Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

KhilaFat...??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: KhilaFat...??

    Originally posted by aabi2cool View Post
    اسلام علیکم مسعود بھائی
    Wa salaam

    Doon ga jawab magar abhi dil udaas hai :)
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #17
      Re: KhilaFat...??

      Originally posted by Masood View Post
      Wa salaam

      Doon ga jawab magar abhi dil udaas hai :)
      kaheen aap ka jawab parh kar hameen bukhar hi na char jay aur uon hum udaas hojaien kahir mazaq bartaraf mujhy intizaar rahay ga . . . :salam:
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment

      • #18
        Re: KhilaFat...??

        Originally posted by Masood View Post
        Mazahir ki har baat sey itfaq karna zaroori hai? :)
        Mazahir ko is chez say farq bhi nahe paRta :rose
        That's Enough...!!

        Comment

        • #19
          Re: KhilaFat...??

          Mein Scorpion RulzZ aur Masood Uncil ki is baat se sehmat ho k abb 1400 saal pehle wali khilafat ka raij hona posible nahi....is k lie app 2no ne jo hal bataya k sub apne apne firko me se aik head chun le phir sub is ki peervi kurein aur jo nahi krta wo haq pe nahi....is se mein ne aik sawal pochna he....kia app 2no ko nahi lugta is se maslae aur berh jaeinge??...sub apni apni masjidein bana k beth jaein ge....yani k itne ziada firke ho jae ge k wo aur masle khare kur dein...jasie for instance sunni'o me bhi buhat se groups he...hur group apna alug masjid bana k beth jae ga....aik group kahe ga jehad farz hogaya aik nahi kahe ga...aik bole ga mulk ka qanoon ki falan condition drust nahi aik bole ga sahi he....mutlub aik state k under itne groups hojay ge to yeh to aur problem create kur de ga...haan yeh us waqt possible hota jub app aik state me bound na hote....independent hote...app solely responsible hote apne action k...abhi to app k mulk pe asur per raha ho ga na:donno:

          isn't it??

          phir mera aik sawal MASOOD uncil se bhi he ....
          app ne kaha k na jamhoriat achi he na dictatorship...to phir acha kia he...:donno:....kaise chale ga koi mulk....me app se phir hal pocho ga app ne phir koi ajeeb sa reply kur dena he....lekin app khud batein HAL kia he....app ne abhi GS me aik thread lagaya LAGA REH...us me aik line he "kuch nahi sub kuch Allah pe chor do"....mere nazdeek to yahi HAL he + apne amaal achay kurna....APP K NAZDEEK HAL KIA HE?? KON SA POLITICAL SYSTEM ACHA HE...??....

          Originally posted by aabi2cool View Post
          اسلام علیکم مسعود بھائی !
          اصل موضوع سے زرا ہٹ کر آپ کے اٹھائے گئے چند نکات پر براہ راست کچھ سوالات میرے ذہن میں آئے ہیں امید ہے آپ ان کا جواب ضرور مرحمت فرمائیں گے ۔ ۔ ۔
          Asul mozo pe to batein....
          Khiafat possible he???
          Last edited by MeemSheenAlif; 25 November 2009, 22:30.

          Comment

          • #20
            Re: KhilaFat...??

            Originally posted by MSA View Post
            kia app 2no ko nahi lugta is se maslae aur berh jaeinge??...sub apni apni masjidein bana k beth jaein ge
            abhi kia sab aik masjid maiN hotay haiN :think:
            That's Enough...!!

            Comment

            • #21
              Re: KhilaFat...??

              Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
              abhi kia sab aik masjid maiN hotay haiN :think:
              jaise aik 10 bundo k group me se 4 ko ikhtilaf hua ....to wo 4 alug grp bana k beth gae...:think:

              Comment

              • #22
                Re: KhilaFat...??

                Originally posted by MSA View Post
                jaise aik 10 bundo k group me se 4 ko ikhtilaf hua ....to wo 4 alug grp bana k beth gae...:think:
                example?? kisi aik group maiN say kuch loog alag kaisay ho saktay haiN? koi misaal kay aisa howa ho? ya kis terha aisa mumkin hai?
                That's Enough...!!

                Comment

                • #23
                  Re: KhilaFat...??

                  Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                  example?? kisi aik group maiN say kuch loog alag kaisay ho saktay haiN? koi misaal kay aisa howa ho? ya kis terha aisa mumkin hai?
                  general example he....jaise sunio me bhi groups he...namaz perhne ka tareeka alug he...koi fateha kurta he koi nahi kurta...koi music halal kehta he koi haram ... hur shaks ki koshish hoti he k wo aisa islaam extract kure jo us k action ko support kure....to wo alug group bana leta he....

                  Comment

                  • #24
                    Re: KhilaFat...??

                    Originally posted by MSA View Post
                    general example he....jaise sunio me bhi groups he...namaz perhne ka tareeka alug he...koi fateha kurta he koi nahi kurta...koi music halal kehta he koi haram ... hur shaks ki koshish hoti he k wo aisa islaam extract kure jo us k action ko support kure....to wo alug group bana leta he....
                    372-shed

                    yeh saray groups sirf pakistan maiN nahe haiN, yeh muamla aalmi satah par hai, isi leay kaha kay in saray groups jesay "Hanfi, Shafai, Hambli, Malki, Salafi, Tashaiyo, jitnay bhi haiN maslak kay hisab say he apna aik rehnuma muntakhib karlaiN phir un ki sho'ra bana di jaiy. tum yeh sabit karo kay filhaal jo groups haiN woh aik rehnuma muntakhib kartay howay kaisay inteshar ka shikar hongaiy, jesay aihl-e-sunnat maiN brailvi aur deobandi haiN to tum yeh batao kay in maiN say aik jesay Brailvi hazraat woh tamam afraad jo is maktab-e-fikar say tal'luq rakhtay haiN kia aik rehnuma muntakhib nahe kar saktay? woh tamam afrad jin ki souch aik hai, amal aik hai Rehnuma aik nahe ho sakta?
                    That's Enough...!!

                    Comment

                    • #25

                      zaroori nhai k jo iktilaf ho wo religious grounds pe ho....personal reasons bhi ho sakte he...jaise last eid pe ya hur eid pe chand ka masla hota he...koi religious difference to nahi nazar ata....aapus me iktilaf paida kurne ho to aik choti se baat bhi kur saakti he...iqtidar ki lalach...power ki...hur bunda chahe ga k wo lead kure...

                      aisa nahi he kia:donno:

                      Comment

                      • #26

                        aisa he hai to phir kia hal hai is ka
                        That's Enough...!!

                        Comment

                        • #27
                          Re: KhilaFat...??

                          :haey:
                          Attached Files
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #28
                            Re: KhilaFat...??

                            2
                            Attached Files
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            • #29
                              Re: KhilaFat...??

                              FInal
                              Attached Files
                              Last edited by Masood; 29 November 2009, 03:07. Reason: Wrong Image
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              • #30
                                Re: KhilaFat...??

                                Originally posted by MSA View Post
                                app ne kaha k na jamhoriat achi he na dictatorship...to phir acha kia he.......kaise chale ga koi mulk....me app se phir hal pocho ga app ne phir koi ajeeb sa reply kur dena he....lekin app khud batein HAL kia he....app ne abhi GS me aik thread lagaya LAGA REH...us me aik line he "kuch nahi sub kuch Allah pe chor do"....mere nazdeek to yahi HAL he + apne amaal achay kurna....APP K NAZDEEK HAL KIA HE?? KON SA POLITICAL SYSTEM ACHA HE...??....
                                Merey nazdeek jo system achha hai uska tazakra Aabi bhai ko diyey gaey jawab mein dekhiyey..

                                Aap ko hal kis baat ka chahiyey? Apney mulk ka ya ahl-e-Islam ka? Kyunkeh agar aap ko faqat apney mulk ka hal chahiyey to woh khooni inqilaab mein hai jiska aaghaz ho chuka hai. Yeh chingari khirman mein jal chuki hai ab dekhiyey keh yeh kya kuchh jalati hai...

                                Pakistan ka hal chahney sey pehley aap yeh to jaan lein keh Pakistan ki sab sey barri beemari kya hai??????? Bhook, Ghurbat, Aflaas, Na'khawandgi in mein sey koi bhi Pakistan ka asal masla nahin. Pakistan ka asal masla Sarmaya'darana nizaam hai jisney mulk ki jarron ko khokhla kar diya hai aur ab is intizar mein hai keh yeh boota kab jarr sey ukharta hai. Woh sarmaya'dar jo Zardari, Shareef Khandan, Chaudhry Khandan waghera key roop mein Pakistan mein mojood hain - inka sar'qalam karna bohat zaroori hai. Jab tak aap apney mulk sey sarmaya'darana nizaam khatam nahin kartey, aap is mulk ko drust nahin kar saktey.

                                Aik situation apney zehan mein laaiyey:

                                Pakistan ko tashkeel paaey 63 saal ho chukey hain, hisaab mein aasani key liyey ham issey 60 kar letey hain....

                                60 salon mein 21900 din hotey hain (365 key hisaab sey).

                                Ab aap sochein keh aap ney aik deewar bnani hai, aur aap har roz aik eent deewar mein daaltey hain to 21900 din mein aap ney 21900 eentein deewar mein lagaii hain.

                                Ab agar ham yeh bhi maan lein keh Pakistan mein hamesha ghalt kaam nahin huwey, achhey kaam bhi huwey hain aur ham yeh bhi tasawwur kar lein keh 60 mein sey 20 (!!!) saal aisey they jahan Pakistan aik jannat tha :) to is hisaab sey 7300 eentein banti hain....

                                Ab aap khud soch lijiye - agar (21900 - 7300) = 14600 eentein ghalt lagaii gaii hain to aap kya kya drust karein gey??? Agar aap is deewar ko drust karna chahein gey to yeh toot phoot jaey gi magar drust nahin ho gi...

                                To hal yeh hai keh 21900 dino ki qurbani deni ho gi aur is deewar ko girana ho ga, KHOONI INQILAAB, aur aik naii deewar ki buniyaad rakhna ho gi, yehi hal hai Pakistan ka....

                                Aur agar ham nahin chahtey to LAGA REH :dance5:
                                Last edited by Masood; 29 November 2009, 03:33.
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X