Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~!~ Non stop Open Anakshiri ~!~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~!~ Non stop Open Anakshiri ~!~

    merey hamnafas merey hamnawa mujhey dost ban key dagha na dey
    main hoon sadma-e-ishq sey jaan-ba'lab mujhey zindagi ki dua na dey

    main gham-e-jahaan sey nidhaal hoon keh sarapa dard-o-malaal hoon
    main gham-e-jahaan sey nidhaal hoon keh sarapa dard-o-malaal hoon
    jo likhey hain merey naseeb mein woh alam kisi ko Khuda na dey
    merey hamnafas merey hamnawa mujhey dost ban key dagha na dey


    mujhey chorr dey merey haal per, tera kya bharosa hai chara'gar
    mujhey chorr dey merey haal per, tera kya bharosa hai chara'gar
    yeh teri nawazish-e-mukhtasir mera dard aur barha na dey :)
    merey hamnafas merey hamnawa mujhey dost ban key dagha na dey

    dar-e-yaar per badi dhoom hai, wohi aashiqon ka hajoom hai
    dar-e-yaar per badi dhoom hai, wohi aashiqon ka hajoom hai
    abhi neend aai hai husn ko koi shor kar key jaga na dey
    merey hamnafas merey hamnawa mujhey dost ban key dagha na dey

    kabhi jaam lab sey laga diya, kabhi muskraa key hata diya
    kabhi jaam lab sey laga diya, kabhi muskraa key hata diya
    teri chherr chharr yeh saqiya, meri tishnigi ko barha na dey
    merey hamnafas merey hamnawa mujhey dost ban key dagha na dey

    woh uthey hain ley key khum-o-saboo arey O'Shakeel kahan hai tu
    woh uthey hain ley key khum-o-saboo arey O'Shakeel kahan hai tu
    tera jaam leney ko bazm mein koi aur haath barha na dey
    merey hamnafas merey hamnawa mujhey dost ban key dagha na dey
    main hoon sadma-e-ishq sey jaan-ba'lab mujhey zindagi ki dua na dey
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: ~!~ Non stop Open Anakshiri ~!~

      meray dost qissaa ye kiya ho gaya
      sunaa hain k tuu be-wafaa ho gaya

      dua bad-dua de, yeh mumkin nahi
      mujhe tuu bhulaa de, yeh mumkin nahi
      khudaa janay kiya, maajraa ho gaya

      agar maang le tU, o jaan-ye-jigar
      tujhe jaan de doun, main ye jaan-kar
      k haq dostii kaa adaa ho gaya

      Qayaamat se kam yaar yeh gham nahi
      k tu aaur mai, rah ga`y hum nahi
      mera yaar mujh se judaa ho gaya

      Comment


      • Re: ~!~ Non stop Open Anakshiri ~!~

        merey dil ki anjuman mein terey gham sey roshni hai
        na bhula sakoon ga tujhko tera pyar zindagi hai

        teri mehfilein saja key chaley har khushi luta key
        hain yehi siley wafa key yehi rasm-e-aashqi hai
        na bhula sakoon ga tujhko tera pyhar zindagi hai
        merey dil ki anjuman mein...

        teri rehguzar sey aagey mera dil na jaa sakey ga
        mujhey gardish-e-zamana kahan ley key jaa rahi hai
        na bhula sakoon ga tujhko tera pyar zindagi hai
        merey dil ki anjuman mein....

        tu sada rahey salamat mujhey bhool janey waley
        keh teri khushi peh qurban merey dil har khushi hai
        na bhula sakoon ga tujhko tera pyar zindagi hai
        merey dil ki anjuman mein.....
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: ~!~ Non stop Open Anakshiri ~!~



          is moR se jaatay hain
          kuchh sust qadam raste
          kuchh tez qadam raahein
          is moR se jaate hain

          sehra ki taraf ja kar
          ik raah bagolon mein
          kho jaati hai chakara kar
          ik raah udhaRti si
          chilati howi kaanton se
          jangal se guzarti hai
          ik dauR k jaati hai
          aur kood ke girti hai
          anajaan khalaaon mein
          is moR se jaate hain

          us moR pe baitha hoon
          jis moR se jaati hain
          har ek taraf raahein
          ik roz to yuun ho ga
          is moR pe aa kar tum
          ruk jaao gi kah do gi
          wo kOn sa rasta hai
          jis raah pe jaana hai
          wo kaun sa rasta hai

          Comment


          • Re: ~!~ Non stop Open Anakshiri ~!~

            Dil ki lagi kuchh aur bhi dil ko deewana karey
            meri iltijaa hai - khuda sey dua hai
            do dil judaa na karey

            deewaney chup kaisey rahein
            aao duniya sey yeh kahein
            jinhien ham sey milna gawara nahin hai
            ham sey mila na karey
            dil ki lagi kuchh aur bhi dil ko deewana karey

            ley key bahein bahon mein ham
            nikley jaein rahon mein ham
            woh dil hi nahin jo
            naam-e-muhabbat, naam-e-wafa na karey
            dil ki lagi kuchh aur bhi dil ko deewana karey
            meri iltijaa hai - Khuda sey dua hai
            do dil judaa na karey
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: ~!~ Non stop Open Anakshiri ~!~

              madhuban Khusboo deyta hai
              saagar sawan deyta hai
              jeena oss ka jeena hai
              jo auron ko jeewan deyta hai
              Soorah na ban pa-ay tu ban k deepak jalta chal
              phool milay ya angray sach ki rahoun per chalta chal ..
              piyar diluon ko deyta hai, ashkoun daman deyta hai
              jeean oss ka jeena hai ....
              Chalti hai lehra k pawan. k saans sabhi ki chalti rahay
              Logoun nay tiyaag diyay jeewan k preet diloun mein palti rahay
              Dil wo dil hai jo aur ko apni dharkan deyta hai
              Jeena oss ka ...........

              Comment


              • Re: ~!~ Non stop Open Anakshiri ~!~

                tumhain kaisay bata doon tum mairee manzil ho, mairee manzil ho
                jissay dhoonda hai nazroon nay wohi masoom sa dil ho
                :rose
                koi daikhay yeh tanhai yeh baychainee yeh majbooree
                tamana hai kissi dil main jaga mil jaye thoree see
                :rose
                milay woh dil mujhay jo pyar kay kabil ho, mairay kabil ho
                jissay dhoonda hai nazroon nay wohi masoom sa dil ho
                :rose
                mujhay iss haal main dekha to hontoon par hansee aayee
                chalo kuch to kissi kay kaam apni baybusee aayee
                :rose
                mairee halat pay hanstay ho baray sangdil ho, baray sangdil ho
                jissay dhoonda hai nazroon nay wohi masoom sa dil ho
                :rose

                Comment


                • Re: ~!~ Non stop Open Anakshiri ~!~

                  Zindgee mein tu ..........................!
                  Attached Files

                  Comment


                  • Re: ~!~ Non stop Open Anakshiri ~!~

                    Aisa koi zindagi mein aye
                    jo zindgi ko zingai banay
                    thori khusiyan hon thoray ansson hon
                    aur zara zara pa muskarayee

                    Comment


                    • Re: ~!~ Non stop Open Anakshiri ~!~

                      pyar hum ko bhi hai
                      pyaar tum ko bhi hai
                      tou yeh kiya silsilay ho gayay
                      bewafa hum nahi
                      bay wafa tum nahi
                      tou kyon itnay gilay ho gayay

                      chaltay chaltay
                      chaltay chaltay
                      kesay yeh faslay ho gayay




                      duniya jo rothay tou kiya hum kahain
                      koi yeh hum ko samjhayay
                      thais lagi tou pal mai tooot gayay
                      sheeshay k thy kya sab vaaday
                      socha tha pa'ain gay
                      hum tum ek manzil ko
                      rahain jo badli tou ksi ko bata k
                      chalty chalty
                      gum kaha rastay ho gayay



                      dooob gya hai aesay dard mai dil
                      ansooo bhari hai ab ankhain
                      tanhaiyoon ki jo rut agyeee
                      baytabion ki hai ahain
                      socha tha palain gay hum tum ek manzil ko
                      rahain jo badli tou kisi kko bata k
                      chalty chalty
                      kesay yeh faslay ho gayay
                      Last edited by aik_lerki; 27 October 2007, 16:43.

                      Comment


                      • Re: ~!~ Non stop Open Anakshiri ~!~

                        tera millna pal do pal ka meri dharknain chora'ay
                        dr hay mujhy piyar tera meri jaan lay na ja'ay
                        to bata kis trhaan jia ja'ay ha'ay ha'ay:slap:

                        Comment


                        • Re: ~!~ Non stop Open Anakshiri ~!~

                          سچا پیار

                          میرے دل میں بسا یوں تو غم کا کوئی گیت ہے
                          لیکن اس گیت میں سچا پیار ہے سچی پریت ہے

                          دل چاہے کہ سمے تھم جائے بس یہیں
                          اس پل میں غم سہی غم ہے کتنا حسیں

                          یہ لمحے تو کھو جائیں گے
                          تصویریں ہی رہ جائیں گی
                          اب یادیں ہی دل کو بہلائیں گی
                          میں نے جان لیا کیوں کلیاں کھلتی ہیں
                          کیوں تتلیاں آکے پھولوں سے ملتی ہیں
                          سچ ہے کہ میں نے یہاں
                          سیکھی ہے دل کی زباں
                          میں نے کسی سے مل کے یہ تو جان لیا ہے
                          پیار کیا ہے

                          میرے دل میں بسا یوں تو غم کا کوئی گیت ہے
                          لیکن اس گیت میں سچا پیار ہے سچی پریت ہے

                          مجھے دن یاد ہے جب ہم تم تھے ملے
                          یہ خبر تھی کسے ہونے ہیں خوابوں کے سلسلے
                          میں نے اپنے خوابوں کو پہچانا ہے
                          میں نے تم سے ہی مل کے خود کو جانا ہے
                          کوئی شکوہ نہ گلہ
                          مجھے تم سے کیا نہ ملا

                          مجھے اتنے پیار سے تم نے سمجھایا
                          پیار کیا ہے

                          Comment


                          • Re: ~!~ Non stop Open Anakshiri ~!~

                            nver nice

                            Comment


                            • Re: ~!~ Non stop Open Anakshiri ~!~

                              dil kisi ka dil churana chahta ha
                              kis ko yeh apna banana chahta ha
                              janay is ko kiya howa ha aaj kal
                              isaq mein khud ko mitna chahta ha

                              Comment


                              • Re: ~!~ Non stop Open Anakshiri ~!~

                                Rafta rafta woh meri hasti ka samaan ho gaey
                                pehley jaan, phir jaan-e-jaan phir jan-e-janaan ho gaey

                                din ba din bharrti gaiin is husn ki raa'naiyaan
                                din ba'din bharrti gaiin is husn ki raa'naiyyan
                                pehley gul phir gulbadan phir gulbadamaan ho gaey

                                aap to nazdeek sey nazdeek tar aatey gaey
                                aap to nazdeek sey nazdeek tar aaatey gaey
                                pehley dil phir dilruba phir dil key mehmaan ho gaey

                                pyar jab had sey bharrha, sarey takaluf mit gaey
                                pyar jab had sey bharrha, sarey takaluf mit gaey
                                aap sey phir tum huwey phir tu ka unwaan ho gaey
                                rafta rafta woh meri hasti ka samaan ho gaey
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X