Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

'Express yourself'

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: 'Express yourself'

    kuch na honay say kuch na kuch hona behtar hota hai :mm:
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • Re: 'Express yourself'

      nice Anchal Ji :)

      yeh na socho k mulk ne ap ko kiya diya bal ki yeh socho k tum ne mulk ko kia diya
      :)

      Fall view from inside my car
      near my work place :)

      Comment


      • Re: 'Express yourself'

        Originally posted by MorningGlory View Post
        Aap ka jawab mujhay bohat pasand aya. Thanks for answering all.

        Naheen budtamizi to hargiz naheen karna yani third person kay upper kar kay kah dena hai. Jis tarha unhon nain kehalwaya.

        Darasal kisi say rishtay ki baat hai. Larki ki unhon nain aik sirf dhundhli si tasveer bhaij di jo info bhaija wo page kholo to kachra nazar ata hai word naheen.

        Jub unsay aur tasveer mangwai to to 15 din ka kaha tha maheenon ho gaay abhi tuk naheen bhaija na koi larki ki detail batai.

        Larkay ko hum nain dikhwa dia ub kahti hain aap pehlay tasveer bhaijain.

        Doosray say kahalwa rahi hain unki bhaji say shadi karain. Jub kay larki zara bhi daikhnay main achchi naheen. larka uski nisbat kafi bahtar hai to daikh kar kahti hain theek hi hai.

        Hum nain socha tha jo larkay ki demand hai agar us tarha ki larki ka qud kaath hai to baat kar lain gay unsay. Larka shakl o soorat ko itna ahmiat naheen deta per ussay lumbi patli larki chahyay.

        Ub unki is tarha ki budtamizi per hum nain naheen kahnay ka soch lia hai. Ub unki tarha third person per kar kay kah dain kay is tarha budtamizi teesray say karwai to wo shadi naheen karain gay ya saaf saaf kah dain aap ka yay undaz pasand naheen aya hum nain to aap kay huq main faisla kar lia tha per ub naheen karain gay.
        Baat Agar Rishtay Ki Hai To Aap Ko Ehtiyaat^ Se Kaam Lena Hoga..

        Sub Se Pehlay To Koshish KareN K Istikhaarah Kar LeN.. Aur Phir BuzurgoN Se Bhi SalaaH Mashvara.. Taakay Kal Ko Koi Baat Hoti Hai To Aap Oonch Neech K Hisaab Se Behtar Aur Clear Javaab De SakeN..

        --

        Jis T^arah Voh TaSveer Aur Detail Bhej Nahi Rahay.. Us Se To Aisa Lagta Hai K Un Ka Interest Nahi.. Lekin Shaadi Ka Bhi Keh Rahay HaiN..

        Aisay Main Behtar Yehi Hoga K LaRki K Saath Saath Aap Us K Khaandaan Ki Bhi Chhaanbeen KarvayeN..

        KiyooN-k Shaadi To LaRka LaRki Ki Honi Hai.. Par Milaap Do KhaandaanoN Ka Bhi Hai..

        Baad K Afsos Ya UljhanoN Se Behtar Hai Abhi Kuch Vaqt Sarf Kar Liya Jaye..

        LaRkay Ki Shart^ LaRki K Patli Aur Lambi K Saath Saath Khoob-SEERAT Bhi Honi Chaahiye..

        Allah Behtar Raasta Sujhaaye Aap Ko..
        Ovais.
        Muflisi K DinoN Main Jo BichhaR Gaya Mujh Se
        Usay Talaash KarooNga Main Naukari Ki T^arah..

        Comment


        • Re: 'Express yourself'

          ham ap ke hen. yeh sab khane ki baten hen. koi kisi ka nai hota. sab matlab ke yar hen.

          kia yeh sach he?

          Fall view from inside my car
          near my work place :)

          Comment


          • Re: 'Express yourself'

            Originally posted by aabi2cool View Post
            لو جی ایتھے تے انگریزی نامہ شروع ہوگیا اے ۔ ۔ ۔ اے منڈا تے پہلاں ای جاہندا سی کہ کوئی انگریزی بولنے والے اینھوں لبھے تے آپنا ٹیلنٹ وخاوے
            372-scare372-scare372-scare
            Ghalat gul sai sai na ker :na:
            :thmbup:

            Comment


            • Re: 'Express yourself'

              Originally posted by Xenya View Post
              @topic

              :embarasse
              Aap ki yeh adaa dil mouh lene wali he
              :thmbup:

              Comment


              • Re: 'Express yourself'

                Originally posted by MorningGlory View Post
                Bohat achcha mashawara hai thanks a lot for helping.

                Masla yay hai muskura kar kahna mujhay doghlapun lugta hai. Shayad yay meri ghalat soch hai.

                Achchay lafzon main biyan karna naheen ata mujhay. Mujhay rona aa jata hay jub main kahnay lugti hoon to aur uski wajah say kuch naheen kah pati. Agar kabhi kah bhi loon to kah kuch aur deti hoon ya is tarha kahti hoon kay jo main kahna chahti hoon loag ussay kuch aur hi samjhtain hain.

                Mujhay darasal bolna naheen naheen ata. Main nain kabhi kisi say baat hi naheen ki hai.

                I will try to do as you said. Pray for me for sure.
                No harm in bit diplomacy, shuru mein yeh practice kerte huay aap ko mushkil lagay ga, but sooner or late it will become part of your personality and you will feel relaxed. Apnay aap ko strong kerne ke liye aur apnay kuch flaws door kerne ke liye ager aap yeh practice karein gi to is mein koi muzaika nahi. Jub aap smiling face se doosron se baat karein gi to is mein aap ke temperament mein bhi khatir'khaa farak paray ga aur aap ko baat kerte huay time mil jay ga, aur aap relevant aur acha jawaab de sakein gi. Waise bhi kaha jata he ke ghussa akal ko khaa jata he, jub aap ka para high ho ga to aap waqee kuch bhi acha kehnay se kasir ho jaein gi. Apni cool ko maintain rakhiye, baki sub kuch maintain ho jaye ga :insha::thmbup:
                :thmbup:

                Comment


                • Re: 'Express yourself'

                  ghusa jab aye to baith jana chaie or ek glass thanda pani 3 sanson me piye. insha Allah rafu chakar ho jayega ghusa. vese, ghusa se bachne ka best tariqa he k situation jo bhi ho usse walk out kar jaye physically :)

                  Fall view from inside my car
                  near my work place :)

                  Comment


                  • Re: 'Express yourself'

                    ye sochen bhi insan ko kitna takha deti hen na

                    Comment


                    • Re: 'Express yourself'

                      Jo loog kabi baat ka jawaab sahi se dena gawara nahi kerte thay, aaj janay se apni seaton se uth kharay hotay hein, paisay mein waqee bari takaq hoti he
                      :thmbup:

                      Comment


                      • Re: 'Express yourself'

                        aaj tabaiyat khuch theek naheen
                        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                        Comment


                        • Re: 'Express yourself'

                          achhe k bure ham jese the
                          ham jese the ham vese hen
                          insan nahin vo mosam he
                          jo waqt ke sath badalte hen

                          aesa bhi hota he :(

                          Fall view from inside my car
                          near my work place :)

                          Comment


                          • Re: 'Express yourself'

                            @topic

                            :)
                            sigpic

                            Comment


                            • Re: 'Express yourself'

                              Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                              @topic

                              :)
                              Yeh koon sa neya topic start ker diya tum ne :D:
                              :thmbup:

                              Comment


                              • Re: 'Express yourself'

                                Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                                @topic

                                :)
                                YE TOPIC THA TOPIC FITTAY MONH :dance2:
                                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                                Comment

                                Working...
                                X