Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Fiqre Se Fiqrah

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Fiqre Se Fiqrah======

    aap se guftogu ke duran bahut kuch sekhne ko milta hai..

    Comment


    • Re: Fiqre Se Fiqrah======

      In khoobsurat alfaaz ka bohat shukriah - Allah ney agar kuchh ilam diya hai to kyun na aagey pohancha diya jaey qabal iskey keh malk-ul-maut darwazey peh dastak dey dey aur ilam dharey ka dhara rah jaey :)
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • Re: Fiqre Se Fiqrah======

        AOA,


        Ji baja farmaya aap nain akhri waqt ane se qabal hum ko apne aap ko uss jahan k liye taizyaar karna chaye:)


        Sohail Abbasi.
        Apna haq ada karo.

        Comment


        • Re: Fiqre Se Fiqrah======

          Jo abhi khud ko us waqt key liye tayyar nahin karey ga, uska phir us waqt tayyar hona kisi kaam nahin aaey ga. Us din ki qabooliyat koi maa'ni nahin rakhey gi, us waqt to train guzar chuki ho. So kuchh achha amal karna hai to abhi kar lein :)
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • Re: Fiqre Se Fiqrah======

            AOA,


            Ji darost farmaya aap nain uss waqt toba k darwaze band ho jain ge lakin aik baat samaj nain ati k sab koch jante aur mante hoye b hum uss waqt k liye taiyari kion nain karte.


            Sohail Abbasi.
            Apna haq ada karo.

            Comment


            • Re: Fiqre Se Fiqrah======

              G sachi kaha.... Sab kuch jantey huwey bhi humkhudh ko aakhri waqt k liyeh tayar nahi kertey kiu k humari ankhon aur humareydil per si diniya-e-fani ki ranginion ka perda para rehta hai
              sigpic

              Comment


              • Re: Fiqre Se Fiqrah======

                AOA,


                Ji sab hamari khawaishat ki waja se hai agar hum in ko had main rakhain to kamyaab ho sakte hain:)


                Sohail Abbasi.
                Apna haq ada karo.

                Comment


                • Re: Fiqre Se Fiqrah======

                  khawahishain to khahishain hote hai na..jitny bhe pore ho ja'ain kam lagte hain ..:embarasse
                  hazaron khawahishan aise ky her khawahish pay dam niklay
                  bohat niklay mery armaan mager phir bhee kam niklay

                  Comment


                  • Re: Fiqre Se Fiqrah======

                    AOA,


                    Isi baat pe aap ko apna aik shair sonata hoon.


                    hathoon ko dua pe rakhta hoon
                    laboon ko iltaja pe rakhta hoon

                    hai Ahmid mera imaan ahsa

                    har baat khuda pe rakhta hoon.
                    Apna haq ada karo.

                    Comment


                    • Re: Fiqre Se Fiqrah======

                      Originally posted by khan
                      AOA,


                      Isi baat pe aap ko apna aik shair sonata hoon.


                      hathoon ko dua pe rakhta hoon
                      laboon ko iltaja pe rakhta hoon

                      hai Ahmid mera imaan ahsa

                      har baat khuda pe rakhta hoon.
                      wah wah wah
                      kia shaair hai..
                      zabardast :)
                      aap ko shair-o- shaire sy lagao ha kia??

                      Comment


                      • Re: Fiqre Se Fiqrah======

                        AOA,


                        Daad k liye bohat shukria.ji thorra sa zook rakhta hoon shairi ka aur aap b koch likhte hoon ge yaqeenan:)


                        Sohail Abbasi.
                        Apna haq ada karo.

                        Comment


                        • Re: Fiqre Se Fiqrah======

                          :lol :D
                          Jo mai likhte hon na us ka na sir hota hai na pair :p
                          haan mager perhny ka mujhy bohaaat shooq hai :)
                          vesy to sabhe shairo ka kalamm best hota hai mager perveen shakir & wasi shah most fav poet hain mery

                          Comment


                          • Re: Fiqre Se Fiqrah======

                            Originally posted by aik_lerki
                            vesy to sabhe shairo ka kalamm best hota hai mager perveen shakir & wasi shah most fav poet hain mery
                            aur kon favorit hai aap ka? :phool:
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: Fiqre Se Fiqrah======

                              Originally posted by Masood
                              aur kon favorit hai aap ka? :phool:
                              Favorite to bohat hain..ab sab bata don kiaa ?? :p:wk

                              Comment


                              • Re: Fiqre Se Fiqrah======

                                Originally posted by aik_lerki
                                Favorite to bohat hain..ab sab bata don kiaa ?? :p:wk

                                Nahin "bewakoof" ko ishara hi kaafi hai :lol
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X