Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?
Collapse
X
-
Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?
Originally posted by senorita View Postshadi se pehle parh lena chaey lekin ager esa mumkin na ho to shadi k baad bhi parha ja sakta he:)wese ye zeada depend karta he un logon par jahan larki ja rahi he k wo kitna tawun karte hen.
Well mery nazdeek sabsy imp point yahi hai k ager Hubby n In Laws allow krin to zaroor continue rakhni chahye!
Shaid sb sy ahem point yahi hai or ye bhi k lerki kis hadd tk diff preferences n cheezon ko manage krny mai kaamyaab ho skti hai :)
Thx Senorita
Comment
-
Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?
Originally posted by EEmaan View Postas far as poll is concern, i say it depends
mera khiyaal hai kay informally sub ko perhnaa chahiay
per formal education must not at all be at the cost of family life or at
the cost of living without your children
mera khiyaal hai k short courses kiay ja saktay hain
per phir b larkioon ki phelii tarjii un ka ghar oor bachay hoonay chahiay
or yahan pr baat management ki aati hai....k kis tarah wo lerki manage kr rahi hai sb hi cheezon ko + Family n Hubby kitny cooperative hain....
kuch degree programes aisy hooty hain jo informally ho nahi sakty like MS n PHD.....so us mai cheezon ki management buhat imp hooti hai
wat do u say?
.........shaid buhat planned schedule chahye hoota hai :)
EEmaan thx 4 ur concern Dear
Comment
-
Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?
jahan tak mera khayal ha pehlay he parh lena chahye bad mein responsibilties a jati hen aur usay saree tawajoo usi kee tarf deni chaye.. han agar kuch taleem udhoori reh gaye ha aur woh parhna bhi chahti ha tu is mein koi harj nahin ka woh complete kar lay q k aksar aesa hota ha ka larki studies kar rahi hoti ha aur us kee shadi ho jati ha is liye meray khayl mein isi aik soorat mein theek ha wesy shaadi k bad usay agar yeh khayal ayee k usay parhan ha tu i think k usay nahin parhan chahye.....
Dosri responsibilties kee taraf apna poora dhyan day tu woh bohat acha ha
Comment
-
Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?
Originally posted by sarfraz_qamar View Postwailakom assallammm,,,,
I think Reading kayy Mawaqaiyy Girlzz aoor boyzzz kayy liey equal hoonay chahiennn aoorr jahann takk shaddee kayy baadd kii parahhaiee ka atallaq haii too merrayy khiall main aissaa honnaa nahee chahieyyyy,,,bczz iss sayy Mukhtaliff Paichheegionnn kayy paidaa hoonnay kaa ndeshhaa haiiiii,,,shadii sayy pehhllayy jitnaa bhee parrahh lainn kafii haii but shadii kayy badd parrhhnna sahee nahee haiii
to kiya ushy try krna chahye after marriage k wo apni perhae jaari rakhy?
kise degree ko darmiaan mai chorna bhi to takleef dy hoota hai na? :)
ager Family cooperate kry....?
or lerki sahii management sy sb kuch kry kiya tb bhi ap isky against jain gy?
Originally posted by sarfraz_qamar View Postyaa u say its dependzz upon husband side,,,,,,thats why main yehee kahhoon gaa it becomes very difficult to read after marriage,,,,,,Lihazzaa parhaii sayy ahhamm haii gharr koo sanbhallnaaa aoorr Mossoof husband :D:sayy layy kayy Sassss waghairaa waghiraa sabb kooo satisfied karnnaaa
ager Hubby mosoof khud hi chahty hon k unki wife studiez continue rakhy
lakin kahin pr wo 100% ki bjae 90% tawajju hi ghar ko dy pa rahi ho to??
Comment
-
Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?
Originally posted by Xenya View Postwalaikum salam Shaim
Perhai aik aeysi cheez key kabhi nahi khatam hoti. Tau shadi key baad bhi perh saktey heiN. Leykin wahi baat aa jati hai key it depends... aap regular base pey nahi perh saktey ho tau phir through correspondence perh lo....kafi options nikal ati haiN :)
I hope waqt bohot badal gaya hai aur larkiyoN ko ab iss type ki kisi mushkil ka saamna nahi hona chahiye :rose
btw I have voted for yes! agar larki perhna chahti hai tau wo zaroor perhey shadi sey pehley ho ya shadi key baad ho :-)
usky lye to regular classz attend krni hooti hain :)
ager Hubby n In Laws support karin pr lerki ghar ko 100% nahi balky 90% time dy saky
or 10% ghar ignore ho to kiya ye ghalat hoga???
ya it ll b consider OK?372-scare
Comment
-
Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?
Originally posted by Aanchal View Post100% Yes
parhna chaye zaror parhna chaye ....insaan sari zindagi hi kuch na kuch seekhta rehta hai ....or jo kehtay hian maslaye msalye a jatay hian bad main .....to yeh batian kay insaan ki koon si age aisi hai jahan maslaye msaail nahi hotay...shadi say pehlay bhi maslaye hotay hain or larkiyan pher bhi parh liti hain to shadi kay bad itna maslaye koon bana leytay hian loog ...
kuch larkeoo ki shadi teen age main hoo jati hai ...woh kia ab na parhian ?:donno:
larki agar parhna chaye to jitnay bhi maslaye maasail a jatay woh muqabala kar sakti hai :thmbup:....agar dil nahi hai parhnay ka to shadi say pehlay bhi nahi parh sakti :D
lolzZz masly masail waali baat to bari acchi kahi sis :D :p
waqai masly masail khatam nahi hooty :D
Aanchal sumtimes aisa hoota hai k Family n Hubby ki full support hooti hai.....pr lerki kahin khud unsatisfied hooti hai q k studiez ki waja sy mayb 10% ghar ignore ho rha hota hai
to is mai lerki ko kiya krna chahye?? 372-shock
Comment
-
Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?
Originally posted by Nokia_Afridi View PostHaHaHa :wk Shamo ma aysa karta ha ka App ko pm ma bta kar
ap hey eder post karlay ku ka .......Apun waley abi Farsht year ma hay
eslay saf boldeya ka 1 sal parlay bas...jok
shame eder lekta hu ka ka kal tana degey app ka Dargay kya.......
Yes parna chaye par jes na ba Yes keya wo log apnay FAmly ka Baro sa
bi poch la ka wo kya boltay ha ...........Pochnay ma kya harj ha
tora Admi kho expre bi hojaga ka wo yes awo no ku kahtay ha ?
Thx 4 ur pashto mixed urdu views :D :p
apny btaya ghar k baroon sy pooch lena chahye phr perh ly
pr wat abt prefference n management
lerki ki pehli tarjeeh ager ghar hai (surely) to kiya wo isk bawajood perhae ko manage kr sakti hai?
Comment
-
Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?
Originally posted by Mr.Khan View PostShadi ke baad larkiyun ko parhna nahi chahye.........but koi extra odinary case ho like koi ek semester ya degree complete hone me 1 year reh gaya ho to phir to parhna zarori hai otherwise agar parhna hi hai to shadi jesi responsibility ko apne kaandhay per daalna bewakoofi hai
372-shock.......yaani apk khyaal mai full fledge perhae like MS....PHD aisa kuch nahi krna chahye?
or shaid apk zehen mai ye ho k yuun ghar suffer hoota hai?
pr agr ik lerki in cheezon ko manage kr saky to kiya tab bhi nahi??
Comment
-
Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?
Originally posted by Farrukh View Postالسلام و علیکم و رحمتہ اللہ
شیم (Shaim).، بہت اچھا سلسہ شروع کیا
بات یہ ہے، کہ شادی کے بعد تعلیم حاصل کرنا ویسے تو اور بھی ضروری ہو جاتا ہے کیونکہ تعلیم بہرحال زندگی میں مفید ہی ثابت ہوتی ہے۔ لیکن یہ انحصار کرتا ہے حالات پر۔
ہر لڑکی کے حالات ایک جیسے نہیں ہوتے۔ کچھ کی گھریلو ذمہ داریاں زیادہ ہوتیں ہیں اور کچھ کی کم۔ کچھ کے حالات اجازت نہیں دیتے کہ وہ تعلیم جاری رکھ سکیں۔
ایک بات اس ضمن میں ضرور کہوں گا، کہ تعلیم وہ ہو جو واقعی کام آئے، نہ کہ صرف کورس کی کتابیں پڑھ کر امتحان دے دو اور ڈگری حاصل لو۔
اور اس سلسلے میں اسلامی تعلیم میری نظر میں بہترین مقام رکھتی ہے جس میں مرد اور عورت دونوں*کو ایک دوسرے کا احترام،ایک دوسرے کے بڑوں کا احترام، ایک دوسرے کی محبت، تربیت اور پھر ہونے والی اولاد کی تربیت اور دوسری بہت سی زندگی سے متعلق مفید علم فراہم کیا جاتا ہے اور چونکہ اسوہء حسنہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم سے ہوتا ہے، لہٰذا برکت کا باعث بھی بنتا ہے۔
اسلیئے میں تعلیم کے حق میں ہوں اگر حالات اجازت دیں اور سب سے بہتر تعلیم قرآن و سنت کی ہے۔
جزاک اللہِ خیرا و کثیرا
Walikum Assalam
pasandeedgi k lye Shukerya :)
apny Quraan n Hadees ka jo point add kiya usk lye thumbs up :)
DEEN ki perhae to umer k akhri din tk sath rehni chahye
or ye baat sahii hai k is taleem sy insaan buhaat ziada kuch seekhta hai.....jesy rozz marra ki dealing,baroon ka ehtiraam n much more :)
lakin ager Uni level ki perhae ya colleges ki baat ki jae
to kiya ik lerki ko ye sb Shaadi k baad continue krna chahye?
ager usky Hubby n Family ko aitiraaz na ho to?
or ager is tarah uska ghar 10% ignore ho rha ho n 90% acchy sy chal rha ho to???
Comment
-
Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?
Originally posted by Shaim View Post372-shock.......yaani apk khyaal mai full fledge perhae like MS....PHD aisa kuch nahi krna chahye?
Originally posted by Shaim View Postor shaid apk zehen mai ye ho k yuun ghar suffer hoota hai?
Originally posted by Shaim View Post
pr agr ik lerki in cheezon ko manage kr saky to kiya tab bhi nahi??
Comment
-
Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?
Originally posted by baqarkashmiri View Postjahan tak mera khayal ha pehlay he parh lena chahye bad mein responsibilties a jati hen aur usay saree tawajoo usi kee tarf deni chaye.. han agar kuch taleem udhoori reh gaye ha aur woh parhna bhi chahti ha tu is mein koi harj nahin ka woh complete kar lay q k aksar aesa hota ha ka larki studies kar rahi hoti ha aur us kee shadi ho jati ha is liye meray khayl mein isi aik soorat mein theek ha wesy shaadi k bad usay agar yeh khayal ayee k usay parhan ha tu i think k usay nahin parhan chahye.....
Dosri responsibilties kee taraf apna poora dhyan day tu woh bohat acha ha
aksir lerkion k sath ye masla hoota hai k studiez k darmiaan mai hi Shadi ho jati hai ziada ter unhy ye prob face krna hoota hai pr jesy k Xenya n Aanchal ny kaha k perhae kahin stop nahi krti :)
or kaha jata hai k Shadi ko studiez k lye hurdle nahi samajhna chahye
Anyhow thx 4 ur views! :)
Comment
-
Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?
Originally posted by Mr.Khan View PostJee bilkul
Jee han.... Na woh apni study ko proper time de payegi or na hi apne ghar ko.
Aisa possible nahi hai......Itne high standard ki education ke saath ghar ko manage karna impossible hota hai magar compromise kar lena ye alag baat hai.
ik buhat successful Doctor hain.......unho ny FSc kiya tha jb unki Shaadi hoi n can u imagine unho ny Entry test sy ly kr MBBS k 5 yrs + specialization ki or aj unki buhaat acchi c Family hai......buhat zabardast Married life wid kids jo k ab Doctor hi bann rahy hain
i was really impressed k kitny mazzy ki baat hai itni zabardast management rakhna throughout :)
Comment
-
Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?
Originally posted by Shaim View PostSumtimes mujeh bhi yahi lgta hai......pr phr jb logoon ki examplez samny aati hain to mujeh lgta hai nothing iz impossible
ik buhat successful Doctor hain.......unho ny FSc kiya tha jb unki Shaadi hoi n can u imagine unho ny Entry test sy ly kr MBBS k 5 yrs + specialization ki or aj unki buhaat acchi c Family hai......buhat zabardast Married life wid kids jo k ab Doctor hi bann rahy hain
i was really impressed k kitny mazzy ki baat hai itni zabardast management rakhna throughout :)
Yahan per baat overall generation ki ho rahi hai na ke sirf ek ya 2 family per..
ummeed hai k aap mera matlub samajh gaii hon gi
Comment
Comment