Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

'Express yourself'

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: 'Express yourself'

    Originally posted by sumera View Post
    insaan ki zindagi mein kuch lamhay itnay bayanak hotay hein k unki soooch hi insaan ko hila k rakh day........magar........
    kuch lamhay itnay khooob hotay hein k baray say bara dukh ka darya bhi un k saharay paar kiya ja sakta hy
    :thmbup: sahee kaha
    If Allah brings you to it, He will bring you through it.

    Happy moments, praise Allah.
    Difficult moments, seek Allah.
    Quiet moments, worship Allah.
    Painful moments, trust Allah.
    Every moment, thank Allah.

    Comment

    • Re: 'Express yourself'

      Originally posted by yellowsky View Post
      @ topic

      kuch log aap ki zindagi mey bas aik hawa key jhonkey ki tarhan aatey hein

      leykin baaz dafa ye jhonkey khushgawaar to nahi hotey----bin maangey hawa key jhonkey------kyun? is tarhan hota hai? kisi ko bhi to koi haq nahi hai key wo aap ki zindagi ko itna hilla ker chala jaye???

      phir kyun kuch log aeysa kertey hein --------kyun itni beyhissi aa gai hai in logon mey.......

      tumhari baat mei hi tumarey sawal ka jawab bhi hai :)
      hawa bejan nahi hoti apni marzi se nahi chalti ..... aisey hi hum log taqdeer ka hathon majboor aur bebas hotey hain jo nahi kerna cahhtey hain kertey hain ....... issi tarah wo log jo humari zindagi mei hawa ke jhonkey ki tarah aatey hain wo shayed apni marzi se nahi aatey ..... taqdeer pal mei insan ko saat samandar pohancha deti hai to shayed wo log bhi issi tarah se kahin ke oukhrey kahin aa jatey hain ........ ab pata nahi humein ounhein is ka ilzam dena chahiyeh yaan nahi ....... haan magar ek baat hai ke aisey log sirf nakhushgawar hi nahi .. buhut si khushgawar yadein bhi chotey hain ....... hum per depend kerta hai hum kaisey yaad kertey hain :)
      sigpic

      Comment

      • Re: 'Express yourself'

        @ Topic ...........

        kabhi kabhi zindagi buhut ouljhi huwi lagney lagti hai ........ sab kuch mamoul ke mutabiq honey ke bawajood kisi ek kaam ke oulajhney se sab kuch bikhra sa lagta hai ....... aisa kiu hota hai ????
        kya sirf ek kaam ke oulajhney se sarey kaam oulajh jatey hain .... yaan insan khudh (apni soch, aamal) mei ouljha rehta hai to sarey kaam ouljhey lagtey hain ????
        sigpic

        Comment

        • Re: 'Express yourself'

          @ topic:

          Last couple of days sey yahan per bohat hi shadeed sardi hai (-1 sey -5 tak) to main sochta hoon keh yeh duniya kya kamaa hai jahan per sardi ho to itni shadeed keh bear ki khaal pehan lo sardi lagti hai aur garmi ho to aisi keh jism tak jhuls jatey hain - woh jannat kaisi ho gi jahan na sardi na garmi - na bhook na piyas - magar ham log jannat hasil karney key liye kya kar rahey hain? :cc:
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • Re: 'Express yourself'

            I am a normal person who dont works in there streets but working best way in pegham.
            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

            Comment

            • Re: 'Express yourself'

              Originally posted by 'Sweet & Sour' View Post
              @ Topic ...........

              kabhi kabhi zindagi buhut ouljhi huwi lagney lagti hai ........ sab kuch mamoul ke mutabiq honey ke bawajood kisi ek kaam ke oulajhney se sab kuch bikhra sa lagta hai ....... aisa kiu hota hai ????
              kya sirf ek kaam ke oulajhney se sarey kaam oulajh jatey hain .... yaan insan khudh (apni soch, aamal) mei ouljha rehta hai to sarey kaam ouljhey lagtey hain ????
              tumhari is kaifiyat ko main bhi janta hoon, har kaam apney mamool key mutabiq chalta huwa nazar aatha hai magar phir bhi lagta hai goya kuchh bhi mamool per nahin. Karney ko bohat kuchh hota hai magar kuchh karney ka dil nahin karta - haan kabhi kabar siraf aik kaam aisi situation pedah kar deta hai aur us kaam ka ho jana hi behtar hota hai - jabhi zindagi apney mamool per aati hai...
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • Re: 'Express yourself'

                do mutzaad sooch rakhnay walay agar partner ban jain to.......
                woh khud ko to tabah karty hi hein magar.......
                aur nah janay kitni zindagioon ko bhi hilla k rakh daytay hein

                Comment

                • Re: 'Express yourself'

                  Originally posted by sumera View Post
                  do mutzaad sooch rakhnay walay agar partner ban jain to.......
                  woh khud ko to tabah karty hi hein magar.......
                  aur nah janay kitni zindagioon ko bhi hilla k rakh daytay hein
                  do mutzaad soch rakhney waley mil jaein to zaroori nahin keh tabahi hi ho, kabhi kabar opposite soch rakhney waley behtar rafiq sabit hotey hain. Zaroorat is baat ki hai - merey nazdeek - keh aik balance pedah kiya jaey - agar aap kisi ko qayil karna chahtey hain, to khud bhi qayil hona seekhein - zindagi give-and-take ka naam hai - kuchh hasil karney key liye kuchh khona parrta hai.
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • Re: 'Express yourself'

                    Originally posted by Masood View Post

                    i m totally agree with u......but what about the people who dont understand....jo sirf samajhtay hein ......i m the best....i know everything....
                    agar doono hi aysay hoon to.......tabahi aaati hy na....

                    Comment

                    • Re: 'Express yourself'

                      Originally posted by sumera View Post
                      i m totally agree with u......but what about the people who dont understand....jo sirf samajhtay hein ......i m the best....i know everything....
                      agar doono hi aysay hoon to.......tabahi aaati hy na....
                      Meri baat ghaur sey parhein .... give-and-take - jo log siraf apni manatey hain doosrey ki nahin suntey woh give-and-take ka mafhoom nahin jantey - woh nakaam rehtey hain. Aik baat yaad rakhein, hamesha barg-e-samar usi shaakh ko lagtey hain jo jhuk jati hai - aajzi Allah Tala ko pasand hai :)
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • Re: 'Express yourself'

                        right........:rose
                        un logoon ka kya jo itni samajh nhi rakhtay k doosroon ki baatoon mein lag k khud ka nuqsaan kr lyty hein

                        Comment

                        • Re: 'Express yourself'

                          zabt ka ehadh bhi hai aur shoq ka pemaan bhi......
                          ehad-o-pemaan sey guzar janey ko ji chahata hai........

                          dard itna hai ke har rag mein hai mehshar barpa........
                          aur sakoon aisa hai ke marjaney ko ji chahata hai...........
                          If Allah brings you to it, He will bring you through it.

                          Happy moments, praise Allah.
                          Difficult moments, seek Allah.
                          Quiet moments, worship Allah.
                          Painful moments, trust Allah.
                          Every moment, thank Allah.

                          Comment

                          • Re: 'Express yourself'

                            Aap sub loog mushkil mushkil baatein kyoon ker rahay ho :blush:
                            :thmbup:

                            Comment

                            • Re: 'Express yourself'

                              Originally posted by munda_sialkoty View Post
                              Aap sub loog mushkil mushkil baatein kyoon ker rahay ho :blush:
                              taakey tumhein samajh ke beech na aye
                              If Allah brings you to it, He will bring you through it.

                              Happy moments, praise Allah.
                              Difficult moments, seek Allah.
                              Quiet moments, worship Allah.
                              Painful moments, trust Allah.
                              Every moment, thank Allah.

                              Comment

                              • Re: 'Express yourself'

                                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                                Aap sub loog mushkil mushkil baatein kyoon ker rahay ho :blush:
                                :tauba apko samajh ani bhi nahi...:na:
                                Finding truth - Finding love
                                These diamonds sparkle from lights above

                                Lorraine Venner

                                Comment

                                Working...
                                X