek kaam ke oulajhney se sab kuch bikhra sa lagta hai ....... aisa kiu hota hai ????
kya sirf ek kaam ke oulajhney se sarey kaam oulajh jatey hain .... yaan insan khudh (apni soch, aamal) mei ouljha rehta hai to sarey kaam ouljhey lagtey hain ????tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: 'Express yourself'
Originally posted by sumera View Postdo mutzaad sooch rakhnay walay agar partner ban jain to.......
woh khud ko to tabah karty hi hein magar.......
aur nah janay kitni zindagioon ko bhi hilla k rakh daytay heintumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: 'Express yourself'
Originally posted by Masood View Postdo mutzaad soch rakhney waley mil jaein to zaroori nahin keh tabahi hi ho, kabhi kabar opposite soch rakhney waley behtar rafiq sabit hotey hain. Zaroorat is baat ki hai - merey nazdeek - keh aik balance pedah kiya jaey - agar aap kisi ko qayil karna chahtey hain, to khud bhi qayil hona seekhein - zindagi give-and-take ka naam hai - kuchh hasil karney key liye kuchh khona parrta hai.
agar doono hi aysay hoon to.......tabahi aaati hy na....
Comment
-
Re: 'Express yourself'
Originally posted by sumera View Posti m totally agree with u......but what about the people who dont understand....jo sirf samajhtay hein ......i m the best....i know everything....
agar doono hi aysay hoon to.......tabahi aaati hy na....tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: 'Express yourself'
zabt ka ehadh bhi hai aur shoq ka pemaan bhi......
ehad-o-pemaan sey guzar janey ko ji chahata hai........
dard itna hai ke har rag mein hai mehshar barpa........
aur sakoon aisa hai ke marjaney ko ji chahata hai...........If Allah brings you to it, He will bring you through it.
Happy moments, praise Allah.Difficult moments, seek Allah.Quiet moments, worship Allah.Painful moments, trust Allah.Every moment, thank Allah.
Comment
-
Re: 'Express yourself'
Originally posted by munda_sialkoty View PostAap sub loog mushkil mushkil baatein kyoon ker rahay ho :blush:If Allah brings you to it, He will bring you through it.
Happy moments, praise Allah.Difficult moments, seek Allah.Quiet moments, worship Allah.Painful moments, trust Allah.Every moment, thank Allah.
Comment
-
Comment