Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

    :)
    Attached Files
    12
    Shadi Say Pehlay
    0.00%
    0
    Shadi kay Baad
    75.00%
    9
    Pata Nahee
    25.00%
    3
    That's Enough...!!

  • #2
    Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

    hmmmmmmmmmmmm....
    Muhabbat ek beikhtiyar jazba hai...
    aur Insaan ke jazbat hi uski manzil ka taaiun kerte hai...
    jazbon ke aage har jana bauhat assan hai...
    mager jazbon ko hara dena bauhat muskil...
    Lakeen is muskil mein raahat hai bande ka aitbaar khud per qayam rehta hai...
    Shaadi compromizzzz nahi...
    Compromiz insaan karta hai...
    khud se apne halat se..
    jub woh thakne lagta hai dil aur dimag ki jang ke darmiyaan tu khud ko tassali dene ke liye Compromiz is lafz ka istemal karta hai...
    aur kuch nahi....

    Comment

    • #3
      Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

      Originally posted by ummid

      aap nay itni aasan baat itni ghuma kar batadii :lol, nasir kazmi ka shair hai,,, apni dhun main rehtay hoo,,,
      tum bhi mery jaisay hoo...
      thanks 4 reply :thmbup:
      That's Enough...!!

      Comment

      • #4
        Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

        Originally posted by ScorpioN_RulzZ
        aap nay itni aasan baat itni ghuma kar batadii :lol, nasir kazmi ka shair hai,,, apni dhun main rehtay hoo,,,
        tum bhi mery jaisay hoo...
        thanks 4 reply :thmbup:
        Kuch baatein ghuma ker kahi jaye tub hi logon ko sumjh aati hai...:)
        Aap or hum apni dhun mein rehte hai...
        lakeen dosre tu nahi na...
        yeh un logon ke liye hai jo her baat mein reason talash kartee hai....

        Comment

        • #5
          Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

          Muhabbat aik fitri amal hi hai ...ab banda sooch samajh kay to muhabbat nahi karta , jo soouch samajh kay hoti hai woh muhabbat nahi kuch or hoti hai hehehe...muhabbat to bas hoo hi jati hai .....
          zindagi main to aksar jaghoun pay banday ko compromise karna parta hai ...har cheez zindagi main apni pasand ki to nahi milti na...ab shadi main bhi hoo jaye to koon si nai baat hai ....
          husband wife ki kahaye main shadi say pehlay kisi or say muhababat karta tha to biwi pher bhi us say samjhoota kar laiti hai .......
          lekan biwi keh day apnay husband say main shadi say pehlay kisi or ko pasand karti the , husband sari zindagi us ki is baat ko bhool nahi paye ga....usay choornay pay bhi amada hoo jaye ga .......is ka matlab aurtian hi zaida samjhoota karten hain mardoun ki nisbat ?

          aisa bhi to hoo sakta hai jo shadi say pehlay the woh muhabbat na hoo sirf doosti hoo , bas koi banda aisay hi acha lag jaye ......
          Last edited by .; 30 March 2006, 17:08.
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment

          • #6
            Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

            Originally posted by Aanchal
            banda sooch samajh kay to muhabbat nahi karta
            to phir yeh baywaqofi hoi naa, fitri baywaqofi :lol
            That's Enough...!!

            Comment

            • #7
              Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

              Originally posted by ScorpioN_RulzZ
              to phir yeh baywaqofi hoi naa, fitri baywaqofi :lol
              is leye to kehtay hain Muhabbat andhi hoti hain :p
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment

              • #8
                Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

                Originally posted by Aanchal
                husband wife ki kahaye main shadi say pehlay kisi or say muhababat karta tha to biwi pher bhi us say samjhoota kar laiti hai .......

                samjhota he karti hai naa... piyar to nahee, zahir hai jab aitbar khatam hojaiy to samjhota he rehjata hai... phir woh shadi sirf samjhotay kay saharay chalti rehti hai jab tak chalna hoo, aur phir ... wo he hota hai jo aajkal ka fashion hai
                That's Enough...!!

                Comment

                • #9
                  Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

                  Originally posted by ScorpioN_RulzZ
                  samjhota he karti hai naa... piyar to nahee, zahir hai jab aitbar khatam hojaiy to samjhota he rehjata hai... phir woh shadi sirf samjhotay kay saharay chalti rehti hai jab tak chalna hoo, aur phir ... wo he hota hai jo aajkal ka fashion hai
                  han hoti to samjhoota hain aisai shadian .....lekan hoo sakta hai pher yeh samjhoota muhabbat main badal jaye kayoukay muhabbat to andhi hoti hai na :lol
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment

                  • #10
                    Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

                    Walikum Assalam!

                    Mujhko ye bhi samajh nahi a raha k vote kisko doon:p
                    Can any1 help me k kisko vote doon?:p

                    Boring topic nahii hai bhai
                    Thx 4 sharing
                    KHUSH RAHIYYE!:salam:

                    Comment

                    • #11
                      Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

                      opar walay quote say mujhay yeh samajh aata hai kay, Muhabbat aik ghalti hoti hai jo jan bojh kar nahee hotee :khi:, 2nd jab koi cheez achi lagay hmmm:mm:, yani aisi muhabbat sirf achi sorat say hoti hai, achay khayalat say nahee. waysay aik baat bataiN, agar aap ki baat saheh hai to baaz oqat film main 4 larkooN ka group hota hai aur isi tarhaan larkiooN ka bhi, ab zahir si baat hai kay hero heroin he ziadah achii cheez hotay haiN :khi:, to phir hero kay dostooN ko heroin par aur heroin ki friends ko hero par piyar kioN nahee aata :cc:
                      That's Enough...!!

                      Comment

                      • #12

                        SHAKAL???????
                        kise ki inner feelings se bhi apko mohabbat hoo sakti hai....shakal soorat to count hi nahi hooni chahiye
                        per kise ki acchi approach,acche khiyalat se bhi to mohabbat ho sakti hai....or wo mohabbat bhi to sooche samjhe begher hi hooti hai......ab insaan ye to nahi soochta k mujhko is se mohabbat kerni hai per yuunhi kise k khiyalat/nature acchi lagne lagti hai or mohabbat ho jati hai....

                        got me?:pagal:

                        Comment

                        • #13
                          Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

                          Originally posted by Me Here
                          mohabat esa jazba hay key her acchey insan , plus peary sey janwar ko dehktay bi ho jata hay .
                          yeh wo naeen jis ko filmoon main uchala jata hay key shadi sey pehlay ki mohabat ya shadi key baad ki mohabaat.

                          yeh sirf talab hoti hay . her insan key ander jo chota sa bacha chuppa hota hay , jo khobsorat khilona dehktay hi , zid ker ker key walden sey lenay ki kohish kerta hay , same yahi adat us ki barey ho ker hoti hay

                          shadi sey pehlay ki mohabat sirf attraction hoti hay against opposite sex
                          and nothing else.
                          her acchi personality , zaheen person ko dehk ker dosray key dil main us key liya pasandedgi ka jazba peda ho jata hay.
                          its natural.

                          lakin hamara media us pasandedgi ko ghalat side per hmm ko dal deta hay

                          is ka simple sa hal islam nay dia hay

                          early age main shadi , means key teanage hi main insan ki shadi ho jani chayeh
                          pir wo na to shadi sey pehlay ya baad ki mohabat ko sochay ga and na hi
                          is fazool cheeze main apna time zaya karey ga.

                          us ka zehan sirf o sirf +ve direction main kaam keray ga

                          lakin hmm nay her kam ulta kia hoa hay , ik late shadi , pir pehly ki mohbat and baad ki mohabat
                          People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                          Comment

                          • #14
                            Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

                            Originally posted by Me Here
                            per kise ki acchi approach,acche khiyalat se bhi to mohabbat ho sakti hai....or wo mohabbat bhi to sooche samjhe begher hi hooti hai.....
                            aisi muhabbat bohat say logooN say hosakti hai, jab kay waisi (aisi waisi :khi:) muhabbat aik say he hoti hai, jahaan tak maiN nay suna hai :blush:, aur aisi waisi muhabbat main khayalat baad maiN sun'nay jatay haiN pehlay shakal he daikhi jati hai .. :tauba
                            That's Enough...!!

                            Comment

                            • #15
                              Re: Piyar, Ishq aur Muhabbat ...!!

                              Originally posted by filbahere
                              mohabat esa jazba hay key her acchey insan , plus peary sey janwar ko dehktay bi ho jata hay .
                              yeh wo naeen jis ko filmoon main uchala jata hay key shadi sey pehlay ki mohabat ya shadi key baad ki mohabaat.

                              yeh sirf talab hoti hay . her insan key ander jo chota sa bacha chuppa hota hay , jo khobsorat khilona dehktay hi,
                              shadi sey pehlay ki mohabat sirf attraction hoti hay,
                              her acchi personality , zaheen person ko dehk ker dosray key dil main us key liya pasandedgi ka jazba peda ho jata hay.
                              its natural.

                              is ka simple sa hal islam nay dia hay

                              bilkul theek :thmbup:, aap nay islam ka hawala dia, to aik aur simple si baat hai jab dil kisi cheez ko chah rhaa hoo aur islam os ki ijazat na dayta hoo to phir wo islam ka tazkira he nahee karta, warna to sab he ko islam say muhabbat hai, ya kam az kam dawa zaror hai.... and shadi say pehlay ki mohabbat sirf attraction hoti hai i agree with u... muhabbat janwar say bhi hosakti hai, laikin woh muhabbat jo sirf attraction ho, wo waqai bachpana hota hai..
                              That's Enough...!!

                              Comment

                              Working...
                              X