Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

    Originally posted by aabi2cool
    aslamo alykum bhai agar aap ki ray mohabbat k bary main yehi jo aap ny tehreer ki to mary khiyal ab mujh ko quran aur sunnat k hawala bayan karny ki zaroorat naheen kiuon k aap moaqaf drusat hy . pata naheen hum logoon ko kaya ho gaya hy hum logon ny har cheez main apni khud sakhta taqseem k tehat rado badal kar liya hua hy khuch yahi moamla mohaabt k sath hy k iss main hum ny mukhtalif kisam ki taqseemat kee hui hain kabhi hum iss ko shadi se pehly ya shadi k bad k maratb main dekhty hain to kabhi hum is ko mardo aur aurat k jinsee taluq k hawaly se dekhty hain. aur mery khyaal main ziyada tar logon ny mard aur urat k jinse talouq ko hi mohabat ka naam de diya hy issi wajha se shadi se pehly aur shadi k bad wali mohabbat ki istlahaat woujood main aai hain . jab k haqeeqte mohabbat k iss koi taluq naheen us ki main aik hi misaal de kar apni baat khatam karoon ga k RABE KAYNAAT APNY BANDON SE BHI MOHABBAT FARMATA HY AUR SAB MUSLAMAAN AHLY AYMAAN KA YE AQEEDA HY K ALLAH PAAK JISAM AUR JISMANIYAAT SE PAAK HY AUR ALLAH KI ZAAT MARDO AUR ORAT HONY SE YANI SINFIYAT SE BHI PAAK HY .ISS K BAWOJUD WO APNY BANDON SE MOHABBAT FARMATA HY LAEHAZA SABIT HUA K MOHABBAT KILIYE SINFIYAT YA JISMANIYAT KI KOI SHART NAHEEN BAQI WALLAH O ALAM...w/slaam aabi
    w.salam, Allah ka shokar hai brother kay aap meri baat samajh gaiy :dua, shadi say pehlay aur baad wali muhabbat ki istelah is wajah say samnay aai kay loog muhabbat kartay haiN, phir shadi kaheeN aur hoti hai to na shohar bivi ka hota hai aur na bivi shohar ki, har koi apnay walay ko ro rha hota hai :kr:
    That's Enough...!!

    Comment


    • #77
      Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

      Originally posted by Masood
      Salaam Mazahir - main bohat dino baad idher aaya hoon. Main aap ki baat ka jawab doon ga magar kuchh waqt baad. Yeh zaroor kehna chahoon ga keh aap ney muhabbat ko jis andaz mein poochha hai woh aik ghalat andaz hai. Khair is per baad mein ...
      ab aa bhi jao , pehlay hee 2,3 jaghooN say mafroor ho, yahaaN to nahee choRonga :phool:, kuch bhool gaiy ho woh yaad dilana hai tumhaiN :fuming:
      That's Enough...!!

      Comment


      • #78
        Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

        Originally posted by ScorpioN_RulzZ
        ab aa bhi jao , pehlay hee 2,3 jaghooN say mafroor ho, yahaaN to nahee choRonga :phool:, kuch bhool gaiy ho woh yaad dilana hai tumhaiN :fuming:
        :lol :lol meri jaan nahin bhoola - tum wait karo bas - yeh bhi pyar ki nishani hai :D
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #79
          Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

          Originally posted by Masood
          :lol :lol meri jaan nahin bhoola - tum wait karo bas - yeh bhi pyar ki nishani hai :D
          ab itna bhi na chaho kay dam nikal jaiy ... :kr:
          bay'fikar rhoo is baar nahee choRnay wala :fuming:
          That's Enough...!!

          Comment


          • #80
            Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

            Originally posted by Me Here
            q is thread tak hi q???:pagal:
            poora Pegham apka hai.......hum sab ka hai
            aisaa nahii kehtee:na:
            main aati hoon to BEHES kerte hain phir
            yeh teri sada dili maar na dalay hum koo ... :tauba
            dar'asl masood say jhagRa chal rhaa hai mera :khi:,
            waiysay tum kahaaN ho dee dee, itnay dinooN say no reply
            That's Enough...!!

            Comment


            • #81
              Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

              Originally posted by ScorpioN_RulzZ
              yeh teri sada dili maar na dalay hum koo ... :tauba
              dar'asl masood say jhagRa chal rhaa hai mera :khi:,
              waiysay tum kahaaN ho dee dee, itnay dinooN say no reply
              :tauba :tauba
              ooops accha..... main samjhii gaii ap:kr:
              bus thoori upset thi or abhi me k papers start ho gai hain:( to do PRAY 4 ur DEE DEE......per i'll b intouch :insha:
              CARRY ON

              Comment


              • #82
                Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

                Meri Jaan ab main hazir hoon apney jawab key saath.



                Dekho jani - Allah Tala ney jab kainaat tashkeel di aur insaan pedah kiya to uskey saath hi aik aisa ehsaas bhi diya jo Aadam ko bechain rakhney laga. Woh kya ehsaas tha? Yeh to khud Aadam ko bhi maloom nahin tha. Lekin koi bechaini thi. Us bechaini ko Allah Rab-ul-Izzzat ney jaan liya tha aur usi bechaini ko khatam karney key liye Hawa ki tashkeel hui. Hawa ko dekh ker Aadam ka jo pehla reaction tha woh wohi tha jissey ham tajasus kehtey hain. Woh tajasus istifsaar mein badla to Aadam ko maloom huwa keh unhein jis ki kami thi Hawa woh roop hai. Is tajasus ney Aadam key ander chhupey huwey us fitri jazbey ko bedar kiya jissey ham muhabbat kehtey hain. Aadam ney Hawa ko hath lagana chaha to wahan per Allah Rab-ul-Izzat ka farman huwa keh "aey Aadam nikah sey pehley aurat ki sohbat haram hai". Isi liye nikah farz qrar paya. To is lehaaz sey ham yeh kah saktey hain keh Islami rooh sey shadi sey pehley pyar muhabbat ki soch nahin honi chahiye - lekin MUHABBAT KI HAQEEQAT KO ISLAM NEY RADD NAHIN KIYA - this is a very important point to be noted! Yeh jazbah fitri hai aur aurat ki tashkeel sey pehley hi mard key dil mein mojood tha, jo usey muztarib rakhta tha. Yaad rakhein keh us waqt kisi maan ki, kisi baap ki, kisi aulad ki muhabbat ka tasawwar nahin tha - balkeh sab sey pehla ehsaas aik mard ko aik aurat ka tha. Lehaza muhabbat azli hai. Islam hamein uska tareeqa-e-kaar pesh karta hai.



                Lekin!



                Waqt badi tezi sey badla hai. Aur badalta jaa raha hai. Aaj ham aik aisey door mein hain jahan per almost everything is open. Jab aap co-educatoin mein parho gey, jab aap larkiyon aur larkon mein tafreeq nahin rakho gey, jahan mard-o-zan aik saath rahein gey to wahan per kisi na kisi baat kisi na kisi ko achhi lagti hai aur jab koi insaan dil mein jagah ley leta hai uskey liye jazbaat ka pedah ho jana aik fitri amal hai. Jab yeh jazbaat pedah ho jatey hain to wahan per muhabbat janam ley leti hai. Kuchh merey jaisey is muhabbat mein griftar ho jatey hain, aur kuchh aap jaisey apney aap ko door rakhtey hain.



                Aap ney jo sawal uthaya hai uskey tehat jawab yehi hai keh Nahin shadi sey pehley muhabbat key jazbey per control rakhna chahiye lekin muhabbat key jazbey sey inkar fitrat sey inkar hai!
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #83
                  Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

                  Originally posted by ScorpioN_RulzZ
                  :)
                  Mohabbat ... ka wajood hi nahen... jis ko gender relation ya shadi relation se akhaz kar sako... its just.. habit... kisi ke aas paas rehney yaa baat cheet kerney ki aadat... i dont like ne-of ur choice so wont.. vote.. hehe ...
                  jisey naam de diya hai dunya walon ne mohabbat ka AADAT ki aik kissam hai ... khud ko khudi tension dena = love laphrra
                  sab ko takaleef se do-chaar= love laphrra
                  shaadi = just a relation to bear to get kids... to promote generations..
                  nothing else... thats it from my side... :D
                  its bitter... but woteva... its my way to think... :khi::lpop:
                  Visit My Early PS Work
                  You Are Welcome To Comment

                  Comment


                  • #84
                    Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

                    Originally posted by Me Here
                    :tauba :tauba
                    ooops accha..... main samjhii gaii ap:kr:
                    bus thoori upset thi or abhi me k papers start ho gai hain:( to do PRAY 4 ur DEE DEE......per i'll b intouch :insha:
                    CARRY ON
                    mujhay upset loog bohot buray lagtay hain :fuming:, isleay upset na howa karo , imtehan..:tasali:, Allah aap ko zindgee kay har imtehan main kamiyab karay...Ameen
                    That's Enough...!!

                    Comment


                    • #85
                      Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

                      Originally posted by Masood
                      Yaad rakhein keh us waqt kisi maan ki, kisi baap ki, kisi aulad ki muhabbat ka tasawwar nahin tha - balkeh sab sey pehla ehsaas aik mard ko aik aurat ka tha.
                      kuch na thaa... na chand taray na kehkashaaN, na jin o malak na no-e-bashar, phir os nay takhliq kia apnay mehbob ka noor, aur phir osay daikhta rhaa, yakayak pocha bata maiN kaun hooN... noor-e-mehbob nay khaliq ka jah o jalal daikha to zuban arsh-e-dehen say ja Takrai aur awaz aai (Al) phir noor-e-mehbob nay sifat-e-rehman o raheem par nazar ki to chain o skoon mila aur zuban-e-mubarak farsh-e-dehen par aagiri aur awaz aai (lah).. to phir khaliq nay kaha, mery mehbob teri zuban say ada honay walay pehlay lafz ko maiN btoor naam qabool karta hooN....
                      sab say pehla aihsas aik mard o aurat ka nahee thaa....!!
                      That's Enough...!!

                      Comment


                      • #86
                        Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

                        Originally posted by Masood
                        Yeh jazbah fitri hai aur aurat ki tashkeel sey pehley hi mard key dil mein mojood tha,
                        Dil kay behlanay ko ghalib yeh khayal acha hai .. :lol,
                        is fitri jazba kay ta'eed deen-e-fitrat kis tarhaan karta hai ???
                        That's Enough...!!

                        Comment


                        • #87
                          Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

                          Originally posted by Masood
                          Kuchh merey jaisey is muhabbat mein griftar ho jatey hain, aur kuchh aap jaisey apney aap ko door rakhtey hain.
                          kitni baar hotay hain yeh bhi to batao naa :lol, aur giraftar honay kay baad jail kion nahee jatay, hathkaRiyaaN kioN pehnay rehtay hain :mm:
                          That's Enough...!!

                          Comment


                          • #88
                            Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

                            Originally posted by Masood
                            Aap ney jo sawal uthaya hai uskey tehat jawab yehi hai keh Nahin shadi sey pehley muhabbat key jazbey per control rakhna chahiye lekin muhabbat key jazbey sey inkar fitrat sey inkar hai!
                            ab aaiy na line par :lol, agar shadi say pehlay control nahee hota hai tab bhi no problem, laikin insaan kay bachooN ki tarhaan waldain bhaij kar rishta mangna chaheay ya ....................
                            inkar muhabbat kay jazbay say nahee "tareeqa-e-kaar" say hai...!! agar koi pasand hai to just simple os say shadi karo na kay "muhabbat" kartay phiro ....
                            That's Enough...!!

                            Comment


                            • #89
                              Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

                              Originally posted by ScorpioN_RulzZ
                              sab say pehla aihsas aik mard o aurat ka nahee thaa....!!
                              :a stick: meri jaan yahan per baat MABOOD aur ABD ki nahin ho rahi balkey baat aik MARD aur AURAT key ehsaas ki ho rahi hai.

                              Main ney bhi aisa hi parha hai keh kisi bhi tassawwur sey pehley Rab-ul-Aalmeen ney Noor-e-Kainaat-e-Mehboob SAW pedah kiya tha - chalein aap is baat ko bhi ley ljiye. Nabi Kareem SAW ko SHAH-e-LOLAK kaha jata hai, keh Allah Tala farmatey hain keh aey Muhammad SAW agar tumhein bnana maqsood na hota to main kuchh na bnata. Kya yeh muhabbat ki aik misaal nahin????? Yeh Muhabbat hai MABOOD ki apney bandey sey jo muhabbat ki sab sey buland-o-bala darja hai.

                              Is hawaley ko bhi agar bghaur dekha jaey to ham yehi kahein gey is sari kainaat, chand sitarey har rooh ki pedash key peechey muhabbat hi ka jazbah hai. Muhabbat key apney bohat sarey mukhtalif darjey hain. Allah ki muhabbat woh jazbah nahin jo aik mard ki aik aurat key liye hai - lekin muhabbat muhabbat hai jo aik haqeeqat hai.
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • #90
                                Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

                                Originally posted by ScorpioN_RulzZ
                                Dil kay behlanay ko ghalib yeh khayal acha hai .. :lol,
                                is fitri jazba kay ta'eed deen-e-fitrat kis tarhaan karta hai ???
                                Jab insaan ka dil aur dimagh kisi baat ko qabool nahin karta to uskey gird aik hisaar bna leta hai. Us hisaar ko torrta nahin aur jab dil per aik pardah daal liya jaey to woh dil kuchh qabool nahin karta - yeh baat mehaz baat ko tool deney wali hai.
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X