Re: KhilaFat...??
... mazeed main is ziman mein yeh kehna chahta hoon keh khilafaq ka ijraa itnihaii mushkil hai, kyunkeh jo halaat hamarey musalmano key hain, us mein aisa nazar nahin aata... aisey mein merey nazdeek Pakistan jaisey mulk key liyey dictatorship hi achhi hai kyun???
Sab sey barri wajah yeh hai keh Pakistan qaum mein na'khawandgi hai, is qaum ki zehni halaat aik kam'sin bachey ki tarha hai jissey lollypop (ROTI KAPRA MAKAN) sey aagey ki fiker nahin!!! Agar 1940 key HITLER ki tarha ka dictator mil jaey to meri choice woh ho ga bjaey aaj kal ki jamhooriyat key!!!
Ham log Internet per beth ker aasani sey yeh drust yeh ghalt, aisa hona chahiyey waisa hona chahiye - farma detey hain, magar haqeeqat kya hai? Yeh us waqt patah chalta hai, jab aap LOGON KEY BEECH jaatey ho aur LOG sirf woh nahin jo aap key halqey mein. Jab main Pakistan sey wapis aaya tha to main ney almost sara punjab ghoom ker dekha tha - mujhey har bandey ki zuban per aik hi baat nazar aaii - hamein roti kamaney sey fursat nahin, ham kya karein?
Yeh intihaii afsos'kun baat hai keh Pakistani qaum DANDEY ki zuban samajhney wali qaum hai - aazadi ka mafhoom ham nahin jantey, privatesation zakhera'khozi ko janam deti hai aur yehi aaj kal ho raha hai aisey mein "danda peer hai bigrrey bigrron ka" hi chaley ga!
Originally posted by MSA
View Post

Comment