Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Apka Khiyaal About Co-Education?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • MUBAHISA: Apka Khiyaal About Co-Education?

    assalamalikum

    app mulk main makhloot taleemi nizam (co education)kay haq main hain ya us ki mukhalafat kartay hain ??
    agar favour main haian to kayoun ? agar against main hain tab bhi kayoun ? :lol aap apni raye dejeye kay is system main kia achaian or kia booraian hain ???
    is say taleemi nizaam pay kitna farq parta hai..?

    har member ko apnaye raye deenay ka haq hai laiken kisi doosray ko apni baat manwanay pay majboor mat kejey :rose
    no larai jhugra :na:
    behas to is taraha kay topics pay hoo hi jati hai bas "ilmi behas" hoo jiss say kuch seekh sakain :rose

    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

    asslmaualikum

    Anchal aap ney buhat hi acha topic shuru kiya hai

    hamarey haan logoon ney co education ko bhuat bara masla bana liya hai aur un ke khayal mein is ka wajood hi sirey se ghalat hai magar merey khayal mein aisa nahin hai.

    CO EDUCATION ITNI BHI BURI CHEEZ NAHIN JITNA LOGOON NEY BAN DIYA HAI

    logoon ka man'na yeh hai ke co education se mahool kharab hota hai aur galz n boyz ko azaadi di jaati hai jis ka wo ghalat istemaal kartey hain

    mein yeh tu nahin kahun gi ke coeducation 100% theek hai magar is mein koi khas burai nahin

    coeducation mein students ke beech zayda competition hota hai jo ke buhat positive hai for a student
    there shud be very tuff competition between students

    aur jahan tak baat hai mahool bigarney ki tu mera man'na yeh ke mahool insaan khud banata hai aur yhe khud hum pe depend karta hai ke hum kitna asar letey hain apni surroundings ka

    so mujhey is mein koi khas burai nazr nahin aata

    Comment

    • #3
      Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

      umm mery khalya ma to co edcation ma koi burae nahe hai
      aaj kal mostly loog makhloot taleem ko bura samajhty hain.un ky zehno main yahe hai ky vaha perhae kam aur dosre sergermia zada hote hai ..aur kafi hud tak yay bat sahe bhe hai.bohat sy students ki herkato ki vaja sy logo ky zehno ma yay baat aa gae hai ky co education ka mahool kharab hota hai.
      mager mery khayal ma aap khud sahe ho to phir sab sahe he rehtyy hain .matlab ky her cheez ky acha aur bura pehlo dono hooty hain to ager ager aap apny aap say sincere hain aur apni studies say bhe to it makes no difference ky aap co education ma perhy ya nahe..aap ko apne perhae sy concern hona chaiyay
      so mery khayal ma co education ma perhny mai koi burae nahe hai

      Comment

      • #4
        Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

        kabhi is baarey mey socha hi nahi
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #5
          Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

          JahaN tak apni experience hai to maiN sirf VII tak hi convent co ed meiN paRh paya. Apni life meiN 3 years Delhi Public School (Co Ed.) meiN teaching bhi kiya, Co education ki baat hi kuchh aur hai. Aaj duniya ke har mulkoN meiN co ed hai, agar nahiN hai to mullaoN ke bol baala wale aur orthodox khyalat wale region meiN. Ek taraf to laRkiyoN aur aurtoN ko barabar ka darja dene ki baat kar rahe haiN, to dusri taraf co ed ka muKhalafat, yeh muKhalaft kyoN...?

          Brainheater thik farma rahi hai co ed buri chiz nahiN jitna logoN ne hawa de diya.

          Co ed ke fayede zyadah haiN, students meiN hesitation nahiN hoti, competition ka mahol hota hai, students ek dusre se muqable ke liye jan.ne ki koshish karte haiN, aur comparatively dekha jaye to unn boys school, ya girls school wale student ki tarah co ed wale students dull nahiN hote.

          Co ed meiN taalim advanced aur technically tariqe se diya jata hai, agar koi student dull hai, weak hai, mentally abnormal hai to uss per special dhyan diya jata hai. Yeh boys school/girls school meiN nahiN...paRhna hai to paRho nahiN to

          Co ed meiN taalim haasil karne wale students ke parents bhi alert rahte haiN.

          Co ed ke teachers bhi brilliant, advanced, punctual, aur refreshed hote haiN.

          Actually co education schools run by Public not government. Iss liye public, (parents) teachers and students ka communication bana rahta hai.

          aur bhi bahut saare points...filhaal itna hi

          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

          Comment

          • #6
            Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

            MAloom nahi mughay abhi
            http://www.genericviagra2015shop.com/

            Comment

            • #7
              Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

              Originally posted by Spy009

              this is 101% rite mein ney bhi co ed se parha hai aur teaching ki hai
              aur bilkul aisa hi paaya hai mein ney wahan

              Comment

              • #8
                Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

                thanxxx jinhoun nay reply kia :rose

                coeducation ki jo loog mukhalafat kartay hain woh kehtay hain kay male or female aik institute main na parhain hamara mooasharay main is say bigaar paida hota hai waghera waghera .....acha to mera yeh sawal hai jo ghar say bahir app jahan bhi jaaoo app ka wasta male say par hi jata hai mostly gharoun main aaj bhi doodh deenay wala ata hai woh male hi hota hai, sabzi leenay jaoo male, shopping karnay jaoo male ....ab har jaga mali hi male say wasta parta hai to pher coeducation main is cheez ki mukhalafat kayoun ?
                han coeducation agar nahi sahi to pher aisa kia jaye gay dunia kay saray male or female ko alag alag dunia main basa dia jaye na aik field main houn gay or na hi baat karain gay :lol na rehaye ga baans na bajaye gee bansari
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment

                • #9
                  Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

                  Asslam O Alaikum,
                  A very important discussion, i must say , Anchal bohat acha point samney lai Co-Education main bachon ko isi liye nahi parhaya jata hai kyun kai larkey larkian ikhatey parhein gai aur baat cheet kerein gai yeh woh , aisa nahi hona chayeh merey nazdeek agar apni zaat theek hai to bakee sab theek agar apni zaat hii kharab hai toh bakee sab bhi kharab hee kharab hai , Insaan ka apna aap theek hona chayeh bas , co-Education main parhney kai faidey kitney hein yeh shayad kabhi kisi nai socha nahi, how much confidence one can gain through that , a normal person can understand each other's phsycology its all the same , its just the way one thinks , a narrow minded thinking is like we shouldnt send any one in Co-Education , its totaly wrong i am not at all agreed,
                  Agar is par aetraz hai toh main bhi Anchal ki baat ko samney rakhon ga kai duniya kai do hisey ker do yaa phir mulk kai do hisey ker do aik hisey main auratein aur doojey main mard n no one can cross the boundries aur haan aik baat toh bhool gya Family walon ka hisa alag ker dien i guess with in the family to kuch nahi ho ga :)

                  Anchal topic acha tha umeed hai mazeed achey achey topics laey ker ao gi be blessed :rose

                  Waslam

                  Comment

                  • #10
                    Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

                    Assalaam o alekum,

                    Dostoon is topic ko dekhaa aur perhaa topic waqaee bahoot umdeh hai , main yehaan sirf itnaa kahoongaa ke main co education yaa kisi baat ki khilafat nahin ker rahaa sirf khayalaat bata rahaa ke aaj ke daur mien hi co education ki itni zaroorat kyoon aan pari ??? aaj se 15/20 saal yaa usse bhi zeyaada pehley co education ki itni demand kyoon nahin thi ??? kya uss waqt auratien perhnaa nahin chaahati thi yaa unhien perhnien kaa mauqa nahin diyaa jataaa thaa ???? uss daur mien bhi ek se ek alim larkiyaan paida huee aur unhoonien perhaa bhi bahoot naam raushan kiyaa unhoonien , to main to yehi kahoongaa ke co education mein hi perhaanaa zaroori nahin perhnien walaa kahin bhi perh ker ilm haansil ker sakta hai , humaarey muashrey mien co education se iss liye perhez kiyaa jaataa hai hai ke islam mien be pardagi ki sakht mumaaniyat hai aur mujhe bhi yehi wajeh samajh aati hai
                    ager islamic poin of view se dekhien to co education sahi nahin haan duniyaavi point of view se no problem :)
                    Last edited by khurram_shaikh; 12 May 2005, 12:50.
                    :tang: RISK IS MY BUSINESS

                    DANGER IS MY GAME

                    DONT PLAY WITH ME
                    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                    Comment

                    • #11
                      Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

                      Originally posted by khurram_shaikh
                      Assalaam o alekum,

                      Dostoon is topic ko dekhaa aur perhaa topic waqaee bahoot umdeh hai , main yehaan sirf itnaa kahoongaa ke main co education yaa kisi baat ki khilafat nahin ker rahaa sirf khayalaat bata rahaa ke aaj ke daur mien hi co education ki itni zaroorat kyoon aan pari ??? aaj se 15/20 saal yaa usse bhi zeyaada pehley co education ki itni demand kyoon nahin thi ??? kya uss waqt auratien perhnaa nahin chaahati thi yaa unhien perhnien kaa mauqa nahin diyaa jataaa thaa ???? uss daur mien bhi ek se ek alim larkiyaan paida huee aur unhoonien perhaa bhi bahoot naam raushan kiyaa unhoonien , to main to yehi kahoongaa ke co education mein hi perhaanaa zaroori nahin perhnien walaa kahin bhi perh ker ilm haansil ker sakta hai , humaarey muashrey mien co education se iss liye perhez kiyaa jaataa hai hai ke islam mien be pardagi ki sakht mumaaniyat hai aur mujhe bhi yehi wajeh samajh aati hai
                      ager islamic poin of view se dekhien to co education sahi nahin haan duniyaavi point of view se no problem :)
                      pehlay zamanay ki demands bhi too ajj kay zamanay say different hain na?
                      co education ko jin cheezoun ki waja say acha nahi samjha jata separate colleges main wohi kuch is say kahi zaida hoo raha hai ..bad acha badnaam boora :lol
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment

                      • #12
                        Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

                        Originally posted by Aanchal
                        assalamalikum

                        app mulk main makhloot taleemi nizam (co education)kay haq main hain ya us ki mukhalafat kartay hain ??
                        agar favour main haian to kayoun ? agar against main hain tab bhi kayoun ? :lol aap apni raye dejeye kay is system main kia achaian or kia booraian hain ???
                        is say taleemi nizaam pay kitna farq parta hai..?

                        har member ko apnaye raye deenay ka haq hai laiken kisi doosray ko apni baat manwanay pay majboor mat kejey :rose
                        no larai jhugra :na:
                        behas to is taraha kay topics pay hoo hi jati hai bas "ilmi behas" hoo jiss say kuch seekh sakain :rose

                        AOA,

                        Ji honi chaye ye to mahool pe hai k wo hamain kia sochne pe majboor karta hai meri naqis rahye k motabik honi chaye.

                        Sohail Abbasi.
                        Apna haq ada karo.

                        Comment

                        • #13
                          Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

                          co-education mein koi Aeib nahin hain bashart keh education hasil kerne ke dauran Ikhlaqi aur mazhabi HUdod ki pasdari rakhi jay..

                          Comment

                          • #14
                            Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

                            Originally posted by Aanchal
                            thanxxx jinhoun nay reply kia :rose

                            aisa kia jaye gay dunia kay saray male or female ko alag alag dunia main basa dia jaye na aik field main houn gay or na hi baat karain gay :lol na rehaye ga baans na bajaye gee bansari
                            kitna mazaa ayega...jab alag 2 rahenge...ek mulk mein mard hi mard...dusri mulk mein aurtein hi aurtein...

                            aurton wale mulk mein laRayiaN zyadah hongi

                            mard aurton wale mulk mein boundary cross karenge...arey haan...border per security forces...aurtein aur mard honge...phir kya hoga.

                            ek aham chiz female ke janaza ko qabristan koun le jayega...

                            so after all male female ko alag nahin kar sakte...

                            to phir co-education ka muKhalfat kaisa...
                            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                            Comment

                            • #15
                              Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

                              Originally posted by Spy009
                              kitna mazaa ayega...jab alag 2 rahenge...ek mulk mein mard hi mard...dusri mulk mein aurtein hi aurtein...

                              mard aurton wale mulk mein boundary cross karenge...arey haan...border per security forces...aurtein aur mard honge...phir kya hoga.

                              [/color]
                              ham apni dunia ki boundary kay bahir moti moti chookedar aurtain beetha dain gay takay koi mard boundary cross karnay ki himmat na kar sakye :devilsmil :lol

                              acha mazak bartaraf main aik or baat kehna chahti houn kay agaar ham kisi cheez ko sahi nahi samjhtay to phelay yeh soochian kay us main boorai kia hai? aksar aisa hota hai kay aisi cheezoun main boori kam or achai zaida hoti hai to kayoun na jo boorai hai ham usay theek kar kay us cheez ko acha bana daian ??????
                              us cheez ko acha bananay key leye us cheez ko samajhna or us field main jana zarori hai na...us cheez say door hoo kay ham usay kaisay theek kar paiaan gay ???

                              hamaraay aik teacher nay aik achi baat kahi the jo kay mujhay aaj bhi yaad hai kay unhoun nay apnay beetay ko aik jaga admission karwaya . to kuch logoun nay sir ko kaha kay app naay apnay beetay ka us jaga admission kayun karwa woh jaga to juraim (crime) key leye mashor hai or aisi wasi jag ahai woh .....to sir nay kaha main yeh kayoun souchoun kay mera beeta vohan ja kay un main say aik hoo jaye ga, main yeh kayoun na sochoun kay un main say kisi ko mera baita aapnay jaisa bana day ga ? !!!!
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment

                              Working...
                              X