Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ummid
    replied
    Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?

    Originally posted by Aanchal View Post
    :thmbup:

    jo loog kehtay hain shadi kay bad nahi parhna chaye ..to yeh batia kay jin larkeoo ki shadiyan jaldi hoo jati hain woh kia karian ? aap unhay taleem say mehroom rekhian gay ...or islam main is baray main kia hai ?
    yeah... education tu must hai... pata nahi log kyun larkiyon ko shaadi baad parhne se mana karte hain... :donno:... or reason itne foolish dete hain ke bus...:fuming:

    Leave a comment:


  • .
    replied
    Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?

    Originally posted by ummid View Post
    [FONT=Times New Roman][SIZE=3][COLOR=royalblue]


    :thmbup:

    jo loog kehtay hain shadi kay bad nahi parhna chaye ..to yeh batia kay jin larkeoo ki shadiyan jaldi hoo jati hain woh kia karian ? aap unhay taleem say mehroom rekhian gay ...or islam main is baray main kia hai ?

    Leave a comment:


  • .
    replied
    Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?

    Originally posted by wareesha View Post
    as xenya said they should continue through corespondance ...
    meiN ye kahungi k agar waqai karna chahti'n heiN to .......bohat se or ways bhi heiN ... like weekly n evening classes ya phir esi classes jo specially working girls k liye organiz kiye jate hieN lakin parhte zaroor rehna chahye is silsile ko rukna nahiN chahye buS ..
    yep jo taleem hasil karna chahtay hain un kay leye rastay buhat hain :thmbup:
    or jo masla bana deytay hian larkeoo ki taleem ko un kay leye bhi maslaye buhat hain :)
    shadi kay bad itni pabandian yeh na karian wo na karian , yeh nahi kar sakti time nahi day sakian gee ghar ko waghera waghera ....larkiyan insaan hain ya kia hain ?

    larkoo ko shadi say pehlay aik parhi likhi biwi chaye hoti hai ....or shadi kay bad jab parhnay ki baat a jaye to basssssssss maslaye masily lay atay hain .....pehlay larki kay aama abba kay pesay kharach hoo rehye hotay they ab un kay jo houn gay :D..

    larkiyan khud sab manage kar sakti hian to zaror parhai karian ...:thmbup:

    Leave a comment:


  • vajiha
    replied
    Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?

    w salam WB:rose
    shaim u've started gud topic !:thmbup:
    YeS!
    taleem hasil karne har muslim par farz kar diya gya or is meiN koi time period mention nahiN kiya gya .
    bila shuba ghar pehli tarjeeh hota he larkion k liye lakin agr wo manage kar sakti heiN or sabko equaly satisfy bhi kar sakti heiN to unheiN zaror jari rakhna chahye .....
    as xenya said they should continue through corespondance ...
    meiN ye kahungi k agar waqai karna chahti'n heiN to .......bohat se or ways bhi heiN ... like weekly n evening classes ya phir esi classes jo specially working girls k liye organiz kiye jate hieN lakin parhte zaroor rehna chahye is silsile ko rukna nahiN chahye buS .. taleem her her lamha hameN aik behter insaN banane meiN madadgaar sabit hoti he ! :)

    Leave a comment:


  • *khushi*
    replied
    Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?

    Walikumsalam....
    i thk karni chay3...iss m3i koi burayi nai hai....but iss shart p3 k3 wo studi3s k3 sath sath ghar ko bi handl3 kar sak3...apn3 husband ki r3sponsibiliti3s aur kids ka bhi dehan rakh saki3n...agar y3 sab karti hain th3n koi masla nahi..coz shadhi k3 baad ph3l3 ghar:)
    aur baaat apk3 in laws aur husband p3 bhi d3p3nd karta hai k3 wo loag allow kart3 hain k3 nai....
    :)
    Last edited by *khushi*; 5 August 2008, 18:32.

    Leave a comment:


  • ummid
    replied
    Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?

    waalikumasalam larki... khush raho...:rose

    @ topic...


    Leave a comment:


  • tauruskhan
    replied
    Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?

    Originally posted by Shaim View Post
    Assalam o Alikum Peghamianz!!!

    Ummid hai k ap sb INSHALAH kharyat sy hoongy or Pakistani Peghamianz Barsaat enjoy kr rahy hoon gy.:phool:


    Aj jo social mubahisa start ho raha hai wo koi tensed political discussion nahi balky ik social mubahisa hai,,,,,,or is per ap sab ny apny views ko defend krna hai.:thmbup:

    MUBAHISA: Kiya Shadi K Baad Lerki Ko Apni Education Continue Krni Chahye Ya Nahi?


    2 B Noted: Prefference,Enviroment,Responsibility,Timings,Mana gement (u can add more)



    Ummid hai k ap is MUBAHISY mai tension free discussion ko enjoy kr sakin gy INSHALLAH.

    KHUSH RAHYYE
    pehlay to yeh explain kareen key perhai sey app lay kia rahi haan
    degree lena ya perhai kerna
    perhai kernay ka jis ko shok ho us ko to koi naeen rok sakta

    Leave a comment:


  • .
    replied
    Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?

    Originally posted by Shaim View Post
    [FONT=Comic Sans MS][SIZE=4]
    Aanchal sumtimes aisa hoota hai k Family n Hubby ki full support hooti hai.....pr lerki kahin khud unsatisfied hooti hai q k studiez ki waja sy mayb 10% ghar ignore ho rha hota hai
    to is mai lerki ko kiya krna chahye?? 372-shock
    agar degree ki baat ki jaye to koon sa 10,20 saal degree leenay main lagtay hian :D .sirf chand saal ki to baat hoti hai :eye:

    wesay ilm to har insaan sari zindagi hasil karta rehta hai ...

    larki parhna chaye to zaror parahye ..yeh parhai us kay kaam aye gee...baki jo kehta hai kehta rehya :D...

    baki batian bad main ...to be continue ....abhi mujhay neand ai hai
    Last edited by .; 4 August 2008, 00:15.

    Leave a comment:


  • Farrukh
    replied
    Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?

    Originally posted by shaim View Post
    walikum Assalam
    pasandeedgi K Lye Shukerya :)

    apny Quraan N Hadees Ka Jo Point Add Kiya Usk Lye Thumbs Up :)
    deen Ki Perhae To Umer K Akhri Din Tk Sath Rehni Chahye
    or Ye Baat Sahii Hai K Is Taleem Sy Insaan Buhaat Ziada Kuch Seekhta Hai.....jesy Rozz Marra Ki Dealing,baroon Ka Ehtiraam N Much More :)

    lakin Ager Uni Level Ki Perhae Ya Colleges Ki Baat Ki Jae
    to Kiya Ik Lerki Ko Ye Sb Shaadi K Baad Continue Krna Chahye?
    ager Usky Hubby N Family Ko Aitiraaz Na Ho To?
    or Ager Is Tarah Uska Ghar 10% Ignore Ho Rha Ho N 90% Acchy Sy Chal Rha Ho To???
    اس بات کا جواب میں دے چُکا ہوں کہ پڑھائی کوئی بھی ہو، اگر حالات اجازت دیں تو ضرور کرنی چاہیئے۔

    Leave a comment:


  • Shaim
    replied
    Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?

    Originally posted by Mr.Khan View Post
    Daikhye 5on fingers kabhi barabar nahi hotin.........or aise special examples mere saamne bhi hain isii lye mai ne word compromise use kya tha......
    Yahan per baat overall generation ki ho rahi hai na ke sirf ek ya 2 family per..

    ummeed hai k aap mera matlub samajh gaii hon gi
    pr mujeh lgta hai k effort kr k dekh lena chahye ager ap ik special case ban sakty ho to guud or ager nahi to choor dena chahye q k Family sy imp kuch nahi hoota :)

    Leave a comment:


  • Mr.Khan
    replied
    Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?

    Originally posted by Shaim View Post
    Sumtimes mujeh bhi yahi lgta hai......pr phr jb logoon ki examplez samny aati hain to mujeh lgta hai nothing iz impossible

    ik buhat successful Doctor hain.......unho ny FSc kiya tha jb unki Shaadi hoi n can u imagine unho ny Entry test sy ly kr MBBS k 5 yrs + specialization ki or aj unki buhaat acchi c Family hai......buhat zabardast Married life wid kids jo k ab Doctor hi bann rahy hain

    i was really impressed k kitny mazzy ki baat hai itni zabardast management rakhna throughout :)
    Daikhye 5on fingers kabhi barabar nahi hotin.........or aise special examples mere saamne bhi hain isii lye mai ne word compromise use kya tha......
    Yahan per baat overall generation ki ho rahi hai na ke sirf ek ya 2 family per..

    ummeed hai k aap mera matlub samajh gaii hon gi

    Leave a comment:


  • Shaim
    replied
    Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?

    Originally posted by Mr.Khan View Post
    Jee bilkul
    Jee han.... Na woh apni study ko proper time de payegi or na hi apne ghar ko.

    Aisa possible nahi hai......Itne high standard ki education ke saath ghar ko manage karna impossible hota hai magar compromise kar lena ye alag baat hai.
    Sumtimes mujeh bhi yahi lgta hai......pr phr jb logoon ki examplez samny aati hain to mujeh lgta hai nothing iz impossible

    ik buhat successful Doctor hain.......unho ny FSc kiya tha jb unki Shaadi hoi n can u imagine unho ny Entry test sy ly kr MBBS k 5 yrs + specialization ki or aj unki buhaat acchi c Family hai......buhat zabardast Married life wid kids jo k ab Doctor hi bann rahy hain

    i was really impressed k kitny mazzy ki baat hai itni zabardast management rakhna throughout :)

    Leave a comment:


  • Shaim
    replied
    Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?

    Originally posted by baqarkashmiri View Post
    jahan tak mera khayal ha pehlay he parh lena chahye bad mein responsibilties a jati hen aur usay saree tawajoo usi kee tarf deni chaye.. han agar kuch taleem udhoori reh gaye ha aur woh parhna bhi chahti ha tu is mein koi harj nahin ka woh complete kar lay q k aksar aesa hota ha ka larki studies kar rahi hoti ha aur us kee shadi ho jati ha is liye meray khayl mein isi aik soorat mein theek ha wesy shaadi k bad usay agar yeh khayal ayee k usay parhan ha tu i think k usay nahin parhan chahye.....

    Dosri responsibilties kee taraf apna poora dhyan day tu woh bohat acha ha
    Sahii :)
    aksir lerkion k sath ye masla hoota hai k studiez k darmiaan mai hi Shadi ho jati hai ziada ter unhy ye prob face krna hoota hai pr jesy k Xenya n Aanchal ny kaha k perhae kahin stop nahi krti :)

    or kaha jata hai k Shadi ko studiez k lye hurdle nahi samajhna chahye
    Anyhow thx 4 ur views! :)

    Leave a comment:


  • Mr.Khan
    replied
    Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?

    Originally posted by Shaim View Post
    372-shock.......yaani apk khyaal mai full fledge perhae like MS....PHD aisa kuch nahi krna chahye?
    Jee bilkul
    Originally posted by Shaim View Post
    or shaid apk zehen mai ye ho k yuun ghar suffer hoota hai?
    Jee han.... Na woh apni study ko proper time de payegi or na hi apne ghar ko.
    Originally posted by Shaim View Post

    pr agr ik lerki in cheezon ko manage kr saky to kiya tab bhi nahi??
    Aisa possible nahi hai......Itne high standard ki education ke saath ghar ko manage karna impossible hota hai magar compromise kar lena ye alag baat hai.

    Leave a comment:


  • Shaim
    replied
    Re: MUBAHISA: Lerkion Ko Shadi K Baad Perhna Chahye?

    Originally posted by Farrukh View Post
    السلام و علیکم و رحمتہ اللہ

    شیم (Shaim).، بہت اچھا سلسہ شروع کیا
    بات یہ ہے، کہ شادی کے بعد تعلیم حاصل کرنا ویسے تو اور بھی ضروری ہو جاتا ہے کیونکہ تعلیم بہرحال زندگی میں مفید ہی ثابت ہوتی ہے۔ لیکن یہ انحصار کرتا ہے حالات پر۔
    ہر لڑکی کے حالات ایک جیسے نہیں ہوتے۔ کچھ کی گھریلو ذمہ داریاں زیادہ ہوتیں ہیں اور کچھ کی کم۔ کچھ کے حالات اجازت نہیں دیتے کہ وہ تعلیم جاری رکھ سکیں۔
    ایک بات اس ضمن میں ضرور کہوں گا، کہ تعلیم وہ ہو جو واقعی کام آئے، نہ کہ صرف کورس کی کتابیں پڑھ کر امتحان دے دو اور ڈگری حاصل لو۔
    اور اس سلسلے میں اسلامی تعلیم میری نظر میں بہترین مقام رکھتی ہے جس میں مرد اور عورت دونوں*کو ایک دوسرے کا احترام،ایک دوسرے کے بڑوں کا احترام، ایک دوسرے کی محبت، تربیت اور پھر ہونے والی اولاد کی تربیت اور دوسری بہت سی زندگی سے متعلق مفید علم فراہم کیا جاتا ہے اور چونکہ اسوہء حسنہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم سے ہوتا ہے، لہٰذا برکت کا باعث بھی بنتا ہے۔
    اسلیئے میں تعلیم کے حق میں ہوں اگر حالات اجازت دیں اور سب سے بہتر تعلیم قرآن و سنت کی ہے۔

    جزاک اللہِ خیرا و کثیرا

    Walikum Assalam
    pasandeedgi k lye Shukerya :)

    apny Quraan n Hadees ka jo point add kiya usk lye thumbs up :)
    DEEN ki perhae to umer k akhri din tk sath rehni chahye
    or ye baat sahii hai k is taleem sy insaan buhaat ziada kuch seekhta hai.....jesy rozz marra ki dealing,baroon ka ehtiraam n much more :)

    lakin ager Uni level ki perhae ya colleges ki baat ki jae
    to kiya ik lerki ko ye sb Shaadi k baad continue krna chahye?
    ager usky Hubby n Family ko aitiraaz na ho to?
    or ager is tarah uska ghar 10% ignore ho rha ho n 90% acchy sy chal rha ho to???

    Leave a comment:

Working...