Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

....Aik kahani bari poorani....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    Re: ....Aik kahani bari poorani....

    wo chat se nichay gir parii aur be-hosh hogaee.be-hosh wo chot se naheeN, khauf se huee thii.wo kehte hain NA KEH ''jise allaah rahay, use kaun chak,khay''.ittifaaq se galii meiN ek tootii huee charpaaee paRee thii, ye usi par ese jaa ke paRee, goya ye usii k liye bichaee gaee ho:lol .use panipila kar hosh meiN laya gaya.jab hosh aya to wo dam-ba-khud--------

    Comment


    • #92
      Re: ....Aik kahani bari poorani....

      dam-ba-khud thi keh main zindah hoon. Usney Allah ka shukar ada kiya aur uthney ka qasad kiya. Jaisey hi uthney lagi charpaii toot gaee :lol. Jin ki charpaii thi woh to us bechari key peechhey par gaey keh hamein theek karwaa kar do ....
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #93
        Re: ....Aik kahani bari poorani....

        ab vo bichare bare pareshan hoe kio ky usko to aate he nahe the theek kernee..us ko samajh he nahe aa raha tha k kia keray ..baki sab bhe pareshaan thee ky ab kia kiya ja'ay..achanak sy unko aik idea sojhaa..

        Comment


        • #94
          Re: ....Aik kahani bari poorani....

          tu unhon ne un ko new charpai khared ker de di mager janab..............

          Comment


          • #95
            Re: ....Aik kahani bari poorani....

            lekin pihr dil mai yeh khiaal aeya kai ager............

            Comment


            • #96
              Re: ....Aik kahani bari poorani....

              ager vo unko pasand na aae aur un ho ny kaha k hum ko apni purane charpae he chahiyayy phir kia keray gay..phir

              Comment


              • #97
                Re: ....Aik kahani bari poorani....

                phir unhon ne kaha jao bhi jan choro humari khuwamukhwan mahol kharab ker diya...aur sari larkiyan wapis room mein aa jati hain sab ka mood kharab ho chuka thaa keh achanak wahan.....

                Comment


                • #98
                  Re: ....Aik kahani bari poorani....

                  ....achanak wahan Masood aa jatey hain. Sari larkiyaan khush ho jati hain keh ab ham bore nahin hon gi. Masood ney sab sey pehley unhein aik lateefa sunaya keh aik shaikh sahib hotey hain, unkey ghar aik faqeer bheek maangney aata hai. Shaikh sahib aik roti dey kar farmatey hain, kal na aana, isi roti ki photostate copy karwaa lena :lol :lol Ab sab larkiyon ka mood theek ho chuka tha. Unho ney farmaeesh ki keh hamein ice cream khilaein, to masood sahib ki jaib key laley parr gaey. Magar kya kartey ley jana parra. Bazaar jaa rahey they keh gadi ki breakein fail ho gein..............
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #99
                    Re: ....Aik kahani bari poorani....

                    tau sab ke mun se aik hi awaz nikli ooooooooooo.........masood ne bari bechargi se larkiun ko dekh ker kaha ab kiya ho ga abhi tu meri shadi bhi nahin hoi uper se ye afat nazel ho gai tu larkiun ne kaha tu humari kaunsi hoi hai aik larki rone lagi aur kehne lagi hae Allah abhi tu mein ne apna naya jora bhi nahin pehna jo kal hi sil ker aya hai sab apni ani ro rahe they keh larkiyn chekhen masood samne dekho........

                    Comment


                    • Re: ....Aik kahani bari poorani....

                      masood is shor-o-ghul mein kya dekhta aur kya na dekhta. Itna khof masood ko gadi key breakon key fail hona ka nahin tha jitna larkiyoon ki ooooooo aaaaaaa sey tha. Koi aik cheekhti to baat hoti sab ki sab ney dhoobi-ghaat bnaya huwa tha. Achanak samney sey sarak khatam hoti nazar aaney lagi, aik bohat bada board tha jis par likha tha: KANWARON KI GUZARGAH......
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • Re: ....Aik kahani bari poorani....

                        lolzzz
                        yeh dekh ker mazeed ghul utha larkiyan kehne lagin ager hum mar gaye tu dekhna khala Amman se kaisi pitai kerwaen ge sari shikayat keren gey ...kash keh hum kanjoos makhi choos ke sath na aate najane kis dil se ice cream khilana ka iraa kiya thaa yeh humen jaan ke lale par gai ..khair masood ko bhi apni jaan piyari thi Allah ka naam le ker samne lage board ki madat se gadi ko rok hi liya..........

                        Comment


                        • Re: ....Aik kahani bari poorani....

                          .... rokta kaisey na aakhir gadi chalaney ka champion tha :D. Khair ab aagey peechey dekha to kuchh samajh na aaya keh ham kahan hain, aik sunsaan sa elaqa tha, door door koi banda na bashar, hashar nashar, ab to larkyon ney mazeed kuhraam macha diya. Khair wahan par achanak dooooooor sey ghoron key chapon ki aawaz sunaee di..
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • Re: ....Aik kahani bari poorani....

                            lakin jab ye awazen qareeb aaen tu pata chala keh gadha gadi hai jise masood ghoron ki awaz samjhey thee zahir hai shur hi itna thaa...jab gadha gadi qareeb aai tu gadi wale se pucha bhai ye kaunsi jagha hai us ne jo naam bataya tu sab ka huns huns ke bura haal thaa.....

                            Comment


                            • Re: ....Aik kahani bari poorani....

                              aur sab bohat dhiar sara khush bhe hoe.kioky us ghada gade waly ny bataya tha ky yaha sy thory sy agay sy paristan shoro ho jata hai.sab ko he paristan dekhny ka bohat shooq tha phir sab ky sab mil ker parishtan ki sair kerny ka irada kerty hain.abhe vo chand qadam ky fasly per hoty hain paristan say ky ...

                              Comment


                              • Re: ....Aik kahani bari poorani....

                                wahan jin aa jata hai aur khta hai wapis jao mager sab us se kehtey hain humari gadi kharab hai kaise jaen jin jadoo se gadi theek ker deta hai yun sab gher aa jate hai mger agle hi din........

                                Comment

                                Working...
                                X