Re: ~!~ Non stop Open Anakshiri ~!~
merey hamnafas merey hamnawa mujhey dost ban key dagha na dey
main hoon sadma-e-ishq sey jaan-ba'lab mujhey zindagi ki dua na dey
main gham-e-jahaan sey nidhaal hoon keh sarapa dard-o-malaal hoon

jo likhey hain merey naseeb mein woh alam kisi ko Khuda na dey

mujhey chorr dey merey haal per, tera kya bharosa hai chara'gar

yeh teri nawazish-e-mukhtasir mera dard aur barha na dey :)

dar-e-yaar per badi dhoom hai, wohi aashiqon ka hajoom hai

abhi neend aai hai husn ko koi shor kar key jaga na dey

kabhi jaam lab sey laga diya, kabhi muskraa key hata diya

teri chherr chharr yeh saqiya, meri tishnigi ko barha na dey

woh uthey hain ley key khum-o-saboo arey O'Shakeel kahan hai tu

tera jaam leney ko bazm mein koi aur haath barha na dey

Comment